2 Samuel 14 · 33 verses

2 शमूएल 14 2 Samuel 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 14.

1

और सरूयाह का पुत्र योआब ताड़ गया कि राजा का मन अबशालोम की ओर लगा है।

Aur sarooyaah ka putra yoaab taad gaya ki raja ka man abshalom ki or laga hai.

2

इसलिये योआब ने तको नगर में दूत भेज कर वहां से एक बुद्धिमान स्त्री को बुलवाया, और उस से कहा, शोक करनेवाली बन, अर्थात शोक का पहिरावा पहिन, और तेल न लगा; परन्तु ऐसी स्त्री बन जो बहुत दिन से मुए के लिये विलाप करती रही हो।

Isliye yoaab ne tako nagar mein doot bhej kar vahan se ek buddhimaan stri ko bulvaya, aur us se kaha, shok karnevali ban, arthaat shok ka pahirava pahin, aur tel na laga; parantu aisi stri ban jo bahut din se mue ke liye vilaap karti rahi ho.

3

तब राजा के पास जा कर ऐसी ऐसी बातें कहना। और योआब ने उसको जो कुछ कहना था वह सिखा दिया।

Tab raja ke paas ja kar aisi aisi batein kahna. Aur yoaab ne usko jo kuchh kahna tha vah sikha diya.

4

जब वह तकोइन राजा से बातें करने लगी, तब मुंह के बल भूमि पर गिर दण्डवत् करके कहने लगी, राजा की दोहाई

Jab vah takoin raja se batein karne lagi, tab munh ke bal bhoomi par gir dandavat karke kahne lagi, raja ki dohai

5

राजा ने उस से पूछा, तुझे क्या चाहिये? उसने कहा, सचमुच मेरा पति मर गया, और मैं विधवा हो गई।

Raja ne us se poochha, tujhe kya chahiye? Usne kaha, sachmuch mera pati mar gaya, aur main vidhva ho gai.

6

और तेरी दासी के दो बेटे थे, और उन दोनों ने मैदान में मार पीट की; और उन को छुड़ाने वाला कोई न था, इसलिए एक ने दूसरे को ऐसा मारा कि वह मर गया।

Aur teri dasi ke do bete the, aur un donon ne maidaan mein maar peet ki; aur un ko chhudane vala koi na tha, isliye ek ne doosre ko aisa mara ki vah mar gaya.

7

और यह सुन सब कुल के लोग तेरी दासी के विरुद्ध उठ कर यह कहते हैं, कि जिसने अपने भाई को घात किया उसको हमें सौंप दे, कि उसके मारे हुए भाई के प्राण के पलटे में उसको प्राण दण्ड दें; और वारिस को भी नाश करें। इस तरह वे मेरे अंगारे को जो बच गया है बुझाएंगे, और मेरे पति का ताम और सन्तान धरती पर से मिटा डालेंगे।

Aur yah sun sab kul ke log teri dasi ke viruddh uth kar yah kahte hain, ki jisne apne bhai ko ghaat kiya usko hamein saump de, ki uske mare hue bhai ke praan ke palte mein usko praan dand dein; aur varis ko bhi naash karein. Is tarah ve mere angare ko jo bach gaya hai bujhayenge, aur mere pati ka taam aur santaan dharti par se mita dalenge.

8

राजा ने स्त्री से कहा, अपने घर जा, और मैं तेरे विषय आज्ञा दूंगा।

Raja ne stri se kaha, apne ghar ja, aur main tere vishay aagya doonga.

9

तकोइन ने राजा से कहा, हे मेरे प्रभु, हे राजा, दोष मुझी को और मेरे पिता के घराने ही को लगे; और राजा अपनी गद्दी समेत निर्दोष ठहरे।

Takoin ne raja se kaha, he mere Prabhu, he raja, dosh mujhi ko aur mere pita ke gharane hi ko lage; aur raja apni gaddi samet nirdosh thahre.

