John 19 · 42 verses

यूहन्ना 19 John 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 19.

1

इस पर पीलातुस ने यीशु को लेकर कोड़े लगवाए।

Is par peelatus ne Yeshu ko lekar kode lagvaye.

2

और सिपाहियों ने कांटों का मुकुट गूंथकर उसके सिर पर रखा, और उसे बैंजनी वस्त्र पहिनाया।

Aur sipahiyon ne kanton ka mukut goonthkar uske sir par rakha, aur use bainjni vastra pahinaya.

3

और उसके पास आ आकर कहने लगे, हे यहूदियों के राजा, प्रणाम! और उसे थप्पड़ भी मारे।

Aur uske paas aa aakar kahne lage, he Yahudiyon ke raja, pranaam! Aur use thappad bhi mare.

4

तक पीलातुस ने फिर बाहर निकलकर लोगों से कहा, देखो, मैं उसे तुम्हारे पास फिर बाहर लाता हूं; ताकि तुम जानो कि मैं कुछ भी दोष नहीं पाता।

Tak peelatus ne phir bahar nikalkar logon se kaha, dekho, main use tumhare paas phir bahar lata hoon; taki tum jano ki main kuchh bhi dosh nahi pata.

5

तक यीशु कांटों का मुकुट और बैंजनी वस्त्र पहिने हुए बाहर निकला और पीलातुस ने उन से कहा, देखो, यह पुरूष।

Tak Yeshu kanton ka mukut aur bainjni vastra pahine hue bahar nikla aur peelatus ne un se kaha, dekho, yah puroosh.

6

जब महायाजकों और प्यादों ने उसे देखा, तो चिल्लाकर कहा, कि उसे क्रूस पर चढ़ा, क्रूस पर: पीलातुस ने उन से कहा, तुम ही उसे लेकर क्रूस पर चढ़ाओ; क्योंकि मैं उस में दोष नहीं पाता।

Jab mahayajkon aur pyadon ne use dekha, to chillakar kaha, ki use kroos par chadha, kroos par: peelatus ne un se kaha, tum hi use lekar kroos par chadhao; kyonki main us mein dosh nahi pata.

7

यहूदियों ने उस को उत्तर दिया, कि हमारी भी व्यवस्था है और उस व्यवस्था के अनुसार वह मारे जाने के योग्य है क्योंकि उस ने अपने आप को परमेश्वर का पुत्र बनाया।

Yahudiyon ne us ko uttar diya, ki hamari bhi vyavastha hai aur us vyavastha ke anusaar vah mare jane ke yogya hai kyonki us ne apne aap ko Parmeshwar ka putra banaya.

8

जब पीलातुस ने यह बात सुनी तो और भी डर गया।

Jab peelatus ne yah baat suni to aur bhi dar gaya.

9

और फिर किले के भीतर गया और यीशु से कहा, तू कहां का है? परन्तु यीशु ने उसे कुछ भी उत्तर न दिया।

Aur phir kile ke bheetar gaya aur Yeshu se kaha, tu kahan ka hai? Parantu Yeshu ne use kuchh bhi uttar na diya.

10

पीलातुस ने उस से कहा, मुझ से क्यों नहीं बोलता? क्या तू नहीं जानता कि तुझे छोड़ देने का अधिकार मुझे है और तुझे क्रूस पर चढ़ाने का भी मुझे अधिकार है।

Peelatus ne us se kaha, mujh se kyon nahi bolta? Kya tu nahi janta ki tujhe chhod dene ka adhikaar mujhe hai aur tujhe kroos par chadhane ka bhi mujhe adhikaar hai.

11

यीशु ने उत्तर दिया, कि यदि तुझे ऊपर से न दिया जाता, तो तेरा मुझ पर कुछ अधिकार न होता; इसलिये जिस ने मुझे तेरे हाथ पकड़वाया है, उसका पाप अधिक है।

Yeshu ne uttar diya, ki yadi tujhe oopar se na diya jata, to tera mujh par kuchh adhikaar na hota; isliye jis ne mujhe tere haath pakadvaya hai, uska paap adhik hai.

