2 Kings 9 · 37 verses

2 राजाओं 9 2 Kings 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 9.

1

तब एलीशा भविष्यद्वक्ता ने भविष्यद्वक्ताओं के चेलों में से एक को बुला कर उस से कहा, कमर बान्ध, और हाथ में तेल की यह कुप्पी ले कर गिलाद के रामोत को जा।

Tab eleesha bhavishyadwakta ne bhavishyadwaktaon ke chelon mein se ek ko bula kar us se kaha, kamar baandh, aur haath mein tel ki yah kuppi le kar gilaad ke ramot ko ja.

2

और वहां पहुंचकर येहू को जो यहोशापात का पुत्र और निमशी का पोता है, ढूंढ़ लेना; तब भीतर जा, उसकी खड़ा करा कर उसके भाइयों से अलग एक भीतरी कोठरी में ले जाना।

Aur vahan pahunchkar yehu ko jo yahoshapaat ka putra aur nimshi ka pota hai, dhoondh lena; tab bheetar ja, uski khada kara kar uske bhaiyon se alag ek bheetri kothri mein le jana.

3

तब तेल की यह कुप्पी ले कर तेल को उसके सिर पर यह कह कर डालना, यहोवा यों कहता है, कि मैं इस्राएल का राजा होने के लिये तेरा अभिषेक कर देता हूँ। तब द्वार खोल कर भागना, विलम्ब न करना।

Tab tel ki yah kuppi le kar tel ko uske sir par yah kah kar dalna, Yahowa yon kahta hai, ki main Israel ka raja hone ke liye tera abhishek kar deta hoon. Tab dwaar khol kar bhagna, vilamb na karna.

4

तब वह जवान भविष्यद्वक्ता गिलाद के रामोत को गया।

Tab vah javaan bhavishyadwakta gilaad ke ramot ko gaya.

5

वहां पहुंचकर उसने क्या देखा, कि सेनापति बैठे हए हैं; तब उसने कहा, हे सेनापति, मुझे तुझ से कुछ कहना है। येहू ने पूछा, हम सभों में किस से? उसने कहा हे सेनापति, तुझी से!

Vahan pahunchkar usne kya dekha, ki senapti baithe haye hain; tab usne kaha, he senapti, mujhe tujh se kuchh kahna hai. Yehu ne poochha, ham sabhon mein kis se? Usne kaha he senapti, tujhi se!

6

तब वह उठ कर घर में गया; और उसने यह कह कर उसके सिर पर तेल डाला कि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, मैं अपनी प्रजा इस्राएल पर राजा होने के लिये तेरा अभिषेक कर देता हूँ।

Tab vah uth kar ghar mein gaya; aur usne yah kah kar uske sir par tel dala ki Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, main apni praja Israel par raja hone ke liye tera abhishek kar deta hoon.

7

तो तू अपने स्वामी अहाब के घराने को मार डालना, जिस से मुझे अपने दास भविष्यद्वक्ताओं के वरन अपने सब दासों के खून का जो ईज़ेबेल ने बहाया, पलटा मिले।

To tu apne swami ahaab ke gharane ko maar dalna, jis se mujhe apne daas bhavishyadwaktaon ke varan apne sab dason ke khoon ka jo izebel ne bahaya, palta mile.

8

क्योंकि अहाब का समस्त घराना नाश हो जाएगा, और मैं अहाब के वंश के हर एक लड़के को और इस्राएल में के क्या बन्धुए, क्या स्वाधीन, हर एक को नाश कर डालूंगा।

Kyonki ahaab ka samast gharana naash ho jayega, aur main ahaab ke vansh ke har ek ladke ko aur Israel mein ke kya bandhue, kya swadheen, har ek ko naash kar daloonga.

9

और मैं अहाब का घराना नबात के पुत्र यारोबाम का सा, और अहिय्याह के पुत्र बाशा का सा कर दूंगा।

Aur main ahaab ka gharana nabaat ke putra yarobaam ka sa, aur ahiyyaah ke putra basha ka sa kar doonga.

10

और ईज़ेबेल को यिज्रैल की भूमि में कुत्ते खाएंगे, और उसको मिट्टी देने वाला कोई न होगा। तब वह द्वार खोल कर भाग गया।

Aur izebel ko yijrail ki bhoomi mein kutte khayenge, aur usko mitti dene vala koi na hoga. Tab vah dwaar khol kar bhaag gaya.

