2 Samuel 3 · 39 verses

2 शमूएल 3 2 Samuel 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 3.

1

शाऊल के घराने और दाऊद के घराने के मध्य बहुत दिन तक लड़ाई होती रही; परन्तु दाऊद प्रबल होता गया, और शाऊल का घराना निर्बल पड़ता गया।

Shaool ke gharane aur Daud ke gharane ke madhya bahut din tak ladai hoti rahi; parantu Daud prabal hota gaya, aur shaool ka gharana nirbal padta gaya.

2

और हेब्रोन में दाऊद के पुत्र उत्पन्न हुए; उसका जेठा बेटा अम्नोन था, जो यिज्रेली अहीनोअम से उत्पन्न हुआ था;

Aur hebron mein Daud ke putra utpann hue; uska jetha beta amnon tha, jo yijreli aheenoam se utpann huaa tha;

3

और उसका दूसरा किलाव था, जिसकी मां कर्मेंली नाबाल की स्त्री अबीगैल थी; तीसरा अबशालोम, जो गशूर के राजा तल्मै की बेटी माका से उत्पन्न हुआ था;

Aur uska doosra kilaav tha, jiski maa karmenli nabaal ki stri abeegail thi; teesra abshalom, jo gashoor ke raja talmai ki beti maka se utpann huaa tha;

4

चौथा अदोनिय्याह, जो हग्गीत से उत्पन्न हुआ था; पांचवां शपत्याह, जिसकी मां अबीतल थी;

Chautha adoniyyaah, jo haggeet se utpann huaa tha; panchvan shapatyaah, jiski maa abeetal thi;

5

छठवां यित्राम, जो ऐग्ला नाम दाऊद की स्त्री से उत्पन्न हुआ। हेब्रोन में दाऊद से थे ही सन्तान उत्पन्न हुए।

Chhathvan yitraam, jo aigla naam Daud ki stri se utpann huaa. Hebron mein Daud se the hi santaan utpann hue.

6

जब शाऊल और दाऊद दोनों के घरानों के मध्य लड़ाई हो रही थी, तब अब्नेर शाऊल के घराने की सहायता में बल बढ़ाता गया।

Jab shaool aur Daud donon ke gharanon ke madhya ladai ho rahi thi, tab abner shaool ke gharane ki sahayta mein bal badhata gaya.

7

शाऊल की एक रखेली थी जिसका नाम रिस्पा था, वह अय्या की बेटी थी; और ईशबोशेत ने अब्नेर से पूछा, तू मेरे पिता की रखेली के पास क्यों गया?

Shaool ki ek rakheli thi jiska naam rispa tha, vah ayya ki beti thi; aur ishboshet ne abner se poochha, tu mere pita ki rakheli ke paas kyon gaya?

8

ईशबोशेत की बातों के कारण अब्नेर अति क्रोधित हो कर कहने लगा, क्या मैं यहूदा के कुत्ते का सिर हूँ? आज तक मैं तेरे पिता शाऊल के घराने और उसके भाइयों और मित्रों को प्रीति दिखाता आया हूँ, और तुझे दाऊद के हाथ पड़ने नहीं दिया; फिर तू अब मुझ पर उस स्त्री के विषय में दोष लगाता है?

Ishboshet ki baton ke karan abner ati krodhit ho kar kahne laga, kya main Yahuda ke kutte ka sir hoon? Aaj tak main tere pita shaool ke gharane aur uske bhaiyon aur mitron ko preeti dikhata aaya hoon, aur tujhe Daud ke haath padne nahi diya; phir tu ab mujh par us stri ke vishay mein dosh lagata hai?

9

यदि मैं दाऊद के साथ ईश्वर की शपथ के अनुसार बर्ताव न करुं, तो परमेश्वर अब्नेर से वैसा ही, वरन उस से भी अधिक करे;

Yadi main Daud ke saath ishwar ki shapath ke anusaar bartaav na karun, to Parmeshwar abner se vaisa hi, varan us se bhi adhik kare;

10

अर्थात मैं राज्य को शाऊल के घराने से छीनूंगा, और दाऊद की राजगद्दी दान से ले कर बेर्शेबा तक इस्राएल और यहूदा के ऊपर स्थिर करुंगा।

Arthaat main rajya ko shaool ke gharane se chheenoonga, aur Daud ki rajgaddi daan se le kar bersheba tak Israel aur Yahuda ke oopar sthir karunga.

