John 13 · 38 verses

यूहन्ना 13 John 13 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 13.

1

फसह के पर्व से पहिले जब यीशु ने जान लिया, कि मेरी वह घड़ी आ पहुंची है कि जगत छोड़कर पिता के पास जाऊं, तो अपने लोगों से, जो जगत में थे, जैसा प्रेम वह रखता था, अन्त तक वैसा ही प्रेम रखता रहा।

Phasah ke parva se pahile jab Yeshu ne jaan liya, ki meri vah ghadi aa pahunchi hai ki jagat chhodkar pita ke paas jaun, to apne logon se, jo jagat mein the, jaisa prem vah rakhta tha, ant tak vaisa hi prem rakhta raha.

2

और जब शैतान शमौन के पुत्र यहूदा इस्करियोती के मन में यह डाल चुका था, कि उसे पकड़वाए, तो भोजन के समय।

Aur jab Shaitan Shamaun ke putra Yahuda iskariyoti ke man mein yah daal chuka tha, ki use pakadvaye, to bhojan ke samay.

3

यीशु ने यह जानकर कि पिता ने सब कुछ मेरे हाथ में कर दिया है और मैं परमेश्वर के पास से आया हूं, और परमेश्वर के पास जाता हूं।

Yeshu ne yah jankar ki pita ne sab kuchh mere haath mein kar diya hai aur main Parmeshwar ke paas se aaya hoon, aur Parmeshwar ke paas jata hoon.

4

भोजन पर से उठकर अपने कपड़े उतार दिए, और अंगोछा लेकर अपनी कमर बान्धी।

Bhojan par se uthkar apne kapde utaar diye, aur angochha lekar apni kamar bandhi.

5

तब बरतन में पानी भरकर चेलों के पांव धोने और जिस अंगोछे से उस की कमर बन्धी थी उसी से पोंछने लगा।

Tab bartan mein pani bharkar chelon ke paanv dhone aur jis angochhe se us ki kamar bandhi thi usi se ponchhne laga.

6

जब वह शमौन पतरस के पास आया: तब उस ने उस से कहा, हे प्रभु,

Jab vah Shamaun Patras ke paas aaya: tab us ne us se kaha, he Prabhu,

7

क्या तू मेरे पांव धोता है? यीशु ने उस को उत्तर दिया, कि जो मैं करता हूं, तू अब नहीं जानता, परन्तु इस के बाद समझेगा।

Kya tu mere paanv dhota hai? Yeshu ne us ko uttar diya, ki jo main karta hoon, tu ab nahi janta, parantu is ke baad samjhega.

8

पतरस ने उस से कहा, तू मेरे पांव कभी न धोने पाएगा: यह सुनकर यीशु ने उस से कहा, यदि मैं तुझे न धोऊं, तो मेरे साथ तेरा कुछ भी साझा नहीं।

Patras ne us se kaha, tu mere paanv kabhi na dhone payega: yah sunkar Yeshu ne us se kaha, yadi main tujhe na dhoun, to mere saath tera kuchh bhi sajha nahi.

9

शमौन पतरस ने उस से कहा, हे प्रभु, तो मेरे पांव ही नहीं, वरन हाथ और सिर भी धो दे।

Shamaun Patras ne us se kaha, he Prabhu, to mere paanv hi nahi, varan haath aur sir bhi dho de.

10

यीशु ने उस से कहा, जो नहा चुका है, उसे पांव के सिवा और कुछ धोने का प्रयोजन नहीं; परन्तु वह बिलकुल शुद्ध है: और तुम शुद्ध हो; परन्तु सब के सब नहीं।

Yeshu ne us se kaha, jo naha chuka hai, use paanv ke siva aur kuchh dhone ka prayojan nahi; parantu vah bilkul shuddh hai: aur tum shuddh ho; parantu sab ke sab nahi.

11

वह तो अपने पकड़वाने वाले को जानता था इसी लिये उस ने कहा, तुम सब के सब शुद्ध नहीं॥

Vah to apne pakadvane vale ko janta tha isi liye us ne kaha, tum sab ke sab shuddh nahi.

12

जब वह उन के पांव धो चुका और अपने कपड़े पहिनकर फिर बैठ गया तो उन से कहने लगा, क्या तुम समझे कि मैं ने तुम्हारे साथ क्या किया?

Jab vah un ke paanv dho chuka aur apne kapde pahinkar phir baith gaya to un se kahne laga, kya tum samjhe ki main ne tumhare saath kya kiya?

