John 3 · 36 verses

यूहन्ना 3 John 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 3.

1

फरीसियों में से नीकुदेमुस नाम एक मनुष्य था, जो यहूदियों का सरदार था।

Phareesiyon mein se neekudemus naam ek manushya tha, jo Yahudiyon ka sardaar tha.

2

उस ने रात को यीशु के पास आकर उस से कहा, हे रब्बी, हम जानते हैं, कि तू परमेश्वर की ओर से गुरू हो कर आया है; क्योंकि कोई इन चिन्हों को जो तू दिखाता है, यदि परमेश्वर उसके साथ न हो, तो नहीं दिखा सकता।

Us ne raat ko Yeshu ke paas aakar us se kaha, he rabbi, ham jante hain, ki tu Parmeshwar ki or se guru ho kar aaya hai; kyonki koi in chinhon ko jo tu dikhata hai, yadi Parmeshwar uske saath na ho, to nahi dikha sakta.

3

यीशु ने उस को उत्तर दिया; कि मैं तुझ से सच सच कहता हूं, यदि कोई नये सिरे से न जन्मे तो परमेश्वर का राज्य देख नहीं सकता।

Yeshu ne us ko uttar diya; ki main tujh se sach sach kahta hoon, yadi koi naye sire se na janme to Parmeshwar ka rajya dekh nahi sakta.

4

नीकुदेमुस ने उस से कहा, मनुष्य जब बूढ़ा हो गया, तो क्योंकर जन्म ले सकता है? क्या वह अपनी माता के गर्भ में दूसरी बार प्रवेश करके जन्म ले सकता है?

Neekudemus ne us se kaha, manushya jab boodha ho gaya, to kyonkar janm le sakta hai? Kya vah apni mata ke garbh mein doosri baar pravesh karke janm le sakta hai?

5

यीशु ने उत्तर दिया, कि मैं तुझ से सच सच कहता हूं; जब तक कोई मनुष्य जल और आत्मा से न जन्मे तो वह परमेश्वर के राज्य में प्रवेश नहीं कर सकता।

Yeshu ne uttar diya, ki main tujh se sach sach kahta hoon; jab tak koi manushya jal aur aatma se na janme to vah Parmeshwar ke rajya mein pravesh nahi kar sakta.

6

क्योंकि जो शरीर से जन्मा है, वह शरीर है; और जो आत्मा से जन्मा है, वह आत्मा है।

Kyonki jo shareer se janma hai, vah shareer hai; aur jo aatma se janma hai, vah aatma hai.

7

अचम्भा न कर, कि मैं ने तुझ से कहा; कि तुम्हें नये सिरे से जन्म लेना अवश्य है।

Achambha na kar, ki main ne tujh se kaha; ki tumhein naye sire se janm lena avashya hai.

8

हवा जिधर चाहती है उधर चलती है, और तू उसका शब्द सुनता है, परन्तु नहीं जानता, कि वह कहां से आती और किधर को जाती है? जो कोई आत्मा से जन्मा है वह ऐसा ही है।

Hava jidhar chahti hai udhar chalti hai, aur tu uska shabd sunta hai, parantu nahi janta, ki vah kahan se aati aur kidhar ko jati hai? Jo koi aatma se janma hai vah aisa hi hai.

9

नीकुदेमुस ने उस को उत्तर दिया; कि ये बातें क्योंकर हो सकती हैं?

Neekudemus ne us ko uttar diya; ki ye batein kyonkar ho sakti hain?

10

यह सुनकर यीशु ने उस से कहा; तू इस्त्राएलियों का गुरू हो कर भी क्या इन बातों को नहीं समझता?

Yah sunkar Yeshu ne us se kaha; tu istrayeliyon ka guru ho kar bhi kya in baton ko nahi samajhta?

11

मैं तुझ से सच सच कहता हूं कि हम जो जानते हैं, वह कहते हैं, और जिसे हम ने देखा है उस की गवाही देते हैं, और तुम हमारी गवाही ग्रहण नहीं करते।

Main tujh se sach sach kahta hoon ki ham jo jante hain, vah kahte hain, aur jise ham ne dekha hai us ki gavahi dete hain, aur tum hamari gavahi grahan nahi karte.

12

जब मैं ने तुम से पृथ्वी की बातें कहीं, और तुम प्रतीति नहीं करते, तो यदि मैं तुम से स्वर्ग की बातें कहूं, तो फिर क्योंकर प्रतीति करोगे?