12

इस से पीलातुस ने उसे छोड़ देना चाहा, परन्तु यहूदियों ने चिल्ला चिल्लाकर कहा, यदि तू इस को छोड़ देगा तो तेरी भक्ति कैसर की ओर नहीं; जो कोई अपने आप को राजा बनाता है वह कैसर का साम्हना करता है।

Is se peelatus ne use chhod dena chaha, parantu Yahudiyon ne chilla chillakar kaha, yadi tu is ko chhod dega to teri bhakti kaisar ki or nahi; jo koi apne aap ko raja banata hai vah kaisar ka samhana karta hai.

13

ये बातें सुनकर पीलातुस यीशु को बाहर लाया और उस जगह एक चबूतरा था जो इब्रानी में गब्बता कहलाता है, और न्याय आसन पर बैठा।

Ye batein sunkar peelatus Yeshu ko bahar laya aur us jagah ek chabootra tha jo ibrani mein gabbata kahlata hai, aur nyaay aasan par baitha.

14

यह फसह की तैयारी का दिन था और छठे घंटे के लगभग था: तब उस ने यहूदियों से कहा, देखो, यही है, तुम्हारा राजा!

Yah phasah ki taiyari ka din tha aur chhathe ghante ke lagbhag tha: tab us ne Yahudiyon se kaha, dekho, yahi hai, tumhara raja!

15

परन्तु वे चिल्लाए कि ले जा! ले जा! उसे क्रूस पर चढ़ा: पीलातुस ने उन से कहा, क्या मैं तुम्हारे राजा को क्रूस पर चढ़ाऊं? महायाजकों ने उत्तर दिया, कि कैसर को छोड़ हमारा और कोई राजा नहीं।

Parantu ve chillaye ki le ja! Le ja! Use kroos par chadha: peelatus ne un se kaha, kya main tumhare raja ko kroos par chadhaun? Mahayajkon ne uttar diya, ki kaisar ko chhod hamara aur koi raja nahi.

16

तब उस ने उसे उन के हाथ सौंप दिया ताकि वह क्रूस पर चढ़ाया जाए॥

Tab us ne use un ke haath saump diya taki vah kroos par chadhaya jaye.

17

तब वे यीशु को ले गए। और वह अपना क्रूस उठाए हुए उस स्थान तक बाहर गया, जो खोपड़ी का स्थान कहलाता है और इब्रानी में गुलगुता।

Tab ve Yeshu ko le gaye. Aur vah apna kroos uthaye hue us sthaan tak bahar gaya, jo khopdi ka sthaan kahlata hai aur ibrani mein gulguta.

18

वहां उन्होंने उसे और उसके साथ और दो मनुष्यों को क्रूस पर चढ़ाया, एक को इधर और एक को उधर, और बीच में यीशु को।

Vahan unhonne use aur uske saath aur do manushyon ko kroos par chadhaya, ek ko idhar aur ek ko udhar, aur beech mein Yeshu ko.

19

और पीलातुस ने एक दोष-पत्र लिखकर क्रूस पर लगा दिया और उस में यह लिखा हुआ था, यीशु नासरी यहूदियों का राजा।

Aur peelatus ne ek dosh-patra likhkar kroos par laga diya aur us mein yah likha huaa tha, Yeshu nasri Yahudiyon ka raja.

20

यह दोष-पत्र बहुत यहूदियों ने पढ़ा क्योंकि वह स्थान जहां यीशु क्रूस पर चढ़ाया गया था नगर के पास था और पत्र इब्रानी और लतीनी और यूनानी में लिखा हुआ था।

Yah dosh-patra bahut Yahudiyon ne padha kyonki vah sthaan jahan Yeshu kroos par chadhaya gaya tha nagar ke paas tha aur patra ibrani aur lateeni aur yoonani mein likha huaa tha.

21

तब यहूदियों के महायाजकों ने पीलातुस से कहा, यहूदियों का राजा मत लिख परन्तु यह कि “उस ने कहा, मैं यहूदियों का राजा हूं”।

Tab Yahudiyon ke mahayajkon ne peelatus se kaha, Yahudiyon ka raja mat likh parantu yah ki “us ne kaha, main Yahudiyon ka raja hoon”.