13

तुम मुझे गुरू, और प्रभु, कहते हो, और भला कहते हो, क्योंकि मैं वही हूं।

Tum mujhe guru, aur Prabhu, kahte ho, aur bhala kahte ho, kyonki main vahi hoon.

14

यदि मैं ने प्रभु और गुरू होकर तुम्हारे पांव धोए; तो तुम्हें भी एक दुसरे के पांव धोना चाहिए।

Yadi main ne Prabhu aur guru hokar tumhare paanv dhoye; to tumhein bhi ek dusre ke paanv dhona chahiye.

15

क्योंकि मैं ने तुम्हें नमूना दिखा दिया है, कि जैसा मैं ने तुम्हारे साथ किया है, तुम भी वैसा ही किया करो।

Kyonki main ne tumhein namoona dikha diya hai, ki jaisa main ne tumhare saath kiya hai, tum bhi vaisa hi kiya karo.

16

मैं तुम से सच सच कहता हूं, दास अपने स्वामी से बड़ा नहीं; और न भेजा हुआ अपने भेजने वाले से।

Main tum se sach sach kahta hoon, daas apne swami se bada nahi; aur na bheja huaa apne bhejne vale se.

17

तुम तो ये बातें जानते हो, और यदि उन पर चलो, तो धन्य हो।

Tum to ye batein jante ho, aur yadi un par chalo, to dhanya ho.

18

मैं तुम सब के विषय में नहीं कहता: जिन्हें मैं ने चुन लिया है, उन्हें मैं जानता हूं: परन्तु यह इसलिये है, कि पवित्र शास्त्र का यह वचन पूरा हो, कि जो मेरी रोटी खाता है, उस ने मुझ पर लात उठाई।

Main tum sab ke vishay mein nahi kahta: jinhein main ne chun liya hai, unhein main janta hoon: parantu yah isliye hai, ki pavitra shastra ka yah vachan poora ho, ki jo meri roti khata hai, us ne mujh par laat uthai.

19

अब मैं उसके होने से पहिले तुम्हें जताए देता हूं कि जब हो जाए तो तुम विश्वास करो कि मैं वहीं हूं।

Ab main uske hone se pahile tumhein jataye deta hoon ki jab ho jaye to tum vishwaas karo ki main vahi hoon.

20

मैं तुम से सच सच कहता हूं, कि जो मेरे भेजे हुए को ग्रहण करता है, वह मुझे ग्रहण करता है, और जो मुझे ग्रहण करता है, वह मेरे भेजने वाले को ग्रहण करता है॥

Main tum se sach sach kahta hoon, ki jo mere bheje hue ko grahan karta hai, vah mujhe grahan karta hai, aur jo mujhe grahan karta hai, vah mere bhejne vale ko grahan karta hai.

21

ये बातें कहकर यीशु आत्मा में व्याकुल हुआ और यह गवाही दी, कि मैं तुम से सच सच कहता हूं, कि तुम में से एक मुझे पकड़वाएगा।

Ye batein kahkar Yeshu aatma mein vyakul huaa aur yah gavahi di, ki main tum se sach sach kahta hoon, ki tum mein se ek mujhe pakadvayega.

22

चेले यह संदेह करते हुए, कि वह किस के विषय में कहता है, एक दूसरे की ओर देखने लगे।

Chele yah sandeh karte hue, ki vah kis ke vishay mein kahta hai, ek doosre ki or dekhne lage.

23

उसके चेलों में से एक जिस से यीशु प्रेम रखता था, यीशु की छाती की ओर झुका हुआ बैठा था।

Uske chelon mein se ek jis se Yeshu prem rakhta tha, Yeshu ki chhati ki or jhuka huaa baitha tha.

24

तब शमौन पतरस ने उस की ओर सैन करके पूछा, कि बता तो, वह किस के विषय में कहता है

Tab Shamaun Patras ne us ki or sain karke poochha, ki bata to, vah kis ke vishay mein kahta hai

25

तब उस ने उसी तरह यीशु की छाती की ओर झुक कर पूछा, हे प्रभु, वह कौन है? यीशु ने उत्तर दिया, जिसे मैं यह रोटी का टुकड़ा डुबोकर दूंगा, वही है।

Tab us ne usi tarah Yeshu ki chhati ki or jhuk kar poochha, he Prabhu, vah kaun hai? Yeshu ne uttar diya, jise main yah roti ka tukda dubokar doonga, vahi hai.

