Haggai 1 · 15 verses

हाग्गै 1 Haggai 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Haggai 1.

1

दारा राजा के दूसरे वर्ष के छठवें महीने के पहिले दिन, यहोवा का यह वचन, हाग्गै भविष्यद्वक्ता के द्वारा, शालतीएल के पुत्र जरूब्बाबेल के पास, जो यहूदा का अधिपति था, और यहोसादाक के पुत्र यहोशू महायाजक के पास पहुंचा:

Dara raja ke doosre varsh ke chhathvein maheene ke pahile din, Yahowa ka yah vachan, haggai bhavishyadwakta ke dwara, shalteeyel ke putra jaroobbabel ke paas, jo Yahuda ka adhipti tha, aur yahosadaak ke putra yahoshu mahayajak ke paas pahuncha:

2

सेनाओं का यहोवा यों कहता है, ये लोग कहते हैं कि यहोवा का भवन बनाने का समय नहीं आया है।

Senaon ka Yahowa yon kahta hai, ye log kahte hain ki Yahowa ka bhavan banane ka samay nahi aaya hai.

3

फिर यहोवा का यह वचन हाग्गै भविष्यद्वक्ता के द्वारा पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan haggai bhavishyadwakta ke dwara pahuncha,

4

क्या तुम्हारे लिये अपने छत वाले घरों में रहने का समय है, जब कि यह भवन उजाड़ पड़ा है?

Kya tumhare liye apne chhat vale gharon mein rahne ka samay hai, jab ki yah bhavan ujaad pada hai?

5

इसलिये अब सेनाओं का यहोवा यों कहता है, अपनी अपनी चाल-चलन पर ध्यान करो।

Isliye ab senaon ka Yahowa yon kahta hai, apni apni chaal-chalan par dhyaan karo.

6

तुम ने बहुत बोया परन्तु थोड़ा काटा; तुम खाते हो, परन्तु पेट नहीं भरता; तुम पीते हो, परन्तु प्यास नहीं बुझती; तुम कपड़े पहिनते हो, परन्तु गरमाते नहीं; और जो मजदूरी कमाता है, वह अपनी मजदूरी की कमाई को छेदवाली थैली में रखता है॥

Tum ne bahut boya parantu thoda kata; tum khate ho, parantu pet nahi bharta; tum peete ho, parantu pyaas nahi bujhti; tum kapde pahinte ho, parantu garmate nahi; aur jo majdoori kamata hai, vah apni majdoori ki kamai ko chhedvali thaili mein rakhta hai.

7

सेनाओं का यहोवा तुम से यों कहता है, अपने अपने चालचलन पर सोचो।

Senaon ka Yahowa tum se yon kahta hai, apne apne chalachlan par socho.

8

पहाड़ पर चढ़ जाओ और लकड़ी ले आओ और इस भवन को बनाओ; और मैं उसको देखकर प्रसन्न हूंगा, और मेरी महिमा होगी, यहोवा का यही वचन है।

Pahaad par chadh jao aur lakdi le aao aur is bhavan ko banao; aur main usko dekhkar prasann hoonga, aur meri mahima hogi, Yahowa ka yahi vachan hai.

9

तुम ने बहुत उपज की आशा रखी, परन्तु देखो थोड़ी ही है; और जब तुम उसे घर ले आए, तब मैं ने उसको उड़ा दिया। सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, ऐसा क्यों हुआ? क्या इसलिये नहीं, कि मेरा भवन उजाड़ पड़ा है और तुम में से प्रत्येक अपने अपने घर को दौड़ा चला जाता है?

Tum ne bahut upaj ki aasha rakhi, parantu dekho thodi hi hai; aur jab tum use ghar le aaye, tab main ne usko uda diya. Senaon ke Yahowa ki yah vani hai, aisa kyon huaa? Kya isliye nahi, ki mera bhavan ujaad pada hai aur tum mein se pratyek apne apne ghar ko dauda chala jata hai?

10

इस कारण आकाश से ओस गिरना और पृथ्वी से अन्न उपजना दोनों बन्द हैं।

Is karan aakaash se os girna aur prithvi se ann upajna donon band hain.

11

और मेरी आज्ञा से पृथ्वी और पहाड़ों पर, और अन्न और नये दाखमधु पर और ताजे तेल पर, और जो कुछ भूमि से उपजता है उस पर, और मनुष्यों और घरैलू पशुओं पर, और उनके परिश्रम की सारी कमाई पर भी अकाल पड़ा है॥

Aur meri aagya se prithvi aur pahadon par, aur ann aur naye dakhamdhu par aur taje tel par, aur jo kuchh bhoomi se upajta hai us par, aur manushyon aur gharailu pashuon par, aur unke parishram ki sari kamai par bhi akaal pada hai.

12

तब शालतीएल के पुत्र जरूब्बाबेल और यहोसादाक के पुत्र यहोशू महायाजक ने सब बचे हुए लोगों समेत अपने परमेश्वर यहोवा की बात मानी; और जो वचन उनके परमेश्वर यहोवा ने उन से कहने के लिये हाग्गै भविष्यद्वक्ता को भेज दिया था, उसे उन्होंने मान लिया; और लोगों ने यहोवा का भय माना।

Tab shalteeyel ke putra jaroobbabel aur yahosadaak ke putra yahoshu mahayajak ne sab bache hue logon samet apne Parmeshwar Yahowa ki baat mani; aur jo vachan unke Parmeshwar Yahowa ne un se kahne ke liye haggai bhavishyadwakta ko bhej diya tha, use unhonne maan liya; aur logon ne Yahowa ka bhay mana.

13

तब यहोवा के दूत हाग्गै ने यहोवा से आज्ञा पाकर उन लोगों से यह कहा, यहोवा की यह वाणी है, मैं तुम्हारे संग हूं।

Tab Yahowa ke doot haggai ne Yahowa se aagya pakar un logon se yah kaha, Yahowa ki yah vani hai, main tumhare sang hoon.

14

और यहोवा ने शालतीएल के पुत्र जरूब्बाबेल को जो यहूदा का अधिपति था, और यहोसादाक के पुत्र यहोशू महायाजक को, और सब बचे हुए लोगों के मन को उभार का उत्साह से भर दिया कि वे आकर अपने परमेश्वर, सेनाओं के यहोवा के भवन को बनाने में लग जाएं।

Aur Yahowa ne shalteeyel ke putra jaroobbabel ko jo Yahuda ka adhipti tha, aur yahosadaak ke putra yahoshu mahayajak ko, aur sab bache hue logon ke man ko ubhaar ka utsaah se bhar diya ki ve aakar apne Parmeshwar, senaon ke Yahowa ke bhavan ko banane mein lag jayen.

15

यह दारा राजा के दूसरे वर्ष के छठवें महीने के चौबीसवें दिन हुआ॥

Yah dara raja ke doosre varsh ke chhathvein maheene ke chaubeesvein din huaa.