और जिस समय यहोवा ने दाऊद को उसके सब शत्रुओं और शाऊल के हाथ से बचाया था, तब उसने यहोवा के लिये इस गीत के वचन गाए;
Aur jis samay Yahowa ne Daud ko uske sab shatruon aur shaool ke haath se bachaya tha, tab usne Yahowa ke liye is geet ke vachan gaye;
2 Samuel 22 · 51 verses
और जिस समय यहोवा ने दाऊद को उसके सब शत्रुओं और शाऊल के हाथ से बचाया था, तब उसने यहोवा के लिये इस गीत के वचन गाए;
Aur jis samay Yahowa ne Daud ko uske sab shatruon aur shaool ke haath se bachaya tha, tab usne Yahowa ke liye is geet ke vachan gaye;
उसने कहा, यहोवा मेरी चट्टान, और मेरा गढ़, मेरा छुड़ाने वाला,
Usne kaha, Yahowa meri chattaan, aur mera gadh, mera chhudane vala,
मेरा चट्टानरूपी परमेश्वर है, जिसका मैं शरणागत हूँ, मेरी ढाल, मेरा बचाने वाला सींग, मेरा ऊंचा गढ़, और मेरा शरण स्थान है, हे मेरे उद्धार कर्त्ता, तू उपद्रव से मेरा उद्धार किया करता है।
Mera chattanroopi Parmeshwar hai, jiska main sharnagat hoon, meri dhaal, mera bachane vala seeng, mera ooncha gadh, aur mera sharan sthaan hai, he mere uddhaar kartta, tu upadrav se mera uddhaar kiya karta hai.
मैं यहोवा को जो स्तुति के योग्य है पुकारूंगा, और अपने शत्रुओं से बचाया जाऊंगा।
Main Yahowa ko jo stuti ke yogya hai pukaroonga, aur apne shatruon se bachaya jaoonga.
मृत्यु के तरंगों ने तो मेरे चारों ओर घेरा डाला, नास्तिकपन की धाराओं ने मुझ को घबड़ा दिया था;
Mrityu ke tarangon ne to mere charon or ghera dala, nastikpan ki dharaon ne mujh ko ghabda diya tha;
अधोलोक की रस्सियां मेरे चारों ओर थीं, मृत्यु के फन्दे मेरे साम्हने थे।
Adholok ki rassiyan mere charon or thi, mrityu ke phande mere samhane the.
अपने संकट में मैं ने यहोवा को पुकारा; और अपने परमेश्वर के सम्मुख चिल्लाया। और उसने मेरी बात को अपने मन्दिर में से सुन लिया, और मेरी दोहाई उसके कानों में पहुंची।
Apne sankat mein main ne Yahowa ko pukara; aur apne Parmeshwar ke sammukh chillaya. Aur usne meri baat ko apne mandir mein se sun liya, aur meri dohai uske kanon mein pahunchi.
तब पृथ्वी हिल गई और डोल उठी; और आकाश की नेवें कांपकर बहुत ही हिल गई, क्योंकि वह अति क्रोधित हुआ था।
Tab prithvi hil gai aur dol uthi; aur aakaash ki nevein kampkar bahut hi hil gai, kyonki vah ati krodhit huaa tha.
उसके नथनों से धुंआ निकला, और उसके मुंह से आग निकल कर भस्म करने लगी; जिस से कोयले दहक उठे।
Uske nathnon se dhunaa nikla, aur uske munh se aag nikal kar bhasm karne lagi; jis se koyle dahak uthe.
और वह स्वर्ग को झुका कर नीचे उतर आया; और उसके पांवों के तले घोर अंधकार छाया था।
Aur vah swarg ko jhuka kar neeche utar aaya; aur uske panvon ke tale ghor andhkaar chhaya tha.
और वह करूब पर सवार हो कर उड़ा, और पवन के पंखों पर चढ़कर दिखाई दिया।
Aur vah karoob par savaar ho kar uda, aur pavan ke pankhon par chadhkar dikhai diya.
