2 Samuel 6 · 23 verses

2 शमूएल 6 2 Samuel 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 6.

1

(पवित्र सन्दूक का यरूशलेम में पहुंचाया जाना ) फिर दाऊद ने एक और बार इस्राएल में से सब बड़े वीरों को, जो तीस हजार थे, इकट्ठा किया।

(pavitra sandook ka Yerushalem mein pahunchaya jana ) phir Daud ne ek aur baar Israel mein se sab bade veeron ko, jo tees hajaar the, ikattha kiya.

2

तब दाऊद और जितने लोग उसके संग थे, वे सब उठ कर यहूदा के बाले नाम स्थान से चले, कि परमेश्वर का वह सन्दूक ले आएं, जो करूबों पर विराजने वाले सेनाओं के यहोवा का कहलाता है।

Tab Daud aur jitne log uske sang the, ve sab uth kar Yahuda ke bale naam sthaan se chale, ki Parmeshwar ka vah sandook le aayen, jo karoobon par virajne vale senaon ke Yahowa ka kahlata hai.

3

तब उन्होंने परमेश्वर का सन्दूक एक नई गाड़ी पर चढ़ाकर टीले पर रहने वाले अबीनादाब के घर से निकाला; और अबीनादाब के उज्जा और अहह्मो नाम दो पुत्र उस नई गाड़ी को हांकने लगे।

Tab unhonne Parmeshwar ka sandook ek nai gadi par chadhakar teele par rahne vale abeenadaab ke ghar se nikala; aur abeenadaab ke ujja aur ahahmo naam do putra us nai gadi ko hankne lage.

4

और उन्होंने उसको परमेश्वर के सन्दूक समेत टीले पर रहने वाले अबीनादाब के घर से बाहर निकाला; और अहह्मो सन्दूक के आगे आगे चला।

Aur unhonne usko Parmeshwar ke sandook samet teele par rahne vale abeenadaab ke ghar se bahar nikala; aur ahahmo sandook ke aage aage chala.

5

और दाऊद और इस्राएल का समस्त घराना यहोवा के आगे सनौवर की लकड़ी के बने हुए सब प्रकार के बाजे और वीणा, सारंगियां, डफ, डमरू, झांझ बजाते रहे।

Aur Daud aur Israel ka samast gharana Yahowa ke aage sanauvar ki lakdi ke bane hue sab prakaar ke baje aur veena, sarangiyan, daph, damru, jhaanjh bajate rahe.

6

जब वे नाकोन के खलिहान तक आए, तब उज्जा ने अपना हाथ परमेश्वर के सन्दूक की ओर बढ़ाकर उसे थाम लिया, क्योंकि बैलों ने ठोकर खाई।

Jab ve nakon ke khalihaan tak aaye, tab ujja ne apna haath Parmeshwar ke sandook ki or badhakar use thaam liya, kyonki bailon ne thokar khai.

7

तब यहोवा का कोप उज्जा पर भड़क उठा; और परमेश्वर ने उसके दोष के कारण उसको वहां ऐसा मारा, कि वह वहां परमेश्वर के सन्दूक के पास मर गया।

Tab Yahowa ka kop ujja par bhadak utha; aur Parmeshwar ne uske dosh ke karan usko vahan aisa mara, ki vah vahan Parmeshwar ke sandook ke paas mar gaya.

8

तब दाऊद अप्रसन्न हुआ, इसलिये कि यहोवा उज्जा पर टूट पड़ा था; और उसने उस स्थान का नाम पेरेसुज्जा रखा, यह नाम आज के दिन तक वर्तमान है।

Tab Daud aprasann huaa, isliye ki Yahowa ujja par toot pada tha; aur usne us sthaan ka naam peresujja rakha, yah naam aaj ke din tak vartamaan hai.

9

और उस दिन दाऊद यहोवा से डरकर कहने लगा, यहोवा का सन्दूक मेरे यहां क्योंकर आए?

Aur us din Daud Yahowa se darkar kahne laga, Yahowa ka sandook mere yahan kyonkar aaye?

10

इसलिये दाऊद ने यहोवा के सन्दूक को अपने यहां दाऊदपुर में पहुंचाना न चाहा; परन्तु गतवासी ओबेदेदोम के यहां पहुंचाया।

Isliye Daud ne Yahowa ke sandook ko apne yahan daoodpur mein pahunchana na chaha; parantu gatvasi obededom ke yahan pahunchaya.

11

और यहोवा का सन्दूक गती ओबेदेदोम के घर में तीन महीने रहा; और यहोवा ने ओबेदेदोम और उसके समस्त घराने को आशिष दी।

Aur Yahowa ka sandook gati obededom ke ghar mein teen maheene raha; aur Yahowa ne obededom aur uske samast gharane ko aashish di.

12

तब दाऊद राजा को यह बताया गया, कि यहोवा ने ओबेदेदोम के घराने पर, और जो कुछ उसका है, उस पर भी परमेश्वर के सन्दूक के कारण आशिष दी है। तब दाऊद ने जा कर परमेश्वर के सन्दूक को ओबेदेदोम के घर से दाऊदपुर में आनन्द के साथ पहुंचा दिया।

Tab Daud raja ko yah bataya gaya, ki Yahowa ne obededom ke gharane par, aur jo kuchh uska hai, us par bhi Parmeshwar ke sandook ke karan aashish di hai. Tab Daud ne ja kar Parmeshwar ke sandook ko obededom ke ghar se daoodpur mein aanand ke saath pahuncha diya.

