यीशु ये बातें कहकर अपने चेलों के साथ किद्रोन के नाले के पार गया, वहां एक बारी थी, जिस में वह और उसके चेले गए।
Yeshu ye batein kahkar apne chelon ke saath kidron ke nale ke paar gaya, vahan ek bari thi, jis mein vah aur uske chele gaye.
John 18 · 40 verses
यीशु ये बातें कहकर अपने चेलों के साथ किद्रोन के नाले के पार गया, वहां एक बारी थी, जिस में वह और उसके चेले गए।
Yeshu ye batein kahkar apne chelon ke saath kidron ke nale ke paar gaya, vahan ek bari thi, jis mein vah aur uske chele gaye.
और उसका पकड़वाने वाला यहूदा भी वह जगह जानता था, क्योंकि यीशु अपने चेलों के साथ वहां जाया करता था।
Aur uska pakadvane vala Yahuda bhi vah jagah janta tha, kyonki Yeshu apne chelon ke saath vahan jaya karta tha.
तब यहूदा पलटन को और महायाजकों और फरीसियों की ओर से प्यादों को लेकर दीपकों और मशालों और हथियारों को लिए हुए वहां आया।
Tab Yahuda paltan ko aur mahayajkon aur phareesiyon ki or se pyadon ko lekar deepkon aur mashalon aur hathiyaron ko liye hue vahan aaya.
तब यीशु उन सब बातों को जो उस पर आनेवाली थीं, जानकर निकला, और उन से कहने लगा, किसे ढूंढ़ते हो?
Tab Yeshu un sab baton ko jo us par aanevali thi, jankar nikla, aur un se kahne laga, kise dhoondhte ho?
उन्होंने उस को उत्तर दिया, यीशु नासरी को: यीशु ने उन से कहा, मैं ही हूं: और उसका पकड़वाने वाला यहूदा भी उन के साथ खड़ा था।
Unhonne us ko uttar diya, Yeshu nasri ko: Yeshu ne un se kaha, main hi hoon: aur uska pakadvane vala Yahuda bhi un ke saath khada tha.
उसके यह कहते ही, कि मैं हूं, वे पीछे हटकर भूमि पर गिर पड़े।
Uske yah kahte hi, ki main hoon, ve peechhe hatkar bhoomi par gir pade.
तब उस ने फिर उन से पूछा, तुम किस को ढूंढ़ते हो।
Tab us ne phir un se poochha, tum kis ko dhoondhte ho.
वे बोले, यीशु नासरी को। यीशु ने उत्तर दिया, मैं तो तुम से कह चुका हूं कि मैं ही हूं, यदि मुझे ढूंढ़ते हो तो इन्हें जाने दो।
Ve bole, Yeshu nasri ko. Yeshu ne uttar diya, main to tum se kah chuka hoon ki main hi hoon, yadi mujhe dhoondhte ho to inhein jane do.
यह इसलिये हुआ, कि वह वचन पूरा हो, जो उस ने कहा था कि जिन्हें तू ने मुझे दिया, उन में से मैं ने एक को भी न खोया।
Yah isliye huaa, ki vah vachan poora ho, jo us ne kaha tha ki jinhein tu ne mujhe diya, un mein se main ne ek ko bhi na khoya.
शमौन पतरस ने तलवार, जो उसके पास थी, खींची और महायाजक के दास पर चलाकर, उसका दाहिना कान उड़ा दिया, उस दास का नाम मलखुस था।
Shamaun Patras ne talvaar, jo uske paas thi, kheenchi aur mahayajak ke daas par chalakar, uska dahina kaan uda diya, us daas ka naam malkhus tha.
तब यीशु ने पतरस से कहा, अपनी तलवार काठी में रख: जो कटोरा पिता ने मुझे दिया है क्या मैं उसे न पीऊं?
Tab Yeshu ne Patras se kaha, apni talvaar kathi mein rakh: jo katora pita ne mujhe diya hai kya main use na peeun?
तब सिपाहियों और उन के सूबेदार और यहूदियों के प्यादों ने यीशु को पकड़कर बान्ध लिया।
Tab sipahiyon aur un ke soobedaar aur Yahudiyon ke pyadon ne Yeshu ko pakadkar baandh liya.
और पहिले उसे हन्ना के पास ले गए क्योंकि वह उस वर्ष के महायाजक काइफा का ससुर था।
Aur pahile use hanna ke paas le gaye kyonki vah us varsh ke mahayajak kaipha ka sasur tha.
यह वही काइफा था, जिस ने यहूदियों को सलाह दी थी कि हमारे लोगों के लिये एक पुरूष का मरना अच्छा है।
Yah vahi kaipha tha, jis ne Yahudiyon ko salaah di thi ki hamare logon ke liye ek puroosh ka marna achchha hai.