Jab main ne tum se prithvi ki batein kahi, aur tum prateeti nahi karte, to yadi main tum se swarg ki batein kahun, to phir kyonkar prateeti karoge?

13

और कोई स्वर्ग पर नहीं चढ़ा, केवल वही जो स्वर्ग से उतरा, अर्थात मनुष्य का पुत्र जो स्वर्ग में है।

Aur koi swarg par nahi chadha, keval vahi jo swarg se utra, arthaat manushya ka putra jo swarg mein hai.

14

और जिस रीति से मूसा ने जंगल में सांप को ऊंचे पर चढ़ाया, उसी रीति से अवश्य है कि मनुष्य का पुत्र भी ऊंचे पर चढ़ाया जाए।

Aur jis reeti se Musa ne jangal mein saamp ko oonche par chadhaya, usi reeti se avashya hai ki manushya ka putra bhi oonche par chadhaya jaye.

15

ताकि जो कोई विश्वास करे उस में अनन्त जीवन पाए॥

Taki jo koi vishwaas kare us mein anant jeevan paye.

16

क्योंकि परमेश्वर ने जगत से ऐसा प्रेम रखा कि उस ने अपना एकलौता पुत्र दे दिया, ताकि जो कोई उस पर विश्वास करे, वह नाश न हो, परन्तु अनन्त जीवन पाए।

Kyonki Parmeshwar ne jagat se aisa prem rakha ki us ne apna eklauta putra de diya, taki jo koi us par vishwaas kare, vah naash na ho, parantu anant jeevan paye.

17

परमेश्वर ने अपने पुत्र को जगत में इसलिये नहीं भेजा, कि जगत पर दंड की आज्ञा दे परन्तु इसलिये कि जगत उसके द्वारा उद्धार पाए।

Parmeshwar ne apne putra ko jagat mein isliye nahi bheja, ki jagat par dand ki aagya de parantu isliye ki jagat uske dwara uddhaar paye.

18

जो उस पर विश्वास करता है, उस पर दंड की आज्ञा नहीं होती, परन्तु जो उस पर विश्वास नहीं करता, वह दोषी ठहर चुका; इसलिये कि उस ने परमेश्वर के एकलौते पुत्र के नाम पर विश्वास नहीं किया।

Jo us par vishwaas karta hai, us par dand ki aagya nahi hoti, parantu jo us par vishwaas nahi karta, vah doshi thahar chuka; isliye ki us ne Parmeshwar ke eklaute putra ke naam par vishwaas nahi kiya.

19

और दंड की आज्ञा का कारण यह है कि ज्योति जगत में आई है, और मनुष्यों ने अन्धकार को ज्योति से अधिक प्रिय जाना क्योंकि उन के काम बुरे थे।

Aur dand ki aagya ka karan yah hai ki jyoti jagat mein aai hai, aur manushyon ne andhakaar ko jyoti se adhik priya jana kyonki un ke kaam bure the.

20

क्योंकि जो कोई बुराई करता है, वह ज्योति से बैर रखता है, और ज्योति के निकट नहीं आता, ऐसा न हो कि उसके कामों पर दोष लगाया जाए।

Kyonki jo koi burai karta hai, vah jyoti se bair rakhta hai, aur jyoti ke nikat nahi aata, aisa na ho ki uske kamon par dosh lagaya jaye.

21

परन्तु जो सच्चाई पर चलता है वह ज्योति के निकट आता है, ताकि उसके काम प्रगट हों, कि वह परमेश्वर की ओर से किए गए हैं।

Parantu jo sachchai par chalta hai vah jyoti ke nikat aata hai, taki uske kaam pragat hon, ki vah Parmeshwar ki or se kiye gaye hain.

22

इस के बाद यीशु और उसके चेले यहूदिया देश में आए; और वह वहां उन के साथ रहकर बपतिस्मा देने लगा।

Is ke baad Yeshu aur uske chele yahoodiya desh mein aaye; aur vah vahan un ke saath rahkar baptisma dene laga.

23

और यूहन्ना भी शालेम् के निकट ऐनोन में बपतिस्मा देता था। क्योंकि वहां बहुत जल था और लोग आकर बपतिस्मा लेते थे।

Aur Yuhanna bhi shalem ke nikat ainon mein baptisma deta tha. Kyonki vahan bahut jal tha aur log aakar baptisma lete the.