और उसने अपने चारों ओर के अंधियारे को, मेघों के समूह, और आकाश की काली घटाओं को अपना मण्डप बनाया।
Aur usne apne charon or ke andhiyare ko, meghon ke samooh, aur aakaash ki kali ghataon ko apna mandap banaya.
उसके सम्मुख की झलक तो उसके आगे आगे थी, आग के कोयले दहक उठे।
Uske sammukh ki jhalak to uske aage aage thi, aag ke koyle dahak uthe.
यहोवा आकाश में से गरजा, और परमप्रधान ने अपनी वाणी सुनाई।
Yahowa aakaash mein se garja, aur parmapradhaan ne apni vani sunai.
उसने तीर चला चला कर मेरे शत्रुओं को तितर बितर कर दिया, और बिजली गिरा गिराकर उसको परास्त कर दिया।
Usne teer chala chala kar mere shatruon ko titar bitar kar diya, aur bijli gira girakar usko paraast kar diya.
तब समुद्र की थाह दिखाई देने लगी, और जगत की नेवें खुल गई, यह तो यहोवा की डांट से, और उसके नथनों की सांस की झोंक से हुआ।
Tab samudra ki thaah dikhai dene lagi, aur jagat ki nevein khul gai, yah to Yahowa ki daant se, aur uske nathnon ki saans ki jhonk se huaa.
उसने ऊपर से हाथ बढ़ाकर मुझे थाम लिया, और मुझे गहरे जल में से खींचकर बाहर निकाला।
Usne oopar se haath badhakar mujhe thaam liya, aur mujhe gahre jal mein se kheenchkar bahar nikala.
उसने मुझे मेरे बलवन्त शत्रु से, और मेरे बैरियों से, जो मुझ से अधिक सामर्थी थे, मुझे छुड़ा लिया।
Usne mujhe mere balvant shatru se, aur mere bairiyon se, jo mujh se adhik samarthi the, mujhe chhuda liya.
उन्होंने मेरी विपत्ति के दिन मेरा साम्हना तो किया; परन्तु यहोवा मेरा आश्रय था।
Unhonne meri vipatti ke din mera samhana to kiya; parantu Yahowa mera aashray tha.
और उसने मुझे निकाल कर चौड़े स्थान में पहुंचाया; उसने मुझ को छुड़ाया, क्योंकि वह मुझ से प्रसन्न था।
Aur usne mujhe nikaal kar chaude sthaan mein pahunchaya; usne mujh ko chhudaya, kyonki vah mujh se prasann tha.
यहोवा ने मुझ से मेरे धर्म के अनुसार व्यवहार किया; मेरे कामों की शुद्धता के अनुसार उसने मुझे बदला दिया।
Yahowa ne mujh se mere dharm ke anusaar vyavhaar kiya; mere kamon ki shuddhata ke anusaar usne mujhe badla diya.
क्योंकि मैं यहोवा के मार्गों पर चलता रहा, और अपने परमेश्वर से मुंह मोड़ कर दुष्ट न बना।
Kyonki main Yahowa ke margon par chalta raha, aur apne Parmeshwar se munh mod kar dusht na bana.
उसके सब नियम तो मेरे साम्हने बने रहे, और मैं उसकी विधियों से हट न गया।
Uske sab niyam to mere samhane bane rahe, aur main uski vidhiyon se hat na gaya.
और मैं उसके साथ खरा बना रहा, और अधर्म से अपने को बचाए रहा, जिस में मेरे फंसने का डर था।
Aur main uske saath khara bana raha, aur adharm se apne ko bachaye raha, jis mein mere phansne ka dar tha.
इसलिये यहोवा ने मुझे मेरे धर्म के अनुसार बदला दिया, मेरी उस शुद्धता के अनुसार जिसे वह देखता था।
Isliye Yahowa ne mujhe mere dharm ke anusaar badla diya, meri us shuddhata ke anusaar jise vah dekhta tha.
