2 Samuel 16 · 23 verses

2 शमूएल 16 2 Samuel 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 16.

1

दाऊद चोटी पर से थोड़ी दूर बढ़ गया था, कि मपीबोशेत का कर्मचारी सीबा एक जोड़ी, जीन बान्धे हुए गदहों पर दो सौ रोटी, किशमिश की एक सौ टिकिया, धूपकाल के फल की एक सौ टिकिया, और कुप्पी भर दाखमधु, लादे हुए उस से आ मिला।

Daud choti par se thodi door badh gaya tha, ki mapeeboshet ka karmachari seeba ek jodi, jeen bandhe hue gadhon par do sau roti, kishmish ki ek sau tikiya, dhoopkaal ke phal ki ek sau tikiya, aur kuppi bhar dakhamdhu, lade hue us se aa mila.

2

राजा ने सीबा से पूछा, इन से तेरा क्या प्रयोजन है? सीबा ने कहा, गदहे तो राजा के घराने की सवारी के लिये हैं, और रोटी और धूपकाल के फल जवानों के खाने के लिये हैं, और दाखमधु इसलिये है कि जो कोई जंगल में थक जाए वह उसे पीए।

Raja ne seeba se poochha, in se tera kya prayojan hai? Seeba ne kaha, gadhe to raja ke gharane ki savari ke liye hain, aur roti aur dhoopkaal ke phal javanon ke khane ke liye hain, aur dakhamdhu isliye hai ki jo koi jangal mein thak jaye vah use peeye.

3

राजा ने पूछा, फिर तेरे स्वामी का बेटा कहां है? सीबा ने राजा से कहा, वह तो यह कहकर यरूशलेम में रह गया, कि अब इस्राएल का घराना मुझे मेरे पिता का राज्य फेर देगा।

Raja ne poochha, phir tere swami ka beta kahan hai? Seeba ne raja se kaha, vah to yah kahkar Yerushalem mein rah gaya, ki ab Israel ka gharana mujhe mere pita ka rajya pher dega.

4

राजा ने सीबा से कहा, जो कुछ मपीबोशेत का था वह सब तुझे मिल गया। सीबा ने कहा, प्रणाम; हे मेरे प्रभु, हे राजा, मुझ पर तेरे अनुग्रह की दृष्टि बनी रहे।

Raja ne seeba se kaha, jo kuchh mapeeboshet ka tha vah sab tujhe mil gaya. Seeba ne kaha, pranaam; he mere Prabhu, he raja, mujh par tere anugrah ki drishti bani rahe.

5

जब दाऊद राजा बहूरीम तक पहुंचा, तब शाऊल का एक कुटुम्बी वहां से निकला, वह गेरा का पुत्र शिमी नाम का था; और वह कोसता हुआ चला आया।

Jab Daud raja bahooreem tak pahuncha, tab shaool ka ek kutumbi vahan se nikla, vah gera ka putra shimi naam ka tha; aur vah kosta huaa chala aaya.

6

और दाऊद पर, और दाऊद राजा के सब कर्मचारियों पर पत्थर फेंकने लगा; और शूरवीरों समेत सब लोग उसकी दाहिनी बाई दोनों ओर थे।

Aur Daud par, aur Daud raja ke sab karmachariyon par patthar phenkne laga; aur shoorveeron samet sab log uski dahini bai donon or the.

7

और शिमी कोसता हुआ यों बकता गया, कि दूर हो खूनी, दूर हो ओछे, निकल जा, निकल जा!

Aur shimi kosta huaa yon bakta gaya, ki door ho khooni, door ho ochhe, nikal ja, nikal ja!

8

यहोवा ने तुझ से शाऊल के घराने के खून का पूरा पलटा लिया है, जिसके स्थान पर तू राजा बना है; यहोवा ने राज्य को तेरे पुत्र अबशालोम के हाथ कर दिया है। और इसलिये कि तू खूनी है, तू अपनी बुराई में आप फंस गया।

Yahowa ne tujh se shaool ke gharane ke khoon ka poora palta liya hai, jiske sthaan par tu raja bana hai; Yahowa ne rajya ko tere putra abshalom ke haath kar diya hai. Aur isliye ki tu khooni hai, tu apni burai mein aap phans gaya.

9

तब सरूयाह के पुत्र अबीशै ने राजा से कहा, यह मरा हुआ कुत्ता मेरे प्रभु राजा को क्यों शाप देने पाए? मुझे उधर जा कर उसका सिर काटने दे।

Tab sarooyaah ke putra abeeshai ne raja se kaha, yah mara huaa kutta mere Prabhu raja ko kyon shaap dene paye? Mujhe udhar ja kar uska sir katne de.

10

राजा ने कहा, सरूयाह के बेटो, मुझे तुम से क्या काम? वह जो कोसता है, और यहोवा ने जो उस से कहा है, कि दाऊद को शाप दे, तो उस से कौन पूछ सकता, कि तू ने ऐसा क्यों किया?

Raja ne kaha, sarooyaah ke beto, mujhe tum se kya kaam? Vah jo kosta hai, aur Yahowa ne jo us se kaha hai, ki Daud ko shaap de, to us se kaun poochh sakta, ki tu ne aisa kyon kiya?