10

राजा ने कहा, जो कोई तुझ से कुछ बोले उसको मेरे पास ला, तब वह फिर तुझे छूने न पाएगा।

Raja ne kaha, jo koi tujh se kuchh bole usko mere paas la, tab vah phir tujhe chhoone na payega.

11

उसने कहा, राजा अपने परमेश्वर यहोवा को स्मरण करे, कि खून का पलटा लेने वाला और नाश करने न पाए, और मेरे बेटे का नाश न होने पाए। उसने कहा, यहोवा के जीवन की शपथ, तेरे बेटे का एक बाल भी भूमि पर गिरने न पाएगा।

Usne kaha, raja apne Parmeshwar Yahowa ko smaran kare, ki khoon ka palta lene vala aur naash karne na paye, aur mere bete ka naash na hone paye. Usne kaha, Yahowa ke jeevan ki shapath, tere bete ka ek baal bhi bhoomi par girne na payega.

12

स्त्री बोली, तेरी दासी अपने प्रभु राजा से एक बात कहने पाए।

Stri boli, teri dasi apne Prabhu raja se ek baat kahne paye.

13

उसने कहा, कहे जा। स्त्री कहने लगी, फिर तू ने परमेश्वर की प्रजा की हानि के लिये ऐसी ही युक्ति क्यों की है? राजा ने जो यह वचन कहा है, इस से वह दोषी सा ठहरता है, क्योंकि राजा अपने निकाले हुए को लौटा नहीं लाता।

Usne kaha, kahe ja. Stri kahne lagi, phir tu ne Parmeshwar ki praja ki hani ke liye aisi hi yukti kyon ki hai? Raja ne jo yah vachan kaha hai, is se vah doshi sa thaharta hai, kyonki raja apne nikale hue ko lauta nahi lata.

14

हम को तो मरना ही है, और भूमि पर गिरे हुए जल के समान ठहरेंगे, जो फिर उठाया नहीं जाता; तौभी परमेश्वर प्राण नहीं लेता, वरन ऐसी युक्ति करता है कि निकाला हुआ उसके पास से निकाला हुआ न रहे।

Ham ko to marna hi hai, aur bhoomi par gire hue jal ke samaan thahrenge, jo phir uthaya nahi jata; taubhi Parmeshwar praan nahi leta, varan aisi yukti karta hai ki nikala huaa uske paas se nikala huaa na rahe.

15

और अब मैं जो अपने प्रभु राजा से यह बात कहने को आई हूं, इसका कारण यह है, कि लोगों ने मुझे डरा दिया था; इसलिये तेरी दासी ने सोचा, कि मैं राजा से बोलूंगी, कदाचित राजा अपनी दासी की बिनती को पूरी करे।

Aur ab main jo apne Prabhu raja se yah baat kahne ko aai hoon, iska karan yah hai, ki logon ne mujhe dara diya tha; isliye teri dasi ne socha, ki main raja se boloongi, kadachit raja apni dasi ki binti ko poori kare.

16

नि:सन्देह राजा सुनकर अवश्य अपनी दासी को उस मनुष्य के हाथ से बचाएगा जो मुझे और मेरे बेटे दोनों को परमेश्वर के भाग में से नाश करना चाहता है।

Nisandeh raja sunkar avashya apni dasi ko us manushya ke haath se bachayega jo mujhe aur mere bete donon ko Parmeshwar ke bhaag mein se naash karna chahta hai.

17

सो तेरी दासी ने सोचा, कि मेरे प्रभु राजा के वचन से शान्ति मिले; क्योंकि मेरा प्रभु राजा परमेश्वर के किसी दूत की नाईं भले-बुरे में भेद कर सकता है; इसलिये तेरा परमेश्वर यहोवा तेरे संग रहे।

So teri dasi ne socha, ki mere Prabhu raja ke vachan se shanti mile; kyonki mera Prabhu raja Parmeshwar ke kisi doot ki nai bhale-bure mein bhed kar sakta hai; isliye tera Parmeshwar Yahowa tere sang rahe.

