2 Samuel 7 · 29 verses

2 शमूएल 7 2 Samuel 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 7.

1

जब राजा अपने भवन में रहता था, और यहोवा ने उसको उसके चारों ओर के सब शत्रुओं से विश्राम दिया था,

Jab raja apne bhavan mein rahta tha, aur Yahowa ne usko uske charon or ke sab shatruon se vishraam diya tha,

2

तब राजा नातान नाम भविष्यद्वक्ता से कहने लगा, देख, मैं तो देवदारु के बने हुए घर में रहता हूँ, परन्तु परमेश्वर का सन्दूक तम्बू में रहता है।

Tab raja nataan naam bhavishyadwakta se kahne laga, dekh, main to devdaru ke bane hue ghar mein rahta hoon, parantu Parmeshwar ka sandook tambu mein rahta hai.

3

नातान ने राजा से कहा, जो कुछ तेरे मन में हो उसे कर; क्योंकि यहोवा तेरे संग है।

Nataan ne raja se kaha, jo kuchh tere man mein ho use kar; kyonki Yahowa tere sang hai.

4

उसी दिन रात को यहोवा का यह वचन नातान के पास पहुंचा,

Usi din raat ko Yahowa ka yah vachan nataan ke paas pahuncha,

5

कि जा कर मेरे दास दाऊद से कह, यहोवा यों कहता है, कि क्या तू मेरे निवास के लिये घर बनवाएगा?

Ki ja kar mere daas Daud se kah, Yahowa yon kahta hai, ki kya tu mere nivaas ke liye ghar banvayega?

6

जिस दिन से मैं इस्रालिएयों को मिस्र से निकाल लाया आज के दिन तक मैं कभी घर में नहीं रहा, तम्बू के निवास में आया जाया करता हूँ।

Jis din se main israliyeyon ko Misr se nikaal laya aaj ke din tak main kabhi ghar mein nahi raha, tambu ke nivaas mein aaya jaya karta hoon.

7

जहां जहां मैं समस्त इस्राएलियों के बीच फिरता रहा, क्या मैं ने कहीं इस्राएल के किसी गोत्र से, जिसे मैं ने अपनी प्रजा इस्राएल की चरवाही करने को ठहराया हो, ऐसी बात कभी कही, कि तुम ने मेरे लिऐ देवदारु का घर क्यों नहीं बनवाया?

Jahan jahan main samast Israeliyon ke beech phirta raha, kya main ne kahi Israel ke kisi gotra se, jise main ne apni praja Israel ki charvahi karne ko thahraya ho, aisi baat kabhi kahi, ki tum ne mere liai devdaru ka ghar kyon nahi banvaya?

8

इसलिये अब तू मेरे दास दाऊद से ऐसा कह, कि सेनाओं का यहोवा यों कहता है, कि मैं ने तो तुझे भेड़शाला से, और भेड़-बकरियों के पीछे पीछे फिरने से, इस मनसा से बुला लिया कि तू मेरी प्रजा इस्राएल का प्रधान हो जाए।

Isliye ab tu mere daas Daud se aisa kah, ki senaon ka Yahowa yon kahta hai, ki main ne to tujhe bhedshala se, aur bhed-bakriyon ke peechhe peechhe phirne se, is mansa se bula liya ki tu meri praja Israel ka pradhaan ho jaye.

9

और जहां कहीं तू आया गया, वहां वहां मैं तेरे संग रहा, और तेरे समस्त शत्रुओं को तेरे साम्हने से नाश किया है; फिर मैं तेरे नाम को पृथ्वी पर के बड़े बड़े लोगों के नामों के समान महान कर दूंगा।

Aur jahan kahi tu aaya gaya, vahan vahan main tere sang raha, aur tere samast shatruon ko tere samhane se naash kiya hai; phir main tere naam ko prithvi par ke bade bade logon ke namon ke samaan mahaan kar doonga.