11

और वह अब्नेर को कोई उत्तर न दे सका, इसलिये कि वह उस से डरता था।

Aur vah abner ko koi uttar na de saka, isliye ki vah us se darta tha.

12

तब अब्नेर ने उसके नाम से दाऊद के पास दूतों से कहला भेजा, कि देश किस का है? और यह भी कहला भेजा, कि तू मेरे साथ वाचा बान्ध, और मैं तेरी सहायता करुंगा कि समस्त इस्राएल के मन तेरी ओर फेर दूं।

Tab abner ne uske naam se Daud ke paas dooton se kahla bheja, ki desh kis ka hai? Aur yah bhi kahla bheja, ki tu mere saath vacha baandh, aur main teri sahayta karunga ki samast Israel ke man teri or pher dun.

13

दाऊद ने कहा, भला, मैं तेरे साथ वाचा तो बान्धूंगा परन्तु एक बात मैं तुझ से चाहता हूँ; कि जब तू मुझ से भेंट करने आए, तब यदि तू पहिले शाऊल की बेटी मीकल को न ले आए, तो मुझ से भेंट न होगी।

Daud ne kaha, bhala, main tere saath vacha to bandhoonga parantu ek baat main tujh se chahta hoon; ki jab tu mujh se bhent karne aaye, tab yadi tu pahile shaool ki beti meekal ko na le aaye, to mujh se bhent na hogi.

14

फिर दाऊद ने शाऊल के पुत्र ईशबोशेत के पास दूतों से यह कहला भेजा, कि मेरी पत्नी मीकल, जिसे मैं ने एक सौ पलिश्तियों की खलड़ियां देकर अपनी कर लिया था, उसको मुझे दे दे।

Phir Daud ne shaool ke putra ishboshet ke paas dooton se yah kahla bheja, ki meri patni meekal, jise main ne ek sau palishtiyon ki khaldiyan dekar apni kar liya tha, usko mujhe de de.

15

तब ईशबोशेत ने लोगों को भेज कर उसे लैश के पुत्र पलतीएल के पास से छीन लिया।

Tab ishboshet ne logon ko bhej kar use laish ke putra palteeyel ke paas se chheen liya.

16

और उसका पति उसके साथ चला, और बहूरीम तक उसके पीछे रोता हुआ चला गया। तब अब्नेर ने उस से कहा, लौट जा; और वह लौट गया।

Aur uska pati uske saath chala, aur bahooreem tak uske peechhe rota huaa chala gaya. Tab abner ne us se kaha, laut ja; aur vah laut gaya.

17

और अब्नेर ने इस्राएल के पुरनियों के संग इस प्रकार की बातचीत की, कि पहिले तो तुम लोग चाहते थे कि दाऊद हमारे ऊपर राजा हो।

Aur abner ne Israel ke purniyon ke sang is prakaar ki batcheet ki, ki pahile to tum log chahte the ki Daud hamare oopar raja ho.

18

अब वैसा करो; क्योंकि यहोवा ने दाऊद के विषय में यह कहा है, कि अपने दास दाऊद के द्वारा मैं अपनी प्रजा इस्राएल को पलिश्तियों, वरन उनके सब शत्रुओं के हाथ से छुड़ाऊंगा।

Ab vaisa karo; kyonki Yahowa ne Daud ke vishay mein yah kaha hai, ki apne daas Daud ke dwara main apni praja Israel ko palishtiyon, varan unke sab shatruon ke haath se chhudaoonga.

19

फिर अब्नेर ने बिन्यामीन से भी बातें कीं; तब अब्नेर हेब्रोन को चला गया, कि इस्राएल और बिन्यामीन के समस्त घराने को जो कुछ अच्छा लगा, वह दाऊद को सुनाए।

Phir abner ne binyameen se bhi batein ki; tab abner hebron ko chala gaya, ki Israel aur binyameen ke samast gharane ko jo kuchh achchha laga, vah Daud ko sunaye.

20

तब अब्नेर बीस पुरुष संग ले कर हेब्रोन में आया, और दाऊद ने उसके और उसके संगी पुरुषों के लिये जेवनार की।

Tab abner bees purush sang le kar hebron mein aaya, aur Daud ne uske aur uske sangi purushon ke liye jevnaar ki.

