Amos 6 · 14 verses

आमोस 6 Amos 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Aamos 6.

1

हाय उन पर जो सिय्योन में सुख से रहते, और उन पर जो सामरिया के पर्वत पर निश्चिन्त रहते हैं, वे जो श्रेष्ट जाति में प्रसिद्ध हैं, जिन के पास इस्राएल का घराना आता है!

Haay un par jo siyyon mein sukh se rahte, aur un par jo samriya ke parvat par nishchint rahte hain, ve jo shresht jati mein prasiddh hain, jin ke paas Israel ka gharana aata hai!

2

कलने नगर को जा कर देखो, और वहां से हमात नाम बड़े नगर को जाओ; फिर पलिश्तियों के गत नगर को जाओ। क्या वे इन राज्यों से उत्तम हैं? क्या उनका देश तुम्हारे देश से कुछ बड़ा है?

Kalne nagar ko ja kar dekho, aur vahan se hamaat naam bade nagar ko jao; phir palishtiyon ke gat nagar ko jao. Kya ve in rajyon se uttam hain? Kya unka desh tumhare desh se kuchh bada hai?

3

तुम बुरे दिन को दूर कर देते, और उपद्रव की गद्दी को निकट ले आते हो॥

Tum bure din ko door kar dete, aur upadrav ki gaddi ko nikat le aate ho.

4

तुम हाथी दांत के पलंगों पर लेटते, और अपने अपने बिछौने पर पांव फैलाए सोते हो, और भेड़-बकरियों में से मेम्ने और गौशालाओं में से बछड़े खाते हो।

Tum hathi daant ke palangon par lette, aur apne apne bichhaune par paanv phailaye sote ho, aur bhed-bakriyon mein se memne aur gaushalaon mein se bachhde khate ho.

5

तुम सारंगी के साथ गीत गाते, और दाऊद की नाईं भांति भांति के बाजे बुद्धि से निकालते हो;

Tum sarangi ke saath geet gate, aur Daud ki nai bhanti bhanti ke baje buddhi se nikalte ho;

6

और कटोरों में से दाखमधु पीते, और उत्तम उत्तम तेल लगाते हो, परन्तु यूसुफ पर आने वाली विपत्ति का हाल सुन कर शोकित नहीं होते।

Aur katoron mein se dakhamdhu peete, aur uttam uttam tel lagate ho, parantu Yusuf par aane vali vipatti ka haal sun kar shokit nahi hote.

7

इस कारण वे अब बंधुआई में पहिले जाएंगे, और जो पांव फैलाए सोते थे, उनकी धूम जाती रहेगी॥

Is karan ve ab bandhuaai mein pahile jayenge, aur jo paanv phailaye sote the, unki dhoom jati rahegi.

8

सेनाओं के परमेश्वर यहोवा की यह वाणी है, (परमेश्वर यहोवा ने अपनी ही शपथ खाकर कहा है): जिस पर याकूब घमण्ड करता है, उस से मैं घृणा, और उसे राजभवनों से बैर रखता हूं; और मैं इस नगर को उस सब समेत जो उस में हैं, शत्रु के वश में कर दूंगा॥

Senaon ke Parmeshwar Yahowa ki yah vani hai, (Parmeshwar Yahowa ne apni hi shapath khakar kaha hai): jis par Yakub ghamand karta hai, us se main ghrina, aur use rajbhavnon se bair rakhta hoon; aur main is nagar ko us sab samet jo us mein hain, shatru ke vash mein kar doonga.

9

और यदि किसी घर में दस पुरूष बचे रहें, तौभी वे मर जाएंगे।

Aur yadi kisi ghar mein das puroosh bache rahein, taubhi ve mar jayenge.

10

और जब किसी का चचा, जो उसका जलाने वाला हो, उसकी हड्डियों को घर के निकालने के लिये उठाएगा, और जो घर के कोने में हो उस से कहेगा, क्या तेरे पास कोई और है? तब वह कहेगा, कोई नहीं; तब वह कहेगा, चुप रहे! हमें यहोवा का नाम नहीं लेना चाहिए॥

Aur jab kisi ka chacha, jo uska jalane vala ho, uski haddiyon ko ghar ke nikalne ke liye uthayega, aur jo ghar ke kone mein ho us se kahega, kya tere paas koi aur hai? Tab vah kahega, koi nahi; tab vah kahega, chup rahe! Hamein Yahowa ka naam nahi lena chahiye.

11

क्योंकि यहोवा की आज्ञा से बड़े घर में छेद, और छोटे घर में दरार होगी।

Kyonki Yahowa ki aagya se bade ghar mein chhed, aur chhote ghar mein daraar hogi.

12

क्या घोड़े चट्टान पर दौड़ें? क्या कोई ऐसे स्थान में बैलों से जोतें जहां तुम लोगों ने न्याय को विष से, और धर्म के फल को कड़वे फल से बदल डाला है?

Kya ghode chattaan par daudein? Kya koi aise sthaan mein bailon se jotein jahan tum logon ne nyaay ko vish se, aur dharm ke phal ko kadve phal se badal dala hai?

13

तुम ऐसी वस्तु के कारण आनन्द करते हो जो व्यर्थ है; और कहते हो, क्या हम अपने ही यत्न से सामर्थी नहीं हो गए?

Tum aisi vastu ke karan aanand karte ho jo vyarth hai; aur kahte ho, kya ham apne hi yatn se samarthi nahi ho gaye?

14

इस कारण सेनाओं के परमेश्वर यहोवा की यह वाणी है, हे इस्राएल के घराने, देख, मैं तुम्हारे विरुद्ध एक ऐसी जाति खड़ी करूंगा, जो हमात की घाटी से ले कर अराबा की नदी तक तुम को संकट में डालेगी॥

Is karan senaon ke Parmeshwar Yahowa ki yah vani hai, he Israel ke gharane, dekh, main tumhare viruddh ek aisi jati khadi karoonga, jo hamaat ki ghati se le kar araba ki nadi tak tum ko sankat mein dalegi.