फिर यीशु फतह से छ: दिन पहिले बैतनिय्याह में आया, जहां लाजर था: जिसे यीशु ने मरे हुओं में से जिलाया था।
Phir Yeshu phatah se chha: din pahile baitniyyaah mein aaya, jahan lajar tha: jise Yeshu ne mare huon mein se jilaya tha.
John 12 · 50 verses
फिर यीशु फतह से छ: दिन पहिले बैतनिय्याह में आया, जहां लाजर था: जिसे यीशु ने मरे हुओं में से जिलाया था।
Phir Yeshu phatah se chha: din pahile baitniyyaah mein aaya, jahan lajar tha: jise Yeshu ne mare huon mein se jilaya tha.
वहां उन्होंने उसके लिये भोजन तैयार किया, और मारथा सेवा कर रही थी, और लाजर उन में से एक था, जो उसके साथ भोजन करने के लिये बैठे थे।
Vahan unhonne uske liye bhojan taiyaar kiya, aur martha seva kar rahi thi, aur lajar un mein se ek tha, jo uske saath bhojan karne ke liye baithe the.
तब मरियम ने जटामासी का आध सेर बहुमूल्य इत्र लेकर यीशु के पावों पर डाला, और अपने बालों से उसके पांव पोंछे, और इत्र की सुगंध से घर सुगन्धित हो गया।
Tab Mariyam ne jatamasi ka aadh ser bahumoolya itra lekar Yeshu ke pavon par dala, aur apne balon se uske paanv ponchhe, aur itra ki sugandh se ghar sugandhit ho gaya.
परन्तु उसके चेलों में से यहूदा इस्करियोती नाम एक चेला जो उसे पकड़वाने पर था, कहने लगा।
Parantu uske chelon mein se Yahuda iskariyoti naam ek chela jo use pakadvane par tha, kahne laga.
यह इत्र तीन सौ दीनार में बेचकर कंगालों को क्यों न दिया गया?
Yah itra teen sau deenaar mein bechkar kangalon ko kyon na diya gaya?
उस ने यह बात इसलिये न कही, कि उसे कंगालों की चिन्ता थी, परन्तु इसलिये कि वह चोर था और उसके पास उन की थैली रहती थी, और उस में जो कुछ डाला जाता था, वह निकाल लेता था।
Us ne yah baat isliye na kahi, ki use kangalon ki chinta thi, parantu isliye ki vah chor tha aur uske paas un ki thaili rahti thi, aur us mein jo kuchh dala jata tha, vah nikaal leta tha.
यीशु ने कहा, उसे मेरे गाड़े जाने के दिन के लिये रहने दे।
Yeshu ne kaha, use mere gade jane ke din ke liye rahne de.
क्योंकि कंगाल तो तुम्हारे साथ सदा रहते हैं, परन्तु मैं तुम्हारे साथ सदा न रहूंगा॥
Kyonki kangaal to tumhare saath sada rahte hain, parantu main tumhare saath sada na rahoonga.
यहूदियों में से साधारण लोग जान गए, कि वह वहां है, और वे न केवल यीशु के कारण आए परन्तु इसलिये भी कि लाजर को देखें, जिसे उस ने मरे हुओं में से जिलाया था।
Yahudiyon mein se sadharan log jaan gaye, ki vah vahan hai, aur ve na keval Yeshu ke karan aaye parantu isliye bhi ki lajar ko dekhein, jise us ne mare huon mein se jilaya tha.
तब महायाजकों ने लाजर को भी मार डालने की सम्मति की।
Tab mahayajkon ne lajar ko bhi maar dalne ki sammati ki.
क्योंकि उसके कारण बहुत से यहूदी चले गए, और यीशु पर विश्वास किया॥
Kyonki uske karan bahut se Yahudi chale gaye, aur Yeshu par vishwaas kiya.
दूसरे दिन बहुत से लोगों ने जो पर्व में आए थे, यह सुनकर, कि यीशु यरूशलेम में आता है।
Doosre din bahut se logon ne jo parva mein aaye the, yah sunkar, ki Yeshu Yerushalem mein aata hai.
खजूर की, डालियां लीं, और उस से भेंट करने को निकले, और पुकारने लगे, कि होशाना, धन्य इस्त्राएल का राजा, जो प्रभु के नाम से आता है।
Khajoor ki, daliyan li, aur us se bhent karne ko nikle, aur pukarne lage, ki hoshana, dhanya istrayel ka raja, jo Prabhu ke naam se aata hai.
