Hosea 4 · 19 verses

होशे 4 Hosea 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Hoshe 4.

1

हे इस्राएलियों, यहोवा का वचन सुनो; इस देश के निवासियों के साथ यहोवा का मुकद्दमा है। इस देश में न तो कुछ सच्चाई है, न कुछ करूणा और न कुछ परमेश्वर का ज्ञान ही है।

He Israeliyon, Yahowa ka vachan suno; is desh ke nivasiyon ke saath Yahowa ka mukaddama hai. Is desh mein na to kuchh sachchai hai, na kuchh karoona aur na kuchh Parmeshwar ka gyaan hi hai.

2

यहां शाप देने, झूठ बोलने, वध करने, चुराने, और व्यभिचार करने को छोड़ कुछ नहीं होता; वे व्यवस्था की सीमा को लांघ कर कुकर्म करते हैं और खून ही खून होता रहता है।

Yahan shaap dene, jhooth bolne, vadh karne, churane, aur vyabhichaar karne ko chhod kuchh nahi hota; ve vyavastha ki seema ko laangh kar kukarm karte hain aur khoon hi khoon hota rahta hai.

3

इस कारण यह देश विलाप करेगा, और मैदान के जीव-जन्तुओं, और आकाश के पक्षियों समेत उसके सब निवासी कुम्हला जाएंगे; और समुद्र की मछलियां भी नाश हो जाएंगी॥

Is karan yah desh vilaap karega, aur maidaan ke jeev-jantuon, aur aakaash ke pakshiyon samet uske sab nivasi kumhala jayenge; aur samudra ki machhliyan bhi naash ho jayengi.

4

देखो, कोई वाद-विवाद न करे, न कोई उलहना दे, क्योंकि तेरे लोग तो याजकों से वाद-विवाद करने वालों के समान हैं।

Dekho, koi vaad-vivaad na kare, na koi ulahna de, kyonki tere log to yajkon se vaad-vivaad karne valon ke samaan hain.

5

तू दिनदुपहरी ठोकर खाएगा, और रात को भविष्यद्वक्ता भी तेरे साथ ठोकर खाएगा; और मैं तेरी माता को नाश करूंगा।

Tu dindupahri thokar khayega, aur raat ko bhavishyadwakta bhi tere saath thokar khayega; aur main teri mata ko naash karoonga.

6

मेरे ज्ञान के न होने से मेरी प्रजा नाश हो गई; तू ने मेरे ज्ञान को तुच्छ जाना है, इसलिये मैं तुझे अपना याजक रहने के अयोग्य ठहराऊंगा। और इसलिये कि तू ने अपने परमेश्वर की व्यवस्था को तज दिया है, मैं भी तेरे लड़के-बालों को छोड़ दूंगा।

Mere gyaan ke na hone se meri praja naash ho gai; tu ne mere gyaan ko tuchchh jana hai, isliye main tujhe apna yajak rahne ke ayogya thahraoonga. Aur isliye ki tu ne apne Parmeshwar ki vyavastha ko taj diya hai, main bhi tere ladke-balon ko chhod doonga.

7

जैसे वे बढ़ते गए, वैसे ही वे मेरे विरुद्ध पाप करते गए; मैं उनके वैभव के बदले उनका अनादर करूंगा।

Jaise ve badhte gaye, vaise hi ve mere viruddh paap karte gaye; main unke vaibhav ke badle unka anadar karoonga.

8

वे मेरी प्रजा के पापबलियों को खाते हैं, और प्रजा के पापी होने की लालसा करते हैं।

Ve meri praja ke papabliyon ko khate hain, aur praja ke papi hone ki lalsa karte hain.

9

इसलिये जो प्रजा की दशा होगी, वही याजक की भी होगी; मैं उनके चालचलन का दण्ड दूंगा, और उनके कामों के अनुकूल उन्हें बदला दूंगा।

Isliye jo praja ki dasha hogi, vahi yajak ki bhi hogi; main unke chalachlan ka dand doonga, aur unke kamon ke anukool unhein badla doonga.

10

वे खाएंगे तो सही, परन्तु तृप्त न होंगे, और वेश्यागमन तो करेंगे, परन्तु न बढ़ेंगे; क्योंकि उन्होंने यहोवा की ओर मन लगाना छोड़ दिया है॥

Ve khayenge to sahi, parantu tript na honge, aur veshyagman to karenge, parantu na badhenge; kyonki unhonne Yahowa ki or man lagana chhod diya hai.