18

राजा ने उत्तर देकर उस स्त्री से कहा, जो बात मैं तुझ से पूछता हूं उसे मुझ से न छिपा। स्त्री ने कहा, मेरा प्रभु राजा कहे जाए।

Raja ne uttar dekar us stri se kaha, jo baat main tujh se poochhta hoon use mujh se na chhipa. Stri ne kaha, mera Prabhu raja kahe jaye.

19

राजा ने पूछा, इस बात में क्या योआब तेरा संगी है? स्त्री ने उत्तर देकर कहा, हे मेरे प्रभु, हे राजा, तेरे प्राण की शपथ, जो कुछ मेरे प्रभु राजा ने कहा है, उस से कोई न दाहिनी ओर मुड़ सकता है और न बाईं। तेरे दास योआब ही ने मुझे आज्ञा दी, और ये सब बातें उसी ने तेरी दासी को सिखाईं हैं।

Raja ne poochha, is baat mein kya yoaab tera sangi hai? Stri ne uttar dekar kaha, he mere Prabhu, he raja, tere praan ki shapath, jo kuchh mere Prabhu raja ne kaha hai, us se koi na dahini or mud sakta hai aur na bai. Tere daas yoaab hi ne mujhe aagya di, aur ye sab batein usi ne teri dasi ko sikhai hain.

20

तेरे दास योआब ने यह काम इसलिये किया कि बात का रंग बदले। और मेरा प्रभु परमेश्वर के एक दूत के तुल्य बुद्धिमान है, यहां तक कि धरती पर जो कुछ होता है उन सब को वह जानता है।

Tere daas yoaab ne yah kaam isliye kiya ki baat ka rang badle. Aur mera Prabhu Parmeshwar ke ek doot ke tulya buddhimaan hai, yahan tak ki dharti par jo kuchh hota hai un sab ko vah janta hai.

21

तब राजा ने योआब से कहा, सुन, मैं ने यह बात मानी है; तू जा कर अबशालोम जवान को लौटा ला।

Tab raja ne yoaab se kaha, sun, main ne yah baat mani hai; tu ja kar abshalom javaan ko lauta la.

22

तब योआब ने भूमि पर मुंह के बल गिर दण्डवत् कर राजा को आशीर्वाद दिया; और योआब कहने लगा, हे मेरे प्रभु, हे राजा, आज तेरा दास जान गया कि मुझ पर तेरी अनुग्रह की दृष्टि है, क्योंकि राजा ने अपने दास की बिनती सुनी है।

Tab yoaab ne bhoomi par munh ke bal gir dandavat kar raja ko aasheervaad diya; aur yoaab kahne laga, he mere Prabhu, he raja, aaj tera daas jaan gaya ki mujh par teri anugrah ki drishti hai, kyonki raja ne apne daas ki binti suni hai.

23

और योआब उठ कर गशूर को गया, और अबशालोम को यरूशलेम ले आया।

Aur yoaab uth kar gashoor ko gaya, aur abshalom ko Yerushalem le aaya.

24

तब राजा ने कहा, वह अपने घर जा कर रहे; और मेरा दर्शन न पाए। तब अबशालोम अपने घर जा रहा, और राजा का दर्शन न पाया।

Tab raja ne kaha, vah apne ghar ja kar rahe; aur mera darshan na paye. Tab abshalom apne ghar ja raha, aur raja ka darshan na paya.

25

समस्त इस्राएल में सुन्दरता के कारण बहुत प्रशंसा योग्य अबशालोम के तुल्य और कोई न था; वरन उस में नख से सिख तक कुछ दोष न था।

Samast Israel mein sundarta ke karan bahut prashansa yogya abshalom ke tulya aur koi na tha; varan us mein nakh se sikh tak kuchh dosh na tha.