शमौन पतरस और एक और चेला भी यीशु के पीछे हो लिए: यह चेला महायाजक का जाना पहचाना था और यीशु के साथ महायाजक के आंगन में गया।
Shamaun Patras aur ek aur chela bhi Yeshu ke peechhe ho liye: yah chela mahayajak ka jana pahchana tha aur Yeshu ke saath mahayajak ke aangan mein gaya.
परन्तु पतरस बाहर द्वार पर खड़ा रहा, तब वह दूसरा चेला जो महायाजक का जाना पहचाना था, बाहर निकला, और द्वारपालिन से कहकर, पतरस को भीतर ले आया।
Parantu Patras bahar dwaar par khada raha, tab vah doosra chela jo mahayajak ka jana pahchana tha, bahar nikla, aur dwarpalin se kahkar, Patras ko bheetar le aaya.
उस दासी ने जो द्वारपालिन थी, पतरस से कहा, क्या तू भी इस मनुष्य के चेलों में से है? उस ने कहा, मैं नहीं हूं।
Us dasi ne jo dwarpalin thi, Patras se kaha, kya tu bhi is manushya ke chelon mein se hai? Us ne kaha, main nahi hoon.
दास और प्यादे जाड़े के कारण कोएले धधकाकर खड़े ताप रहे थे और पतरस भी उन के साथ खड़ा ताप रहा था॥
Daas aur pyade jade ke karan koyele dhadhkakar khade taap rahe the aur Patras bhi un ke saath khada taap raha tha.
तक महायाजक ने यीशु से उसके चेलों के विषय में और उसके उपदेश के विषय में पूछा।
Tak mahayajak ne Yeshu se uske chelon ke vishay mein aur uske updesh ke vishay mein poochha.
यीशु ने उस को उत्तर दिया, कि मैं ने जगत से खोलकर बातें की; मैं ने सभाओं और आराधनालय में जहां सब यहूदी इकट्ठे हुआ करते हैं सदा उपदेश किया और गुप्त में कुछ भी नहीं कहा।
Yeshu ne us ko uttar diya, ki main ne jagat se kholkar batein ki; main ne sabhaon aur aaradhnalay mein jahan sab Yahudi ikatthe huaa karte hain sada updesh kiya aur gupt mein kuchh bhi nahi kaha.
तू मुझ से क्यों पूछता है? सुनने वालों से पूछ: कि मैं ने उन से क्या कहा? देख वे जानते हैं; कि मैं ने क्या क्या कहा
Tu mujh se kyon poochhta hai? Sunne valon se poochh: ki main ne un se kya kaha? Dekh ve jante hain; ki main ne kya kya kaha
तब उस ने यह कहा, तो प्यादों में से एक ने जो पास खड़ा था, यीशु को थप्पड़ मारकर कहा, क्या तू महायाजक को इस प्रकार उत्तर देता है।
Tab us ne yah kaha, to pyadon mein se ek ne jo paas khada tha, Yeshu ko thappad markar kaha, kya tu mahayajak ko is prakaar uttar deta hai.
यीशु ने उसे उत्तर दिया, यदि मैं ने बुरा कहा, तो उस बुराई पर गवाही दे; परन्तु यदि भला कहा, तो मुझे क्यों मारता है?
Yeshu ne use uttar diya, yadi main ne bura kaha, to us burai par gavahi de; parantu yadi bhala kaha, to mujhe kyon marta hai?
हन्ना ने उसे बन्धे हुए काइफा महायाजक के पास भेज दिया॥
Hanna ne use bandhe hue kaipha mahayajak ke paas bhej diya.
शमौन पतरस खड़ा हुआ ताप रहा था। तब उन्होंने उस से कहा; क्या तू भी उसके चेलों में से है? उस ने इन्कार करके कहा, मैं नहीं हूं।
Shamaun Patras khada huaa taap raha tha. Tab unhonne us se kaha; kya tu bhi uske chelon mein se hai? Us ne inkaar karke kaha, main nahi hoon.
महायाजक के दासों में से एक जो उसके कुटुम्ब में से था, जिसका कान पतरस ने काट डाला था, बोला, क्या मैं ने तुझे उसके साथ बारी में न देखा था?
Mahayajak ke dason mein se ek jo uske kutumb mein se tha, jiska kaan Patras ne kaat dala tha, bola, kya main ne tujhe uske saath bari mein na dekha tha?
पतरस फिर इन्कार कर गया और तुरन्त मुर्ग ने बांग दी॥
Patras phir inkaar kar gaya aur turant murg ne baang di.
और वे यीशु को काइफा के पास से किले को ले गए और भोर का समय था, परन्तु वे आप किले के भीतर न गए ताकि अशुद्ध न हों परन्तु फसह खा सकें।
Aur ve Yeshu ko kaipha ke paas se kile ko le gaye aur bhor ka samay tha, parantu ve aap kile ke bheetar na gaye taki ashuddh na hon parantu phasah kha sakein.
