2 Samuel 21 · 22 verses

2 शमूएल 21 2 Samuel 21 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 21.

1

दाऊद के दिनों में लगातार तीन बरस तक अकाल पड़ा; तो दाऊद ने यहोवा से प्रार्थना की। यहोवा ने कहा, यह शाऊल और उसके खूनी घराने के कारण हुआ, क्योंकि उसने गिबोनियों को मरवा डाला था।

Daud ke dinon mein lagataar teen baras tak akaal pada; to Daud ne Yahowa se prarthana ki. Yahowa ne kaha, yah shaool aur uske khooni gharane ke karan huaa, kyonki usne giboniyon ko marva dala tha.

2

तब राजा ने गिबोनियो को बुलाकर उन से बातें कीं। गिबोनी लोग तो इस्राएलियों में से नहीं थे, वे बचे हुए एमोरियों में से थे; और इस्राएलियों ने उनके साथ शपथ खाई थी, परन्तु शाऊल को जो इस्राएलियों और यहूदियों के लिये जलन हुई थी, इस से उसने उन्हें मार डालने के लिये यत्न किया था।

Tab raja ne giboniyo ko bulakar un se batein ki. Giboni log to Israeliyon mein se nahi the, ve bache hue emoriyon mein se the; aur Israeliyon ne unke saath shapath khai thi, parantu shaool ko jo Israeliyon aur Yahudiyon ke liye jalan hui thi, is se usne unhein maar dalne ke liye yatn kiya tha.

3

तब दाऊद ने गिबोनियों से पूछा, मैं तुम्हारे लिये क्या करूं? और क्या करके ऐसा प्रायश्चित करूं, कि तुम यहोवा के निज भाग को आशीर्वाद दे सको?

Tab Daud ne giboniyon se poochha, main tumhare liye kya karun? Aur kya karke aisa prayashchit karun, ki tum Yahowa ke nij bhaag ko aasheervaad de sako?

4

गिबोनियों ने उस से कहा, हमारे और शाऊल वा उसके घराने के मध्य रुपये पैसे का कुछ झगड़ा नहीं; और न हमारा काम है कि किसी इस्राएली को मार डालें। उसने कहा, जो कुछ तुम कहो, वही मैं तुम्हारे लिये करूंगा।

Giboniyon ne us se kaha, hamare aur shaool va uske gharane ke madhya rupye paise ka kuchh jhagda nahi; aur na hamara kaam hai ki kisi Israeli ko maar dalein. Usne kaha, jo kuchh tum kaho, vahi main tumhare liye karoonga.

5

उन्होंने राजा से कहा, जिस पुरुष ने हम को नाश कर दिया, और हमारे विरुद्ध ऐसी युक्ति दी कि हम ऐसे सत्यानाश हो जाएं, कि इस्राएल के देश में आगे को न रह सकें,

Unhonne raja se kaha, jis purush ne ham ko naash kar diya, aur hamare viruddh aisi yukti di ki ham aise satyanaash ho jayen, ki Israel ke desh mein aage ko na rah sakein,

6

उसके वंश के सात जन हमें सौंप दिए जाएं, और हम उन्हें यहोवा के लिये यहोवा के चुने हुए शाऊल की गिबा नाम बस्ती में फांसी देंगे। राजा ने कहा, मैं उन को सौंप दूंगा।

Uske vansh ke saat jan hamein saump diye jayen, aur ham unhein Yahowa ke liye Yahowa ke chune hue shaool ki giba naam basti mein phansi denge. Raja ne kaha, main un ko saump doonga.

7

परन्तु दाऊद ने और शाऊल के पुत्र योनातन ने आपस में यहोवा की शपथ खाई थी, इस कारण राजा ने योनातन के पुत्र मपीबोशेत को जो शाऊल का पोता था बचा रखा।

Parantu Daud ne aur shaool ke putra yonatan ne aapas mein Yahowa ki shapath khai thi, is karan raja ne yonatan ke putra mapeeboshet ko jo shaool ka pota tha bacha rakha.

8

परन्तु अर्मोनी और मपीबोशेत नाम, अय्या की बेटी रिस्पा के दोनों पुत्र जो शाऊल से उत्पन्न हुए थे; और शाऊल की बेटी मीकल के पांचों बेटे, जो वह महोलवासी बर्जिल्लै के पुत्र अद्रीएल की ओर से थे, इन को राजा ने पकड़वाकर

Parantu armoni aur mapeeboshet naam, ayya ki beti rispa ke donon putra jo shaool se utpann hue the; aur shaool ki beti meekal ke panchon bete, jo vah maholvasi barjillai ke putra adreeyel ki or se the, in ko raja ne pakadvakar

9

गिबोनियों के हाथ सौंप दिया, और उन्होंने उन्हें पहाड़ पर यहोवा के साम्हने फांसी दी, और सातों एक साथ नाश हुए। उनका मार डाला जाना तो कटनी के पहिले दिनों में, अर्थात जब की कटनी के आरम्भ में हुआ।

Giboniyon ke haath saump diya, aur unhonne unhein pahaad par Yahowa ke samhane phansi di, aur saton ek saath naash hue. Unka maar dala jana to katni ke pahile dinon mein, arthaat jab ki katni ke aarambh mein huaa.

10

तब अय्या की बेटी रिस्पा ने टाट ले कर, कटनी के आरम्भ से ले कर जब तक आकाश से उन पर अत्यन्त वृष्टि न पड़ी, तब तक चट्टान पर उसे अपने नीचे बिछाये रही; और न तो दिन में आकाश के पक्षियों को, और न रात में बनैले पशुओं को उन्हें छूने दिया।

Tab ayya ki beti rispa ne taat le kar, katni ke aarambh se le kar jab tak aakaash se un par atyant vrishti na padi, tab tak chattaan par use apne neeche bichhaye rahi; aur na to din mein aakaash ke pakshiyon ko, aur na raat mein banaile pashuon ko unhein chhoone diya.