26

और वह वर्ष के अन्त में अपना सिर मुंढ़वाता था (उसके बाल उसको भारी जान पड़ते थे, इस कारण वह उसे मुंड़ाता था ); और जब जब वह उसे मुंड़ाता तब तब अपने सिर के बाल तौलकर राजा के तौल के अनुसार दो सौ शेकेल भर पाता था।

Aur vah varsh ke ant mein apna sir mundhvata tha (uske baal usko bhari jaan padte the, is karan vah use mundata tha ); aur jab jab vah use mundata tab tab apne sir ke baal taulkar raja ke taul ke anusaar do sau shekel bhar pata tha.

27

और अबशालोम के तीन बेटे, और तामार नाम एक बेटी उत्पन्न हुई थी; और यह रूपवती स्त्री थी।

Aur abshalom ke teen bete, aur tamaar naam ek beti utpann hui thi; aur yah roopavti stri thi.

28

और अबशालोम राजा का दर्शन बिना पाए यरूशलेम में दो वर्ष रहा।

Aur abshalom raja ka darshan bina paye Yerushalem mein do varsh raha.

29

तब अबशालोम ने योआब को बुलवा भेजा कि उसे राजा के पास भेजे; परन्तु योआब ने उसके पास आने से इनकार किया। और उसने उसे दूसरी बार बुलवा भेजा, परन्तु तब भी उसने आने से इनकार किया।

Tab abshalom ne yoaab ko bulva bheja ki use raja ke paas bheje; parantu yoaab ne uske paas aane se inkaar kiya. Aur usne use doosri baar bulva bheja, parantu tab bhi usne aane se inkaar kiya.

30

तब उसने अपने सेवकों से कहा, सुनो, योआब का एक खेत मेरी भूमि के निकट है, और उस में उसका जव खड़ा है; तुम जा कर उस में आग लगाओ। और अबशालोम के सेवकों ने उस खेत में आग लगा दी।

Tab usne apne sevkon se kaha, suno, yoaab ka ek khet meri bhoomi ke nikat hai, aur us mein uska jav khada hai; tum ja kar us mein aag lagao. Aur abshalom ke sevkon ne us khet mein aag laga di.

31

तब योआब उठा, और अबशालोम के घर में उसके पास जा कर उस से पूछने लगा, तेरे सेवकों ने मेरे खेत में क्यों आग लगाई है?

Tab yoaab utha, aur abshalom ke ghar mein uske paas ja kar us se poochhne laga, tere sevkon ne mere khet mein kyon aag lagai hai?

32

अबशालोम ने योआब से कहा, मैं ने तो तेरे पास यह कहला भेजा था, कि यहां आना कि मैं तुझे राजा के पास यह कहने को भेजूं, कि मैं गशूर से क्यों आया? मैं अब तक वहां रहता तो अच्छा होता। इसलिये अब राजा मुझे दर्शन दे; और यदि मैं दोषी हूं, तो वह मुझे मार डाले।

Abshalom ne yoaab se kaha, main ne to tere paas yah kahla bheja tha, ki yahan aana ki main tujhe raja ke paas yah kahne ko bhejun, ki main gashoor se kyon aaya? Main ab tak vahan rahta to achchha hota. Isliye ab raja mujhe darshan de; aur yadi main doshi hoon, to vah mujhe maar dale.

33

तो योआब ने राजा के पास जा कर उसको यह बात सुनाईं; और राजा ने अबशालोम को बुलवाया। और वह उसके पास गया, और उसके सम्मुख भूमि पर मुंह के बल गिरके दण्डवत् की; और राजा ने अबशालोम को चूमा।

To yoaab ne raja ke paas ja kar usko yah baat sunai; aur raja ne abshalom ko bulvaya. Aur vah uske paas gaya, aur uske sammukh bhoomi par munh ke bal girke dandavat ki; aur raja ne abshalom ko chooma.