11

फिर दाऊद ने अबीशै और अपने सब कर्मचारियों से कहा, जब मेरा निज पुत्र भी मेरे प्राण का खोजी है, तो यह बिन्यामीनी अब ऐसा क्यों न करें? उसको रहने दो, और शाप देने दो; क्योंकि यहोवा ने उस से कहा है।

Phir Daud ne abeeshai aur apne sab karmachariyon se kaha, jab mera nij putra bhi mere praan ka khoji hai, to yah binyameeni ab aisa kyon na karein? Usko rahne do, aur shaap dene do; kyonki Yahowa ne us se kaha hai.

12

कदाचित यहोवा इस उपद्रव पर, जो मुझ पर हो रहा है, दृष्टि करके आज के शाप की सन्ती मुझे भला बदला दे।

Kadachit Yahowa is upadrav par, jo mujh par ho raha hai, drishti karke aaj ke shaap ki santi mujhe bhala badla de.

13

तब दाऊद अपने जनों समेत अपना मार्ग चला गया, और शिमी उसके साम्हने के पहाड़ की अलंग पर से शाप देता, और उस पर पत्थर और धूलि फेंकता हुआ चला गया।

Tab Daud apne janon samet apna maarg chala gaya, aur shimi uske samhane ke pahaad ki alang par se shaap deta, aur us par patthar aur dhooli phenkta huaa chala gaya.

14

निदान राजा अपने संग के सब लोगों समेत अपने ठिकाने पर थका हुआ पहुंचा; और वहां विश्राम किया।

Nidaan raja apne sang ke sab logon samet apne thikane par thaka huaa pahuncha; aur vahan vishraam kiya.

15

अबशालोम सब इस्राएली लोगों समेत यरूशलेम को आया, और उसके संग अहीतोपेल भी आया।

Abshalom sab Israeli logon samet Yerushalem ko aaya, aur uske sang aheetopel bhi aaya.

16

जब दाऊद का मित्र एरेकी हूशै अबशालोम के पास पहुंचा, तब हूशै ने अबशालोम से कहा, राजा चिरंजीव रहे! राजा चिरंजीव रहे!

Jab Daud ka mitra ereki hooshai abshalom ke paas pahuncha, tab hooshai ne abshalom se kaha, raja chiranjeev rahe! Raja chiranjeev rahe!

17

अबशालोम ने उस से कहा, क्या यह तेरी प्रीति है जो तू अपने मित्र से रखता है? तू अपने मित्र के संग क्यों नहीं गया?

Abshalom ne us se kaha, kya yah teri preeti hai jo tu apne mitra se rakhta hai? Tu apne mitra ke sang kyon nahi gaya?

18

हूशै ने अबशालोम से कहा, ऐसा नहीं; जिस को यहोवा और वे लोग, क्या वरन सब इस्राएली लोग चाहें, उसी का मैं हूं, और उसी के संग मैं रहूंगा।

Hooshai ne abshalom se kaha, aisa nahi; jis ko Yahowa aur ve log, kya varan sab Israeli log chahein, usi ka main hoon, aur usi ke sang main rahoonga.

19

और फिर मैं किसकी सेवा करूं? क्या उसके पुत्र के साम्हने रहकर सेवा न करूं? जैसा मैं तेरे पिता के साम्हने रहकर सेवा करता था, वैसा ही तेरे साम्हने रहकर सेवा करूंगा।

Aur phir main kiski seva karun? Kya uske putra ke samhane rahkar seva na karun? Jaisa main tere pita ke samhane rahkar seva karta tha, vaisa hi tere samhane rahkar seva karoonga.

20

तब अबशालोम ने अहीतोपेल से कहा, तुम लोग अपनी सम्मति दो, कि क्या करना चाहिये?

Tab abshalom ne aheetopel se kaha, tum log apni sammati do, ki kya karna chahiye?

21

अहीतोपेल ने अबशालोम से कहा, जिन रखेलियों को तेरा पिता भवन की चौकसी करने को छोड़ गया, उनके पास तू जा; और जब सब इस्राएली यह सुनेंगे, कि अबशालोम का पिता उस से घिन करता है, तब तेरे सब संगी हियाव बान्धेंगे।

Aheetopel ne abshalom se kaha, jin rakheliyon ko tera pita bhavan ki chauksi karne ko chhod gaya, unke paas tu ja; aur jab sab Israeli yah sunenge, ki abshalom ka pita us se ghin karta hai, tab tere sab sangi hiyaav bandhenge.

22

सो उसके लिये भवन की छत के ऊपर एक तम्बू खड़ा किया गया, और अबशालोम समस्त इस्राएल के देखते अपने पिता की रखेलियों के पास गया।

So uske liye bhavan ki chhat ke oopar ek tambu khada kiya gaya, aur abshalom samast Israel ke dekhte apne pita ki rakheliyon ke paas gaya.

23

उन दिनों जो सम्मति अहीतोपेल देता था, वह ऐसी होती थी कि मानो कोई परमेश्वर का वचन पूछ लेता हो; अहीतोपेल चाहे दाऊद को चाहे अबशलोम को, जो जो सम्मति देता वह ऐसी ही होती थी।

Un dinon jo sammati aheetopel deta tha, vah aisi hoti thi ki mano koi Parmeshwar ka vachan poochh leta ho; aheetopel chahe Daud ko chahe abashlom ko, jo jo sammati deta vah aisi hi hoti thi.