24

क्योंकि यूहन्ना उस समय तक जेलखाने में नहीं डाला गया था।

Kyonki Yuhanna us samay tak jelkhane mein nahi dala gaya tha.

25

वहां यूहन्ना के चेलों का किसी यहूदी के साथ शुद्धि के विषय में वाद-विवाद हुआ।

Vahan Yuhanna ke chelon ka kisi Yahudi ke saath shuddhi ke vishay mein vaad-vivaad huaa.

26

और उन्होंने यूहन्ना के पास आकर उस से कहा, हे रब्बी, जो व्यक्ति यरदन के पार तेरे साथ था, और जिस की तू ने गवाही दी है देख, वह बपतिस्मा देता है, और सब उसके पास आते हैं।

Aur unhonne Yuhanna ke paas aakar us se kaha, he rabbi, jo vyakti yardan ke paar tere saath tha, aur jis ki tu ne gavahi di hai dekh, vah baptisma deta hai, aur sab uske paas aate hain.

27

यूहन्ना ने उत्तर दिया, जब तक मनुष्य को स्वर्ग से न दिया जाए तब तक वह कुछ नहीं पा सकता।

Yuhanna ne uttar diya, jab tak manushya ko swarg se na diya jaye tab tak vah kuchh nahi pa sakta.

28

तुम तो आप ही मेरे गवाह हो, कि मैं ने कहा, मैं मसीह नहीं, परन्तु उसके आगे भेजा गया हूं।

Tum to aap hi mere gavaah ho, ki main ne kaha, main Masih nahi, parantu uske aage bheja gaya hoon.

29

जिस की दुलहिन है, वही दूल्हा है: परन्तु दूल्हे का मित्र जो खड़ा हुआ उस की सुनता है, दूल्हे के शब्द से बहुत हर्षित होता है; अब मेरा यह हर्ष पूरा हुआ है।

Jis ki dulhin hai, vahi doolha hai: parantu doolhe ka mitra jo khada huaa us ki sunta hai, doolhe ke shabd se bahut harshit hota hai; ab mera yah harsh poora huaa hai.

30

अवश्य है कि वह बढ़े और मैं घटूं॥

Avashya hai ki vah badhe aur main ghatun.

31

जो ऊपर से आता है, वह सर्वोत्तम है, जो पृथ्वी से आता है वह पृथ्वी का है; और पृथ्वी की ही बातें कहता है: जो स्वर्ग से आता है, वह सब के ऊपर है।

Jo oopar se aata hai, vah sarvottam hai, jo prithvi se aata hai vah prithvi ka hai; aur prithvi ki hi batein kahta hai: jo swarg se aata hai, vah sab ke oopar hai.

32

जो कुछ उस ने देखा, और सुना है, उसी की गवाही देता है; और कोई उस की गवाही ग्रहण नहीं करता।

Jo kuchh us ne dekha, aur suna hai, usi ki gavahi deta hai; aur koi us ki gavahi grahan nahi karta.

33

जिस ने उस की गवाही ग्रहण कर ली उस ने इस बात पर छाप दे दी कि परमेश्वर सच्चा है।

Jis ne us ki gavahi grahan kar li us ne is baat par chhaap de di ki Parmeshwar sachcha hai.

34

क्योंकि जिसे परमेश्वर ने भेजा है, वह परमेश्वर की बातें कहता है: क्योंकि वह आत्मा नाप नापकर नहीं देता।

Kyonki jise Parmeshwar ne bheja hai, vah Parmeshwar ki batein kahta hai: kyonki vah aatma naap napkar nahi deta.

35

पिता पुत्र से प्रेम रखता है, और उस ने सब वस्तुएं उसके हाथ में दे दी हैं।

Pita putra se prem rakhta hai, aur us ne sab vastuein uske haath mein de di hain.

36

जो पुत्र पर विश्वास करता है, अनन्त जीवन उसका है; परन्तु जो पुत्र की नहीं मानता, वह जीवन को नहीं देखेगा, परन्तु परमेश्वर का क्रोध उस पर रहता है॥

Jo putra par vishwaas karta hai, anant jeevan uska hai; parantu jo putra ki nahi manta, vah jeevan ko nahi dekhega, parantu Parmeshwar ka krodh us par rahta hai.