11

जब अय्या की बेटी शाऊल की रखेली रिस्पा के इस काम का समाचार दाऊद को मिला,

Jab ayya ki beti shaool ki rakheli rispa ke is kaam ka samachaar Daud ko mila,

12

तब दाऊद ने जा कर शाऊल और उसके पुत्र योनातन की हड्डियों को गिलादी याबेश के लोगों से ले लिया, जिन्होंने उन्हें बेतशान के उस चौक से चुरा लिया था, जहां पलिश्तियों ने उन्हें उस दिन टांगा था, जब उन्होंने शाऊल को गिल्बो पहाड़ पर मार डाला था;

Tab Daud ne ja kar shaool aur uske putra yonatan ki haddiyon ko giladi yabesh ke logon se le liya, jinhonne unhein betshaan ke us chauk se chura liya tha, jahan palishtiyon ne unhein us din tanga tha, jab unhonne shaool ko gilbo pahaad par maar dala tha;

13

तो वह वहां से शाऊल और उसके पुत्र योनातन की हड्डियों को ले आया; और फांसी पाए हुओं की हड्डियां भी इकट्ठी की गई।

To vah vahan se shaool aur uske putra yonatan ki haddiyon ko le aaya; aur phansi paye huon ki haddiyan bhi ikatthi ki gai.

14

और शाऊल और उसके पुत्र योनातन की हड्डियां बिन्यामीन के देश के जेला में शाऊल के पिता कीश के क़ब्रिस्तान गाड़ी गई; और दाऊद की सब आज्ञाओं के अनुसार काम हुआ। और उसके बाद परमेश्वर ने देश के लिये प्रार्थना सुन ली।

Aur shaool aur uske putra yonatan ki haddiyan binyameen ke desh ke jela mein shaool ke pita keesh ke qabristaan gadi gai; aur Daud ki sab aagyaon ke anusaar kaam huaa. Aur uske baad Parmeshwar ne desh ke liye prarthana sun li.

15

पलिश्तियों ने इस्राएल से फिर युद्ध किया, और दाऊद अपने जनों समेत जा कर पलिश्तियों से लड़ने लगा; परन्तु दाऊद थक गया।

Palishtiyon ne Israel se phir yuddh kiya, aur Daud apne janon samet ja kar palishtiyon se ladne laga; parantu Daud thak gaya.

16

तब यिशबोबनोब, जो रपाई के वंश का था, और उसके भाले का फल तौल में तीन सौ शेकेल पीतल का था, और वह नई तलवार बान्धे हुए था, उसने दाऊद को मारने को ठाना।

Tab yishbobnob, jo rapai ke vansh ka tha, aur uske bhale ka phal taul mein teen sau shekel peetal ka tha, aur vah nai talvaar bandhe hue tha, usne Daud ko marne ko thana.

17

परन्तु सरूयाह के पुत्र अबीशै ने दाऊद की सहायता करके उस पलिश्ती को ऐसा मारा कि वह मर गया। तब दाऊद के जनों ने शपथ खाकर उस से कहा, तू फिर हमारे संग युद्ध को जाने न पाएगा, ऐसा न हो कि तेरे मरने से इस्राएल का दिया बुझ जाए।

Parantu sarooyaah ke putra abeeshai ne Daud ki sahayta karke us palishti ko aisa mara ki vah mar gaya. Tab Daud ke janon ne shapath khakar us se kaha, tu phir hamare sang yuddh ko jane na payega, aisa na ho ki tere marne se Israel ka diya bujh jaye.

18

इसके बाद पलिश्तियों के साथ गोब में फिर युद्ध हुआ; उस समय हूशाई सिब्बकै ने रपाईवंशी सप को मारा।

Iske baad palishtiyon ke saath gob mein phir yuddh huaa; us samay hooshai sibbakai ne rapaivanshi sap ko mara.

19

और गोब में पलिश्तियों के साथ फिर युद्ध हुआ; उस में बेतलेहेम वासी यारयोरगीम के पुत्र एल्हनान ने गती गोल्यत को मार डाला, जिसके बर्छे की छड़ जोलाहे की डोंगी के समान थी।

Aur gob mein palishtiyon ke saath phir yuddh huaa; us mein betlehem vasi yaryorgeem ke putra elhanaan ne gati golyat ko maar dala, jiske barchhe ki chhad jolahe ki dongi ke samaan thi.

20

फिर गत में भी युद्ध हुआ, और वहां एक बड़ी डील का रपाईवंशी पुरुष था, जिसके एक एक हाथ पांव में, छ: छ: उंगली, अर्थात गिनती में चौबीस उंगलियां थीं।

Phir gat mein bhi yuddh huaa, aur vahan ek badi deel ka rapaivanshi purush tha, jiske ek ek haath paanv mein, chha: chha: ungli, arthaat ginti mein chaubees ungliyan thi.

21

जब उसने इस्राएल को ललकारा, तब दाऊद के भाई शिमा के पुत्र यहोनातान ने उसे मारा।

Jab usne Israel ko lalkara, tab Daud ke bhai shima ke putra yahonataan ne use mara.

22

ये ही चार गत में उस रपाई से उत्पन्न हुए थे; और वे दाऊद और उसके जनों से मार डाले गए।

Ye hi chaar gat mein us rapai se utpann hue the; aur ve Daud aur uske janon se maar dale gaye.