Hosea 6 · 11 verses

होशे 6 Hosea 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Hoshe 6.

1

चलो, हम यहोवा की ओर फिरें; क्योंकि उसी ने फाड़ा, और वही चंगा भी करेगा; उसी ने मारा, और वही हमारे घावों पर पट्टी बान्धेगा।

Chalo, ham Yahowa ki or phirein; kyonki usi ne phada, aur vahi changa bhi karega; usi ne mara, aur vahi hamare ghavon par patti bandhega.

2

दो दिन के बाद वह हम को जिलाएगा; और तीसरे दिन वह हम को उठा कर खड़ा करेगा; तब हम उसके सम्मुख जीवित रहेंगे।

Do din ke baad vah ham ko jilayega; aur teesre din vah ham ko utha kar khada karega; tab ham uske sammukh jeevit rahenge.

3

आओ, हम ज्ञान ढूंढ़े, वरन यहोवा का ज्ञान प्राप्त करने के लिये यत्न भी करें; क्योंकि यहोवा का प्रगट होना भोर का सा निश्चित है; वह वर्षा की नाईं हमारे ऊपर आएगा, वरन बरसात के अन्त की वर्षा के समान जिस से भूमि सिंचती है॥

Aao, ham gyaan dhoondhe, varan Yahowa ka gyaan praapt karne ke liye yatn bhi karein; kyonki Yahowa ka pragat hona bhor ka sa nishchit hai; vah varsha ki nai hamare oopar aayega, varan barsaat ke ant ki varsha ke samaan jis se bhoomi sinchti hai.

4

हे एप्रैम, मैं तुझ से क्या करूं? हे यहूदा, मैं तुझ से क्या करूं? तुम्हारा स्नेह तो भोर के मेघ के समान, और सवेरे उड़ जाने वाली ओस के समान है।

He epraim, main tujh se kya karun? He Yahuda, main tujh se kya karun? Tumhara sneh to bhor ke megh ke samaan, aur savere ud jane vali os ke samaan hai.

5

इस कारण मैं ने भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा मानो उन पर कुल्हाड़ी चला कर उन्हें काट डाला, और अपने वचनों से उन को घात किया, और मेरा न्याय प्रकाश के समान चमकता है।

Is karan main ne bhavishyadwaktaon ke dwara mano un par kulhadi chala kar unhein kaat dala, aur apne vachnon se un ko ghaat kiya, aur mera nyaay prakaash ke samaan chamakta hai.

6

क्योंकि मैं बलिदान से नहीं, स्थिर प्रेम ही से प्रसन्न होता हूं, और होमबलियों से अधिक यह चाहता हूं कि लोग परमेश्वर का ज्ञान रखें॥

Kyonki main balidaan se nahi, sthir prem hi se prasann hota hoon, aur homabliyon se adhik yah chahta hoon ki log Parmeshwar ka gyaan rakhein.

7

परन्तु उन लोगों ने आदम की नाईं वाचा को तोड़ दिया; उन्होंने वहां मुझ से विश्वासघात किया है।

Parantu un logon ne aadam ki nai vacha ko tod diya; unhonne vahan mujh se vishwasghaat kiya hai.

8

गिलाद नाम गढ़ी तो अनर्थकारियों से भरी है, वह खून से भरी हुई है।

Gilaad naam gadhi to anarthakariyon se bhari hai, vah khoon se bhari hui hai.

9

जैसे डाकुओं के दल किसी की घात में बैठते हैं, वैसे ही याजकों का दल शकेम के मार्ग में वध करता है, वरन उन्होंने महापाप भी किया है।

Jaise dakuon ke dal kisi ki ghaat mein baithte hain, vaise hi yajkon ka dal shakem ke maarg mein vadh karta hai, varan unhonne mahapaap bhi kiya hai.

10

इस्राएल के घराने में मैं ने रोएं खड़े होने का कारण देखा है; उस में एप्रैम का छिनाला और इस्राएल की अशुद्धता पाई जाती है॥

Israel ke gharane mein main ne royen khade hone ka karan dekha hai; us mein epraim ka chhinala aur Israel ki ashuddhata pai jati hai.

11

और हे यहूदा, जब मैं अपनी प्रजा को बंधुआई से लौटा ले आऊंगा, उस समय के लिये तेरे निमित्त भी बदला ठहराया हुआ है॥

Aur he Yahuda, jab main apni praja ko bandhuaai se lauta le aaoonga, us samay ke liye tere nimitt bhi badla thahraya huaa hai.