दयावन्त के साथ तू अपने को दयावन्त दिखाता; खरे पुरुष के साथ तू अपने को खरा दिखाता है;
Dayavant ke saath tu apne ko dayavant dikhata; khare purush ke saath tu apne ko khara dikhata hai;
शुद्ध के साथ तू अपने को शुद्ध दिखाता; और टेढ़े के साथ तू तिरछा बनता है।
Shuddh ke saath tu apne ko shuddh dikhata; aur tedhe ke saath tu tirchha banta hai.
और दीन लोगों को तो तू बचाता है, परन्तु अभिमानियों पर दृष्टि करके उन्हें नीचा करता है।
Aur deen logon ko to tu bachata hai, parantu abhimaniyon par drishti karke unhein neecha karta hai.
हे यहोवा, तू ही मेरा दीपक है, और यहोवा मेरे अन्धियारे को दूर करके उजियाला कर देता है।
He Yahowa, tu hi mera deepak hai, aur Yahowa mere andhiyare ko door karke ujiyala kar deta hai.
तेरी सहायता से मैं दल पर धावा करता, अपने परमेश्वर की सहायता से मैं शहरपनाह को फांद जाता हूँ।
Teri sahayta se main dal par dhava karta, apne Parmeshwar ki sahayta se main shahrapnaah ko phaand jata hoon.
ईश्वर की गति खरी है; यहोवा का वचन ताया हुआ है; वह अपने सब शरणागतों की ढाल है।
Ishwar ki gati khari hai; Yahowa ka vachan taya huaa hai; vah apne sab sharnagton ki dhaal hai.
यहोवा को छोड़ क्या कोई ईश्वर है? हमारे परमेश्वर को छोड़ क्या और कोई चट्टान है?
Yahowa ko chhod kya koi ishwar hai? Hamare Parmeshwar ko chhod kya aur koi chattaan hai?
यह वही ईश्वर है, जो मेरा अति दृढ़ क़िला है, वह खरे मनुष्य को अपने मार्ग में लिए चलता है।
Yah vahi ishwar hai, jo mera ati dridh qila hai, vah khare manushya ko apne maarg mein liye chalta hai.
वह मेरे पैरों को हरिणियों के से बना देता है, और मुझे ऊंचे स्थानों पर खड़ा करता है।
Vah mere pairon ko hariniyon ke se bana deta hai, aur mujhe oonche sthanon par khada karta hai.
वह मेरे हाथों को युद्ध करना सिखाता है, यहां तक कि मेरी बांहें पीतल के धनुष को झुका देती हैं।
Vah mere hathon ko yuddh karna sikhata hai, yahan tak ki meri banhein peetal ke dhanush ko jhuka deti hain.
और तू ने मुझ को अपने उद्धार की ढाल दी है, और तेरी नम्रता मुझे बढ़ाती है।
Aur tu ne mujh ko apne uddhaar ki dhaal di hai, aur teri namrata mujhe badhati hai.
तू मेरे पैरों के लिये स्थान चौड़ा करता है, और मेरे पैर नहीं फिसले।
Tu mere pairon ke liye sthaan chauda karta hai, aur mere pair nahi phisle.
मैं ने अपने शत्रुओं का पीछा करके उन्हें सत्यानाश कर दिया, और जब तक उनका अन्त न किया तब तक न लौटा।
Main ne apne shatruon ka peechha karke unhein satyanaash kar diya, aur jab tak unka ant na kiya tab tak na lauta.
और मैं ने उनका अन्त किया; और उन्हें ऐसा छेद डाला है कि वे उठ नहीं सकते; वरन वे तो मेरे पांवों के नीचे गिरे पड़े हैं।
Aur main ne unka ant kiya; aur unhein aisa chhed dala hai ki ve uth nahi sakte; varan ve to mere panvon ke neeche gire pade hain.
