2 Samuel 10 · 19 verses

2 शमूएल 10 2 Samuel 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 shamooyel 10.

1

इसके बाद अम्मोनियों का राजा मर गया, और उसका हानून नाम पुत्र उसके स्थान पर राजा हुआ।

Iske baad ammoniyon ka raja mar gaya, aur uska hanoon naam putra uske sthaan par raja huaa.

2

तब दाऊद ने यह सोचा, कि जैसे हानून के पिता नाहाश ने मुझ को प्रीति दिखाई थी, वैसे ही मैं भी हानून को प्रीति दिखाऊंगा। तब दाऊद ने अपने कई कर्मचारियों को उसके पास उसके पिता के विषय शान्ति देने के लिये भेज दिया। और दाऊद के कर्मचारी अम्मोनियों के देश में आए।

Tab Daud ne yah socha, ki jaise hanoon ke pita nahaash ne mujh ko preeti dikhai thi, vaise hi main bhi hanoon ko preeti dikhaoonga. Tab Daud ne apne kai karmachariyon ko uske paas uske pita ke vishay shanti dene ke liye bhej diya. Aur Daud ke karmachari ammoniyon ke desh mein aaye.

3

परन्तु अम्मोनियों के हाकिम अपने स्वामी हानून से कहने लगे, दाऊद ने जो तेरे पास शान्ति देने वाले भेजे हैं, वह क्या तेरी समझ में तेरे पिता का आदर करने की मनसा मे भेजे हैं? क्या दाऊद ने अपने कर्मचारियों को तेरे पास इसी मनसा मे नहीं भेजा कि इस नगर में ढूंढ़ ढांढ़ करके और इसका भेद ले कर इस को उलट दें?

Parantu ammoniyon ke hakim apne swami hanoon se kahne lage, Daud ne jo tere paas shanti dene vale bheje hain, vah kya teri samajh mein tere pita ka aadar karne ki mansa me bheje hain? Kya Daud ne apne karmachariyon ko tere paas isi mansa me nahi bheja ki is nagar mein dhoondh dhaandh karke aur iska bhed le kar is ko ulat dein?

4

इसलिये हानून ने दाऊद के कर्मचारियों को पकड़ा, और उनकी आधी-आधी डाढ़ी मुड़वाकर और आधे वस्त्र, अर्थात नितम्ब तक कटवाकर, उन को जाने दिया।

Isliye hanoon ne Daud ke karmachariyon ko pakda, aur unki aadhi-aadhi dadhi mudvakar aur aadhe vastra, arthaat nitamb tak katvakar, un ko jane diya.

5

इसका समाचार पाकर दाऊद ने लोगों को उन से मिलने के लिये भेजा, क्योंकि वे बहुत लजाते थे। और राजा ने यह कहा, कि जब तक तुम्हारी डाढ़ियां बढ़ न जाएं तब तक यरीहो में ठहरे रहो, तब लौट आना।

Iska samachaar pakar Daud ne logon ko un se milne ke liye bheja, kyonki ve bahut lajate the. Aur raja ne yah kaha, ki jab tak tumhari dadhiyan badh na jayen tab tak yareeho mein thahre raho, tab laut aana.

6

जब अम्मोनियों ने देखा कि हम से दाऊद अप्रसन्न हैं, तब अम्मोनियों ने बेत्रहोब और सोबा के बीस हजार अरामी प्यादों को, और हजार पुरुषों समेत माका के राजा को, और बारह हज़ार तोबी पुरुषों को, वेतन पर बुलवाया।

Jab ammoniyon ne dekha ki ham se Daud aprasann hain, tab ammoniyon ne betrahob aur soba ke bees hajaar arami pyadon ko, aur hajaar purushon samet maka ke raja ko, aur barah hazaar tobi purushon ko, vetan par bulvaya.

7

यह सुनकर दाऊद ने योआब और शूरवीरों की समस्त सेना को भेजा।

Yah sunkar Daud ne yoaab aur shoorveeron ki samast sena ko bheja.

8

तब अम्मोनी निकले और फाटक ही के पास पांती बान्धी; और सोबा और रहोब के अरामी और तोब और माका के पुरुष उन से न्यारे मैदान में थे।

Tab ammoni nikle aur phatak hi ke paas panti bandhi; aur soba aur rahob ke arami aur tob aur maka ke purush un se nyare maidaan mein the.

