शाऊल के मरने के बाद, जब दाऊद अमालेकियों को मारकर लौटा, और दाऊद को सिकलग में रहते हुए दो दिन हो गए,
Shaool ke marne ke baad, jab Daud amalekiyon ko markar lauta, aur Daud ko siklag mein rahte hue do din ho gaye,
2 Samuel 1 · 27 verses
शाऊल के मरने के बाद, जब दाऊद अमालेकियों को मारकर लौटा, और दाऊद को सिकलग में रहते हुए दो दिन हो गए,
Shaool ke marne ke baad, jab Daud amalekiyon ko markar lauta, aur Daud ko siklag mein rahte hue do din ho gaye,
तब तीसरे दिन ऐसा हुआ कि छावनी में से शाऊल के पास से एक पुरुष कपड़े फाड़े सिर पर धूलि डाले हुए आया। और जब वह दाऊद के पास पहुंचा, तब भूमि पर गिरा और दण्डवत् किया।
Tab teesre din aisa huaa ki chhavni mein se shaool ke paas se ek purush kapde phade sir par dhooli dale hue aaya. Aur jab vah Daud ke paas pahuncha, tab bhoomi par gira aur dandavat kiya.
दाऊद ने उस से पूछा, तू कहां से आया है? उसने उस से कहा, मैं इस्राएली छावनी में से बचकर आया हूं।
Daud ne us se poochha, tu kahan se aaya hai? Usne us se kaha, main Israeli chhavni mein se bachkar aaya hoon.
दाऊद ने उस से पूछा, वहां क्या बात हुई? मुझे बता। उसने कहा, यह, कि लोग रणभूमि छोड़कर भाग गए, और बहुत लोग मारे गए; और शाऊल और उसका पुत्र योनातन भी मारे गए हैं।
Daud ne us se poochha, vahan kya baat hui? Mujhe bata. Usne kaha, yah, ki log ranbhoomi chhodkar bhaag gaye, aur bahut log mare gaye; aur shaool aur uska putra yonatan bhi mare gaye hain.
दाऊद ने उस समाचार देने वाले जवान से पूछा, कि तू कैसे जानता है कि शाऊल और उसका पुत्र योनातन मर गए?
Daud ne us samachaar dene vale javaan se poochha, ki tu kaise janta hai ki shaool aur uska putra yonatan mar gaye?
समाचार देने वाले जवान ने कहा, संयोग से मैं गिलबो पहाड़ पर था; तो क्या देखा, कि शाऊल अपने भाले की टेक लगाए हुए है; फिर मैं ने यह भी देखा कि उसका पीछा किए हुए रथ और सवार बड़े वेग से दौड़े आ रहे हैं।
Samachaar dene vale javaan ne kaha, sanyog se main gilbo pahaad par tha; to kya dekha, ki shaool apne bhale ki tek lagaye hue hai; phir main ne yah bhi dekha ki uska peechha kiye hue rath aur savaar bade veg se daude aa rahe hain.
उसने पीछे फिरकर मुझे देखा, और मुझे पुकारा। मैं ने कहा,क्या आज्ञा?
Usne peechhe phirkar mujhe dekha, aur mujhe pukara. Main ne kaha,kya aagya?
उसने मुझ से पूछा, तू कौन है? मैं ने उस से कहा, मैं तो अमालेकी हूँ।
Usne mujh se poochha, tu kaun hai? Main ne us se kaha, main to amaleki hoon.
उसने मुझ से कहा, मेरे पास खड़ा हो कर मुझे मार डाल; क्योंकि मेरा सिर तो घुमा जाता है, परन्तु प्राण नहीं निकलता।
Usne mujh se kaha, mere paas khada ho kar mujhe maar daal; kyonki mera sir to ghuma jata hai, parantu praan nahi nikalta.
तब मैं ने यह निश्चय जान लिया, कि वह गिर जाने के पहचात् नहीं बच सकता, उसके पास खड़े हो कर उसे मार डाला; और मैं उसके सिर का मुकुट और उसके हाथ का कंगन ले कर यहां अपने प्रभु के पास आया हूँ।
Tab main ne yah nishchay jaan liya, ki vah gir jane ke pahchaat nahi bach sakta, uske paas khade ho kar use maar dala; aur main uske sir ka mukut aur uske haath ka kangan le kar yahan apne Prabhu ke paas aaya hoon.
तब दाऊद ने अपने कपड़े पकड़कर फाड़े; और जितने पुरुष उसके संग थे उन्होंने भी वैसा ही किया;
Tab Daud ne apne kapde pakadkar phade; aur jitne purush uske sang the unhonne bhi vaisa hi kiya;
और वे शाऊल, और उसके पुत्र योनातन, और यहोवा की प्रजा, और इस्राएल के घराने के लिये छाती पीटने और रोने लगे, और सांझ तक कुछ न खाया, इस कारण कि वे तलवार से मारे गए थे।
Aur ve shaool, aur uske putra yonatan, aur Yahowa ki praja, aur Israel ke gharane ke liye chhati peetne aur rone lage, aur saanjh tak kuchh na khaya, is karan ki ve talvaar se mare gaye the.
फिर दाऊद ने उस समाचार देने वाले जवान से पूछा, तू कहां का है? उसने कहा, मैं तो परदेशी का बेटा अर्थात अमालेकी हूँ।
Phir Daud ne us samachaar dene vale javaan se poochha, tu kahan ka hai? Usne kaha, main to pardeshi ka beta arthaat amaleki hoon.
