मरियम और उस की बहिन मारथा के गांव बैतनिय्याह का लाजर नाम एक मनुष्य बीमार था।
Mariyam aur us ki bahin martha ke gaanv baitniyyaah ka lajar naam ek manushya beemaar tha.
John 11 · 57 verses
मरियम और उस की बहिन मारथा के गांव बैतनिय्याह का लाजर नाम एक मनुष्य बीमार था।
Mariyam aur us ki bahin martha ke gaanv baitniyyaah ka lajar naam ek manushya beemaar tha.
यह वही मरियम थी जिस ने प्रभु पर इत्र डालकर उसके पांवों को अपने बालों से पोंछा था, इसी का भाई लाजर बीमार था।
Yah vahi Mariyam thi jis ne Prabhu par itra dalkar uske panvon ko apne balon se ponchha tha, isi ka bhai lajar beemaar tha.
सो उस की बहिनों ने उसे कहला भेजा, कि हे प्रभु, देख, जिस से तू प्रीति रखता है, वह बीमार है।
So us ki bahinon ne use kahla bheja, ki he Prabhu, dekh, jis se tu preeti rakhta hai, vah beemaar hai.
यह सुनकर यीशु ने कहा, यह बीमारी मृत्यु की नहीं, परन्तु परमेश्वर की महिमा के लिये है, कि उसके द्वारा परमेश्वर के पुत्र की महिमा हो।
Yah sunkar Yeshu ne kaha, yah beemari mrityu ki nahi, parantu Parmeshwar ki mahima ke liye hai, ki uske dwara Parmeshwar ke putra ki mahima ho.
और यीशु मारथा और उस की बहन और लाजर से प्रेम रखता था।
Aur Yeshu martha aur us ki bahan aur lajar se prem rakhta tha.
सो जब उस ने सुना, कि वह बीमार है, तो जिस स्थान पर वह था, वहां दो दिन और ठहर गया।
So jab us ne suna, ki vah beemaar hai, to jis sthaan par vah tha, vahan do din aur thahar gaya.
फिर इस के बाद उस ने चेलों से कहा, कि आओ, हम फिर यहूदिया को चलें।
Phir is ke baad us ne chelon se kaha, ki aao, ham phir yahoodiya ko chalein.
चेलों ने उस से कहा, हे रब्बी, अभी तो यहूदी तुझे पत्थरवाह करना चाहते थे, और क्या तू फिर भी वहीं जाता है?
Chelon ne us se kaha, he rabbi, abhi to Yahudi tujhe pattharvaah karna chahte the, aur kya tu phir bhi vahi jata hai?
यीशु ने उत्तर दिया, क्या दिन के बारह घंटे नहीं होते यदि कोई दिन को चले, तो ठोकर नहीं खाता है, क्योंकि इस जगत का उजाला देखता है।
Yeshu ne uttar diya, kya din ke barah ghante nahi hote yadi koi din ko chale, to thokar nahi khata hai, kyonki is jagat ka ujala dekhta hai.
परन्तु यदि कोई रात को चले, तो ठोकर खाता है, क्योंकि उस में प्रकाश नहीं।
Parantu yadi koi raat ko chale, to thokar khata hai, kyonki us mein prakaash nahi.
उस ने ये बातें कहीं, और इस के बाद उन से कहने लगा, कि हमारा मित्र लाजर सो गया है, परन्तु मैं उसे जगाने जाता हूं।
Us ne ye batein kahi, aur is ke baad un se kahne laga, ki hamara mitra lajar so gaya hai, parantu main use jagane jata hoon.
तब चेलों ने उस से कहा, हे प्रभु, यदि वह सो गया है, तो बच जाएगा।
Tab chelon ne us se kaha, he Prabhu, yadi vah so gaya hai, to bach jayega.
यीशु ने तो उस की मृत्यु के विषय में कहा था: परन्तु वे समझे कि उस ने नींद से सो जाने के विषय में कहा।
Yeshu ne to us ki mrityu ke vishay mein kaha tha: parantu ve samjhe ki us ne neend se so jane ke vishay mein kaha.
तब यीशु ने उन से साफ कह दिया, कि लाजर मर गया है।
Tab Yeshu ne un se saaph kah diya, ki lajar mar gaya hai.
