John 2 · 25 verses

यूहन्ना 2 John 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 2.

1

फिर उस से कहा, मैं तुम से सच सच कहता हूं कि तुम स्वर्ग को खुला हुआ, और परमेश्वर के स्वर्गदूतों को ऊपर जाते और मनुष्य के पुत्रा के ऊपर उतरते देखोगे॥

Phir us se kaha, main tum se sach sach kahta hoon ki tum swarg ko khula huaa, aur Parmeshwar ke swargadooton ko oopar jate aur manushya ke putra ke oopar utarte dekhoge.

2

फिर तीसरे दिन गलील के काना में किसी का ब्याह था, और यीशु की माता भी वहां थी।

Phir teesre din galeel ke kana mein kisi ka byaah tha, aur Yeshu ki mata bhi vahan thi.

3

और यीशु और उसके चेले भी उस ब्याह में नेवते गए थे।

Aur Yeshu aur uske chele bhi us byaah mein nevte gaye the.

4

जब दाखरस घट गया, तो यीशु की माता ने उस से कहा, कि उन के पास दाखरस नहीं रहा।

Jab dakhras ghat gaya, to Yeshu ki mata ne us se kaha, ki un ke paas dakhras nahi raha.

5

यीशु ने उस से कहा, हे महिला मुझे तुझ से क्या काम? अभी मेरा समय नहीं आया।

Yeshu ne us se kaha, he mahila mujhe tujh se kya kaam? Abhi mera samay nahi aaya.

6

उस की माता ने सेवकों से कहा, जो कुछ वह तुम से कहे, वही करना।

Us ki mata ne sevkon se kaha, jo kuchh vah tum se kahe, vahi karna.

7

वहां यहूदियों के शुद्ध करने की रीति के अनुसार पत्थर के छ: मटके धरे थे, जि में दो दो, तीन तीन मन समाता था।

Vahan Yahudiyon ke shuddh karne ki reeti ke anusaar patthar ke chha: matke dhare the, ji mein do do, teen teen man samata tha.

8

यीशु ने उन से कहा, अब निकालकर भोज के प्रधान के पास ले जाओ।

Yeshu ne un se kaha, ab nikalkar bhoj ke pradhaan ke paas le jao.

9

वे ले गए, जब भोज के प्रधान ने वह पानी चखा, जो दाखरस बन गया था, और नहीं जानता था, कि वह कहां से आया हे, (परन्तु जिन सेवकों ने पानी निकाला था, वे जानते थे) तो भोज के प्रधान ने दूल्हे को बुलाकर, उस से कहा।

Ve le gaye, jab bhoj ke pradhaan ne vah pani chakha, jo dakhras ban gaya tha, aur nahi janta tha, ki vah kahan se aaya he, (parantu jin sevkon ne pani nikala tha, ve jante the) to bhoj ke pradhaan ne doolhe ko bulakar, us se kaha.

10

हर एक मनुष्य पहिले अच्छा दाखरस देता है और जब लोग पीकर छक जाते हैं, तब मध्यम देता है; परन्तु तू ने अच्छा दाखरस अब तक रख छोड़ा है।

Har ek manushya pahile achchha dakhras deta hai aur jab log peekar chhak jate hain, tab madhyam deta hai; parantu tu ne achchha dakhras ab tak rakh chhoda hai.

11

यीशु ने गलील के काना में अपना यह पहिला चिन्ह दिखाकर अपनी महिमा प्रगट की और उसके चेलों ने उस पर विश्वास किया॥

Yeshu ne galeel ke kana mein apna yah pahila chinh dikhakar apni mahima pragat ki aur uske chelon ne us par vishwaas kiya.

12

इस के बाद वह और उस की माता और उसके भाई और उसके चेले कफरनहूम को गए और वहां कुछ दिन रहे॥

Is ke baad vah aur us ki mata aur uske bhai aur uske chele kaphranhoom ko gaye aur vahan kuchh din rahe.