22

पीलातुस ने उत्तर दिया, कि मैं ने जो लिख दिया, वह लिख दिया॥

Peelatus ne uttar diya, ki main ne jo likh diya, vah likh diya.

23

जब सिपाही यीशु को क्रूस पर चढ़ा चुके, तो उसके कपड़े लेकर चार भाग किए, हर सिपाही के लिये एक भाग और कुरता भी लिया, परन्तु कुरता बिन सीअन ऊपर से नीचे तक बुना हुआ था: इसलिये उन्होंने आपस में कहा, हम इस को न फाडें, परन्तु इस पर चिट्ठी डालें कि वह किस का होगा।

Jab sipahi Yeshu ko kroos par chadha chuke, to uske kapde lekar chaar bhaag kiye, har sipahi ke liye ek bhaag aur kurta bhi liya, parantu kurta bin seean oopar se neeche tak buna huaa tha: isliye unhonne aapas mein kaha, ham is ko na phadein, parantu is par chitthi dalein ki vah kis ka hoga.

24

यह इसलिये हुआ, कि पवित्र शास्त्र की बात पूरी हो कि उन्होंने मेरे कपड़े आपस में बांट लिये और मेरे वस्त्र पर चिट्ठी डाली: सो सिपाहियों ने ऐसा ही किया।

Yah isliye huaa, ki pavitra shastra ki baat poori ho ki unhonne mere kapde aapas mein baant liye aur mere vastra par chitthi dali: so sipahiyon ne aisa hi kiya.

25

परन्तु यीशु के क्रूस के पास उस की माता और उस की माता की बहिन मरियम, क्लोपास की पत्नी और मरियम मगदलीनी खड़ी थी।

Parantu Yeshu ke kroos ke paas us ki mata aur us ki mata ki bahin Mariyam, klopaas ki patni aur Mariyam magadleeni khadi thi.

26

यीशु ने अपनी माता और उस चेले को जिस से वह प्रेम रखता था, पास खड़े देखकर अपनी माता से कहा; हे नारी, देख, यह तेरा पुत्र है।

Yeshu ne apni mata aur us chele ko jis se vah prem rakhta tha, paas khade dekhkar apni mata se kaha; he nari, dekh, yah tera putra hai.

27

तब उस चेले से कहा, यह तेरी माता है, और उसी समय से वह चेला, उसे अपने घर ले गया॥

Tab us chele se kaha, yah teri mata hai, aur usi samay se vah chela, use apne ghar le gaya.

28

इस के बाद यीशु ने यह जानकर कि अब सब कुछ हो चुका; इसलिये कि पवित्र शास्त्र की बात पूरी हो कहा, मैं प्यासा हूं।

Is ke baad Yeshu ne yah jankar ki ab sab kuchh ho chuka; isliye ki pavitra shastra ki baat poori ho kaha, main pyasa hoon.

29

वहां एक सिरके से भरा हुआ बर्तन धरा था, सो उन्होंने सिरके में भिगोए हुए इस्पंज को जूफे पर रखकर उसके मुंह से लगाया।

Vahan ek sirke se bhara huaa bartan dhara tha, so unhonne sirke mein bhigoye hue ispanj ko joophe par rakhkar uske munh se lagaya.

30

जब यीशु ने वह सिरका लिया, तो कहा पूरा हुआ और सिर झुकाकर प्राण त्याग दिए॥

Jab Yeshu ne vah sirka liya, to kaha poora huaa aur sir jhukakar praan tyaag diye.

31

और इसलिये कि वह तैयारी का दिन था, यहूदियों ने पीलातुस से बिनती की कि उन की टांगे तोड़ दी जाएं और वे उतारे जाएं ताकि सब्त के दिन वे क्रूसों पर न रहें, क्योंकि वह सब्त का दिन बड़ा दिन था।

Aur isliye ki vah taiyari ka din tha, Yahudiyon ne peelatus se binti ki ki un ki tange tod di jayen aur ve utare jayen taki sabt ke din ve krooson par na rahein, kyonki vah sabt ka din bada din tha.

