2 Samuel 2 · 32 verses

2 शमूएल 2 2 Samuel 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 2.

1

इसके बाद दाऊद ने यहोवा से पूछा, कि क्या मैं यहूदा के किसी नगर में जाऊं? यहोवा ने उस से कहा, हां, जा। दाऊद ने फिर पूछा, किस नगर में जाऊं? उसने कहा, हेब्रोन में।

Iske baad Daud ne Yahowa se poochha, ki kya main Yahuda ke kisi nagar mein jaun? Yahowa ne us se kaha, han, ja. Daud ne phir poochha, kis nagar mein jaun? Usne kaha, hebron mein.

2

तब दाऊद यिज्रेली अहीनोअम, और कर्मेली नाबाल की स्त्री अबीगैल नाम, अपनी दोनों पत्नियों समेत वहाँ गया।

Tab Daud yijreli aheenoam, aur karmeli nabaal ki stri abeegail naam, apni donon patniyon samet vahan gaya.

3

और दाऊद अपने साथियों को भी एक एक के घराने समेत वहां ले गया; और वे हेब्रोन के गांवों में रहने लगे।

Aur Daud apne sathiyon ko bhi ek ek ke gharane samet vahan le gaya; aur ve hebron ke ganvon mein rahne lage.

4

और यहूदी लोग गए, और वहां दाऊद का अभिषेक किया कि वह यहूदा के घराने का राजा हो।

Aur Yahudi log gaye, aur vahan Daud ka abhishek kiya ki vah Yahuda ke gharane ka raja ho.

5

और दाऊद को यह समाचार मिला, कि जिन्होंने शाऊल को मिट्टी दी वे गिलाद के याबेश नगर के लोग हैं। तब दाऊद ने दूतों से गिलाद के याबेश के लोगों के पास यह कहला भेजा, कि यहोवा की आशिष तुम पर हो, क्योंकि तुम ने अपने प्रभु शाऊल पर यह कृपा करके उसको मिट्टी दी।

Aur Daud ko yah samachaar mila, ki jinhonne shaool ko mitti di ve gilaad ke yabesh nagar ke log hain. Tab Daud ne dooton se gilaad ke yabesh ke logon ke paas yah kahla bheja, ki Yahowa ki aashish tum par ho, kyonki tum ne apne Prabhu shaool par yah kripa karke usko mitti di.

6

इसलिये अब यहोवा तुम से कृपा और सच्चाई का बर्त्ताव करे; और मैं भी तुम्हारी इस भलाई का बदला तुम को दूंगा, क्योंकि तुम ने यह काम किया है।

Isliye ab Yahowa tum se kripa aur sachchai ka barttaav kare; aur main bhi tumhari is bhalai ka badla tum ko doonga, kyonki tum ne yah kaam kiya hai.

7

और अब हियाव बान्धो, और पुरुषार्थ करो; क्योंकि तुम्हारा प्रभु शाऊल मर गया, और यहूदा के घराने ने अपने ऊपर राजा होने को मेरा अभिषेक किया है।

Aur ab hiyaav bandho, aur purushaarth karo; kyonki tumhara Prabhu shaool mar gaya, aur Yahuda ke gharane ne apne oopar raja hone ko mera abhishek kiya hai.

8

परन्तु नेर का पुत्र अब्नेर जो शाऊल का प्रधान सेनापति था, उसने शाऊल के पुत्र ईशबोशेत को संग ले पार जा कर महनैम में पहुंचाया;

Parantu ner ka putra abner jo shaool ka pradhaan senapti tha, usne shaool ke putra ishboshet ko sang le paar ja kar mahnaim mein pahunchaya;

9

और उसे गिलाद अशूरियों के देश यिज्रेल, एप्रैम, बिन्यामीन, वरन समस्त इस्राएल के देश पर राजा नियुक्त किया।

Aur use gilaad ashooriyon ke desh yijrel, epraim, binyameen, varan samast Israel ke desh par raja niyukt kiya.

10

शाऊल का पुत्र ईशबोशेत चालीस वर्ष का था जब वह इस्राएल पर राज्य करने लगा, और दो वर्ष तक राज्य करता रहा। परन्तु यहूदा का घराना दाऊद के पक्ष में रहा।

Shaool ka putra ishboshet chalees varsh ka tha jab vah Israel par rajya karne laga, aur do varsh tak rajya karta raha. Parantu Yahuda ka gharana Daud ke paksh mein raha.