21

तब अब्नेर ने दाऊद से कहा, मैं उठ कर जाऊंगा, और अपने प्रभु राजा के पास सब इस्राएल को इकट्ठा करुंगा, कि वे तेरे साथ वाचा बान्धें, और तू अपनी इच्छा के अनुसार राज्य कर सके। तब दाऊद ने अब्नेर को विदा किया, और वह कुशल से चला गया।

Tab abner ne Daud se kaha, main uth kar jaoonga, aur apne Prabhu raja ke paas sab Israel ko ikattha karunga, ki ve tere saath vacha bandhein, aur tu apni ichchha ke anusaar rajya kar sake. Tab Daud ne abner ko vida kiya, aur vah kushal se chala gaya.

22

तब दाऊद के कई एक जन योआब समेत कहीं चढ़ाई करके बहुत सी लूट लिये हुए आ गए। और अब्नेर दाऊद के पास हेब्रोन में न था, क्योंकि उसने उसको विदा कर दिया था, और वह कुशल से चला गया था।

Tab Daud ke kai ek jan yoaab samet kahi chadhai karke bahut si loot liye hue aa gaye. Aur abner Daud ke paas hebron mein na tha, kyonki usne usko vida kar diya tha, aur vah kushal se chala gaya tha.

23

जब योआब और उसके साथ की समस्त सेना आई, तब लागों ने योआब को बताया, कि नेर का पुत्र अब्नेर राजा के पास आया था, और उसने उसको बिदा कर दिया, और वह कुशल से चला गया।

Jab yoaab aur uske saath ki samast sena aai, tab lagon ne yoaab ko bataya, ki ner ka putra abner raja ke paas aaya tha, aur usne usko bida kar diya, aur vah kushal se chala gaya.

24

तब योआब ने राजा के पास जा कर कहा, तू ने यह क्या किया है? अब्नेर जो तेरे पास आया था, तो क्या कारण है कि तू ने उसको जाने दिया, और वह चला गया है?

Tab yoaab ne raja ke paas ja kar kaha, tu ne yah kya kiya hai? Abner jo tere paas aaya tha, to kya karan hai ki tu ne usko jane diya, aur vah chala gaya hai?

25

तू नेर के पुत्र अब्नेर को जानता होगा कि वह तुझे धोखा देने, और तेरे आने जाने, और कुल काम का भेद लेने आया था।

Tu ner ke putra abner ko janta hoga ki vah tujhe dhokha dene, aur tere aane jane, aur kul kaam ka bhed lene aaya tha.

26

योआब ने दाऊद के पास से निकलकर दाऊद के अनजाने अब्नेर के पीछे दूत भेजे, और वे उसको सीरा नाम कुण्ड से लौटा ले आए।

Yoaab ne Daud ke paas se nikalkar Daud ke anjane abner ke peechhe doot bheje, aur ve usko seera naam kund se lauta le aaye.

27

जब अब्नेर हेब्रोन को लौट आया, तब योआब उस से एकान्त में बातें करने के लिये उसको फाटक के भीतर अलग ले गया, और वहां अपने भाई असाहेल के खून के पलटे में उसके पेट में ऐसा मारा कि वह मर गया।

Jab abner hebron ko laut aaya, tab yoaab us se ekaant mein batein karne ke liye usko phatak ke bheetar alag le gaya, aur vahan apne bhai asahel ke khoon ke palte mein uske pet mein aisa mara ki vah mar gaya.

28

इसके बाद जब दाऊद ने यह सुना, तो कहा, नेर के पुत्र अब्नेर के खून के विषय में अपनी प्रजा समेत यहोवा की दृष्टि में सदैव निर्दोष रहूंगा।

Iske baad jab Daud ne yah suna, to kaha, ner ke putra abner ke khoon ke vishay mein apni praja samet Yahowa ki drishti mein sadaiv nirdosh rahoonga.

29

वह योआब और उसके पिता के समस्त घराने को लगे; और योआब के वंश में कोई न कोई प्रमेह का रोगी, और कोढ़ी, और बैसाखी का लगाने वाला, और तलवार से खेत आने वाला, और भूखे मरने वाला सदा होता रहे।

Vah yoaab aur uske pita ke samast gharane ko lage; aur yoaab ke vansh mein koi na koi prameh ka rogi, aur kodhi, aur baisakhi ka lagane vala, aur talvaar se khet aane vala, aur bhookhe marne vala sada hota rahe.