और मैं तुम्हारे कारण आनन्दित हूं कि मैं वहां न था जिस से तुम विश्वास करो, परन्तु अब आओ, हम उसके पास चलें।
Aur main tumhare karan aanandit hoon ki main vahan na tha jis se tum vishwaas karo, parantu ab aao, ham uske paas chalein.
तब थोमा ने जो दिदुमुस कहलाता है, अपने साथ के चेलों से कहा, आओ, हम भी उसके साथ मरने को चलें।
Tab thoma ne jo didumus kahlata hai, apne saath ke chelon se kaha, aao, ham bhi uske saath marne ko chalein.
सो यीशु को आकर यह मालूम हुआ कि उसे कब्र में रखे चार दिन हो चुके हैं।
So Yeshu ko aakar yah maloom huaa ki use kabra mein rakhe chaar din ho chuke hain.
बैतनिय्याह यरूशलेम के समीप कोई दो मील की दूरी पर था।
Baitniyyaah Yerushalem ke sameep koi do meel ki doori par tha.
और बहुत से यहूदी मारथा और मरियम के पास उन के भाई के विषय में शान्ति देने के लिये आए थे।
Aur bahut se Yahudi martha aur Mariyam ke paas un ke bhai ke vishay mein shanti dene ke liye aaye the.
सो मारथा यीशु के आने का समचार सुनकर उस से भेंट करने को गई, परन्तु मरियम घर में बैठी रही।
So martha Yeshu ke aane ka samchaar sunkar us se bhent karne ko gai, parantu Mariyam ghar mein baithi rahi.
मारथा ने यीशु से कहा, हे प्रभु, यदि तू यहां होता, तो मेरा भाई कदापि न मरता।
Martha ne Yeshu se kaha, he Prabhu, yadi tu yahan hota, to mera bhai kadapi na marta.
और अब भी मैं जानती हूं, कि जो कुछ तू परमेश्वर से मांगेगा, परमेश्वर तुझे देगा।
Aur ab bhi main janti hoon, ki jo kuchh tu Parmeshwar se mangega, Parmeshwar tujhe dega.
यीशु ने उस से कहा, तेरा भाई जी उठेगा।
Yeshu ne us se kaha, tera bhai ji uthega.
मारथा ने उस से कहा, मैं जानती हूं, कि अन्तिम दिन में पुनरुत्थान के समय वह जी उठेगा।
Martha ne us se kaha, main janti hoon, ki antim din mein punrutthaan ke samay vah ji uthega.
यीशु ने उस से कहा, पुनरुत्थान और जीवन मैं ही हूं, जो कोई मुझ पर विश्वास करता है वह यदि मर भी जाए, तौभी जीएगा।
Yeshu ne us se kaha, punrutthaan aur jeevan main hi hoon, jo koi mujh par vishwaas karta hai vah yadi mar bhi jaye, taubhi jeeyega.
और जो कोई जीवता है, और मुझ पर विश्वास करता है, वह अनन्तकाल तक न मरेगा, क्या तू इस बात पर विश्वास करती है?
Aur jo koi jeevta hai, aur mujh par vishwaas karta hai, vah anantakaal tak na marega, kya tu is baat par vishwaas karti hai?
उस ने उस से कहा, हां हे प्रभु, मैं विश्वास कर चुकी हूं, कि परमेश्वर का पुत्र मसीह जो जगत में आनेवाला था, वह तू ही है।
Us ne us se kaha, han he Prabhu, main vishwaas kar chuki hoon, ki Parmeshwar ka putra Masih jo jagat mein aanevala tha, vah tu hi hai.
यह कहकर वह चली गई, और अपनी बहिन मरियम को चुपके से बुलाकर कहा, गुरू यहीं है, और तुझे बुलाता है।
Yah kahkar vah chali gai, aur apni bahin Mariyam ko chupke se bulakar kaha, guru yahi hai, aur tujhe bulata hai.
वह सुनते ही तुरन्त उठकर उसके पास आई।
Vah sunte hi turant uthkar uske paas aai.
(यीशु अभी गांव में नहीं पहुंचा था, परन्तु उसी स्थान में था जहां मारथा ने उस से भेंट की थी।)
(Yeshu abhi gaanv mein nahi pahuncha tha, parantu usi sthaan mein tha jahan martha ne us se bhent ki thi.)
