Hosea 12 · 14 verses

होशे 12 Hosea 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Hoshe 12.

1

एप्रैम पानी पीटता और पुरवाई का पीछा करता रहता है; वह लगातार झूठ और उत्पात को बढ़ाता रहता है; वे अश्शूर के साथ वाचा बान्धते और मिस्र में तेल भेजते हैं।

Epraim pani peetta aur purvai ka peechha karta rahta hai; vah lagataar jhooth aur utpaat ko badhata rahta hai; ve ashshoor ke saath vacha bandhate aur Misr mein tel bhejte hain.

2

यहूदा के साथ भी यहोवा का मुकद्दमा है, और वह याकूब को उसके चालचलन के अनुसार दण्ड देगा; उसके कामों के अनुसार वह उसको बदला देगा।

Yahuda ke saath bhi Yahowa ka mukaddama hai, aur vah Yakub ko uske chalachlan ke anusaar dand dega; uske kamon ke anusaar vah usko badla dega.

3

अपनी माता की कोख ही में उसने अपने भाई को अड़ंगा मारा, और बड़ा हो कर वह परमेश्वर के साथ लड़ा।

Apni mata ki kokh hi mein usne apne bhai ko adanga mara, aur bada ho kar vah Parmeshwar ke saath lada.

4

वह दूत से लड़ा, और जीत भी गया, वह रोया और उसने गिड़गिड़ाकर बिनती की। बेतेल में वह उसको मिला, और वहीं उसने हम से बातें की।

Vah doot se lada, aur jeet bhi gaya, vah roya aur usne gidgidakar binti ki. Betel mein vah usko mila, aur vahi usne ham se batein ki.

5

यहोवा, सेनाओं का परमेश्वर, जिसका स्मरण यहोवा नाम से होता है।

Yahowa, senaon ka Parmeshwar, jiska smaran Yahowa naam se hota hai.

6

इसलिये तू अपने परमेश्वर की ओर फिर; कृपा और न्याय के काम करता रह, और अपने परमेश्वर की बाट निरन्तर जोहता रह॥

Isliye tu apne Parmeshwar ki or phir; kripa aur nyaay ke kaam karta rah, aur apne Parmeshwar ki baat nirantar johta rah.

7

वह व्योपारी है, और उसके हाथ में छल का तराजू है; अन्धेर करना ही उसको भाता है।

Vah vyopari hai, aur uske haath mein chhal ka taraju hai; andher karna hi usko bhata hai.

8

एप्रैम कहता है, मैं धनी हो गया, मैं ने सम्पत्ति प्राप्त की है; मेरे किसी काम में ऐसा अधर्म नहीं पाया गया जिस से पाप लगे।

Epraim kahta hai, main dhani ho gaya, main ne sampatti praapt ki hai; mere kisi kaam mein aisa adharm nahi paya gaya jis se paap lage.

9

मैं यहोवा, मिस्र देश ही से तेरा परमेश्वर हूं; मैं फिर तुझे तम्बुओं में ऐसा बसाऊंगा जैसा नियत पर्व के दिनों में हुआ करता है॥

Main Yahowa, Misr desh hi se tera Parmeshwar hoon; main phir tujhe tambuon mein aisa basaoonga jaisa niyat parva ke dinon mein huaa karta hai.

10

मैं ने भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा बातें कीं, और बार बार दर्शन देता रहा; और भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा दृष्टान्त कहता आया हूं।

Main ne bhavishyadwaktaon ke dwara batein ki, aur baar baar darshan deta raha; aur bhavishyadwaktaon ke dwara drishtaant kahta aaya hoon.

11

क्या गिलाद कुकर्मी नहीं? वे पूरे छली हो गए हैं। गिल्गाल में बैल बलि किए जाते हैं, वरन उनकी वेदियां उन ढेरों के समान हैं जो खेत की रेघारियों के पास हों।

Kya gilaad kukarmi nahi? Ve poore chhali ho gaye hain. Gilgaal mein bail bali kiye jate hain, varan unki vediyan un dheron ke samaan hain jo khet ki reghariyon ke paas hon.

12

याकूब अराम के मैदान में भाग गया था; वहां इस्राएल ने एक पत्नी के लिये सेवा की, और पत्नी के लिये वह चरवाही करता था।

Yakub araam ke maidaan mein bhaag gaya tha; vahan Israel ne ek patni ke liye seva ki, aur patni ke liye vah charvahi karta tha.

13

एक भविष्यद्वक्ता के द्वारा यहोवा इस्राएल को मिस्र से निकाल ले आया, और भविष्यद्वक्ता ही के द्वारा उसकी रक्षा हुई।

Ek bhavishyadwakta ke dwara Yahowa Israel ko Misr se nikaal le aaya, aur bhavishyadwakta hi ke dwara uski raksha hui.

14

एप्रैम ने अत्यन्त रिस दिलाई है; इसलिये उसका किया हुआ खून उसी के ऊपर बना रहेगा, और उसने अपने परमेश्वर के नाम में जो बट्टा लगाया है, वह उसी को लौटाया जाएगा॥

Epraim ne atyant ris dilai hai; isliye uska kiya huaa khoon usi ke oopar bana rahega, aur usne apne Parmeshwar ke naam mein jo batta lagaya hai, vah usi ko lautaya jayega.