Amos 7 · 17 verses

आमोस 7 Amos 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Aamos 7.

1

परमेश्वर यहोवा ने मुझे यह दिखाया, और मैं क्या देखता हूं कि उसने पिछली घास के उगने के आरम्भ मे टिड्डियां उत्पन्न की; और वह राजा की कटनी के बाद की पिछली घास थीं।

Parmeshwar Yahowa ne mujhe yah dikhaya, aur main kya dekhta hoon ki usne pichhli ghaas ke ugne ke aarambh me tiddiyan utpann ki; aur vah raja ki katni ke baad ki pichhli ghaas thi.

2

जब वे घास खा चुकीं, तब मैं ने कहा, हे परमेश्वर यहोवा, क्षमा कर! नहीं तो याकूब कैसे स्थिर रह सकेगा? वह कितना निर्बल है!

Jab ve ghaas kha chuki, tab main ne kaha, he Parmeshwar Yahowa, kshama kar! Nahi to Yakub kaise sthir rah sakega? Vah kitna nirbal hai!

3

इसके विषय में यहोवा पछताया, और उस से कहा, ऐसी बात अब न होगी॥

Iske vishay mein Yahowa pachhtaya, aur us se kaha, aisi baat ab na hogi.

4

परमेश्वर यहोवा ने मुझे यह दिखाया: और क्या देखता हूं कि परमेश्वर यहोवा ने आग के द्वारा मुकद्दमा लड़ने को पुकारा, और उस आग से महासागर सूख गया, और देश भी भस्म हुआ चाहता था।

Parmeshwar Yahowa ne mujhe yah dikhaya: aur kya dekhta hoon ki Parmeshwar Yahowa ne aag ke dwara mukaddama ladne ko pukara, aur us aag se mahasagar sookh gaya, aur desh bhi bhasm huaa chahta tha.

5

तब मैं ने कहा, हे परमेश्वर यहोवा, थम जा! नहीं तो याकूब कैसे स्थिर रह सकेगा? वह कैसा निर्बल है।

Tab main ne kaha, he Parmeshwar Yahowa, tham ja! Nahi to Yakub kaise sthir rah sakega? Vah kaisa nirbal hai.

6

इसके विषय में भी यहोवा पछताया; और परमेश्वर यहोवा ने कहा, ऐसी बात फिर न होगी॥

Iske vishay mein bhi Yahowa pachhtaya; aur Parmeshwar Yahowa ne kaha, aisi baat phir na hogi.

7

उसने मुझे यह भी दिखाया: मैं ने देखा कि प्रभु साहुल लगाकर बनाईं हुई किसी भीत पर खड़ा है, और उसके हाथ में साहुल है।

Usne mujhe yah bhi dikhaya: main ne dekha ki Prabhu sahul lagakar banai hui kisi bheet par khada hai, aur uske haath mein sahul hai.

8

और यहोवा ने मुझ से कहा, हे आमोस, तुझे क्या देख पड़ता है? मैं ने कहा, एक साहुल। तब परमेश्वर ने कहा, देख, मैं अपनी प्रजा इस्राएल के बीच में साहुल लगाऊंगा।

Aur Yahowa ne mujh se kaha, he aamos, tujhe kya dekh padta hai? Main ne kaha, ek sahul. Tab Parmeshwar ne kaha, dekh, main apni praja Israel ke beech mein sahul lagaoonga.

9

मैं अब उन को न छोडूंगा। इसहाक के ऊंचे स्थान उजाड़, और इस्राएल के पवित्र स्थान सुनसान हो जाएंगे, और मैं यारोबाम के घराने पर तलवार खींचे हुए चढ़ाई करूंगा॥

Main ab un ko na chhodoonga. Ishaq ke oonche sthaan ujaad, aur Israel ke pavitra sthaan sunsaan ho jayenge, aur main yarobaam ke gharane par talvaar kheenche hue chadhai karoonga.

10

तब बेतेल के याजक अमस्याह ने इस्राएल के राजा यारोबाम के पास कहला भेजा, कि, आमोस ने इस्राएल के घराने के बीच में तुझ से राजद्रोह की गोष्ठी की है; उसके सारे वचनों को देश नहीं सह सकता।

Tab betel ke yajak amasyaah ne Israel ke raja yarobaam ke paas kahla bheja, ki, aamos ne Israel ke gharane ke beech mein tujh se rajadroh ki goshthi ki hai; uske sare vachnon ko desh nahi sah sakta.

11

क्योंकि आमोस यों कहता है, कि, यारोबाम तलवार से मारा जाएगा, और इस्राएल अपनी भूमि पर से निश्चय बंधुआई में जाएगा॥

Kyonki aamos yon kahta hai, ki, yarobaam talvaar se mara jayega, aur Israel apni bhoomi par se nishchay bandhuaai mein jayega.

12

और अमस्याह ने आमोस से कहा, हे दर्शी, यहां से निकल कर यहूदा देश में भाग जा, और वहीं रोटी खाया कर, और वहीं भविष्यद्वाणी किया कर;

Aur amasyaah ne aamos se kaha, he darshi, yahan se nikal kar Yahuda desh mein bhaag ja, aur vahi roti khaya kar, aur vahi bhavishyadwani kiya kar;

13

परन्तु बेतेल में फिर कभी भविष्यद्वाणी न करना, क्योंकि यह राजा का पवित्र स्थान और राज-नगर है।

Parantu betel mein phir kabhi bhavishyadwani na karna, kyonki yah raja ka pavitra sthaan aur raaj-nagar hai.

14

आमोस ने उत्तर देकर अमस्याह से कहा, मैं ने तो भविष्यद्वक्ता था, और न भविष्यद्वक्ता का बेटा; मैं तो गाय-बैल का चरवाहा, और गूलर के वृक्षों का छांटनेहारा था,

Aamos ne uttar dekar amasyaah se kaha, main ne to bhavishyadwakta tha, aur na bhavishyadwakta ka beta; main to gaay-bail ka charvaha, aur goolar ke vrikshon ka chhantnehara tha,

15

और यहोवा ने मुझे भेड़-बकरियों के पीछे पीछे फिरने से बुला कर कहा, जा, मेरी प्रजा इस्राएल से भविष्यद्वाणी कर।

Aur Yahowa ne mujhe bhed-bakriyon ke peechhe peechhe phirne se bula kar kaha, ja, meri praja Israel se bhavishyadwani kar.

16

इसलिये अब तू यहोवा का वचन सुन, तू कहता है कि इस्राएल के विरुद्ध भविष्यद्वाणी मत कर; और इसहाक के घराने के विरुद्ध बार बार वचन मत सुना।

Isliye ab tu Yahowa ka vachan sun, tu kahta hai ki Israel ke viruddh bhavishyadwani mat kar; aur Ishaq ke gharane ke viruddh baar baar vachan mat suna.

17

इस कारण यहोवा यों कहता है, तेरी स्त्री नगर में वेश्या हो जाएगी, और तेरे बेटे-बेटियां तलवार से मारी जाएंगी, और तेरी भूमि डोरी डाल कर बांट ली जाएगीं; और तू आप अशुद्ध देश में मरेगा, और इस्राएल अपनी भूमि पर से निश्चय बंधुआई में जाएगा॥

Is karan Yahowa yon kahta hai, teri stri nagar mein veshya ho jayegi, aur tere bete-betiyan talvaar se mari jayengi, aur teri bhoomi dori daal kar baant li jayegi; aur tu aap ashuddh desh mein marega, aur Israel apni bhoomi par se nishchay bandhuaai mein jayega.