क्योंकि सुनो, जिन दिनों में और जिस समय मैं यहूदा और यरूशलेम वासियों को बंधुआई से लौटा ले आऊंगा,
Kyonki suno, jin dinon mein aur jis samay main Yahuda aur Yerushalem vasiyon ko bandhuaai se lauta le aaoonga,
Joel 3 · 21 verses
क्योंकि सुनो, जिन दिनों में और जिस समय मैं यहूदा और यरूशलेम वासियों को बंधुआई से लौटा ले आऊंगा,
Kyonki suno, jin dinon mein aur jis samay main Yahuda aur Yerushalem vasiyon ko bandhuaai se lauta le aaoonga,
उस समय मैं सब जातियों को इकट्ठी कर के यहोशपात की तराई में ले जाऊंगा, और वहां उनके साथ अपनी प्रजा अर्थात अपने निज भाग इस्राएल के विषय में जिसे उन्होंने अन्यजातियों में तितर-बितर कर के मेरे देश को बांट लिया है, उन से मुकद्दमा लडूंगा।
Us samay main sab jatiyon ko ikatthi kar ke yahoshpaat ki tarai mein le jaoonga, aur vahan unke saath apni praja arthaat apne nij bhaag Israel ke vishay mein jise unhonne anyajatiyon mein titar-bitar kar ke mere desh ko baant liya hai, un se mukaddama ladoonga.
उन्होंने तो मेरी प्रजा पर चिट्ठी डाली, और एक लड़का वेश्या के बदले में दे दिया, और एक लड़की बेच कर दाखमधु पीया है॥
Unhonne to meri praja par chitthi dali, aur ek ladka veshya ke badle mein de diya, aur ek ladki bech kar dakhamdhu peeya hai.
हे सोर, और सीदोन और पलिश्तीन के सब प्रदेशो, तुम को मुझ से क्या काम? क्या तुम मुझ को बदला दोगे? यदि तुम मुझे बदला भी दो, तो मैं शीघ्र ही तुम्हारा दिया हुआ बदला, तुम्हारे ही सिर पर डाल दूंगा।
He sor, aur seedon aur palishteen ke sab pradesho, tum ko mujh se kya kaam? Kya tum mujh ko badla doge? Yadi tum mujhe badla bhi do, to main sheeghra hi tumhara diya huaa badla, tumhare hi sir par daal doonga.
क्योंकि तुम ने मेरी चान्दी-सोना ले लिया, और मेरी अच्छी और मनभावनी वस्तुएं अपने मन्दिरों में ले जा कर रखी हैं;
Kyonki tum ne meri chandi-sona le liya, aur meri achchhi aur manbhavni vastuein apne mandiron mein le ja kar rakhi hain;
और यहूदियों और यरूशलेमियों को यूनानियों के हाथ इसलिये बेच डाला है कि वे अपने देश से दूर किए जाएं।
Aur Yahudiyon aur yarooshlemiyon ko yoonaniyon ke haath isliye bech dala hai ki ve apne desh se door kiye jayen.
इसलिये सुनो, मैं उन को उस स्थान से, जहां के जाने वालों के हाथ तुम ने उन को बेच दिया, बुलाने पर हूं, और तुम्हारा दिया हुआ बदला, तुम्हारे ही सिर पर डाल दूंगा।
Isliye suno, main un ko us sthaan se, jahan ke jane valon ke haath tum ne un ko bech diya, bulane par hoon, aur tumhara diya huaa badla, tumhare hi sir par daal doonga.
मैं तुम्हारे बेटे-बेटियों को यहूदियों के हाथ बिकवा दूंगा, और वे उसको शबाइयों के हाथ बेच देंगे जो दूर देश के रहने वाले हैं; क्योंकि यहोवा ने यह कहा है॥
Main tumhare bete-betiyon ko Yahudiyon ke haath bikva doonga, aur ve usko shabaiyon ke haath bech denge jo door desh ke rahne vale hain; kyonki Yahowa ne yah kaha hai.
जाति जाति में यह प्रचार करो, युद्ध की तैयारी करो, अपने शूरवीरों को उभारो। सब योद्धा निकट आकर लड़ने को चढ़ें।
Jati jati mein yah prachaar karo, yuddh ki taiyari karo, apne shoorveeron ko ubharo. Sab yoddha nikat aakar ladne ko chadhein.
अपने अपने हल की फाल को पीटकर तलवार, और अपनी अपनी हंसिया को पीटकर बर्छी बनाओ; जो बलहीन हो वह भी कहे, मैं वीर हूं॥
Apne apne hal ki phaal ko peetkar talvaar, aur apni apni hansiya ko peetkar barchhi banao; jo balheen ho vah bhi kahe, main veer hoon.
