2 Samuel 23 · 39 verses

2 शमूएल 23 2 Samuel 23 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 23.

1

दाऊद के अन्तिम वचन ये हैं: यिशै के पुत्र की यह वाणी है, उस पुरुष की वाणी है जो ऊंचे पर खड़ा किया गया, और याकूब के परमेश्वर का अभिषिक्त, और इस्राएल का मधुर भजन गाने वाला है:

Daud ke antim vachan ye hain: yishai ke putra ki yah vani hai, us purush ki vani hai jo oonche par khada kiya gaya, aur Yakub ke Parmeshwar ka abhishikt, aur Israel ka madhur bhajan gane vala hai:

2

यहोवा का आत्मा मुझ में हो कर बोला, और उसी का वचन मेरे मुंह में आया।

Yahowa ka aatma mujh mein ho kar bola, aur usi ka vachan mere munh mein aaya.

3

इस्राएल के परमेश्वर ने कहा है, इस्राएल की चट्टान ने मुझ से बातें की है, कि मनुष्यों में प्रभुता करने वाला एक धर्मी होगा, जो परमेश्वर का भय मानता हुआ प्रभुता करेगा,

Israel ke Parmeshwar ne kaha hai, Israel ki chattaan ne mujh se batein ki hai, ki manushyon mein prabhuta karne vala ek dharmi hoga, jo Parmeshwar ka bhay manta huaa prabhuta karega,

4

वह मानो भोर का प्रकाश होगा जब सूर्य निकलता है, ऐसा भोर जिस में बादल न हों, जैसा वर्षा के बाद निर्मल प्रकाश के कारण भूमि से हरी हरी घास उगती है।

Vah mano bhor ka prakaash hoga jab soorya nikalta hai, aisa bhor jis mein badal na hon, jaisa varsha ke baad nirmal prakaash ke karan bhoomi se hari hari ghaas ugti hai.

5

क्या मेरा घराना ईश्वर की दृष्टि में ऐसा नहीं है? उसने तो मेरे साथ सदा की एक ऐसी वाचा बान्धी है, जो सब बातों में ठीक की हुई और अटल भी है। क्योंकि चाहे वह उसको प्रगट न करे, तौभी मेरा पूर्ण उद्धार और पूर्ण अभिलाषा का विषय वही है।

Kya mera gharana ishwar ki drishti mein aisa nahi hai? Usne to mere saath sada ki ek aisi vacha bandhi hai, jo sab baton mein theek ki hui aur atal bhi hai. Kyonki chahe vah usko pragat na kare, taubhi mera poorn uddhaar aur poorn abhilasha ka vishay vahi hai.

6

परन्तु ओछे लोग सब के सब निकम्मी झाड़ियों के समान हैं जो हाथ से पकड़ी नहीं जातीं;

Parantu ochhe log sab ke sab nikammi jhadiyon ke samaan hain jo haath se pakdi nahi jati;

7

और जो पुरुष उन को छूए उसे लोहे और भाले की छड़ से सुसज्जित होना चाहिये। इसलिये वे अपने ही स्थान में आग से भस्म कर दिए जाएंगे।

Aur jo purush un ko chhooye use lohe aur bhale ki chhad se susajjit hona chahiye. Isliye ve apne hi sthaan mein aag se bhasm kar diye jayenge.

8

दाऊद के शूरवीरों के नाम ये हैं: अर्थात तहकमोनी योश्शेब्यश्शेबेत, जो सरदारों में मुख्य था; वह एस्नी अदीनो भी कहलाता था; जिसने एक ही समय में आठ सौ पुरुष मार डाले।

Daud ke shoorveeron ke naam ye hain: arthaat tahakmoni yoshshebyashshebet, jo sardaron mein mukhya tha; vah esni adeeno bhi kahlata tha; jisne ek hi samay mein aath sau purush maar dale.

9

उसके बाद अहोही दोदै का पुत्र एलीआज़र था। वह उस समय दाऊद के संग के तीनों वीरों में से था, जब कि उन्होंने युद्ध के लिये एकत्रित हुए पलिश्तियों को ललकारा, और इस्राएली पुरुष चले गए थे।

Uske baad ahohi dodai ka putra eleeaazar tha. Vah us samay Daud ke sang ke teenon veeron mein se tha, jab ki unhonne yuddh ke liye ekatrit hue palishtiyon ko lalkara, aur Israeli purush chale gaye the.