जब यीशु को एक गदहे का बच्चा मिला, तो उस पर बैठा।
Jab Yeshu ko ek gadhe ka bachcha mila, to us par baitha.
जैसा लिखा है, कि हे सिय्योन की बेटी, मत डर, देख, तेरा राजा गदहे के बच्चा पर चढ़ा हुआ चला आता है।
Jaisa likha hai, ki he siyyon ki beti, mat dar, dekh, tera raja gadhe ke bachcha par chadha huaa chala aata hai.
उसके चेले, ये बातें पहिले न समझे थे; परन्तु जब यीशु की महिमा प्रगट हुई, तो उन को स्मरण आया, कि ये बातें उसके विषय में लिखी हुई थीं; और लोगों ने उस से इस प्रकार का व्यवहार किया था।
Uske chele, ye batein pahile na samjhe the; parantu jab Yeshu ki mahima pragat hui, to un ko smaran aaya, ki ye batein uske vishay mein likhi hui thi; aur logon ne us se is prakaar ka vyavhaar kiya tha.
तब भीड़ के लोगों ने जो उस समय उसके साथ थे यह गवाही दी कि उस ने लाजर को कब्र में से बुलाकर, मरे हुओं में से जिलाया था।
Tab bheed ke logon ne jo us samay uske saath the yah gavahi di ki us ne lajar ko kabra mein se bulakar, mare huon mein se jilaya tha.
इसी कारण लोग उस से भेंट करने को आए थे क्योंकि उन्होंने सुना था, कि उस ने यह आश्चर्यकर्म दिखाया है।
Isi karan log us se bhent karne ko aaye the kyonki unhonne suna tha, ki us ne yah aashcharyakarm dikhaya hai.
तब फरीसियों ने आपस में कहा, सोचो तो सही कि तुम से कुछ नहीं बन पड़ता: देखो, संसार उसके पीछे हो चला है॥
Tab phareesiyon ne aapas mein kaha, socho to sahi ki tum se kuchh nahi ban padta: dekho, sansaar uske peechhe ho chala hai.
जो लोग उस पर्व में भजन करने आए थे उन में से कई यूनानी थे।
Jo log us parva mein bhajan karne aaye the un mein se kai yoonani the.
उन्होंने गलील के बैतसैदा के रहने वाले फिलेप्पुस के पास आकर उस से बिनती की, कि श्रीमान् हम यीशु से भेंट करना चाहते हैं।
Unhonne galeel ke baitsaida ke rahne vale phileppus ke paas aakar us se binti ki, ki shreemaan ham Yeshu se bhent karna chahte hain.
फिलेप्पुस ने आकर अन्द्रियास से कहा; तब अन्द्रियास और फिलेप्पुस ने यीशु से कहा।
Phileppus ne aakar andriyaas se kaha; tab andriyaas aur phileppus ne Yeshu se kaha.
इस पर यीशु ने उन से कहा, वह समय आ गया है, कि मनुष्य के पुत्र कि महिमा हो।
Is par Yeshu ne un se kaha, vah samay aa gaya hai, ki manushya ke putra ki mahima ho.
मैं तुम से सच सच कहता हूं, कि जब तक गेहूं का दाना भूमि में पड़कर मर नहीं जाता, वह अकेला रहता है परन्तु जब मर जाता है, तो बहुत फल लाता है।
Main tum se sach sach kahta hoon, ki jab tak gehun ka dana bhoomi mein padkar mar nahi jata, vah akela rahta hai parantu jab mar jata hai, to bahut phal lata hai.
जो अपने प्राण को प्रिय जानता है, वह उसे खो देता है; और जो इस जगत में अपने प्राण को अप्रिय जानता है; वह अनन्त जीवन के लिये उस की रक्षा करेगा।
Jo apne praan ko priya janta hai, vah use kho deta hai; aur jo is jagat mein apne praan ko apriya janta hai; vah anant jeevan ke liye us ki raksha karega.
यदि कोई मेरी सेवा करे, तो मेरे पीछे हो ले; और जहां मैं हूं वहां मेरा सेवक भी होगा; यदि कोई मेरी सेवा करे, तो पिता उसका आदर करेगा।
Yadi koi meri seva kare, to mere peechhe ho le; aur jahan main hoon vahan mera sevak bhi hoga; yadi koi meri seva kare, to pita uska aadar karega.
