हे इस्राएल के घराने, इस विलाप के गीत के वचन सुन जो मैं तुम्हारे विषय में कहता हूं:
He Israel ke gharane, is vilaap ke geet ke vachan sun jo main tumhare vishay mein kahta hoon:
Amos 5 · 27 verses
हे इस्राएल के घराने, इस विलाप के गीत के वचन सुन जो मैं तुम्हारे विषय में कहता हूं:
He Israel ke gharane, is vilaap ke geet ke vachan sun jo main tumhare vishay mein kahta hoon:
इस्राएल की कुमारी कन्या गिर गई, और फिर उठ न सकेगी; वह अपनी ही भूमि पर पटक दी गई है, और उसका उठाने वाला कोई नहीं॥
Israel ki kumari kanya gir gai, aur phir uth na sakegi; vah apni hi bhoomi par patak di gai hai, aur uska uthane vala koi nahi.
क्योंकि परमेश्वर यहोवा यों कहता है, जिस नगर से हजार निकलते थे, उस में इस्राएल के घराने के सौ ही बचे रहेंगे, और जिस से सौ निकलते थे, उस में दस बचे रहेंगे॥
Kyonki Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, jis nagar se hajaar nikalte the, us mein Israel ke gharane ke sau hi bache rahenge, aur jis se sau nikalte the, us mein das bache rahenge.
यहोवा, इस्राएल के घराने से यों कहता है, मेरी खोज में लगो, तब जीवित रहोगे।
Yahowa, Israel ke gharane se yon kahta hai, meri khoj mein lago, tab jeevit rahoge.
बेतेल की खोज में न लगो, न गिल्गाल में प्रवेश करो, और न बर्शेबा को जाओ; क्योंकि गिल्गाल निश्चय बंधुआई में जाएगा, और बेतेल सूना पड़ेगा॥
Betel ki khoj mein na lago, na gilgaal mein pravesh karo, aur na barsheba ko jao; kyonki gilgaal nishchay bandhuaai mein jayega, aur betel soona padega.
यहोवा की खोज करो, तब जीवित रहोगे, नहीं तो वह यूसुफ के घराने पर आग की नाईं भड़केगा, और वह उसे भस्म करेगी, और बेतेल में कोई उसका बुझाने वाला न होगा।
Yahowa ki khoj karo, tab jeevit rahoge, nahi to vah Yusuf ke gharane par aag ki nai bhadkega, aur vah use bhasm karegi, aur betel mein koi uska bujhane vala na hoga.
हे न्याय के बिगाड़ने वालों और धर्म को मिट्टी में मिलाने वालों!
He nyaay ke bigadne valon aur dharm ko mitti mein milane valon!
जो कचपचिया और मृगशिरा का बनाने वाला है, जो घोर अन्धकार को भोर का प्रकाश बनाता है, जो दिन को अन्धकार कर के रात बना देता है, और समुद्र का जल स्थल के ऊपर बहा देता है, उसका नाम यहोवा है।
Jo kachapchiya aur mrigshira ka banane vala hai, jo ghor andhakaar ko bhor ka prakaash banata hai, jo din ko andhakaar kar ke raat bana deta hai, aur samudra ka jal sthal ke oopar baha deta hai, uska naam Yahowa hai.
वह तुरन्त ही बलवन्त को विनाश कर देता, और गढ़ का भी सत्यानाश करता है॥
Vah turant hi balvant ko vinaash kar deta, aur gadh ka bhi satyanaash karta hai.
जो सभा में उलाहना देता है उस से वे बैर रखते हैं, और खरी बात बोलने वाले से घृणा करते हैं।
Jo sabha mein ulahna deta hai us se ve bair rakhte hain, aur khari baat bolne vale se ghrina karte hain.
तुम जो कंगालों को लताड़ा करते, और भेंट कहकर उस से अन्न हर लेते हो, इसलिये जो घर तुम ने गढ़े हुए पत्थरों के बनाए हैं, उन में रहने न पाओगे; और जो मनभावनी दाख की बारियां तुम ने लगाई हैं, उनका दाखमधु न पीने पाओगे।
Tum jo kangalon ko latada karte, aur bhent kahkar us se ann har lete ho, isliye jo ghar tum ne gadhe hue pattharon ke banaye hain, un mein rahne na paoge; aur jo manbhavni daakh ki bariyan tum ne lagai hain, unka dakhamdhu na peene paoge.
क्योंकि मैं जानता हूं कि तुम्हारे पाप भारी हैं। तुम धर्मी को सताते और घूस लेते, और फाटक में दरिद्रों का न्याय बिगाड़ते हो।
Kyonki main janta hoon ki tumhare paap bhari hain. Tum dharmi ko satate aur ghoos lete, aur phatak mein daridron ka nyaay bigadte ho.
इस कारण जो बुद्धिमान् हो, वह ऐसे समय चुपका रहे, क्योंकि समय बुरा है॥
Is karan jo buddhimaan ho, vah aise samay chupka rahe, kyonki samay bura hai.