9

यह देखकर कि आगे पीछे दोनों ओर हमारे विरुद्ध पांति बन्धी है, योआब ने सब बड़े बढ़े इस्राएली वीरों में से बहुतों को छांटकर अरामियों के साम्हने उनकी पांति बन्धाई,

Yah dekhkar ki aage peechhe donon or hamare viruddh panti bandhi hai, yoaab ne sab bade badhe Israeli veeron mein se bahuton ko chhantkar aramiyon ke samhane unki panti bandhai,

10

और और लोगों को अपने भाई अबीशै के हाथ सौंप दिया, और उसने अम्मोनियों के साम्हने उनकी पांति बन्धाई।

Aur aur logon ko apne bhai abeeshai ke haath saump diya, aur usne ammoniyon ke samhane unki panti bandhai.

11

फिर उसने कहा, यदि अरामी मुझ पर प्रबल होने लगें, तो तू मेरी सहायता करना; और यदि अम्मोनी तुझ पर प्रबल होने लगेंगे, तो मैं आकर तेरी सहायता करूंगा।

Phir usne kaha, yadi arami mujh par prabal hone lagein, to tu meri sahayta karna; aur yadi ammoni tujh par prabal hone lagenge, to main aakar teri sahayta karoonga.

12

तू हियाव बान्ध, और हम अपने लोगों और अपने परमेश्वर के नगरों के निमित्त पुरुषार्थ करें; और यहोवा जैसा उसको अच्छा लगे वैसा करे।

Tu hiyaav baandh, aur ham apne logon aur apne Parmeshwar ke nagron ke nimitt purushaarth karein; aur Yahowa jaisa usko achchha lage vaisa kare.

13

तब योआब और जो लोग उसके साथ थे अरामियों से युद्ध करने को निकट गए; और वे उसके साम्हने से भागे।

Tab yoaab aur jo log uske saath the aramiyon se yuddh karne ko nikat gaye; aur ve uske samhane se bhage.

14

यह देखकर कि अरामी भाग गए हैं अम्मोनी भी अबीशै के साम्हने से भागकर नगर के भीतर घुसे। तब योआब अम्मोनियों के पास से लौटकर यरूशलेम को आया।

Yah dekhkar ki arami bhaag gaye hain ammoni bhi abeeshai ke samhane se bhagkar nagar ke bheetar ghuse. Tab yoaab ammoniyon ke paas se lautkar Yerushalem ko aaya.

15

फिर यह देखकर कि हम इस्राएलियों से हार गए अरामी इकट्ठे हुए।

Phir yah dekhkar ki ham Israeliyon se haar gaye arami ikatthe hue.

16

और हददेजेर ने दूत भेज कर महानद के पार के अरामियों को बुलवाया; और वे हददेजेर के सेनापति शोबक को अपना प्रधान बनाकर हेलाम को आए।

Aur haddejer ne doot bhej kar mahanad ke paar ke aramiyon ko bulvaya; aur ve haddejer ke senapti shobak ko apna pradhaan banakar helaam ko aaye.

17

इसका समाचार पाकर दाऊद ने समस्त इस्राएलियों को इकट्ठा किया, और यरदन के पार हो कर हेलाम में पहुंचा। तब अराम दाऊद के विरुद्ध पांति बान्धकर उस से लड़ा।

Iska samachaar pakar Daud ne samast Israeliyon ko ikattha kiya, aur yardan ke paar ho kar helaam mein pahuncha. Tab araam Daud ke viruddh panti bandhakar us se lada.

18

परन्तु अरामी इस्राएलियों से भागे, और दाऊद ने अरामियों में से सात सौ रथियों और चालीस हजार सवारों को मार डाला, और उनके सेनापति शोबक को ऐसा घायल किया कि वह वहीं मर गया।

Parantu arami Israeliyon se bhage, aur Daud ne aramiyon mein se saat sau rathiyon aur chalees hajaar savaron ko maar dala, aur unke senapti shobak ko aisa ghayal kiya ki vah vahi mar gaya.

19

यह देखकर कि हम इस्राएल से हार गए हैं, जितने राजा हददेजेर के आधीन थे उन सभों ने इस्राएल के साथ संधि की, और उसके आधीन हो गए। और अरामी अम्मोनियों की और सहायता करने से डर गए।

Yah dekhkar ki ham Israel se haar gaye hain, jitne raja haddejer ke aadheen the un sabhon ne Israel ke saath sandhi ki, aur uske aadheen ho gaye. Aur arami ammoniyon ki aur sahayta karne se dar gaye.