पौलुस की ओर से, जो परमेश्वर की इच्छा से मसीह यीशु का प्रेरित है, और भाई तीमुथियुस की ओर से।
Paulus ki or se, jo Parmeshwar ki ichchha se Masih Yeshu ka prerit hai, aur bhai teemuthiyus ki or se.
Colossians 1 · 29 verses
पौलुस की ओर से, जो परमेश्वर की इच्छा से मसीह यीशु का प्रेरित है, और भाई तीमुथियुस की ओर से।
Paulus ki or se, jo Parmeshwar ki ichchha se Masih Yeshu ka prerit hai, aur bhai teemuthiyus ki or se.
मसीह में उन पवित्र और विश्वासी भाइयों के नाम जो कुलुस्से में रहते हैं॥ हमारे पिता परमेश्वर की ओर से तुम्हें अनुग्रह और शान्ति प्राप्त होती रहे॥
Masih mein un pavitra aur vishwasi bhaiyon ke naam jo kulusse mein rahte hain. Hamare pita Parmeshwar ki or se tumhein anugrah aur shanti praapt hoti rahe.
हम तुम्हारे लिये नित प्रार्थना करके अपने प्रभु यीशु मसीह के पिता अर्थात परमेश्वर का धन्यवाद करते हैं।
Ham tumhare liye nit prarthana karke apne Prabhu Yeshu Masih ke pita arthaat Parmeshwar ka dhanyavaad karte hain.
क्योंकि हम ने सुना है, कि मसीह यीशु पर तुम्हारा विश्वास है, और सब पवित्र लोगों से प्रेम रखते हो।
Kyonki ham ne suna hai, ki Masih Yeshu par tumhara vishwaas hai, aur sab pavitra logon se prem rakhte ho.
उस आशा की हुई वस्तु के कारण जो तुम्हारे लिये स्वर्ग में रखी हुई है, जिस का वर्णन तुम उस सुसमाचार के सत्य वचन में सुन चुके हो।
Us aasha ki hui vastu ke karan jo tumhare liye swarg mein rakhi hui hai, jis ka varnan tum us susmachaar ke satya vachan mein sun chuke ho.
जो तुम्हारे पास पहुंचा है और जैसा जगत में भी फल लाता, और बढ़ता जाता है; अर्थात जिस दिन से तुम ने उस को सुना, और सच्चाई से परमेश्वर का अनुग्रह पहिचाना है, तुम में भी ऐसा ही करता है।
Jo tumhare paas pahuncha hai aur jaisa jagat mein bhi phal lata, aur badhta jata hai; arthaat jis din se tum ne us ko suna, aur sachchai se Parmeshwar ka anugrah pahichana hai, tum mein bhi aisa hi karta hai.
उसी की शिक्षा तुम ने हमारे प्रिय सहकर्मी इपफ्रास से पाई, जो हमारे लिये मसीह का विश्वास योग्य सेवक है।
Usi ki shiksha tum ne hamare priya sahkarmi ipaphraas se pai, jo hamare liye Masih ka vishwaas yogya sevak hai.
उसी ने तुम्हारे प्रेम को जो आत्मा में है हम पर प्रगट किया॥
Usi ne tumhare prem ko jo aatma mein hai ham par pragat kiya.
इसी लिये जिस दिन से यह सुना है, हम भी तुम्हारे लिये यह प्रार्थना करने और बिनती करने से नहीं चूकते कि तुम सारे आत्मिक ज्ञान और समझ सहित परमेश्वर की इच्छा की पहिचान में परिपूर्ण हो जाओ।
Isi liye jis din se yah suna hai, ham bhi tumhare liye yah prarthana karne aur binti karne se nahi chookte ki tum sare aatmik gyaan aur samajh sahit Parmeshwar ki ichchha ki pahichaan mein paripoorn ho jao.
ताकि तुम्हारा चाल-चलन प्रभु के योग्य हो, और वह सब प्रकार से प्रसन्न हो, और तुम में हर प्रकार के भले कामों का फल लगे, और परमेश्वर की पहिचान में बढ़ते जाओ।
Taki tumhara chaal-chalan Prabhu ke yogya ho, aur vah sab prakaar se prasann ho, aur tum mein har prakaar ke bhale kamon ka phal lage, aur Parmeshwar ki pahichaan mein badhte jao.
और उस की महिमा की शक्ति के अनुसार सब प्रकार की सामर्थ से बलवन्त होते जाओ, यहां तक कि आनन्द के साथ हर प्रकार से धीरज और सहनशीलता दिखा सको।
Aur us ki mahima ki shakti ke anusaar sab prakaar ki samarth se balvant hote jao, yahan tak ki aanand ke saath har prakaar se dheeraj aur sahansheelta dikha sako.
और पिता का धन्यवाद करते रहो, जिस ने हमें इस योग्य बनाया कि ज्योति में पवित्र लोगों के साथ मीरास में समभागी हों।
Aur pita ka dhanyavaad karte raho, jis ne hamein is yogya banaya ki jyoti mein pavitra logon ke saath meeraas mein sambhagi hon.
उसी ने हमें अन्धकार के वश से छुड़ाकर अपने प्रिय पुत्र के राज्य में प्रवेश कराया।
Usi ne hamein andhakaar ke vash se chhudakar apne priya putra ke rajya mein pravesh karaya.
जिस में हमें छुटकारा अर्थात पापों की क्षमा प्राप्त होती है।
Jis mein hamein chhutkara arthaat papon ki kshama praapt hoti hai.
वह तो अदृश्य परमेश्वर का प्रतिरूप और सारी सृष्टि में पहिलौठा है।
Vah to adrishya Parmeshwar ka pratiroop aur sari srishti mein pahilautha hai.