30

योआब और उसके भाई अबीशै ने अब्नेर को इस कारण घात किया, कि उसने उनके भाई असाहेल को गिबोन में लड़ाई के समय मार डाला था।

Yoaab aur uske bhai abeeshai ne abner ko is karan ghaat kiya, ki usne unke bhai asahel ko gibon mein ladai ke samay maar dala tha.

31

तब दाऊद ने योआब और अपने सब संगी लागों से कहा, अपने वस्त्र फाड़ो, और कमर में टाट बान्धकर अब्नेर के आगे आगे चलो। और दाऊद राजा स्वयं अर्थी के पीछे पीछे चला।

Tab Daud ne yoaab aur apne sab sangi lagon se kaha, apne vastra phado, aur kamar mein taat bandhakar abner ke aage aage chalo. Aur Daud raja swayan arthi ke peechhe peechhe chala.

32

अब्नेर को हेब्रोन में मिट्टी दी गई; और राजा अब्नेर की कब्र के पास फूट फूटकर रोया; और सब लोग भी रोए।

Abner ko hebron mein mitti di gai; aur raja abner ki kabra ke paas phoot phootkar roya; aur sab log bhi roye.

33

तब दाऊद ने अब्नेर के विषय यह विलापगीत बनाया कि, क्या उचित था कि अब्नेर मूढ़ की नाईं मरे?

Tab Daud ne abner ke vishay yah vilapgeet banaya ki, kya uchit tha ki abner moodh ki nai mare?

34

न तो तेरे हाथ बान्धे गए, और न तेरे पांवों में बेड़ियां डाली गई; जैसे कोई कुटिल मनुष्यों से मारा जाए, वैसे ही तू मारा गया।

Na to tere haath bandhe gaye, aur na tere panvon mein bediyan dali gai; jaise koi kutil manushyon se mara jaye, vaise hi tu mara gaya.

35

तब सब लोग उसके विषय फिर रो उठे। तब सब लोग कुछ दिन रहते दाऊद को रोटी खिलाने आए; परन्तु दाऊद ने शपथ खाकर कहा, यदि मैं सूर्य के अस्त होने से पहिले रोटी वा और कोई वस्तु खाऊं, तो परमेश्वर मुझ से ऐसा ही, वरन इस से भी अधिक करे।

Tab sab log uske vishay phir ro uthe. Tab sab log kuchh din rahte Daud ko roti khilane aaye; parantu Daud ne shapath khakar kaha, yadi main soorya ke ast hone se pahile roti va aur koi vastu khaun, to Parmeshwar mujh se aisa hi, varan is se bhi adhik kare.

36

और सब लोगों ने इस पर विचार किया और इस से प्रसन्न हुए, वैसे ही जो कुछ राजा करता था उस से सब लोग प्रसन्न होते थे।

Aur sab logon ne is par vichaar kiya aur is se prasann hue, vaise hi jo kuchh raja karta tha us se sab log prasann hote the.

37

तब उन सब लोगों ने, वरन समस्त इस्राएल ने भी, उसी दिन जान लिया कि नेर के पुत्र अब्नेर का घात किया जाना राजा की और से नहीं हुआ।

Tab un sab logon ne, varan samast Israel ne bhi, usi din jaan liya ki ner ke putra abner ka ghaat kiya jana raja ki aur se nahi huaa.

38

और राजा ने अपने कर्मचारियों से कहा, क्या तुम लोग नहीं जानते कि इस्राएल में आज के दिन एक प्रधान और प्रतापी मनुष्य मरा है?

Aur raja ne apne karmachariyon se kaha, kya tum log nahi jante ki Israel mein aaj ke din ek pradhaan aur pratapi manushya mara hai?

39

और यद्यपि मैं अभिषिक्त राजा हूँ तौभी आज निर्बल हूँ; और वे सरूयाह के पुत्र मुझ से अधिक प्रचण्ड हैं। परन्तु यहोवा बुराई करने वाले को उसकी बुराई के अनुसार ही पलटा दे।

Aur yadyapi main abhishikt raja hoon taubhi aaj nirbal hoon; aur ve sarooyaah ke putra mujh se adhik prachand hain. Parantu Yahowa burai karne vale ko uski burai ke anusaar hi palta de.