जब मेरा जी व्याकुल हो रहा है। इसलिये अब मैं क्या कहूं? हे पिता, मुझे इस घड़ी से बचा? परन्तु मैं इसी कारण इस घड़ी को पहुंचा हूं।
Jab mera ji vyakul ho raha hai. Isliye ab main kya kahun? He pita, mujhe is ghadi se bacha? Parantu main isi karan is ghadi ko pahuncha hoon.
हे पिता अपने नाम की महिमा कर: तब यह आकाशवाणी हुई, कि मैं ने उस की महिमा की है, और फिर भी करूंगा।
He pita apne naam ki mahima kar: tab yah aakashvani hui, ki main ne us ki mahima ki hai, aur phir bhi karoonga.
तब जो लोग खड़े हुए सुन रहे थे, उन्होंने कहा; कि बादल गरजा, औरों ने कहा, कोई स्वर्गदूत उस से बोला।
Tab jo log khade hue sun rahe the, unhonne kaha; ki badal garja, auron ne kaha, koi swargadoot us se bola.
इस पर यीशु ने कहा, यह शब्द मेरे लिये नहीं परन्तु तुम्हारे लिये आया है।
Is par Yeshu ne kaha, yah shabd mere liye nahi parantu tumhare liye aaya hai.
अब इस जगत का न्याय होता है, अब इस जगत का सरदार निकाल दिया जाएगा।
Ab is jagat ka nyaay hota hai, ab is jagat ka sardaar nikaal diya jayega.
और मैं यदि पृथ्वी पर से ऊंचे पर चढ़ाया जाऊंगा, तो सब को अपने पास खीचूंगा।
Aur main yadi prithvi par se oonche par chadhaya jaoonga, to sab ko apne paas kheechoonga.
ऐसा कहकर उस ने यह प्रगट कर दिया, कि वह कैसी मृत्यु से मरेगा।
Aisa kahkar us ne yah pragat kar diya, ki vah kaisi mrityu se marega.
इस पर लोगों ने उस से कहा, कि हम ने व्यवस्था की यह बात सुनी है, कि मसीह सर्वदा रहेगा, फिर तू क्यों कहता है, कि मनुष्य के पुत्र को ऊंचे पर चढ़ाया जाना अवश्य है?
Is par logon ne us se kaha, ki ham ne vyavastha ki yah baat suni hai, ki Masih sarvada rahega, phir tu kyon kahta hai, ki manushya ke putra ko oonche par chadhaya jana avashya hai?
यह मनुष्य का पुत्र कौन है? यीशु ने उन से कहा, ज्योति अब थोड़ी देर तक तुम्हारे बीच में है, जब तक ज्योति तुम्हारे साथ है तब तक चले चलो; ऐसा न हो कि अन्धकार तुम्हें आ घेरे; जो अन्धकार में चलता है वह नहीं जानता कि किधर जाता है।
Yah manushya ka putra kaun hai? Yeshu ne un se kaha, jyoti ab thodi der tak tumhare beech mein hai, jab tak jyoti tumhare saath hai tab tak chale chalo; aisa na ho ki andhakaar tumhein aa ghere; jo andhakaar mein chalta hai vah nahi janta ki kidhar jata hai.
जब तक ज्योति तुम्हारे साथ है, ज्योति पर विश्वास करो कि तुम ज्योति के सन्तान होओ॥ ये बातें कहकर यीशु चला गया और उन से छिपा रहा।
Jab tak jyoti tumhare saath hai, jyoti par vishwaas karo ki tum jyoti ke santaan hoo. Ye batein kahkar Yeshu chala gaya aur un se chhipa raha.
और उस ने उन के साम्हने इतने चिन्ह दिखाए, तौभी उन्होंने उस पर विश्वास न किया।
Aur us ne un ke samhane itne chinh dikhaye, taubhi unhonne us par vishwaas na kiya.
ताकि यशायाह भविष्यद्वक्ता का वचन पूरा हो जो उस ने कहा कि हे प्रभु हमारे समाचार की किस ने प्रतीति की है? और प्रभु का भुजबल किस पर प्रगट हुआ?
