2 Samuel 8 · 18 verses

2 शमूएल 8 2 Samuel 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 8.

1

इसके बाद दाऊद ने पलिश्तियों को जीतकर अपने आधीन कर लिया, और दाऊद ने पलिश्तियों की राजधानी की प्रभुता उनके हाथ से छीन ली।

Iske baad Daud ne palishtiyon ko jeetkar apne aadheen kar liya, aur Daud ne palishtiyon ki rajdhani ki prabhuta unke haath se chheen li.

2

फिर उसने मोआबियों को भी जीता, और इन को भूमि पर लिटाकर डोरी से मापा; तब दो डोरी से लोगों को मापकर घात किया, और डोरी भर के लोगों को जीवित छोड़ दिया। तब मोआबी दाऊद के आधीन हो कर भेंट ले आने लगे।

Phir usne moaabiyon ko bhi jeeta, aur in ko bhoomi par litakar dori se mapa; tab do dori se logon ko mapkar ghaat kiya, aur dori bhar ke logon ko jeevit chhod diya. Tab moaabi Daud ke aadheen ho kar bhent le aane lage.

3

फिर जब सोबा का राजा रहोब का पुत्र हददेजेर महानद के पास अपना राज्य फिर ज्यों का त्यों करने को जा रहा था, तब दाऊद ने उसको जीत लिया।

Phir jab soba ka raja rahob ka putra haddejer mahanad ke paas apna rajya phir jyon ka tyon karne ko ja raha tha, tab Daud ne usko jeet liya.

4

और दाऊद ने उस से एक हजार सात सौ सवार, और बीस हजार प्यादे छीन लिए; और सब रथ वाले घोड़ों के सुम की नस कटवाई, परन्तु एक सौ रथ वाले घोड़े बचा रखे।

Aur Daud ne us se ek hajaar saat sau savaar, aur bees hajaar pyade chheen liye; aur sab rath vale ghodon ke sum ki nas katvai, parantu ek sau rath vale ghode bacha rakhe.

5

और जब दमिश्क के अरामी सोबा के राजा हददेजेर की सहायता करने को आए, तब दाऊद ने अरामियों में से बाईस हज़ार पुरुष मारे।

Aur jab damishk ke arami soba ke raja haddejer ki sahayta karne ko aaye, tab Daud ne aramiyon mein se bais hazaar purush mare.

6

तब दाऊद ने दमिश्क में अराम के सिपाहियों की चौकियां बैठाई; इस प्रकार अरामी दाऊद के आधीन हो कर भेंट ले आने लगे। और जहां जहां दाऊद जाता था वहां वहां यहोवा उसको जयवन्त करता था।

Tab Daud ne damishk mein araam ke sipahiyon ki chaukiyan baithai; is prakaar arami Daud ke aadheen ho kar bhent le aane lage. Aur jahan jahan Daud jata tha vahan vahan Yahowa usko jayvant karta tha.

7

और हददेजेर के कर्मचारियों के पास सोने की जो ढालें थीं उन्हें दाऊद ले कर यरूशलेम को आया।

Aur haddejer ke karmachariyon ke paas sone ki jo dhalein thi unhein Daud le kar Yerushalem ko aaya.

8

और बेतह और बरौतै नाम हददेजेर के नगरों से दाऊद राजा बहुत सा पीतल ले आया।

Aur betah aur barautai naam haddejer ke nagron se Daud raja bahut sa peetal le aaya.

9

और जब हमात के राजा तोई ने सुना कि दाऊद ने हददेजेर की समस्त सेना को जीत लिया है,

Aur jab hamaat ke raja toi ne suna ki Daud ne haddejer ki samast sena ko jeet liya hai,

10

तब तोई ने योराम नाम अपने पुत्र को दाऊद राजा के पास उसका कुशल क्षेम पूछने, और उसे इसलिये बधाई देने को भेजा, कि उसने हददेजेर से लड़ कर उसको जीत लिया था; क्योंकि हददेजेर तोई से लड़ा करता था। और योराम चांदी, सोने और पीतल के पात्र लिए हुए आया।

Tab toi ne yoraam naam apne putra ko Daud raja ke paas uska kushal kshem poochhne, aur use isliye badhai dene ko bheja, ki usne haddejer se lad kar usko jeet liya tha; kyonki haddejer toi se lada karta tha. Aur yoraam chandi, sone aur peetal ke patra liye hue aaya.

11

इन को दाऊद राजा ने यहोवा के लिये पवित्र करके रखा; और वैसा ही अपने जीती हुई सब जातियों के सोने चांदी से भी किया,

In ko Daud raja ne Yahowa ke liye pavitra karke rakha; aur vaisa hi apne jeeti hui sab jatiyon ke sone chandi se bhi kiya,

12

अर्थात अरामियों, मोआबियों, अम्मोनियों, पलिश्तियों, और अमालेकियों के सोने चांदी को, और रहोब के पुत्र सोबा के राजा हददेजेर की लूट को भी रखा।

Arthaat aramiyon, moaabiyon, ammoniyon, palishtiyon, aur amalekiyon ke sone chandi ko, aur rahob ke putra soba ke raja haddejer ki loot ko bhi rakha.

13

और जब दाऊद लोमवाली तराई में अठारह हजार अरामियों को मार के लौट आया, तब उसका बड़ा नाम हो गया।

Aur jab Daud lomvali tarai mein atharah hajaar aramiyon ko maar ke laut aaya, tab uska bada naam ho gaya.

14

फिर उसने एदोम में सिपाहियों की चौकियां बैठाई; पूरे एदोम में उसने सिपाहियों की चौकियां। बैठाई, और सब एदोमी दाऊद के आधीन हो गए। और दाऊद जहां जहां जाता था वहां वहां यहोवा उसको जयवन्त करता था।

Phir usne edom mein sipahiyon ki chaukiyan baithai; poore edom mein usne sipahiyon ki chaukiyan. Baithai, aur sab edomi Daud ke aadheen ho gaye. Aur Daud jahan jahan jata tha vahan vahan Yahowa usko jayvant karta tha.

15

(दाऊद के कर्मचारियों की नामावली ) दाऊद तो समस्त इस्राएल पर राज्य करता था, और दाऊद अपनी समस्त प्रजा के साथ न्याय और धर्म के काम करता था।

(Daud ke karmachariyon ki namavli ) Daud to samast Israel par rajya karta tha, aur Daud apni samast praja ke saath nyaay aur dharm ke kaam karta tha.

16

और प्रधान सेनापति सरूयाह का पुत्र योआब था; इतिहास का लिखने वाला अहीलूद का पुत्र यहोशापात था;

Aur pradhaan senapti sarooyaah ka putra yoaab tha; itihaas ka likhne vala aheelood ka putra yahoshapaat tha;

17

प्रधान याजक अहीतूब का पुत्र सादोक और एब्यातार का पुत्र अहीमेलेक थे; मंत्री सरायाह था;

Pradhaan yajak aheetoob ka putra sadok aur ebyataar ka putra aheemelek the; mantri sarayaah tha;

18

करेतियो और पकेतियों का प्रधान यहोयादा का पुत्र बनायाह था; और दाऊद के पुत्र भी मंत्री थे।

Karetiyo aur paketiyon ka pradhaan yahoyada ka putra banayaah tha; aur Daud ke putra bhi mantri the.