हे लोगो, बुराई को नहीं, भलाई को ढूंढ़ो, ताकि तुम जीवित रहो; और तुम्हारा यह कहना सच ठहरे कि सेनाओं का परमेश्वर यहोवा तुम्हारे संग है।
He logo, burai ko nahi, bhalai ko dhoondho, taki tum jeevit raho; aur tumhara yah kahna sach thahre ki senaon ka Parmeshwar Yahowa tumhare sang hai.
बुराई से बैर और भलाई से प्रीति रखो, और फाटक में न्याय को स्थिर करो; क्या जाने सेनाओं का परमेश्वर यहोवा यूसुफ से बचे हुओं पर अनुग्रह करे॥
Burai se bair aur bhalai se preeti rakho, aur phatak mein nyaay ko sthir karo; kya jane senaon ka Parmeshwar Yahowa Yusuf se bache huon par anugrah kare.
इस कारण सेनाओं का परमेश्वर, प्रभु यहोवा यों कहता है, सब चौकों में रोना-पीटना होगा; और सब सड़कों में लोग हाय, हाय, करेंगे! वे किसानों को शोक करने के लिये, और जो लोग विलाप करने में निपुण हैं, उन्हें रोने-पीटने को बुलाएंगे।
Is karan senaon ka Parmeshwar, Prabhu Yahowa yon kahta hai, sab chaukon mein rona-peetna hoga; aur sab sadkon mein log haay, haay, karenge! Ve kisanon ko shok karne ke liye, aur jo log vilaap karne mein nipun hain, unhein rone-peetne ko bulayenge.
और सब दाख की बारियों में रोना-पीटना होगा, क्योंकि यहोवा यों कहता है, मैं तुम्हारे बीच में से हो कर जाऊंगा।
Aur sab daakh ki bariyon mein rona-peetna hoga, kyonki Yahowa yon kahta hai, main tumhare beech mein se ho kar jaoonga.
हाय तुम पर, जो यहोवा के दिन की अभिलाषा करते हो! यहोवा के दिन से तुम्हारा क्या लाभ होगा? वह जो उजियाले का नहीं, अन्धियारे का दिन होगा।
Haay tum par, jo Yahowa ke din ki abhilasha karte ho! Yahowa ke din se tumhara kya laabh hoga? Vah jo ujiyale ka nahi, andhiyare ka din hoga.
जैसा कोई सिंह से भागे और उसे भालू मिले; वा घर में आकर भीत पर हाथ टेके और सांप उसको डसे।
Jaisa koi sinh se bhage aur use bhalu mile; va ghar mein aakar bheet par haath teke aur saamp usko dase.
क्या यह सच नहीं है कि यहोवा का दिन उजियाले का नहीं, वरन अन्धियारे ही का होगा? हां, ऐसे घोर अन्धकार का जिस में कुछ भी चमक न हो॥
Kya yah sach nahi hai ki Yahowa ka din ujiyale ka nahi, varan andhiyare hi ka hoga? Han, aise ghor andhakaar ka jis mein kuchh bhi chamak na ho.
मैं तुम्हारे पर्वों से बैर रखता, और उन्हें निकम्मा जानता हूं, और तुम्हारी महासभाओं से मैं प्रसन्न नहीं।
Main tumhare parvon se bair rakhta, aur unhein nikamma janta hoon, aur tumhari mahasbhaon se main prasann nahi.
चाहे तुम मेरे लिये होमबलि और अन्नबलि चढ़ाओ, तौभी मैं प्रसन्न न हूंगा, और तुम्हारे पाले हुए पशुओं के मेलबलियों की ओर न ताकूंगा।
Chahe tum mere liye homabli aur annabli chadhao, taubhi main prasann na hoonga, aur tumhare pale hue pashuon ke melabliyon ki or na takoonga.
अपने गीतों का कोलाहल मुझ से दूर करो; तुम्हारी सारंगियों का सुर मैं न सुनूंगा।
Apne geeton ka kolahal mujh se door karo; tumhari sarangiyon ka sur main na sunoonga.
परन्तु न्याय को नदी की नाईं, और धर्म महानद की नाईं बहने दो।
Parantu nyaay ko nadi ki nai, aur dharm mahanad ki nai bahne do.
हे इस्राएल के घराने, तुम जंगल में चालीस वर्ष तक पशुबलि और अन्नबलि क्या मुझी को चढ़ाते रहे?
He Israel ke gharane, tum jangal mein chalees varsh tak pashubli aur annabli kya mujhi ko chadhate rahe?
नहीं, तुम तो अपने राजा का तम्बू, और अपनी मूरतों की चरणपीठ, और अपने देवता का तारा लिए फिरते रहे।
Nahi, tum to apne raja ka tambu, aur apni moorton ki charanpeeth, aur apne devta ka tara liye phirte rahe.
इस कारण मैं तुम को दमिश्क के उस पार बंधुआई में कर दूंगा, सेनाओं के परमेश्वर यहोवा का यही वचन है॥
Is karan main tum ko damishk ke us paar bandhuaai mein kar doonga, senaon ke Parmeshwar Yahowa ka yahi vachan hai.