13

यहूदियों का फसह का पर्व निकट था और यीशु यरूशलेम को गया।

Yahudiyon ka phasah ka parva nikat tha aur Yeshu Yerushalem ko gaya.

14

और उस ने मन्दिर में बैल और भेड़ और कबूतर के बेचने वालों ओर सर्राफों को बैठे हुए पाया।

Aur us ne mandir mein bail aur bhed aur kabootar ke bechne valon or sarraphon ko baithe hue paya.

15

और रस्सियों का कोड़ा बनाकर, सब भेड़ों और बैलों को मन्दिर से निकाल दिया, और सर्राफों के पैसे बिथरा दिए, और पीढ़ों को उलट दिया।

Aur rassiyon ka koda banakar, sab bhedon aur bailon ko mandir se nikaal diya, aur sarraphon ke paise bithra diye, aur peedhon ko ulat diya.

16

और कबूतर बेचने वालों से कहा; इन्हें यहां से ले जाओ: मेरे पिता के भवन को व्यापार का घर मत बनाओ।

Aur kabootar bechne valon se kaha; inhein yahan se le jao: mere pita ke bhavan ko vyapaar ka ghar mat banao.

17

तब उसके चेलों को स्मरण आया कि लिखा है, तेरे घर की धुन मुझे खा जाएगी।

Tab uske chelon ko smaran aaya ki likha hai, tere ghar ki dhun mujhe kha jayegi.

18

इस पर यहूदियों ने उस से कहा, तू जो यह करता है तो हमें कौन सा चिन्ह दिखाता है?

Is par Yahudiyon ne us se kaha, tu jo yah karta hai to hamein kaun sa chinh dikhata hai?

19

यीशु ने उन को उत्तर दिया; कि इस मन्दिर को ढा दो, और मैं उसे तीन दिन में खड़ा कर दूंगा।

Yeshu ne un ko uttar diya; ki is mandir ko dha do, aur main use teen din mein khada kar doonga.

20

यहूदियों ने कहा; इस मन्दिर के बनाने में छियालीस वर्ष लगे हें, और क्या तू उसे तीन दिन में खड़ा कर देगा?

Yahudiyon ne kaha; is mandir ke banane mein chhiyalees varsh lage hein, aur kya tu use teen din mein khada kar dega?

21

परन्तु उस ने अपनी देह के मन्दिर के विषय में कहा था।

Parantu us ne apni deh ke mandir ke vishay mein kaha tha.

22

सो जब वह मुर्दों में से जी उठा तो उसके चेलों को स्मरण आया, कि उस ने यह कहा था; और उन्होंने पवित्र शास्त्र और उस वचन की जो यीशु ने कहा था, प्रतीति की॥

So jab vah murdon mein se ji utha to uske chelon ko smaran aaya, ki us ne yah kaha tha; aur unhonne pavitra shastra aur us vachan ki jo Yeshu ne kaha tha, prateeti ki.

23

जब वह यरूशलेम में फसह के समय पर्व में था, तो बहुतों ने उन चिन्हों को जो वह दिखाता था देखकर उसके नाम पर विश्वास किया।

Jab vah Yerushalem mein phasah ke samay parva mein tha, to bahuton ne un chinhon ko jo vah dikhata tha dekhkar uske naam par vishwaas kiya.

24

परन्तु यीशु ने अपने आप को उन के भरोसे पर नहीं छोड़ा, क्योंकि वह सब को जानता था।

Parantu Yeshu ne apne aap ko un ke bharose par nahi chhoda, kyonki vah sab ko janta tha.

25

और उसे प्रयोजन न था, कि मनुष्य के विषय में कोई गवाही दे, क्योंकि वह आप ही जानता था, कि मनुष्य के मन में क्या है

Aur use prayojan na tha, ki manushya ke vishay mein koi gavahi de, kyonki vah aap hi janta tha, ki manushya ke man mein kya hai