Taki yashayaah bhavishyadwakta ka vachan poora ho jo us ne kaha ki he Prabhu hamare samachaar ki kis ne prateeti ki hai? Aur Prabhu ka bhujbal kis par pragat huaa?
इस कारण वे विश्वास न कर सके, क्योंकि यशायाह ने फिर भी कहा।
Is karan ve vishwaas na kar sake, kyonki yashayaah ne phir bhi kaha.
कि उस ने उन की आंखें अन्धी, और उन का मन कठोर किया है; कहीं ऐसा न हो, कि आंखों से देखें, और मन से समझें, और फिरें, और मैं उन्हें चंगा करूं।
Ki us ne un ki aankhein andhi, aur un ka man kathor kiya hai; kahi aisa na ho, ki aankhon se dekhein, aur man se samjhein, aur phirein, aur main unhein changa karun.
यशायाह ने ये बातें इसलिये कहीं, कि उस ने उस की महिमा देखी; और उस ने उसके विषय में बातें कीं।
Yashayaah ne ye batein isliye kahi, ki us ne us ki mahima dekhi; aur us ne uske vishay mein batein ki.
तौभी सरदारों में से भी बहुतों ने उस पर विश्वास किया, परन्तु फरीसियों के कारण प्रगट में नहीं मानते थे, ऐसा न हो कि आराधनालय में से निकाले जाएं।
Taubhi sardaron mein se bhi bahuton ne us par vishwaas kiya, parantu phareesiyon ke karan pragat mein nahi mante the, aisa na ho ki aaradhnalay mein se nikale jayen.
क्योंकि मनुष्यों की प्रशंसा उन को परमेश्वर की प्रशंसा से अधिक प्रिय लगती थी॥
Kyonki manushyon ki prashansa un ko Parmeshwar ki prashansa se adhik priya lagti thi.
यीशु ने पुकारकर कहा, जो मुझ पर विश्वास करता है, वह मुझ पर नहीं, वरन मेरे भेजने वाले पर विश्वास करता है।
Yeshu ne pukarkar kaha, jo mujh par vishwaas karta hai, vah mujh par nahi, varan mere bhejne vale par vishwaas karta hai.
और जो मुझे देखता है, वह मेरे भेजने वाले को देखता है।
Aur jo mujhe dekhta hai, vah mere bhejne vale ko dekhta hai.
मैं जगत में ज्योति होकर आया हूं ताकि जो कोई मुझ पर विश्वास करे, वह अन्धकार में न रहे।
Main jagat mein jyoti hokar aaya hoon taki jo koi mujh par vishwaas kare, vah andhakaar mein na rahe.
यदि कोई मेरी बातें सुनकर न माने, तो मैं उसे दोषी नहीं ठहराता, क्योंकि मैं जगत को दोषी ठहराने के लिये नहीं, परन्तु जगत का उद्धार करने के लिये आया हूं।
Yadi koi meri batein sunkar na mane, to main use doshi nahi thahrata, kyonki main jagat ko doshi thahrane ke liye nahi, parantu jagat ka uddhaar karne ke liye aaya hoon.
जो मुझे तुच्छ जानता है और मेरी बातें ग्रहण नहीं करता है उस को दोषी ठहराने वाला तो एक है: अर्थात जो वचन मैं ने कहा है, वही पिछले दिन में उसे दोषी ठहराएगा।
Jo mujhe tuchchh janta hai aur meri batein grahan nahi karta hai us ko doshi thahrane vala to ek hai: arthaat jo vachan main ne kaha hai, vahi pichhle din mein use doshi thahrayega.
क्योंकि मैं ने अपनी ओर से बातें नहीं कीं, परन्तु पिता जिस ने मुझे भेजा है उसी ने मुझे आज्ञा दी है, कि क्या क्या कहूं और क्या क्या बोलूं
Kyonki main ne apni or se batein nahi ki, parantu pita jis ne mujhe bheja hai usi ne mujhe aagya di hai, ki kya kya kahun aur kya kya bolun
और मैं जानता हूं, कि उस की आज्ञा अनन्त जीवन है इसलिये मैं जो बोलता हूं, वह जैसा पिता ने मुझ से कहा है वैसा ही बोलता हूं॥
Aur main janta hoon, ki us ki aagya anant jeevan hai isliye main jo bolta hoon, vah jaisa pita ne mujh se kaha hai vaisa hi bolta hoon.