10

वह कमर बान्धकर पलिश्तियों को तब तक मारता रहा जब तक उसका हाथ थक न गया, और तलवार हाथ से चिपट न गई; और उस दिन यहोवा ने बड़ी विजय कराई; और जो लोग उसके पीछे हो लिए वे केवल लूटने ही के लिये उसके पीछे हो लिए।

Vah kamar bandhakar palishtiyon ko tab tak marta raha jab tak uska haath thak na gaya, aur talvaar haath se chipat na gai; aur us din Yahowa ne badi vijay karai; aur jo log uske peechhe ho liye ve keval lootne hi ke liye uske peechhe ho liye.

11

उसके बाद आगे नाम एक पहाड़ी का पुत्र शम्मा था। पलिश्तियों ने इकट्ठे हो कर एक स्थान में दल बान्धा, जहां मसूर का एक खेत था; और लोग उनके डर के मारे भागे।

Uske baad aage naam ek pahadi ka putra shamma tha. Palishtiyon ne ikatthe ho kar ek sthaan mein dal bandha, jahan masoor ka ek khet tha; aur log unke dar ke mare bhage.

12

तब उसने खेत के मध्य में खड़े हो कर उसे बचाया, और पलिश्तियों को मार लिया; और यहोवा ने बड़ी विजय दिलाई।

Tab usne khet ke madhya mein khade ho kar use bachaya, aur palishtiyon ko maar liya; aur Yahowa ne badi vijay dilai.

13

फिर तीसों मुख्य सरदारों में से तीन जन कटनी के दिनों में दाऊद के पास अदुल्लाम नाम गुफ़ा में आए, और पलिश्तियों का दल रपाईम नाम तराई में छावनी किए हुए था।

Phir teeson mukhya sardaron mein se teen jan katni ke dinon mein Daud ke paas adullaam naam gufa mein aaye, aur palishtiyon ka dal rapaim naam tarai mein chhavni kiye hue tha.

14

उस समय दाऊद गढ़ में था; और उस समय पलिश्तियों की चौकी बेतलेहेम में थी।

Us samay Daud gadh mein tha; aur us samay palishtiyon ki chauki betlehem mein thi.

15

तब दाऊद ने बड़ी अभिलाषा के साथ कहा, कौन मुझे बेतलेहेम के फाटक के पास के कुएं का पानी पिलाएगा?

Tab Daud ne badi abhilasha ke saath kaha, kaun mujhe betlehem ke phatak ke paas ke kuein ka pani pilayega?

16

तो वे तीनों वीर पलिश्तियों की छावनी में टूट पड़े, और बेतलेहेम के फाटक के कुंए से पानी भर के दाऊद के पास ले आए। परन्तु उसने पीने से इनकार किया, और यहोवा के साम्हने अर्घ करके उण्डेला,

To ve teenon veer palishtiyon ki chhavni mein toot pade, aur betlehem ke phatak ke kune se pani bhar ke Daud ke paas le aaye. Parantu usne peene se inkaar kiya, aur Yahowa ke samhane argh karke undela,

17

और कहा, हे यहोवा, मुझ से ऐसा काम दूर रहे। क्या मैं उन मनुष्यों का लोहू पीऊं जो अपने प्राणों पर खेल कर गए थे? इसलिये उसने उस पानी को पीने से इनकार किया। इन तीन वीरों ने तो ये ही काम किए।

Aur kaha, he Yahowa, mujh se aisa kaam door rahe. Kya main un manushyon ka lohu peeun jo apne pranon par khel kar gaye the? Isliye usne us pani ko peene se inkaar kiya. In teen veeron ne to ye hi kaam kiye.

18

और अबीशै जो सरूयाह के पुत्र योआब का भाई था, वह तीनों से मुख्य था। उसने अपना भाला चला कर तीन सौ को मार डाला, और तीनों में नामी हो गया।

Aur abeeshai jo sarooyaah ke putra yoaab ka bhai tha, vah teenon se mukhya tha. Usne apna bhala chala kar teen sau ko maar dala, aur teenon mein nami ho gaya.

19

क्या वह तीनों से अधिक प्रतिष्ठित न था? और इसी से वह उनका प्रधान हो गया; परन्तु मुख्य तीनों के पद को न पहुंचा।

Kya vah teenon se adhik pratishthit na tha? Aur isi se vah unka pradhaan ho gaya; parantu mukhya teenon ke pad ko na pahuncha.