11

और दाऊद के हेब्रोन में यहूदा के घराने पर राज्य करने का समय साढ़े सात वर्ष था।

Aur Daud ke hebron mein Yahuda ke gharane par rajya karne ka samay sadhe saat varsh tha.

12

और नेर का पुत्र अब्नेर, और शाऊल के पुत्र ईशबोशेत के जन, महनैम से गिबोन को आए।

Aur ner ka putra abner, aur shaool ke putra ishboshet ke jan, mahnaim se gibon ko aaye.

13

तब सरूयाह का पुत्र योआब, और दाऊद के जन, हेब्रोन से निकलकर उन से गिबोन के पोखरे के पास मिले; और दोनों दल उस पोखरे की एक एक ओर बैठ गए।

Tab sarooyaah ka putra yoaab, aur Daud ke jan, hebron se nikalkar un se gibon ke pokhre ke paas mile; aur donon dal us pokhre ki ek ek or baith gaye.

14

तब अब्नेर ने योआब से कहा, जवान लोग उठ कर हमारे साम्हने खेलें। योआब ने कहा, वे उठें।

Tab abner ne yoaab se kaha, javaan log uth kar hamare samhane khelein. Yoaab ne kaha, ve uthein.

15

तब वे उठे, और बिन्यामीन, अर्थात शाऊल के पुत्र ईशबोशेत के पक्ष के लिये बारह जन गिनकर निकले, और दाऊद के जनों में से भी बारह निकले।

Tab ve uthe, aur binyameen, arthaat shaool ke putra ishboshet ke paksh ke liye barah jan ginkar nikle, aur Daud ke janon mein se bhi barah nikle.

16

और उन्होंने एक दूसरे का सिर पकड़कर अपनी अपनी तलवार एक दूसरे के पांजर में भोंक दी; और वे एक ही संग मरे। इस से उस स्थान का नाम हेल्कथस्सूरीम पड़ा, वह गिबोन में है।

Aur unhonne ek doosre ka sir pakadkar apni apni talvaar ek doosre ke panjar mein bhonk di; aur ve ek hi sang mare. Is se us sthaan ka naam helkathassooreem pada, vah gibon mein hai.

17

और उस दिन बड़ा घोर से युद्ध हुआ; और अब्नेर और इस्राएल के पुरुष दाऊद के जनों से हार गए।

Aur us din bada ghor se yuddh huaa; aur abner aur Israel ke purush Daud ke janon se haar gaye.

18

वहां तो योआब, अबीशै, और असाहेल नाम सरूयाह के तीनों पुत्र थे। और असाहेल बनैले चिकारे के समान वेग दौड़नेवाला था।

Vahan to yoaab, abeeshai, aur asahel naam sarooyaah ke teenon putra the. Aur asahel banaile chikare ke samaan veg daudnevala tha.

19

तब असाहेल अब्नेर का पीछा करने लगा, और उसका पीछा करते हुए न तो दाहिनी ओर मुड़ा न बाई ओर।

Tab asahel abner ka peechha karne laga, aur uska peechha karte hue na to dahini or muda na bai or.

20

अब्नेर ने पीछे फिरके पूछा, क्या तू असाहेल है? उसने कहा, हां मैं वही हूँ।

Abner ne peechhe phirke poochha, kya tu asahel hai? Usne kaha, han main vahi hoon.

21

अब्नेर ने उस से कहा, चाहे दाहिनी, चाहे बाई ओर मुड़, किसी जवान को पकड़कर उसका बकतर ले ले। परन्तु असाहेल ने उसका पीछा न छोड़ा।

Abner ne us se kaha, chahe dahini, chahe bai or mud, kisi javaan ko pakadkar uska baktar le le. Parantu asahel ne uska peechha na chhoda.

22

अब्नेर ने असाहेल से फिर कहा, मेरा पीछा छोड़ दे; मुझ को क्यों तुझे मार के मिट्टी में मिला देना पड़े? ऐसा करके मैं तेरे भाई योआब को अपना मुख कैसे दिखाऊंगा?

Abner ne asahel se phir kaha, mera peechha chhod de; mujh ko kyon tujhe maar ke mitti mein mila dena pade? Aisa karke main tere bhai yoaab ko apna mukh kaise dikhaoonga?