हे चारों ओर के जाति जाति के लोगो, फुर्ती कर के आओ और इकट्ठे हो जाओ। हे यहोवा, तू भी अपने शूरवीरों को वहां ले जा।
He charon or ke jati jati ke logo, phurti kar ke aao aur ikatthe ho jao. He Yahowa, tu bhi apne shoorveeron ko vahan le ja.
जाति जाति के लोग उभर कर चढ़ जाएं और यहोशापात की तराई में जाएं, क्योंकि वहां मैं चारों ओर की सारी जातियों का न्याय करने को बैठूंगा॥
Jati jati ke log ubhar kar chadh jayen aur yahoshapaat ki tarai mein jayen, kyonki vahan main charon or ki sari jatiyon ka nyaay karne ko baithoonga.
हंसुआ लगाओ, क्योंकि खेत पक गया है। आओ, दाख रौंदो, क्योंकि हौज़ भर गया है। रसकुण्ड उमण्डने लगे, क्योंकि उनकी बुराई बहुत बड़ी है॥
Hansuaa lagao, kyonki khet pak gaya hai. Aao, daakh raundo, kyonki hauz bhar gaya hai. Raskund umandane lage, kyonki unki burai bahut badi hai.
निबटारे की तराई में भीड़ की भीड़ है! क्योंकि निबटारे की तराई में यहोवा का दिन निकट है।
Nibtare ki tarai mein bheed ki bheed hai! Kyonki nibtare ki tarai mein Yahowa ka din nikat hai.
सूर्य और चन्द्रमा अपना अपना प्रकाश न देंगे, और न तारे चमकेंगे॥
Soorya aur chandrama apna apna prakaash na denge, aur na tare chamkenge.
और यहोवा सिय्योन से गरजेगा, और यरूशलेम से बड़ा शब्द सुनाएगा; और आकाश और पृथ्वी थरथराएंगे। परन्तु यहोवा अपनी प्रजा के लिये शरणस्थान और इस्राएलियों के लिये गढ़ ठहरेगा॥
Aur Yahowa siyyon se garjega, aur Yerushalem se bada shabd sunayega; aur aakaash aur prithvi tharathrayenge. Parantu Yahowa apni praja ke liye sharnasthaan aur Israeliyon ke liye gadh thahrega.
इस प्रकार तुम जानोगे कि यहोवा जो अपने पवित्र पर्वत सिय्योन पर वास किए रहता है, वही हमारा परमेश्वर है। और यरूशलेम पवित्र ठहरेगा, और परदेशी उस में हो कर फिर न जाने पाएंगे॥
Is prakaar tum janoge ki Yahowa jo apne pavitra parvat siyyon par vaas kiye rahta hai, vahi hamara Parmeshwar hai. Aur Yerushalem pavitra thahrega, aur pardeshi us mein ho kar phir na jane payenge.
और उस समय पहाड़ों से नया दाखमधु टपकने लगेगा, और टीलों से दूध बहने लगेगा, और यहूदा देश के सब नाले जल से भर जाएंगे; और यहोवा के भवन में से एक सोता फूट निकलेगा, जिस से शित्तीम का नाम नाला सींचा जाएगा॥
Aur us samay pahadon se naya dakhamdhu tapakne lagega, aur teelon se doodh bahne lagega, aur Yahuda desh ke sab nale jal se bhar jayenge; aur Yahowa ke bhavan mein se ek sota phoot niklega, jis se shitteem ka naam nala seencha jayega.
यहूदियों पर उपद्रव करने के कारण, मिस्र उजाड़ और एदोम उजड़ा हुआ मरूस्थल हो जाएगा, क्योंकि उन्होंने उनके देश में निर्दोष की हत्या की थी।
Yahudiyon par upadrav karne ke karan, Misr ujaad aur edom ujda huaa maroosthal ho jayega, kyonki unhonne unke desh mein nirdosh ki hatya ki thi.
परन्तु यहूदा सर्वदा और यरूशलेम पीढ़ी पीढ़ी तब बना रहेगा।
Parantu Yahuda sarvada aur Yerushalem peedhi peedhi tab bana rahega.
क्योंकि उनका खून, जो अब तक मैं ने पवित्र नहीं ठहराया था, उसे अब पवित्र ठहराऊंगा, क्योंकि यहोवा सिय्योन में वास किए रहता है॥
Kyonki unka khoon, jo ab tak main ne pavitra nahi thahraya tha, use ab pavitra thahraoonga, kyonki Yahowa siyyon mein vaas kiye rahta hai.