10

और मैं अपनी प्रजा इस्राएल के लिये एक स्थान ठहराऊंगा, और उसको स्थिर करूंगा, कि वह अपने ही स्थान में बसी रहेगी, और कभी चलायमान न होगी; और कुटिल लोग उसे फिर दु:ख न देने पाएंगे, जैसे कि पहिले दिनों में करते थे,

Aur main apni praja Israel ke liye ek sthaan thahraoonga, aur usko sthir karoonga, ki vah apne hi sthaan mein basi rahegi, aur kabhi chalaymaan na hogi; aur kutil log use phir dukh na dene payenge, jaise ki pahile dinon mein karte the,

11

वरन उस समय से भी जब मैं अपनी प्रजा इस्राएल के ऊपर न्यायी ठहराता था; और मैं तुझे तेरे समस्त शत्रुओं से विश्राम दूंगा। और यहोवा तुझे यह भी बताता है कि यहोवा तेरा घर बनाए रखेगा।

Varan us samay se bhi jab main apni praja Israel ke oopar nyayi thahrata tha; aur main tujhe tere samast shatruon se vishraam doonga. Aur Yahowa tujhe yah bhi batata hai ki Yahowa tera ghar banaye rakhega.

12

जब तेरी आयु पूरी हो जाएगी, और तू अपने पुरखाओं के संग सो जाएगा, तब मैं तेरे निज वंश को तेरे पीछे खड़ा करके उसके राज्य को स्थिर करूंगा।

Jab teri aayu poori ho jayegi, aur tu apne purkhaon ke sang so jayega, tab main tere nij vansh ko tere peechhe khada karke uske rajya ko sthir karoonga.

13

मेरे नाम का घर वही बनवाएगा, और मैं उसकी राजगद्दी को सदैव स्थिर रखूंगा।

Mere naam ka ghar vahi banvayega, aur main uski rajgaddi ko sadaiv sthir rakhoonga.

14

मैं उसका पिता ठहरूंगा, और वह मेरा पुत्र ठहरेगा। यदि वह अधर्म करे, तो मैं उसे मनुष्यों के योग्य दण्ड से, और आदमियों के योग्य मार से ताड़ना दूंगा।

Main uska pita thahroonga, aur vah mera putra thahrega. Yadi vah adharm kare, to main use manushyon ke yogya dand se, aur aadmiyon ke yogya maar se tadna doonga.

15

परन्तु मेरी करुणा उस पर से ऐसे न हटेगी, जैसे मैं ने शाऊल पर से हटाकर उसको तेरे आगे से दूर किया।

Parantu meri karuna us par se aise na hategi, jaise main ne shaool par se hatakar usko tere aage se door kiya.

16

वरन तेरा घराना और तेरा राज्य मेरे साम्हने सदा अटल बना रहेगा; तेरी गद्दी सदैव बनी रहेगी।

Varan tera gharana aur tera rajya mere samhane sada atal bana rahega; teri gaddi sadaiv bani rahegi.

17

इन सब बातों और इस दर्शन के अनुसार नातान ने दाऊद को समझा दिया।

In sab baton aur is darshan ke anusaar nataan ne Daud ko samjha diya.

18

तब दाऊद राजा भीतर जा कर यहोवा के सम्मुख बैठा, और कहने लगा, हे प्रभु यहोवा, क्या कहूं, और मेरा घराना क्या है, कि तू ने मुझे यहां तक पहुंचा दिया है?

Tab Daud raja bheetar ja kar Yahowa ke sammukh baitha, aur kahne laga, he Prabhu Yahowa, kya kahun, aur mera gharana kya hai, ki tu ne mujhe yahan tak pahuncha diya hai?

19

परन्तु तौभी, हे प्रभु यहोवा, यह तेरी दृष्टि में छोटी सी बात हुई; क्योंकि तु ने अपने दास के घराने के विषय आगे के बहुत दिनों तक की चर्चा की है, और हे प्रभु यहोवा, यह तो मनुष्य का नियम है!

Parantu taubhi, he Prabhu Yahowa, yah teri drishti mein chhoti si baat hui; kyonki tu ne apne daas ke gharane ke vishay aage ke bahut dinon tak ki charcha ki hai, aur he Prabhu Yahowa, yah to manushya ka niyam hai!

20

दाऊद तुझ से और क्या कह सकता है? हे प्रभु यहोवा, तू तो अपने दास को जानता है!

Daud tujh se aur kya kah sakta hai? He Prabhu Yahowa, tu to apne daas ko janta hai!

21

तू ने अपने वचन के निमित्त, और अपने ही मन के अनुसार, यह सब बड़ा काम किया है, कि तेरा दास उसको जान ले।

Tu ne apne vachan ke nimitt, aur apne hi man ke anusaar, yah sab bada kaam kiya hai, ki tera daas usko jaan le.