23

तौभी उसने हट जाने को नकारा; तब अब्नेर ने अपने भाले की पिछाड़ी उसके पेट में ऐसे मारी, कि भाला आरपार हो कर पीछे निकला; और वह वहीं गिर के मर गया। और जितने लोग उस स्थान पर आए जहां असाहेल गिर के मर गया, वहां वे सब खड़े रहे।

Taubhi usne hat jane ko nakara; tab abner ne apne bhale ki pichhadi uske pet mein aise mari, ki bhala aarpaar ho kar peechhe nikla; aur vah vahi gir ke mar gaya. Aur jitne log us sthaan par aaye jahan asahel gir ke mar gaya, vahan ve sab khade rahe.

24

परन्तु योआब और अबीशै अब्नेर का पीछा करते रहे; और सूर्य डूबते डूबते वे अम्मा नाम उस पहाड़ी तक पहुंचे, जो गिबोन के जंगल के मार्ग में गीह के साम्हने है।

Parantu yoaab aur abeeshai abner ka peechha karte rahe; aur soorya doobte doobte ve amma naam us pahadi tak pahunche, jo gibon ke jangal ke maarg mein geeh ke samhane hai.

25

और बिन्यामीनी अब्नेर के पीछे हो कर एक दल हो गए, और एक पहाड़ी की चोटी पर खड़े हुए।

Aur binyameeni abner ke peechhe ho kar ek dal ho gaye, aur ek pahadi ki choti par khade hue.

26

तब अब्नेर योआब को पुकार के कहने लगा, क्या तलवार सदा मारती रहे? क्या तू नहीं जानता कि इसका फल दु:खदाई होगा? तू कब तक अपने लोगों को आज्ञा न देगा, कि अपने भाइयों का पीछा छोड़ कर लौटो?

Tab abner yoaab ko pukaar ke kahne laga, kya talvaar sada marti rahe? Kya tu nahi janta ki iska phal dukhdai hoga? Tu kab tak apne logon ko aagya na dega, ki apne bhaiyon ka peechha chhod kar lauto?

27

योआब ने कहा, परमेश्वर के जीवन की शपथ, कि यदि तू न बोला होता, तो नि:सन्देह लोग सवेरे ही चले जाते, और अपने अपने भाई का पीछा न करते।

Yoaab ne kaha, Parmeshwar ke jeevan ki shapath, ki yadi tu na bola hota, to nisandeh log savere hi chale jate, aur apne apne bhai ka peechha na karte.

28

तब योआब ने नरसिंगा फूंका; और सब लोग ठहर गए, और फिर इस्राएलियों का पीछा न किया, और लड़ाई फिर न की।

Tab yoaab ne narsinga phoonka; aur sab log thahar gaye, aur phir Israeliyon ka peechha na kiya, aur ladai phir na ki.

29

और अब्नेर अपने जनों समेत उसी दिन रातोंरात अराबा से हो कर गया; और यरदन के पार हो समस्त बित्रोन देश में हो कर महनैम में पहुंचा।

Aur abner apne janon samet usi din ratonraat araba se ho kar gaya; aur yardan ke paar ho samast bitron desh mein ho kar mahnaim mein pahuncha.

30

और योआब अब्नेर का पीछा छोड़कर लौटा; और जब उसने सब लोगों को इकट्टा किया, तब क्या देखा, कि दाऊद के जनों में से उन्नीस पुरुष और असाहेल भी नहीं हैं।

Aur yoaab abner ka peechha chhodkar lauta; aur jab usne sab logon ko ikatta kiya, tab kya dekha, ki Daud ke janon mein se unnees purush aur asahel bhi nahi hain.

31

परन्तु दाऊद के जनों ने बिन्यामीनियों और अब्नेर के जनों को ऐसा मारा कि उन में से तीन सौ साठ जन मर गए।

Parantu Daud ke janon ne binyameeniyon aur abner ke janon ko aisa mara ki un mein se teen sau saath jan mar gaye.

32

और उन्होंने असाहेल को उठा कर उसके पिता के क़ब्रिस्तान में, जो बेतलेहेम में था, मिट्टी दी। तब योआब अपने जनों समेत रात भर चलकर पह फटते हेब्रोन में पहुंचा।

Aur unhonne asahel ko utha kar uske pita ke qabristaan mein, jo betlehem mein tha, mitti di. Tab yoaab apne janon samet raat bhar chalkar pah phatte hebron mein pahuncha.