20

फिर यहोयादा का पुत्र बनायाह था, जो कबसेलवासी एक बड़े काम करने वाले वीर का पुत्र था; उसने सिंह सरीखे दो मोआबियों को मार डाला। और बर्फ के समय उसने एक गड़हे में उतर के एक सिंह को मार डाला।

Phir yahoyada ka putra banayaah tha, jo kabselvasi ek bade kaam karne vale veer ka putra tha; usne sinh sareekhe do moaabiyon ko maar dala. Aur barph ke samay usne ek gadhe mein utar ke ek sinh ko maar dala.

21

फिर उसने एक रूपवान् मिस्री पुरुष को मार डाला। मिस्री तो हाथ में भाला लिए हुए था; परन्तु बनायाह एक लाठी ही लिए हुए उसके पास गया, और मिस्री के हाथ से भाला को छीनकर उसी के भाले से उसे घात किया।

Phir usne ek roopvaan misri purush ko maar dala. Misri to haath mein bhala liye hue tha; parantu banayaah ek lathi hi liye hue uske paas gaya, aur misri ke haath se bhala ko chheenkar usi ke bhale se use ghaat kiya.

22

ऐसे ऐसे काम करके यहोयादा का पुत्र बनायाह उन तीनों वीरों में नामी हो गया।

Aise aise kaam karke yahoyada ka putra banayaah un teenon veeron mein nami ho gaya.

23

वह तीसों से अधिक प्रतिष्ठित तो था, परन्तु मुख्य तीनों के पद को न पहुंचा। उसको दाऊद ने अपनी निज सभा का सभासद नियुक्त किया।

Vah teeson se adhik pratishthit to tha, parantu mukhya teenon ke pad ko na pahuncha. Usko Daud ne apni nij sabha ka sabhasad niyukt kiya.

24

फिर तीसों में योआब का भाई असाहेल; बेतलेहेमी दोदो का पुत्र एल्हानान,

Phir teeson mein yoaab ka bhai asahel; betlehemi dodo ka putra elhanaan,

25

हेरोदी शम्मा, और एलीका, पेलेती हेलेस,

Herodi shamma, aur eleeka, peleti heles,

26

तकोई इक्केश का पुत्र ईरा,

Takoi ikkesh ka putra ira,

27

अनातोती अबीएज़ेर, हूशाई मबुन्ने,

Anatoti abeeyezer, hooshai mabunne,

28

अहोही सल्मोन, नतोपाही महरै,

Ahohi salmon, natopahi mahrai,

29

एक और नतोपाही बाना का पुत्र हेलेब, बिन्यामीनियों के गिबा नगर के रीबै का पुत्र हुत्तै,

Ek aur natopahi bana ka putra heleb, binyameeniyon ke giba nagar ke reebai ka putra huttai,

30

पिरातोनी, बनायाह, गाश के नालों के पास रहने वाला हिद्दै,

Piratoni, banayaah, gaash ke nalon ke paas rahne vala hiddai,

31

अराबा का अबीअल्बोन, बहूरीमी अजमावेत,

Araba ka abeealbon, bahooreemi ajmavet,

32

शालबोनी एल्यहबा, याशेन के वंश में से योनातन,

Shalboni elyahba, yashen ke vansh mein se yonatan,

33

पहाड़ी शम्मा, अरारी शारार का पुत्र अहीआम,

Pahadi shamma, arari sharaar ka putra aheeaam,

34

अहसबै का पुत्र एलीपेलेत्त माका देश का, गीलोई अहीतोपेल का पुत्र एलीआम,

Ahasbai ka putra eleepelett maka desh ka, geeloi aheetopel ka putra eleeaam,

35

कर्म्मेली हेस्रो, अराबी पारै

Karmmeli hesro, arabi parai

36

सोबाई नातान का पुत्र यिगाल, गादी बानी,

Sobai nataan ka putra yigaal, gadi bani,

37

अम्मोनी सेलेक, बेरोती नहरै को सरूयाह के पुत्र योआब का हथियार ढोने वाला था,

Ammoni selek, beroti nahrai ko sarooyaah ke putra yoaab ka hathiyaar dhone vala tha,

38

येतेरी ईरा, और गारेब,

Yeteri ira, aur gareb,

39

और हित्ती ऊरिय्याह था: सब मिलाकर सैंतीस थे।

Aur hitti ooriyyaah tha: sab milakar saintees the.