दाऊद ने उस से कहा, तू यहोवा के अभिषिक्त को नाश करने के लिये हाथ बढ़ाने से क्यों नहीं डरा?
Daud ne us se kaha, tu Yahowa ke abhishikt ko naash karne ke liye haath badhane se kyon nahi dara?
तब दाऊद ने एक जवान को बुलाकर कहा, निकट जा कर उस पर प्रहार कर। तब उसने उसे ऐसा मारा कि वह मर गया।
Tab Daud ne ek javaan ko bulakar kaha, nikat ja kar us par prahaar kar. Tab usne use aisa mara ki vah mar gaya.
और दाऊद ने उस से कहा, तेरा खून तेरे ही सिर पर पड़े; क्योंकि तू ने यह कहकर कि मैं ही ने यहोवा के अभिषिक्त को मार डाला, अपने मुंह से अपने ही विरुद्ध साक्षी दी है।
Aur Daud ne us se kaha, tera khoon tere hi sir par pade; kyonki tu ne yah kahkar ki main hi ne Yahowa ke abhishikt ko maar dala, apne munh se apne hi viruddh sakshi di hai.
(शाऊल और योनातन के लिये दाऊद का बनाया हुआ विलापगीत ) तब दाऊद ने शाऊल और उसके पुत्र योनातन के विषय यह विलापगीत बनाया,
(shaool aur yonatan ke liye Daud ka banaya huaa vilapgeet ) tab Daud ne shaool aur uske putra yonatan ke vishay yah vilapgeet banaya,
और यहूदियों को यह धनुष नाम गीत सिखाने की आज्ञा दी; यह याशार नाम पुस्तक में लिखा हुआ है;
Aur Yahudiyon ko yah dhanush naam geet sikhane ki aagya di; yah yashaar naam pustak mein likha huaa hai;
हे इस्राएल, तेरा शिरोमणि तेरे ऊंचे स्थान पर मारा गया। हाय, शूरवीर क्योंकर गिर पड़े हैं!
He Israel, tera shiromni tere oonche sthaan par mara gaya. Haay, shoorveer kyonkar gir pade hain!
गत में यह न बताओ, और न अश्कलोन की सड़कों में प्रचार करना; न हो कि पलिश्ती स्त्रियाँ आनन्दित हों, न हो कि खतनारहित लोगों की बेटियां गर्व करने लगें।
Gat mein yah na batao, aur na ashkalon ki sadkon mein prachaar karna; na ho ki palishti striyan aanandit hon, na ho ki khatnarhit logon ki betiyan garva karne lagein.
हे गिलबो पहाड़ो, तुम पर न ओस पड़े, और न वर्षा हो, और न भेंट के योग्य उपज वाले खेत पाए जाएं! क्योंकि वहां शूरवीरों की ढालें अशुद्ध हो गई। और शाऊल की ढाल बिना तेल लगाए रह गई।
He gilbo pahado, tum par na os pade, aur na varsha ho, aur na bhent ke yogya upaj vale khet paye jayen! Kyonki vahan shoorveeron ki dhalein ashuddh ho gai. Aur shaool ki dhaal bina tel lagaye rah gai.
जूझे हुओं के लोहू बहाने से, और शूरवीरों की चर्बी खाने से, योनातन का धनुष लौट न जाता था, और न शाऊल की तलवार छूछी फिर आती थी।
Joojhe huon ke lohu bahane se, aur shoorveeron ki charbi khane se, yonatan ka dhanush laut na jata tha, aur na shaool ki talvaar chhoochhi phir aati thi.
शाऊल और योनातन जीवनकाल में तो प्रिय और मनभाऊ थे, और अपनी मृत्यु के समय अलग न हुए; वे उकाब से भी वेग चलने वाले, और सिंह से भी अधिक पराक्रमी थे।
Shaool aur yonatan jeevankaal mein to priya aur manbhau the, aur apni mrityu ke samay alag na hue; ve ukaab se bhi veg chalne vale, aur sinh se bhi adhik parakrami the.
हे इस्राएली स्त्रियो, शाऊल के लिये रोओ, वह तो तुम्हें लाल रंग के वस्त्र पहिनाकर सुख देता, और तुम्हारे वस्त्रों के ऊपर सोने के गहने पहिनाता था।
He Israeli striyo, shaool ke liye roo, vah to tumhein laal rang ke vastra pahinakar sukh deta, aur tumhare vastron ke oopar sone ke gahne pahinata tha.
हाय, युद्ध के बीच शूरवीर कैसे काम आए! हे योनातन, हे ऊंचे स्थानों पर जूझे हुए,
Haay, yuddh ke beech shoorveer kaise kaam aaye! He yonatan, he oonche sthanon par joojhe hue,
हे मेरे भाई योनातन, मैं तेरे कारण दु:खित हूँ; तू मुझे बहुत मनभाऊ जान पड़ता था; तेरा प्रेम मुझ पर अद्भुत, वरन स्त्रियों के प्रेम से भी बढ़कर था।
He mere bhai yonatan, main tere karan dukhit hoon; tu mujhe bahut manbhau jaan padta tha; tera prem mujh par adbhut, varan striyon ke prem se bhi badhkar tha.
हाय, शूरवीर क्योंकर गिर गए, और युद्ध के हथियार कैसे नाश हो गए हैं!
Haay, shoorveer kyonkar gir gaye, aur yuddh ke hathiyaar kaise naash ho gaye hain!