22

इस कारण, हे यहोवा परमेश्वर, तू महान् है; क्योंकि जो कुछ हम ने अपने कानों से सुना है, उसके अनुसार तेरे तुल्य कोई नहीं, और न तुझे छोड़ कोई और परमेश्वर है।

Is karan, he Yahowa Parmeshwar, tu mahaan hai; kyonki jo kuchh ham ne apne kanon se suna hai, uske anusaar tere tulya koi nahi, aur na tujhe chhod koi aur Parmeshwar hai.

23

फिर तेरी प्रजा इस्राएल के भी तुल्य कौन है? वह तो पृथ्वी भर में एक ही जाति है जिसे परमेश्वर ने जा कर अपनी निज प्रजा करने को छुड़ाया, इसलिये कि वह अपना नाम करे, (और तुम्हारे लिये बड़े बड़े काम करे ) और तू अपनी प्रजा के साम्हने, जिसे तू ने मिस्री आदि जाति जाति के लोगों और उनके देवताओं से छुड़ा लिया, अपने देश के लिये भयानक काम करे।

Phir teri praja Israel ke bhi tulya kaun hai? Vah to prithvi bhar mein ek hi jati hai jise Parmeshwar ne ja kar apni nij praja karne ko chhudaya, isliye ki vah apna naam kare, (aur tumhare liye bade bade kaam kare ) aur tu apni praja ke samhane, jise tu ne misri aadi jati jati ke logon aur unke devtaon se chhuda liya, apne desh ke liye bhayanak kaam kare.

24

और तू ने अपनी प्रजा इस्राएल को अपनी सदा की प्रजा होने के लिये ठहराया; और हे यहोवा, तू आप उसका परमेश्वर है।

Aur tu ne apni praja Israel ko apni sada ki praja hone ke liye thahraya; aur he Yahowa, tu aap uska Parmeshwar hai.

25

अब हे यहोवा परमेश्वर, तू ने जो वचन अपने दास के और उसके घराने के विषय दिया है, उसे सदा के लिये स्थिर कर, और अपने कहने के अनुसार ही कर;

Ab he Yahowa Parmeshwar, tu ne jo vachan apne daas ke aur uske gharane ke vishay diya hai, use sada ke liye sthir kar, aur apne kahne ke anusaar hi kar;

26

और यह कर कि लोग तेरे नाम की महिमा सदा किया करें, कि सेनाओं का यहोवा इस्राएल के ऊपर परमेश्वर है; और तेरे दास दाऊद का घराना तेरे साम्हने अटल रहे।

Aur yah kar ki log tere naam ki mahima sada kiya karein, ki senaon ka Yahowa Israel ke oopar Parmeshwar hai; aur tere daas Daud ka gharana tere samhane atal rahe.

27

क्योंकि, हे सेनाओं के यहोवा, हे इस्राएल के परमेश्वर, तू ने यह कहकर अपने दास पर प्रगट किया है, कि मैं तेरा घर बनाए रखूंगा; इस कारण तेरे दास को तुझ से यह प्रार्थना करने का हियाव हुआ है।

Kyonki, he senaon ke Yahowa, he Israel ke Parmeshwar, tu ne yah kahkar apne daas par pragat kiya hai, ki main tera ghar banaye rakhoonga; is karan tere daas ko tujh se yah prarthana karne ka hiyaav huaa hai.

28

और अब हे प्रभु यहोवा, तू ही परमेश्वर है, और तेरे वचन सत्य हैं, और तू ने अपने दास को यह भलाई करने का वचन दिया है;

Aur ab he Prabhu Yahowa, tu hi Parmeshwar hai, aur tere vachan satya hain, aur tu ne apne daas ko yah bhalai karne ka vachan diya hai;

29

तो अब प्रसन्न हो कर अपने दास के घराने पर ऐसी आशीष दे, कि वह तेरे सम्मुख सदैव बना रहे; क्योंकि, हे प्रभु यहोवा, तू ने ऐसा ही कहा है, और तेरे दास का घराना तुझ से आशीष पाकर सदैव धन्य रहे।

To ab prasann ho kar apne daas ke gharane par aisi aasheesh de, ki vah tere sammukh sadaiv bana rahe; kyonki, he Prabhu Yahowa, tu ne aisa hi kaha hai, aur tere daas ka gharana tujh se aasheesh pakar sadaiv dhanya rahe.