और तू ने युद्ध के लिये मेरी कमर बलवन्त की; और मेरे विरोधियों को मेरे ही साम्हने परास्त कर दिया।
Aur tu ne yuddh ke liye meri kamar balvant ki; aur mere virodhiyon ko mere hi samhane paraast kar diya.
और तू ने मेरे शत्रुओं की पीठ मुझे दिखाई, ताकि मैं अपने बैरियों को काट डालूं।
Aur tu ne mere shatruon ki peeth mujhe dikhai, taki main apne bairiyon ko kaat dalun.
उन्होंने बाट तो जोही, परन्तु कोई बचाने वाला न मिला; उन्होंने यहोवा की भी बाट जोही, परन्तु उसने उन को कोई उत्तर न दिया।
Unhonne baat to johi, parantu koi bachane vala na mila; unhonne Yahowa ki bhi baat johi, parantu usne un ko koi uttar na diya.
तब मैं ने उन को कूट कूटकर भूमि की धूलि के समान कर दिया, मैं ने उन्हें सड़कों और गली कूचों की कीचड़ के समान पटक कर चारों ओर फैला दिया।
Tab main ne un ko koot kootkar bhoomi ki dhooli ke samaan kar diya, main ne unhein sadkon aur gali koochon ki keechad ke samaan patak kar charon or phaila diya.
फिर तू ने मुझे प्रजा के झगड़ों से छुड़ाकर अन्य जातियों का प्रधान होने के लिये मेरी रक्षा की; जिन लोगों को मैं न जानता था वे भी मेरे आधीन हो जाएंगे।
Phir tu ne mujhe praja ke jhagdon se chhudakar anya jatiyon ka pradhaan hone ke liye meri raksha ki; jin logon ko main na janta tha ve bhi mere aadheen ho jayenge.
परदेशी मेरी चापलूसी करेंगे; वे मेरा नाम सुनते ही मेरे वश में आएंगे।
Pardeshi meri chaploosi karenge; ve mera naam sunte hi mere vash mein aayenge.
परदेशी मुर्झाएंगे, और अपने कोठों में से थरथराते हुए निकलेंगे।
Pardeshi murjhayenge, aur apne kothon mein se tharathrate hue niklenge.
यहोवा जीवित है; मेरी चट्टान धन्य है, और परमेश्वर जो मेरे उद्धार की चट्टान है, उसकी महिमा हो।
Yahowa jeevit hai; meri chattaan dhanya hai, aur Parmeshwar jo mere uddhaar ki chattaan hai, uski mahima ho.
धन्य है मेरा पलटा लेनेवाला ईश्वर, जो देश देश के लोगों को मेरे वश में कर देता है,
Dhanya hai mera palta lenevala ishwar, jo desh desh ke logon ko mere vash mein kar deta hai,
और मुझे मेरे शत्रुओं के बीच से निकालता है; हां, तू मुझे मेरे विरोधियों से ऊंचा करता है, और उपद्रवी पुरुष से बचाता है।
Aur mujhe mere shatruon ke beech se nikalta hai; han, tu mujhe mere virodhiyon se ooncha karta hai, aur upadravi purush se bachata hai.
इस कारण, हे यहोवा, मैं जाति जाति के साम्हने तेरा धन्यवाद करूंगा, और तेरे नाम का भजन गाऊंगा।
Is karan, he Yahowa, main jati jati ke samhane tera dhanyavaad karoonga, aur tere naam ka bhajan gaoonga.
वह अपने ठहराए हुए राजा का बड़ा उद्धार करता है, वह अपने अभिषिक्त दाऊद, और उसके वंश पर युगानुयुग करुणा करता रहेगा।
Vah apne thahraye hue raja ka bada uddhaar karta hai, vah apne abhishikt Daud, aur uske vansh par yuganuyug karuna karta rahega.