सप्ताह के पहिले दिन मरियम मगदलीनी भोर को अंधेरा रहते ही कब्र पर आई, और पत्थर को कब्र से हटा हुआ देखा।
Saptaah ke pahile din Mariyam magadleeni bhor ko andhera rahte hi kabra par aai, aur patthar ko kabra se hata huaa dekha.
John 20 · 31 verses
सप्ताह के पहिले दिन मरियम मगदलीनी भोर को अंधेरा रहते ही कब्र पर आई, और पत्थर को कब्र से हटा हुआ देखा।
Saptaah ke pahile din Mariyam magadleeni bhor ko andhera rahte hi kabra par aai, aur patthar ko kabra se hata huaa dekha.
तब वह दौड़ी और शमौन पतरस और उस दूसरे चेले के पास जिस से यीशु प्रेम रखता था आकर कहा, वे प्रभु को कब्र में से निकाल ले गए हैं; और हम नहीं जानतीं, कि उसे कहां रख दिया है।
Tab vah daudi aur Shamaun Patras aur us doosre chele ke paas jis se Yeshu prem rakhta tha aakar kaha, ve Prabhu ko kabra mein se nikaal le gaye hain; aur ham nahi janti, ki use kahan rakh diya hai.
तब पतरस और वह दूसरा चेला निकलकर कब्र की ओर चले।
Tab Patras aur vah doosra chela nikalkar kabra ki or chale.
और दोनों साथ साथ दौड़ रहे थे, परन्तु दूसरा चेला पतरस से आगे बढ़कर कब्र पर पहिले पहुंचा।
Aur donon saath saath daud rahe the, parantu doosra chela Patras se aage badhkar kabra par pahile pahuncha.
और झुककर कपड़े पड़े देखे: तौभी वह भीतर न गया।
Aur jhukkar kapde pade dekhe: taubhi vah bheetar na gaya.
तब शमौन पतरस उसके पीछे पीछे पहुंचा और कब्र के भीतर गया और कपड़े पड़े देखे।
Tab Shamaun Patras uske peechhe peechhe pahuncha aur kabra ke bheetar gaya aur kapde pade dekhe.
और वह अंगोछा जो उसके सिर से बन्धा हुआ था, कपड़ों के साथ पड़ा हुआ नहीं परन्तु अलग एक जगह लपेटा हुआ देखा।
Aur vah angochha jo uske sir se bandha huaa tha, kapdon ke saath pada huaa nahi parantu alag ek jagah lapeta huaa dekha.
तब दूसरा चेला भी जो कब्र पर पहिले पहुंचा था, भीतर गया और देखकर विश्वास किया।
Tab doosra chela bhi jo kabra par pahile pahuncha tha, bheetar gaya aur dekhkar vishwaas kiya.
वे तो अब तक पवित्र शास्त्र की वह बात न समझते थे, कि उसे मरे हुओं में से जी उठना होगा।
Ve to ab tak pavitra shastra ki vah baat na samajhte the, ki use mare huon mein se ji uthna hoga.
तब ये चेले अपने घर लौट गए।
Tab ye chele apne ghar laut gaye.
परन्तु मरियम रोती हुई कब्र के पास ही बाहर खड़ी रही और रोते रोते कब्र की ओर झुककर,
Parantu Mariyam roti hui kabra ke paas hi bahar khadi rahi aur rote rote kabra ki or jhukkar,
दो स्वर्गदूतों को उज्ज़वल कपड़े पहिने हुए एक को सिरहाने और दूसरे को पैताने बैठे देखा, जहां यीशु की लोथ पड़ी थी।
Do swargadooton ko ujzaval kapde pahine hue ek ko sirhane aur doosre ko paitane baithe dekha, jahan Yeshu ki loth padi thi.
उन्होंने उस से कहा, हे नारी, तू क्यों रोती है? उस ने उन से कहा, वे मेरे प्रभु को उठा ले गए और मैं नहीं जानती कि उसे कहां रखा है।
Unhonne us se kaha, he nari, tu kyon roti hai? Us ne un se kaha, ve mere Prabhu ko utha le gaye aur main nahi janti ki use kahan rakha hai.
यह कहकर वह पीछे फिरी और यीशु को खड़े देखा और न पहचाना कि यह यीशु है।
Yah kahkar vah peechhe phiri aur Yeshu ko khade dekha aur na pahchana ki yah Yeshu hai.
यीशु ने उस से कहा, हे नारी तू क्यों रोती है? किस को ढूंढ़ती है? उस ने माली समझकर उस से कहा, हे महाराज, यदि तू ने उसे उठा लिया है तो मुझ से कह कि उसे कहां रखा है और मैं उसे ले जाऊंगी।
Yeshu ne us se kaha, he nari tu kyon roti hai? Kis ko dhoondhti hai? Us ne mali samajhkar us se kaha, he maharaaj, yadi tu ne use utha liya hai to mujh se kah ki use kahan rakha hai aur main use le jaoongi.
यीशु ने उस से कहा, मरियम! उस ने पीछे फिरकर उस से इब्रानी में कहा, रब्बूनी अर्थात हे गुरू।
Yeshu ne us se kaha, Mariyam! Us ne peechhe phirkar us se ibrani mein kaha, rabbooni arthaat he guru.
