John 17 · 26 verses

यूहन्ना 17 John 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 17.

1

यीशु ने ये बातें कहीं और अपनी आंखे आकाश की ओर उठाकर कहा, हे पिता, वह घड़ी आ पहुंची, अपने पुत्र की महिमा कर, कि पुत्र भी तेरी महिमा करे।

Yeshu ne ye batein kahi aur apni aankhe aakaash ki or uthakar kaha, he pita, vah ghadi aa pahunchi, apne putra ki mahima kar, ki putra bhi teri mahima kare.

2

क्योंकि तू ने उस को सब प्राणियों पर अधिकार दिया, कि जिन्हें तू ने उस को दिया है, उन सब को वह अनन्त जीवन दे।

Kyonki tu ne us ko sab praniyon par adhikaar diya, ki jinhein tu ne us ko diya hai, un sab ko vah anant jeevan de.

3

और अनन्त जीवन यह है, कि वे तुझ अद्वैत सच्चे परमेश्वर को और यीशु मसीह को, जिसे तू ने भेजा है, जाने।

Aur anant jeevan yah hai, ki ve tujh adwait sachche Parmeshwar ko aur Yeshu Masih ko, jise tu ne bheja hai, jane.

4

जो काम तू ने मुझे करने को दिया था, उसे पूरा करके मैं ने पृथ्वी पर तेरी महिमा की है।

Jo kaam tu ne mujhe karne ko diya tha, use poora karke main ne prithvi par teri mahima ki hai.

5

और अब, हे पिता, तू अपने साथ मेरी महिमा उस महिमा से कर जो जगत के होने से पहिले, मेरी तेरे साथ थी।

Aur ab, he pita, tu apne saath meri mahima us mahima se kar jo jagat ke hone se pahile, meri tere saath thi.

6

मैं ने तेरा नाम उन मनुष्यों पर प्रगट किया जिन्हें तू ने जगत में से मुझे दिया: वे तेरे थे और तू ने उन्हें मुझे दिया और उन्होंने तेरे वचन को मान लिया है।

Main ne tera naam un manushyon par pragat kiya jinhein tu ne jagat mein se mujhe diya: ve tere the aur tu ne unhein mujhe diya aur unhonne tere vachan ko maan liya hai.

7

अब वे जान गए हैं, कि जो कुछ तू ने मुझे दिया है, सब तेरी ओर से है।

Ab ve jaan gaye hain, ki jo kuchh tu ne mujhe diya hai, sab teri or se hai.

8

क्योंकि जो बातें तू ने मुझे पहुंचा दीं, मैं ने उन्हें उन को पहुंचा दिया और उन्होंने उन को ग्रहण किया: और सच सच जान लिया है, कि मैं तेरी ओर से निकला हूं, और प्रतीति कर ली है कि तू ही ने मुझे भेजा।

Kyonki jo batein tu ne mujhe pahuncha di, main ne unhein un ko pahuncha diya aur unhonne un ko grahan kiya: aur sach sach jaan liya hai, ki main teri or se nikla hoon, aur prateeti kar li hai ki tu hi ne mujhe bheja.

9

मैं उन के लिये बिनती करता हूं, संसार के लिये बिनती नहीं करता हूं परन्तु उन्हीं के लिये जिन्हें तू ने मुझे दिया है, क्योंकि वे तेरे हैं।

Main un ke liye binti karta hoon, sansaar ke liye binti nahi karta hoon parantu unhi ke liye jinhein tu ne mujhe diya hai, kyonki ve tere hain.

10

और जो कुछ मेरा है वह सब तेरा है; और जो तेरा है वह मेरा है; और इन से मेरी महिमा प्रगट हुई है।

Aur jo kuchh mera hai vah sab tera hai; aur jo tera hai vah mera hai; aur in se meri mahima pragat hui hai.

11

मैं आगे को जगत में न रहूंगा, परन्तु ये जगत में रहेंगे, और मैं तेरे पास आता हूं; हे पवित्र पिता, अपने उस नाम से जो तू ने मुझे दिया है, उन की रक्षा कर, कि वे हमारी नाईं एक हों।

Main aage ko jagat mein na rahoonga, parantu ye jagat mein rahenge, aur main tere paas aata hoon; he pavitra pita, apne us naam se jo tu ne mujhe diya hai, un ki raksha kar, ki ve hamari nai ek hon.

12

जब मैं उन के साथ था, तो मैं ने तेरे उस नाम से, जो तू ने मुझे दिया है, उन की रक्षा की, मैं ने उन की चौकसी की और विनाश के पुत्र को छोड़ उन में से काई नाश न हुआ, इसलिये कि पवित्र शास्त्र की बात पूरी हो।

Jab main un ke saath tha, to main ne tere us naam se, jo tu ne mujhe diya hai, un ki raksha ki, main ne un ki chauksi ki aur vinaash ke putra ko chhod un mein se kai naash na huaa, isliye ki pavitra shastra ki baat poori ho.