तब पीलातुस उन के पास बाहर निकल आया और कहा, तुम इस मनुष्य पर किस बात की नालिश करते हो?
Tab peelatus un ke paas bahar nikal aaya aur kaha, tum is manushya par kis baat ki nalish karte ho?
उन्होंने उस को उत्तर दिया, कि यदि वह कुकर्मी न होता तो हम उसे तेरे हाथ न सौंपते।
Unhonne us ko uttar diya, ki yadi vah kukarmi na hota to ham use tere haath na saumpte.
पीलातुस ने उन से कहा, तुम ही इसे ले जाकर अपनी व्यवस्था के अनुसार उसका न्याय करो: यहूदियों ने उस से कहा, हमें अधिकार नहीं कि किसी का प्राण लें।
Peelatus ne un se kaha, tum hi ise le jakar apni vyavastha ke anusaar uska nyaay karo: Yahudiyon ne us se kaha, hamein adhikaar nahi ki kisi ka praan lein.
यह इसलिये हुआ, कि यीशु की वह बात पूरी हो जो उस ने यह पता देते हुए कही थी, कि उसका मरना कैसा होगा॥
Yah isliye huaa, ki Yeshu ki vah baat poori ho jo us ne yah pata dete hue kahi thi, ki uska marna kaisa hoga.
तब पीलातुस फिर किले के भीतर गया और यीशु को बुलाकर, उस से पूछा, क्या तू यहूदियों का राजा है?
Tab peelatus phir kile ke bheetar gaya aur Yeshu ko bulakar, us se poochha, kya tu Yahudiyon ka raja hai?
यीशु ने उत्तर दिया, क्या तू यह बात अपनी ओर से कहता है या औरों ने मेरे विषय में तुझ से कही?
Yeshu ne uttar diya, kya tu yah baat apni or se kahta hai ya auron ne mere vishay mein tujh se kahi?
पीलातुस ने उत्तर दिया, क्या मैं यहूदी हूं? तेरी ही जाति और महायाजकों ने तुझे मेरे हाथ सौंपा, तू ने क्या किया है?
Peelatus ne uttar diya, kya main Yahudi hoon? Teri hi jati aur mahayajkon ne tujhe mere haath saumpa, tu ne kya kiya hai?
यीशु ने उत्तर दिया, कि मेरा राज्य इस जगत का नहीं, यदि मेरा राज्य इस जगत का होता, तो मेरे सेवक लड़ते, कि मैं यहूदियों के हाथ सौंपा न जाता: परन्तु अब मेरा राज्य यहां का नहीं।
Yeshu ne uttar diya, ki mera rajya is jagat ka nahi, yadi mera rajya is jagat ka hota, to mere sevak ladte, ki main Yahudiyon ke haath saumpa na jata: parantu ab mera rajya yahan ka nahi.
पीलातुस ने उस से कहा, तो क्या तू राजा है? यीशु ने उत्तर दिया, कि तू कहता है, क्योंकि मैं राजा हूं; मैं ने इसलिये जन्म लिया, और इसलिये जगत में आया हूं कि सत्य पर गवाही दूं जो कोई सत्य का है, वह मेरा शब्द सुनता है।
Peelatus ne us se kaha, to kya tu raja hai? Yeshu ne uttar diya, ki tu kahta hai, kyonki main raja hoon; main ne isliye janm liya, aur isliye jagat mein aaya hoon ki satya par gavahi dun jo koi satya ka hai, vah mera shabd sunta hai.
पीलातुस ने उस से कहा, सत्य क्या है? और यह कहकर वह फिर यहूदियों के पास निकल गया और उन से कहा, मैं तो उस में कुछ दोष नहीं पाता।
Peelatus ne us se kaha, satya kya hai? Aur yah kahkar vah phir Yahudiyon ke paas nikal gaya aur un se kaha, main to us mein kuchh dosh nahi pata.
पर तुम्हारी यह रीति है कि मैं फसह में तुम्हारे लिये एक व्यक्ति को छोड़ दूं सो क्या तुम चाहते हो, कि मैं तुम्हारे लिये यहूदियों के राजा को छोड़ दूं?
Par tumhari yah reeti hai ki main phasah mein tumhare liye ek vyakti ko chhod dun so kya tum chahte ho, ki main tumhare liye Yahudiyon ke raja ko chhod dun?
तब उन्होंने फिर चिल्लाकर कहा, इसे नहीं परन्तु हमारे लिये बरअब्बा को छोड़ दे; और बरअब्बा डाकू था॥
Tab unhonne phir chillakar kaha, ise nahi parantu hamare liye baraabba ko chhod de; aur baraabba daku tha.