तब जो यहूदी उसके साथ घर में थे, और उसे शान्ति दे रहे थे, यह देखकर कि मरियम तुरन्त उठके बाहर गई है और यह समझकर कि वह कब्र पर रोने को जाती है, उसके पीछे हो लिये।
Tab jo Yahudi uske saath ghar mein the, aur use shanti de rahe the, yah dekhkar ki Mariyam turant uthke bahar gai hai aur yah samajhkar ki vah kabra par rone ko jati hai, uske peechhe ho liye.
जब मरियम वहां पहुंची जहां यीशु था, तो उसे देखते ही उसके पांवों पर गिर के कहा, हे प्रभु, यदि तू यहां होता तो मेरा भाई न मरता।
Jab Mariyam vahan pahunchi jahan Yeshu tha, to use dekhte hi uske panvon par gir ke kaha, he Prabhu, yadi tu yahan hota to mera bhai na marta.
जब यीशु न उस को और उन यहूदियों को जो उसके साथ आए थे रोते हुए देखा, तो आत्मा में बहुत ही उदास हुआ, और घबरा कर कहा, तुम ने उसे कहां रखा है?
Jab Yeshu na us ko aur un Yahudiyon ko jo uske saath aaye the rote hue dekha, to aatma mein bahut hi udaas huaa, aur ghabra kar kaha, tum ne use kahan rakha hai?
उन्होंने उस से कहा, हे प्रभु, चलकर देख ले।
Unhonne us se kaha, he Prabhu, chalkar dekh le.
यीशु के आंसू बहने लगे।
Yeshu ke aansu bahne lage.
तब यहूदी कहने लगे, देखो, वह उस से कैसी प्रीति रखता था।
Tab Yahudi kahne lage, dekho, vah us se kaisi preeti rakhta tha.
परन्तु उन में से कितनों ने कहा, क्या यह जिस ने अन्धे की आंखें खोली, यह भी न कर सका कि यह मनुष्य न मरता
Parantu un mein se kitnon ne kaha, kya yah jis ne andhe ki aankhein kholi, yah bhi na kar saka ki yah manushya na marta
यीशु मन में फिर बहुत ही उदास होकर कब्र पर आया, वह एक गुफा थी, और एक पत्थर उस पर धरा था।
Yeshu man mein phir bahut hi udaas hokar kabra par aaya, vah ek gupha thi, aur ek patthar us par dhara tha.
यीशु ने कहा; पत्थर को उठाओ: उस मरे हुए की बहिन मारथा उस से कहने लगी, हे प्रभु, उस में से अब तो र्दुगंध आती है क्योंकि उसे मरे चार दिन हो गए।
Yeshu ne kaha; patthar ko uthao: us mare hue ki bahin martha us se kahne lagi, he Prabhu, us mein se ab to rdugandh aati hai kyonki use mare chaar din ho gaye.
यीशु ने उस से कहा, क्या मैं ने तुझ से न कहा था कि यदि तू विश्वास करेगी, तो परमेश्वर की महिमा को देखेगी।
Yeshu ne us se kaha, kya main ne tujh se na kaha tha ki yadi tu vishwaas karegi, to Parmeshwar ki mahima ko dekhegi.
तब उन्होंने उस पत्थर को हटाया, फिर यीशु ने आंखें उठाकर कहा, हे पिता, मैं तेरा धन्यवाद करता हूं कि तू ने मेरी सुन ली है।
Tab unhonne us patthar ko hataya, phir Yeshu ne aankhein uthakar kaha, he pita, main tera dhanyavaad karta hoon ki tu ne meri sun li hai.
और मै जानता था, कि तू सदा मेरी सुनता है, परन्तु जो भीड़ आस पास खड़ी है, उन के कारण मैं ने यह कहा, जिस से कि वे विश्वास करें, कि तू ने मुझे भेजा है।
Aur mai janta tha, ki tu sada meri sunta hai, parantu jo bheed aas paas khadi hai, un ke karan main ne yah kaha, jis se ki ve vishwaas karein, ki tu ne mujhe bheja hai.
यह कहकर उस ने बड़े शब्द से पुकारा, कि हे लाजर, निकल आ।
Yah kahkar us ne bade shabd se pukara, ki he lajar, nikal aa.
जो मर गया था, वह कफन से हाथ पांव बन्धे हुए निकल आया और उसका मुंह अंगोछे से लिपटा हुआ था। यीशु ने उन से कहा, उसे खोलकर जाने दो॥
Jo mar gaya tha, vah kaphan se haath paanv bandhe hue nikal aaya aur uska munh angochhe se lipta huaa tha. Yeshu ne un se kaha, use kholkar jane do.
