पर यह जान रख, कि अन्तिम दिनों में कठिन समय आएंगे।
Par yah jaan rakh, ki antim dinon mein kathin samay aayenge.
2 Timothy 3 · 17 verses
पर यह जान रख, कि अन्तिम दिनों में कठिन समय आएंगे।
Par yah jaan rakh, ki antim dinon mein kathin samay aayenge.
क्योंकि मनुष्य अपस्वार्थी, लोभी, डींगमार, अभिमानी, निन्दक, माता-पिता की आज्ञा टालने वाले, कृतघ्न, अपवित्र।
Kyonki manushya apaswarthi, lobhi, deengmaar, abhimani, nindak, mata-pita ki aagya talne vale, kritaghn, apvitra.
दयारिहत, क्षमारिहत, दोष लगाने वाले, असंयमी, कठोर, भले के बैरी।
Dayarihat, kshamarihat, dosh lagane vale, asanymi, kathor, bhale ke bairi.
विश्वासघाती, ढीठ, घमण्डी, और परमेश्वर के नहीं वरन सुखविलास ही के चाहने वाले होंगे।
Vishwasghati, dheeth, ghamandi, aur Parmeshwar ke nahi varan sukhvilaas hi ke chahne vale honge.
वे भक्ति का भेष तो धरेंगे, पर उस की शक्ति को न मानेंगे; ऐसों से परे रहना।
Ve bhakti ka bhesh to dharenge, par us ki shakti ko na manenge; aison se pare rahna.
इन्हीं में से वे लोग हैं, जो घरों में दबे पांव घुस आते हैं और छिछौरी स्त्रियों को वश में कर लेते हैं, जो पापों से दबी और हर प्रकार की अभिलाषाओं के वश में हैं।
Inhi mein se ve log hain, jo gharon mein dabe paanv ghus aate hain aur chhichhauri striyon ko vash mein kar lete hain, jo papon se dabi aur har prakaar ki abhilashaon ke vash mein hain.
और सदा सीखती तो रहती हैं पर सत्य की पहिचान तक कभी नहीं पहुंचतीं।
Aur sada seekhti to rahti hain par satya ki pahichaan tak kabhi nahi pahunchti.
और जैसे यन्नेस और यम्ब्रेस ने मूसा का विरोध किया था वैसे ही ये भी सत्य का विरोध करते हैं: ये तो ऐसे मनुष्य हैं, जिन की बुद्धि भ्रष्ट हो गई है और वे विश्वास के विषय में निकम्मे हैं।
Aur jaise yannes aur yambres ne Musa ka virodh kiya tha vaise hi ye bhi satya ka virodh karte hain: ye to aise manushya hain, jin ki buddhi bhrasht ho gai hai aur ve vishwaas ke vishay mein nikamme hain.
पर वे इस से आगे नहीं बढ़ सकते, क्योंकि जैसे उन की अज्ञानता सब मनुष्यों पर प्रगट हो गई थी, वैसे ही इन की भी हो जाएगी।
Par ve is se aage nahi badh sakte, kyonki jaise un ki agyanta sab manushyon par pragat ho gai thi, vaise hi in ki bhi ho jayegi.
पर तू ने उपदेश, चाल चलन, मनसा, विश्वास, सहनशीलता, प्रेम, धीरज, और सताए जाने, और दुख उठाने में मेरा साथ दिया।
Par tu ne updesh, chaal chalan, mansa, vishwaas, sahansheelta, prem, dheeraj, aur sataye jane, aur dukh uthane mein mera saath diya.
और ऐसे दुखों में भी जो अन्ताकिया और इकुनियुम और लुस्त्रा में मुझ पर पड़े थे और और दुखों में भी, जो मैं ने उठाए हैं; परन्तु प्रभु ने मुझे उन सब से छुड़ा लिया।
Aur aise dukhon mein bhi jo antakiya aur ikuniyum aur lustra mein mujh par pade the aur aur dukhon mein bhi, jo main ne uthaye hain; parantu Prabhu ne mujhe un sab se chhuda liya.
पर जितने मसीह यीशु में भक्ति के साथ जीवन बिताना चाहते हैं वे सब सताए जाएंगे।
Par jitne Masih Yeshu mein bhakti ke saath jeevan bitana chahte hain ve sab sataye jayenge.
और दुष्ट, और बहकाने वाले धोखा देते हुए, और धोखा खाते हुए, बिगड़ते चले जाएंगे।
Aur dusht, aur bahkane vale dhokha dete hue, aur dhokha khate hue, bigadte chale jayenge.
पर तू इन बातों पर जो तू ने सीखीं हैं और प्रतीति की थी, यह जानकर दृढ़ बना रह; कि तू ने उन्हें किन लोगों से सीखा था
Par tu in baton par jo tu ne seekhi hain aur prateeti ki thi, yah jankar dridh bana rah; ki tu ne unhein kin logon se seekha tha
और बालकपन से पवित्र शास्त्र तेरा जाना हुआ है, जो तुझे मसीह पर विश्वास करने से उद्धार प्राप्त करने के लिये बुद्धिमान बना सकता है।
Aur balakpan se pavitra shastra tera jana huaa hai, jo tujhe Masih par vishwaas karne se uddhaar praapt karne ke liye buddhimaan bana sakta hai.
हर एक पवित्रशास्त्र परमेश्वर की प्रेरणा से रचा गया है और उपदेश, और समझाने, और सुधारने, और धर्म की शिक्षा के लिये लाभदायक है।
Har ek pavitrashastra Parmeshwar ki prerna se racha gaya hai aur updesh, aur samjhane, aur sudharne, aur dharm ki shiksha ke liye labhdayak hai.
ताकि परमेश्वर का जन सिद्ध बने, और हर एक भले काम के लिये तत्पर हो जाए॥
Taki Parmeshwar ka jan siddh bane, aur har ek bhale kaam ke liye tatpar ho jaye.