26

और उस ने टुकड़ा डुबोकर शमौन के पुत्र यहूदा इस्करियोती को दिया।

Aur us ne tukda dubokar Shamaun ke putra Yahuda iskariyoti ko diya.

27

और टुकड़ा लेते ही शैतान उस में समा गया: तब यीशु ने उस से कहा, जो तू करता है, तुरन्त कर।

Aur tukda lete hi Shaitan us mein sama gaya: tab Yeshu ne us se kaha, jo tu karta hai, turant kar.

28

परन्तु बैठने वालों में से किसी ने न जाना कि उस ने यह बात उस से किस लिये कही।

Parantu baithne valon mein se kisi ne na jana ki us ne yah baat us se kis liye kahi.

29

यहूदा के पास थैली रहती थी, इसलिये किसी किसी ने समझा, कि यीशु उस से कहता है, कि जो कुछ हमें पर्व के लिये चाहिए वह मोल ले, या यह कि कंगालों को कुछ दे।

Yahuda ke paas thaili rahti thi, isliye kisi kisi ne samjha, ki Yeshu us se kahta hai, ki jo kuchh hamein parva ke liye chahiye vah mol le, ya yah ki kangalon ko kuchh de.

30

तब वह टुकड़ा लेकर तुरन्त बाहर चला गया, और रात्रि का समय था॥

Tab vah tukda lekar turant bahar chala gaya, aur ratri ka samay tha.

31

जब वह बाहर चला गया तो यीशु ने कहा; अब मनुष्य पुत्र की महिमा हुई, और परमेश्वर की महिमा उस में हुई।

Jab vah bahar chala gaya to Yeshu ne kaha; ab manushya putra ki mahima hui, aur Parmeshwar ki mahima us mein hui.

32

और परमेश्वर भी अपने में उस की महिमा करेगा, वरन तुरन्त करेगा।

Aur Parmeshwar bhi apne mein us ki mahima karega, varan turant karega.

33

हे बाल को, मैं और थोड़ी देर तुम्हारे पास हूं: फिर तुम मुझे ढूंढोगे, और जैसा मैं ने यहूदियों से कहा, कि जहां मैं जाता हूं, वहां तुम नहीं आ सकते वैसा ही मैं अब तुम से भी कहता हूं।

He baal ko, main aur thodi der tumhare paas hoon: phir tum mujhe dhoondhoge, aur jaisa main ne Yahudiyon se kaha, ki jahan main jata hoon, vahan tum nahi aa sakte vaisa hi main ab tum se bhi kahta hoon.

34

मैं तुम्हें एक नई आज्ञा देता हूं, कि एक दूसरे से प्रेम रखो: जैसा मैं ने तुम से प्रेम रखा है, वैसा ही तुम भी एक दुसरे से प्रेम रखो।

Main tumhein ek nai aagya deta hoon, ki ek doosre se prem rakho: jaisa main ne tum se prem rakha hai, vaisa hi tum bhi ek dusre se prem rakho.

35

यदि आपस में प्रेम रखोगे तो इसी से सब जानेंगे, कि तुम मेरे चेले हो॥

Yadi aapas mein prem rakhoge to isi se sab janenge, ki tum mere chele ho.

36

शमौन पतरस ने उस से कहा, हे प्रभु, तू कहां जाता है यीशु ने उत्तर दिया, कि जहां मैं जाता हूं, वहां तू अब मेरे पीछे आ नहीं सकता! परन्तु इस के बाद मेरे पीछे आएगा।

Shamaun Patras ne us se kaha, he Prabhu, tu kahan jata hai Yeshu ne uttar diya, ki jahan main jata hoon, vahan tu ab mere peechhe aa nahi sakta! Parantu is ke baad mere peechhe aayega.

37

पतरस ने उस से कहा, हे प्रभु, अभी मैं तेरे पीछे क्यों नहीं आ सकता? मैं तो तेरे लिये अपना प्राण दूंगा।

Patras ne us se kaha, he Prabhu, abhi main tere peechhe kyon nahi aa sakta? Main to tere liye apna praan doonga.

38

यीशु ने उत्तर दिया, क्या तू मेरे लिये अपना प्राण देगा? मैं तुझ से सच सच कहता हूं कि मुर्ग बांग न देगा जब तक तू तीन बार मेरा इन्कार न कर लेगा।

Yeshu ne uttar diya, kya tu mere liye apna praan dega? Main tujh se sach sach kahta hoon ki murg baang na dega jab tak tu teen baar mera inkaar na kar lega.