क्योंकि उसी में सारी वस्तुओं की सृष्टि हुई, स्वर्ग की हो अथवा पृथ्वी की, देखी या अनदेखी, क्या सिंहासन, क्या प्रभुतांए, क्या प्रधानताएं, क्या अधिकार, सारी वस्तुएं उसी के द्वारा और उसी के लिये सृजी गई हैं।
Kyonki usi mein sari vastuon ki srishti hui, swarg ki ho athva prithvi ki, dekhi ya andekhi, kya sinhasan, kya prabhutanye, kya pradhantayen, kya adhikaar, sari vastuein usi ke dwara aur usi ke liye sriji gai hain.
और वही सब वस्तुओं में प्रथम है, और सब वस्तुएं उसी में स्थिर रहती हैं।
Aur vahi sab vastuon mein pratham hai, aur sab vastuein usi mein sthir rahti hain.
और वही देह, अर्थात कलीसिया का सिर है; वही आदि है और मरे हुओं में से जी उठने वालों में पहिलौठा कि सब बातों में वही प्रधान ठहरे।
Aur vahi deh, arthaat kaleesiya ka sir hai; vahi aadi hai aur mare huon mein se ji uthne valon mein pahilautha ki sab baton mein vahi pradhaan thahre.
क्योंकि पिता की प्रसन्नता इसी में है कि उस में सारी परिपूर्णता वास करे।
Kyonki pita ki prasannata isi mein hai ki us mein sari paripoornata vaas kare.
और उसके क्रूस पर बहे हुए लोहू के द्वारा मेल मिलाप करके, सब वस्तुओं का उसी के द्वारा से अपने साथ मेल कर ले चाहे वे पृथ्वी पर की हों, चाहे स्वर्ग में की।
Aur uske kroos par bahe hue lohu ke dwara mel milaap karke, sab vastuon ka usi ke dwara se apne saath mel kar le chahe ve prithvi par ki hon, chahe swarg mein ki.
और उस ने अब उसकी शारीरिक देह में मृत्यु के द्वारा तुम्हारा भी मेल कर लिया जो पहिले निकाले हुए थे और बुरे कामों के कारण मन से बैरी थे।
Aur us ne ab uski shareerik deh mein mrityu ke dwara tumhara bhi mel kar liya jo pahile nikale hue the aur bure kamon ke karan man se bairi the.
ताकि तुम्हें अपने सम्मुख पवित्र और निष्कलंक, और निर्दोष बनाकर उपस्थित करे।
Taki tumhein apne sammukh pavitra aur nishkalank, aur nirdosh banakar upasthit kare.
यदि तुम विश्वास की नेव पर दृढ़ बने रहो, और उस सुसमाचार की आशा को जिसे तुम ने सुना है न छोड़ो, जिस का प्रचार आकाश के नीचे की सारी सृष्टि में किया गया; और जिस का मैं पौलुस सेवक बना॥
Yadi tum vishwaas ki nev par dridh bane raho, aur us susmachaar ki aasha ko jise tum ne suna hai na chhodo, jis ka prachaar aakaash ke neeche ki sari srishti mein kiya gaya; aur jis ka main Paulus sevak bana.
अब मैं उन दुखों के कारण आनन्द करता हूं, जो तुम्हारे लिये उठाता हूं, और मसीह के क्लेशों की घटी उस की देह के लिये, अर्थात कलीसिया के लिये, अपने शरीर में पूरी किए देता हूं।
Ab main un dukhon ke karan aanand karta hoon, jo tumhare liye uthata hoon, aur Masih ke kleshon ki ghati us ki deh ke liye, arthaat kaleesiya ke liye, apne shareer mein poori kiye deta hoon.
जिस का मैं परमेश्वर के उस प्रबन्ध के अनुसार सेवक बना, जो तुम्हारे लिये मुझे सौंपा गया, ताकि मैं परमेश्वर के वचन को पूरा पूरा प्रचार करूं।
Jis ka main Parmeshwar ke us prabandh ke anusaar sevak bana, jo tumhare liye mujhe saumpa gaya, taki main Parmeshwar ke vachan ko poora poora prachaar karun.
अर्थात उस भेद को जो समयों और पीढ़ियों से गुप्त रहा, परन्तु अब उसके उन पवित्र लोगों पर प्रगट हुआ है।
Arthaat us bhed ko jo samyon aur peedhiyon se gupt raha, parantu ab uske un pavitra logon par pragat huaa hai.
जिन पर परमेश्वर ने प्रगट करना चाहा, कि उन्हें ज्ञात हो कि अन्यजातियों में उस भेद की महिमा का मूल्य क्या है और वह यह है, कि मसीह जो महिमा की आशा है तुम में रहता है।
Jin par Parmeshwar ne pragat karna chaha, ki unhein gyaat ho ki anyajatiyon mein us bhed ki mahima ka moolya kya hai aur vah yah hai, ki Masih jo mahima ki aasha hai tum mein rahta hai.
जिस का प्रचार करके हम हर एक मनुष्य को जता देते हैं और सारे ज्ञान से हर एक मनुष्य को सिखाते हैं, कि हम हर एक व्यक्ति को मसीह में सिद्ध करके उपस्थित करें।
Jis ka prachaar karke ham har ek manushya ko jata dete hain aur sare gyaan se har ek manushya ko sikhate hain, ki ham har ek vyakti ko Masih mein siddh karke upasthit karein.
और इसी के लिये मैं उस की उस शक्ति के अनुसार जो मुझ में सामर्थ के साथ प्रभाव डालती है तन मन लगाकर परिश्रम भी करता हूं।
Aur isi ke liye main us ki us shakti ke anusaar jo mujh mein samarth ke saath prabhaav dalti hai tan man lagakar parishram bhi karta hoon.