13

जब यहोवा के सन्दूक के उठाने वाले छ: कदम चल चुके, तब दाऊद ने एक बैल और एक पाला पोसा हुआ बछड़ा बलि कराया।

Jab Yahowa ke sandook ke uthane vale chha: kadam chal chuke, tab Daud ne ek bail aur ek pala posa huaa bachhda bali karaya.

14

और दाऊद सनी का एपोद कमर में कसे हुए यहोवा के सम्मुख तन मन से नाचता रहा।

Aur Daud sani ka epod kamar mein kase hue Yahowa ke sammukh tan man se nachta raha.

15

यों दाऊद और इस्राएल का समस्त घराना यहोवा के सन्दूक को जयजयकार करते और नरसिंगा फूंकते हुए ले चला।

Yon Daud aur Israel ka samast gharana Yahowa ke sandook ko jayjaykaar karte aur narsinga phoonkte hue le chala.

16

जब यहोवा का सन्दूक दाऊदपुर में आ रहा था, तब शाऊल की बेटी मीकल ने खिड़की में से झांककर दाऊद राजा को यहोवा के सम्मुख नाचते कूदते देखा, और उसे मन ही मन तुच्छ जाना।

Jab Yahowa ka sandook daoodpur mein aa raha tha, tab shaool ki beti meekal ne khidki mein se jhankkar Daud raja ko Yahowa ke sammukh nachte koodte dekha, aur use man hi man tuchchh jana.

17

और लोग यहोवा का सन्दूक भीतर ले आए, और उसके स्थान में, अर्थात उस तम्बू में रखा, जो दाऊद ने उसके लिये खड़ा कराया था; और दाऊद ने यहोवा के सम्मुख होमबलि और मेलबलि चढ़ाए।

Aur log Yahowa ka sandook bheetar le aaye, aur uske sthaan mein, arthaat us tambu mein rakha, jo Daud ne uske liye khada karaya tha; aur Daud ne Yahowa ke sammukh homabli aur melabli chadhaye.

18

जब दाऊद होमबलि और मेलबलि चढ़ा चुका, तब उसने सेनाओं के यहोवा के नाम से प्रजा को आशीर्वाद दिया।

Jab Daud homabli aur melabli chadha chuka, tab usne senaon ke Yahowa ke naam se praja ko aasheervaad diya.

19

तब उसने समस्त प्रजा को, अर्थात, क्या स्त्री क्या पुरुष, समस्त इस्राएली भीड़ के लोगों को एक एक रोटी, और एक एक टुकड़ा मांस, और किशमिश की एक एक टिकिया बंटवा दी। तब प्रजा के सब लोग अपने अपने घर चले गए।

Tab usne samast praja ko, arthaat, kya stri kya purush, samast Israeli bheed ke logon ko ek ek roti, aur ek ek tukda maans, aur kishmish ki ek ek tikiya bantva di. Tab praja ke sab log apne apne ghar chale gaye.

20

तब दाऊद अपने घराने को आशीर्वाद देने के लिये लौटा। और शाऊल की बेटी मीकल दाऊद से मिलने को निकली, और कहने लगी, आज इस्राएल का राजा जब अपना शरीर अपने कर्मचारियों की लौंडियों के साम्हने ऐसा उघाड़े हुए था, जैसा कोई निकम्मा अपना तन उघाढ़े रहता है, तब क्या ही प्रतापी देख पड़ता था!

Tab Daud apne gharane ko aasheervaad dene ke liye lauta. Aur shaool ki beti meekal Daud se milne ko nikli, aur kahne lagi, aaj Israel ka raja jab apna shareer apne karmachariyon ki laundiyon ke samhane aisa ughade hue tha, jaisa koi nikamma apna tan ughadhe rahta hai, tab kya hi pratapi dekh padta tha!

21

दाऊद ने मीकल से कहा, यहोवा, जिसने तेरे पिता और उसके समस्त घराने की सन्ती मुझ को चुनकर अपनी प्रजा इस्राएल का प्रधान होने को ठहरा दिया है, उसके सम्मुख मैं ने ऐसा खेला--और मैं यहोवा के सम्मुख इसी प्रकार खेला करूंगा।

Daud ne meekal se kaha, Yahowa, jisne tere pita aur uske samast gharane ki santi mujh ko chunkar apni praja Israel ka pradhaan hone ko thahra diya hai, uske sammukh main ne aisa khela--aur main Yahowa ke sammukh isi prakaar khela karoonga.

22

और इस से भी मैं अधिक तुच्छ बनूंगा, और अपने लेखे नीच ठहरूंगा; और जिन लौंडियों की तू ने चर्चा की वे भी मेरा आदरमान करेंगी।

Aur is se bhi main adhik tuchchh banoonga, aur apne lekhe neech thahroonga; aur jin laundiyon ki tu ne charcha ki ve bhi mera aadarmaan karengi.

23

और शाऊल की बेटी मीकल के मरने के दिन तक उसके कोई सन्तान न हुआ।

Aur shaool ki beti meekal ke marne ke din tak uske koi santaan na huaa.