13

परन्तु अब मैं तेरे पास आता हूं, और ये बातें जगत में कहता हूं, कि वे मेरा आनन्द अपने में पूरा पाएं।

Parantu ab main tere paas aata hoon, aur ye batein jagat mein kahta hoon, ki ve mera aanand apne mein poora payen.

14

मैं ने तेरा वचन उन्हें पहुंचा दिया है, और संसार ने उन से बैर किया, क्योंकि जैसा मैं संसार का नहीं, वैसे ही वे भी संसार के नहीं।

Main ne tera vachan unhein pahuncha diya hai, aur sansaar ne un se bair kiya, kyonki jaisa main sansaar ka nahi, vaise hi ve bhi sansaar ke nahi.

15

मैं यह बिनती नहीं करता, कि तू उन्हें जगत से उठा ले, परन्तु यह कि तू उन्हें उस दुष्ट से बचाए रख।

Main yah binti nahi karta, ki tu unhein jagat se utha le, parantu yah ki tu unhein us dusht se bachaye rakh.

16

जैसे मैं संसार का नहीं, वैसे ही वे भी संसार के नहीं।

Jaise main sansaar ka nahi, vaise hi ve bhi sansaar ke nahi.

17

सत्य के द्वारा उन्हें पवित्र कर: तेरा वचन सत्य है।

Satya ke dwara unhein pavitra kar: tera vachan satya hai.

18

जैसे तू ने जगत में मुझे भेजा, वैसे ही मैं ने भी उन्हें जगत में भेजा।

Jaise tu ne jagat mein mujhe bheja, vaise hi main ne bhi unhein jagat mein bheja.

19

और उन के लिये मैं अपने आप को पवित्र करता हूं ताकि वे भी सत्य के द्वारा पवित्र किए जाएं।

Aur un ke liye main apne aap ko pavitra karta hoon taki ve bhi satya ke dwara pavitra kiye jayen.

20

मैं केवल इन्हीं के लिये बिनती नहीं करता, परन्तु उन के लिये भी जो इन के वचन के द्वारा मुझ पर विश्वास करेंगे, कि वे सब एक हों।

Main keval inhi ke liye binti nahi karta, parantu un ke liye bhi jo in ke vachan ke dwara mujh par vishwaas karenge, ki ve sab ek hon.

21

जैसा तू हे पिता मुझ में हैं, और मैं तुझ में हूं, वैसे ही वे भी हम में हों, इसलिये कि जगत प्रतीति करे, कि तू ही ने मुझे भेजा।

Jaisa tu he pita mujh mein hain, aur main tujh mein hoon, vaise hi ve bhi ham mein hon, isliye ki jagat prateeti kare, ki tu hi ne mujhe bheja.

22

और वह महिमा जो तू ने मुझे दी, मैं ने उन्हें दी है कि वे वैसे ही एक हों जैसे की हम एक हैं।

Aur vah mahima jo tu ne mujhe di, main ne unhein di hai ki ve vaise hi ek hon jaise ki ham ek hain.

23

मैं उन में और तू मुझ में कि वे सिद्ध होकर एक हो जाएं, और जगत जाने कि तू ही ने मुझे भेजा, और जैसा तू ने मुझ से प्रेम रखा, वैसा ही उन से प्रेम रखा।

Main un mein aur tu mujh mein ki ve siddh hokar ek ho jayen, aur jagat jane ki tu hi ne mujhe bheja, aur jaisa tu ne mujh se prem rakha, vaisa hi un se prem rakha.

24

हे पिता, मैं चाहता हूं कि जिन्हें तू ने मुझे दिया है, जहां मैं हूं, वहां वे भी मेरे साथ हों कि वे मेरी उस महिमा को देखें जो तू ने मुझे दी है, क्योंकि तू ने जगत की उत्पत्ति से पहिले मुझ से प्रेम रखा।

He pita, main chahta hoon ki jinhein tu ne mujhe diya hai, jahan main hoon, vahan ve bhi mere saath hon ki ve meri us mahima ko dekhein jo tu ne mujhe di hai, kyonki tu ne jagat ki utpatti se pahile mujh se prem rakha.

25

हे धार्मिक पिता, संसार ने मुझे नहीं जाना, परन्तु मैं ने तुझे जाना और इन्होंने भी जाना कि तू ही ने मुझे भेजा।

He dharmik pita, sansaar ne mujhe nahi jana, parantu main ne tujhe jana aur inhonne bhi jana ki tu hi ne mujhe bheja.

26

और मैं ने तेरा नाम उन को बताया और बताता रहूंगा कि जो प्रेम तुझ को मुझ से था, वह उन में रहे और मैं उन में रहूं॥

Aur main ne tera naam un ko bataya aur batata rahoonga ki jo prem tujh ko mujh se tha, vah un mein rahe aur main un mein rahun.