तब जो यहूदी मरियम के पास आए थे, और उसका यह काम देखा था, उन में से बहुतों ने उस पर विश्वास किया।
Tab jo Yahudi Mariyam ke paas aaye the, aur uska yah kaam dekha tha, un mein se bahuton ne us par vishwaas kiya.
परन्तु उन में से कितनों ने फरीसियों के पास जाकर यीशु के कामों का समाचार दिया॥
Parantu un mein se kitnon ne phareesiyon ke paas jakar Yeshu ke kamon ka samachaar diya.
इस पर महायाजकों और फरीसियों ने मुख्य सभा के लोगों को इकट्ठा करके कहा, हम करते क्या हैं? यह मनुष्य तो बहुत चिन्ह दिखाता है।
Is par mahayajkon aur phareesiyon ne mukhya sabha ke logon ko ikattha karke kaha, ham karte kya hain? Yah manushya to bahut chinh dikhata hai.
यदि हम उसे यों ही छोड़ दे, तो सब उस पर विश्वास ले आएंगे और रोमी आकर हमारी जगह और जाति दोनों पर अधिकार कर लेंगे।
Yadi ham use yon hi chhod de, to sab us par vishwaas le aayenge aur romi aakar hamari jagah aur jati donon par adhikaar kar lenge.
तब उन में से काइफा नाम एक व्यक्ति ने जो उस वर्ष का महायाजक था, उन से कहा, तुम कुछ नहीं जानते।
Tab un mein se kaipha naam ek vyakti ne jo us varsh ka mahayajak tha, un se kaha, tum kuchh nahi jante.
और न यह सोचते हो, कि तुम्हारे लिये यह भला है, कि हमारे लोगों के लिये एक मनुष्य मरे, और न यह, कि सारी जाति नाश हो।
Aur na yah sochte ho, ki tumhare liye yah bhala hai, ki hamare logon ke liye ek manushya mare, aur na yah, ki sari jati naash ho.
यह बात उस ने अपनी ओर से न कही, परन्तु उस वर्ष का महायाजक होकर भविष्यद्वाणी की, कि यीशु उस जाति के लिये मरेगा।
Yah baat us ne apni or se na kahi, parantu us varsh ka mahayajak hokar bhavishyadwani ki, ki Yeshu us jati ke liye marega.
और न केवल उस जाति के लिये, वरन इसलिये भी, कि परमेश्वर की तित्तर बित्तर सन्तानों को एक कर दे।
Aur na keval us jati ke liye, varan isliye bhi, ki Parmeshwar ki tittar bittar santanon ko ek kar de.
सो उसी दिन से वे उसके मार डालने की सम्मति करने लगे॥
So usi din se ve uske maar dalne ki sammati karne lage.
इसलिये यीशु उस समय से यहूदियों में प्रगट होकर न फिरा; परन्तु वहां से जंगल के निकट के देश में इफ्राईम नाम, एक नगर को चला गया; और अपने चेलों के साथ वहीं रहने लगा।
Isliye Yeshu us samay se Yahudiyon mein pragat hokar na phira; parantu vahan se jangal ke nikat ke desh mein iphraim naam, ek nagar ko chala gaya; aur apne chelon ke saath vahi rahne laga.
और यहूदियों का फसह निकट था, और बहुतेरे लोग फसह से पहिले देहात से यरूशलेम को गए कि अपने आप को शुद्ध करें।
Aur Yahudiyon ka phasah nikat tha, aur bahutere log phasah se pahile dehaat se Yerushalem ko gaye ki apne aap ko shuddh karein.
सो वे यीशु को ढूंढ़ने और मन्दिर में खड़े होकर आपस में कहने लगे, तुम क्या समझते हो
So ve Yeshu ko dhoondhne aur mandir mein khade hokar aapas mein kahne lage, tum kya samajhte ho
क्या वह पर्व में नहीं आएगा? और महायाजकों और फरीसियों ने भी आज्ञा दे रखी थी, कि यदि कोई यह जाने कि यीशु कहां है तो बताए, कि उसे पकड़ लें॥
Kya vah parva mein nahi aayega? Aur mahayajkon aur phareesiyon ne bhi aagya de rakhi thi, ki yadi koi yah jane ki Yeshu kahan hai to bataye, ki use pakad lein.