32

सो सिपाहियों ने आकर पहिले की टांगें तोड़ीं तब दूसरे की भी, जो उसके साथ क्रूसों पर चढ़ाए गए थे।

So sipahiyon ne aakar pahile ki tangein todi tab doosre ki bhi, jo uske saath krooson par chadhaye gaye the.

33

परन्तु जब यीशु के पास आकर देखा कि वह मर चुका है, तो उस की टांगें न तोड़ीं।

Parantu jab Yeshu ke paas aakar dekha ki vah mar chuka hai, to us ki tangein na todi.

34

परन्तु सिपाहियों में से एक ने बरछे से उसका पंजर बेधा और उस में से तुरन्त लोहू और पानी निकला।

Parantu sipahiyon mein se ek ne barchhe se uska panjar bedha aur us mein se turant lohu aur pani nikla.

35

जिस ने यह देखा, उसी ने गवाही दी है, और उस की गवाही सच्ची है; और वह जानता है, कि सच कहता है कि तुम भी विश्वास करो।

Jis ne yah dekha, usi ne gavahi di hai, aur us ki gavahi sachchi hai; aur vah janta hai, ki sach kahta hai ki tum bhi vishwaas karo.

36

ये बातें इसलिये हुईं कि पवित्र शास्त्र की यह बात पूरी हो कि उस की कोई हड्डी तोड़ी न जाएगी।

Ye batein isliye hui ki pavitra shastra ki yah baat poori ho ki us ki koi haddi todi na jayegi.

37

फिर एक और स्थान पर यह लिखा है, कि जिसे उन्होंने बेधा है, उस पर दृष्टि करेंगे॥

Phir ek aur sthaan par yah likha hai, ki jise unhonne bedha hai, us par drishti karenge.

38

इन बातों के बाद अरमतियाह के यूसुफ ने, जो यीशु का चेला था, (परन्तु यहूदियों के डर से इस बात को छिपाए रखता था), पीलातुस से बिनती की, कि मैं यीशु की लोथ को ले जाऊं, और पीलातुस ने उस की बिनती सुनी, और वह आकर उस की लोथ ले गया।

In baton ke baad aramtiyaah ke Yusuf ne, jo Yeshu ka chela tha, (parantu Yahudiyon ke dar se is baat ko chhipaye rakhta tha), peelatus se binti ki, ki main Yeshu ki loth ko le jaun, aur peelatus ne us ki binti suni, aur vah aakar us ki loth le gaya.

39

निकुदेमुस भी जो पहिले यीशु के पास रात को गया था पचास सेर के लगभग मिला हुआ गन्धरस और एलवा ले आया।

Nikudemus bhi jo pahile Yeshu ke paas raat ko gaya tha pachaas ser ke lagbhag mila huaa gandharas aur elva le aaya.

40

तब उन्होंने यीशु की लोथ को लिया और यहूदियों के गाड़ने की रीति के अनुसार उसे सुगन्ध द्रव्य के साथ कफन में लपेटा।

Tab unhonne Yeshu ki loth ko liya aur Yahudiyon ke gadne ki reeti ke anusaar use sugandh dravya ke saath kaphan mein lapeta.

41

उस स्थान पर जहां यीशु क्रूस पर चढ़ाया गया था, एक बारी थी; और उस बारी में एक नई कब्र थी; जिस में कभी कोई न रखा गया था।

Us sthaan par jahan Yeshu kroos par chadhaya gaya tha, ek bari thi; aur us bari mein ek nai kabra thi; jis mein kabhi koi na rakha gaya tha.

42

सो यहूदियों की तैयारी के दिन के कारण, उन्होंने यीशु को उसी में रखा, क्योंकि वह कब्र निकट थी॥

So Yahudiyon ki taiyari ke din ke karan, unhonne Yeshu ko usi mein rakha, kyonki vah kabra nikat thi.