2 Thessalonians 1 · 12 verses

2 थिस्सलुनीकियों 1 2 Thessalonians 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 thissaluneekiyon 1.

1

पौलुस और सिलवानुस और तीमुथियुस की ओर से थिस्सलुनीकियों की कलीसिया के नाम, जो हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह में है॥

Paulus aur silvanus aur teemuthiyus ki or se thissaluneekiyon ki kaleesiya ke naam, jo hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih mein hai.

2

हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह से तुम्हें अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे॥

Hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih se tumhein anugrah aur shanti milti rahe.

3

हे भाइयो, तुम्हारे विषय में हमें हर समय परमेश्वर का धन्यवाद करना चाहिए, और यह उचित भी है इसलिये कि तुम्हारा विश्वास बहुत बढ़ता जाता है, और तुम सब का प्रेम आपस में बहुत ही होता जाता है।

He bhaiyo, tumhare vishay mein hamein har samay Parmeshwar ka dhanyavaad karna chahiye, aur yah uchit bhi hai isliye ki tumhara vishwaas bahut badhta jata hai, aur tum sab ka prem aapas mein bahut hi hota jata hai.

4

यहां तक कि हम आप परमेश्वर की कलीसिया में तुम्हारे विषय में घमण्ड करते हैं, कि जितने उपद्रव और क्लेश तुम सहते हो, उन सब में तुम्हारा धीरज और विश्वास प्रगट होता है।

Yahan tak ki ham aap Parmeshwar ki kaleesiya mein tumhare vishay mein ghamand karte hain, ki jitne upadrav aur klesh tum sahte ho, un sab mein tumhara dheeraj aur vishwaas pragat hota hai.

5

यह परमेश्वर के सच्चे न्याय का स्पष्ट प्रमाण है; कि तुम परमेश्वर के राज्य के योग्य ठहरो, जिस के लिये तुम दुख भी उठाते हो।

Yah Parmeshwar ke sachche nyaay ka spasht pramaan hai; ki tum Parmeshwar ke rajya ke yogya thahro, jis ke liye tum dukh bhi uthate ho.

6

क्योंकि परमेश्वर के निकट यह न्याय है, कि जो तुम्हें क्लेश देते हैं, उन्हें बदले में क्लेश दे।

Kyonki Parmeshwar ke nikat yah nyaay hai, ki jo tumhein klesh dete hain, unhein badle mein klesh de.

7

और तुम्हें जो क्लेश पाते हो, हमारे साथ चैन दे; उस समय जब कि प्रभु यीशु अपने सामर्थी दूतों के साथ, धधकती हुई आग में स्वर्ग से प्रगट होगा।

Aur tumhein jo klesh pate ho, hamare saath chain de; us samay jab ki Prabhu Yeshu apne samarthi dooton ke saath, dhadhakti hui aag mein swarg se pragat hoga.

8

और जो परमेश्वर को नहीं पहचानते, और हमारे प्रभु यीशु के सुसमाचार को नहीं मानते उन से पलटा लेगा।

Aur jo Parmeshwar ko nahi pahchante, aur hamare Prabhu Yeshu ke susmachaar ko nahi mante un se palta lega.

9

वे प्रभु के साम्हने से, और उसकी शक्ति के तेज से दूर होकर अनन्त विनाश का दण्ड पाएंगे।

Ve Prabhu ke samhane se, aur uski shakti ke tej se door hokar anant vinaash ka dand payenge.

10

यह उस दिन होगा, जब वह अपने पवित्र लोगों में महिमा पाने, और सब विश्वास करने वालों में आश्चर्य का कारण होने को आएगा; क्योंकि तुम ने हमारी गवाही की प्रतीति की।

Yah us din hoga, jab vah apne pavitra logon mein mahima pane, aur sab vishwaas karne valon mein aashcharya ka karan hone ko aayega; kyonki tum ne hamari gavahi ki prateeti ki.

11

इसी लिये हम सदा तुम्हारे निमित्त प्रार्थना भी करते हैं, कि हमारा परमेश्वर तुम्हें इस बुलाहट के योग्य समझे, और भलाई की हर एक इच्छा, और विश्वास के हर एक काम को सामर्थ सहित पूरा करे।

Isi liye ham sada tumhare nimitt prarthana bhi karte hain, ki hamara Parmeshwar tumhein is bulahat ke yogya samjhe, aur bhalai ki har ek ichchha, aur vishwaas ke har ek kaam ko samarth sahit poora kare.

12

कि हमारे परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह के अनुग्रह के अनुसार हमारे प्रभु यीशु का नाम तुम में महिमा पाए, और तुम उस में॥

Ki hamare Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih ke anugrah ke anusaar hamare Prabhu Yeshu ka naam tum mein mahima paye, aur tum us mein.