11

वेश्यागमन और दाखमधु और ताजा दाखमधु, ये तीनों बुद्धि को भ्रष्ट करते हैं।

Veshyagman aur dakhamdhu aur taja dakhamdhu, ye teenon buddhi ko bhrasht karte hain.

12

मेरी प्रजा के लोग काठ के पुतले से प्रश्न करते हैं, और उनकी छड़ी उन को भविष्य बताती है। क्योंकि छिनाला कराने वाली आत्मा ने उन्हें बहकाया है, और वे अपने परमेश्वर की आधीनता छोड़ कर छिनाला करते हैं।

Meri praja ke log kaath ke putle se prashn karte hain, aur unki chhadi un ko bhavishya batati hai. Kyonki chhinala karane vali aatma ne unhein bahkaya hai, aur ve apne Parmeshwar ki aadheenta chhod kar chhinala karte hain.

13

बांज, चिनार और छोटे बांज वृक्षों की छाया अच्छी होती है, इसलिये वे उनके नीचे और पहाड़ों की चोटियों पर यज्ञ करते, और टीलों पर धूप जलाते हैं॥ इस कारण तुम्हारी बेटियां छिनाल और तुम्हारी बहुएं व्यभिचारिणी हो गई हैं।

Baanj, chinaar aur chhote baanj vrikshon ki chhaya achchhi hoti hai, isliye ve unke neeche aur pahadon ki chotiyon par yagy karte, aur teelon par dhoop jalate hain. Is karan tumhari betiyan chhinaal aur tumhari bahuein vyabhicharini ho gai hain.

14

जब तुम्हारी बेटियां छिनाला और तुम्हारी बहुएं व्यभिचार करें, तब मैं उन को दण्ड न दूंगा; क्योंकि मनुष्य आप ही वेश्याओं के साथ एकान्त में जाते, और देवदासियों के साथी हो कर यज्ञ करते हैं; और जो लोग समझ नहीं रखते, वे नाश हो जाएंगे॥

Jab tumhari betiyan chhinala aur tumhari bahuein vyabhichaar karein, tab main un ko dand na doonga; kyonki manushya aap hi veshyaon ke saath ekaant mein jate, aur devdasiyon ke sathi ho kar yagy karte hain; aur jo log samajh nahi rakhte, ve naash ho jayenge.

15

हे इस्राएल, यद्यपि तू छिनाला करता है, तौभी यहूदा दोषी न बने। गिलगाल को न आओ; और न बेतावेन को चढ़ जाओ; और यहोवा के जीवन की सौगन्ध कह कर शपथ न खाओ।

He Israel, yadyapi tu chhinala karta hai, taubhi Yahuda doshi na bane. Gilgaal ko na aao; aur na betaven ko chadh jao; aur Yahowa ke jeevan ki saugandh kah kar shapath na khao.

16

क्योंकि इस्राएल ने हठीली कलोर की नाईं हठ किया है, क्या अब यहोवा उन्हें भेड़ के बच्चे की नाईं लम्बे चौड़े मैदान में चराएगा?

Kyonki Israel ne hatheeli kalor ki nai hath kiya hai, kya ab Yahowa unhein bhed ke bachche ki nai lambe chaude maidaan mein charayega?

17

एप्रैम मूरतों का संगी हो गया है; इसलिये उसको रहने दे।

Epraim moorton ka sangi ho gaya hai; isliye usko rahne de.

18

वे जब दाखमधु पी चुकते हैं तब वेश्यागमन करने में लग जाते हैं; उनके प्रधान लोग निरादर होने से अधिक प्रीति रखते हैं।

Ve jab dakhamdhu pi chukte hain tab veshyagman karne mein lag jate hain; unke pradhaan log niradar hone se adhik preeti rakhte hain.

19

आंधी उन को अपने पंखों में बान्ध कर उड़ा ले जाएगी, और उनके बलिदानों के कारण उनकी आशा टूट जाएगी॥

Aandhi un ko apne pankhon mein baandh kar uda le jayegi, aur unke balidanon ke karan unki aasha toot jayegi.