यीशु ने उस से कहा, मुझे मत छू क्योंकि मैं अब तक पिता के पास ऊपर नहीं गया, परन्तु मेरे भाइयों के पास जाकर उन से कह दे, कि मैं अपने पिता, और तुम्हारे पिता, और अपने परमेश्वर और तुम्हारे परमेश्वर के पास ऊपर जाता हूं।
Yeshu ne us se kaha, mujhe mat chhu kyonki main ab tak pita ke paas oopar nahi gaya, parantu mere bhaiyon ke paas jakar un se kah de, ki main apne pita, aur tumhare pita, aur apne Parmeshwar aur tumhare Parmeshwar ke paas oopar jata hoon.
मरियम मगदलीनी ने जाकर चेलों को बताया, कि मैं ने प्रभु को देखा और उस ने मुझ से ये बातें कहीं॥
Mariyam magadleeni ne jakar chelon ko bataya, ki main ne Prabhu ko dekha aur us ne mujh se ye batein kahi.
उसी दिन जो सप्ताह का पहिला दिन था, सन्ध्या के समय जब वहां के द्वार जहां चेले थे, यहूदियों के डर के मारे बन्द थे, तब यीशु आया और बीच में खड़ा होकर उन से कहा, तुम्हें शान्ति मिले।
Usi din jo saptaah ka pahila din tha, sandhya ke samay jab vahan ke dwaar jahan chele the, Yahudiyon ke dar ke mare band the, tab Yeshu aaya aur beech mein khada hokar un se kaha, tumhein shanti mile.
और यह कहकर उस ने अपना हाथ और अपना पंजर उन को दिखाए: तब चेले प्रभु को देखकर आनन्दित हुए।
Aur yah kahkar us ne apna haath aur apna panjar un ko dikhaye: tab chele Prabhu ko dekhkar aanandit hue.
यीशु ने फिर उन से कहा, तुम्हें शान्ति मिले; जैसे पिता ने मुझे भेजा है, वैसे ही मैं भी तुम्हें भेजता हूं।
Yeshu ne phir un se kaha, tumhein shanti mile; jaise pita ne mujhe bheja hai, vaise hi main bhi tumhein bhejta hoon.
यह कहकर उस ने उन पर फूंका और उन से कहा, पवित्र आत्मा लो।
Yah kahkar us ne un par phoonka aur un se kaha, pavitra aatma lo.
जिन के पाप तुम क्षमा करो वे उन के लिये क्षमा किए गए हैं जिन के तुम रखो, वे रखे गए हैं॥
Jin ke paap tum kshama karo ve un ke liye kshama kiye gaye hain jin ke tum rakho, ve rakhe gaye hain.
परन्तु बारहों में से एक व्यक्ति अर्थात थोमा जो दिदुमुस कहलाता है, जब यीशु आया तो उन के साथ न था।
Parantu barhon mein se ek vyakti arthaat thoma jo didumus kahlata hai, jab Yeshu aaya to un ke saath na tha.
जब और चेले उस से कहने लगे कि हम ने प्रभु को देखा है: तब उस ने उन से कहा, जब तक मैं उस के हाथों में कीलों के छेद न देख लूं, और कीलों के छेदों में अपनी उंगली न डाल लूं, और उसके पंजर में अपना हाथ न डाल लूं, तब तक मैं प्रतीति नहीं करूंगा॥
Jab aur chele us se kahne lage ki ham ne Prabhu ko dekha hai: tab us ne un se kaha, jab tak main us ke hathon mein keelon ke chhed na dekh lun, aur keelon ke chhedon mein apni ungli na daal lun, aur uske panjar mein apna haath na daal lun, tab tak main prateeti nahi karoonga.
आठ दिन के बाद उस के चेले फिर घर के भीतर थे, और थोमा उन के साथ था, और द्वार बन्द थे, तब यीशु ने आकर और बीच में खड़ा होकर कहा, तुम्हें शान्ति मिले।
Aath din ke baad us ke chele phir ghar ke bheetar the, aur thoma un ke saath tha, aur dwaar band the, tab Yeshu ne aakar aur beech mein khada hokar kaha, tumhein shanti mile.
तब उस ने थोमा से कहा, अपनी उंगली यहां लाकर मेरे हाथों को देख और अपना हाथ लाकर मेरे पंजर में डाल और अविश्वासी नहीं परन्तु विश्वासी हो।
Tab us ne thoma se kaha, apni ungli yahan lakar mere hathon ko dekh aur apna haath lakar mere panjar mein daal aur avishwasi nahi parantu vishwasi ho.
यह सुन थोमा ने उत्तर दिया, हे मेरे प्रभु, हे मेरे परमेश्वर!
Yah sun thoma ne uttar diya, he mere Prabhu, he mere Parmeshwar!
यीशु ने उस से कहा, तू ने तो मुझे देखकर विश्वास किया है, धन्य वे हैं जिन्हों ने बिना देखे विश्वास किया॥
Yeshu ne us se kaha, tu ne to mujhe dekhkar vishwaas kiya hai, dhanya ve hain jinhon ne bina dekhe vishwaas kiya.
यीशु ने और भी बहुत चिन्ह चेलों के साम्हने दिखाए, जो इस पुस्तक में लिखे नहीं गए।
Yeshu ne aur bhi bahut chinh chelon ke samhane dikhaye, jo is pustak mein likhe nahi gaye.
परन्तु ये इसलिये लिखे गए हैं, कि तुम विश्वास करो, कि यीशु ही परमेश्वर का पुत्र मसीह है: और विश्वास करके उसके नाम से जीवन पाओ॥
Parantu ye isliye likhe gaye hain, ki tum vishwaas karo, ki Yeshu hi Parmeshwar ka putra Masih hai: aur vishwaas karke uske naam se jeevan pao.