11

तब येहू अपने स्वामी के कर्मचारियों के पास निकल आया, और एक ने उस से पूछा, क्या कुशल है, वह बावला क्यों तेरे पास आया था? उसने उन से कहा, तुम को मालूम होगा कि वह कौन है और उस से क्या बातचीत हुई।

Tab yehu apne swami ke karmachariyon ke paas nikal aaya, aur ek ne us se poochha, kya kushal hai, vah bavla kyon tere paas aaya tha? Usne un se kaha, tum ko maloom hoga ki vah kaun hai aur us se kya batcheet hui.

12

उन्होंने कहा झूठ है, हमें बता दे। उसने कहा, उसने मुझ से कहा तो बहुत, परन्तु मतलब यह है कि यहोवा यों कहता है कि मैं इस्राएल का राजा होने के लिये तेरा अभिषेक कर देता हूँ।

Unhonne kaha jhooth hai, hamein bata de. Usne kaha, usne mujh se kaha to bahut, parantu matlab yah hai ki Yahowa yon kahta hai ki main Israel ka raja hone ke liye tera abhishek kar deta hoon.

13

तब उन्होंने झट अपना अपना वस्त्र उतार कर उसके नीचे सीढ़ी ही पर बिछाया, और नरसिंगे फूंक कर कहने लगे, येहू राजा है।

Tab unhonne jhat apna apna vastra utaar kar uske neeche seedhi hi par bichhaya, aur narsinge phoonk kar kahne lage, yehu raja hai.

14

यों येहू जो निमशी का पोता और यहोशापात का पुत्र था, उसने योराम से राजद्रोह की गोष्ठी की। (योराम तो सब इस्राएल समेत अराम के राजा हजाएल के कराण गिलाद के रामोत की रक्षा कर रहा था;

Yon yehu jo nimshi ka pota aur yahoshapaat ka putra tha, usne yoraam se rajadroh ki goshthi ki. (yoraam to sab Israel samet araam ke raja hajayel ke karaan gilaad ke ramot ki raksha kar raha tha;

15

परन्तु राजा योराम आप अपने घाव का जो अराम के राजा हजाएल से युद्ध करने के समय उसको अरामियों से लगे थे, उनका इलाज कराने के लिये यिज्रैल को लौट गया था। ) तब येहू ने कहा, यदि तुम्हारा ऐसा मन हो, तो इस नगर में से कोई निकल कर यिज्रैल में सुनाने को न जाने पाए।

Parantu raja yoraam aap apne ghaav ka jo araam ke raja hajayel se yuddh karne ke samay usko aramiyon se lage the, unka ilaaj karane ke liye yijrail ko laut gaya tha. ) tab yehu ne kaha, yadi tumhara aisa man ho, to is nagar mein se koi nikal kar yijrail mein sunane ko na jane paye.

16

तब येहू रथ पर चढ़कर, यिज्रैल को चला जहां योराम पड़ा हुआ था; और यहूदा का राजा अहज्याह योराम के देखने को वहां आया था।

Tab yehu rath par chadhkar, yijrail ko chala jahan yoraam pada huaa tha; aur Yahuda ka raja ahajyaah yoraam ke dekhne ko vahan aaya tha.

17

यिज्रैल के गुम्मट पर, जो पहरुआ खड़ा था, उसने येहू के संग आते हुए दल को देख कर कहा, मुझे एक दल दीखता है; योराम ने कहा, एक सवार को बुला कर उन लोगों से मिलने को भेज और वह उन से पूछे, क्या कुशल है?

Yijrail ke gummat par, jo pahruaa khada tha, usne yehu ke sang aate hue dal ko dekh kar kaha, mujhe ek dal deekhta hai; yoraam ne kaha, ek savaar ko bula kar un logon se milne ko bhej aur vah un se poochhe, kya kushal hai?

18

तब एक सवार उस से मिलने को गया, और उस से कहा, राजा पूछता है, क्या कुशल है? येहू ने कहा, कुशल से तेरा क्या काम? हट कर मेरे पीछे चल। तब पहरुए ने कहा, वह दूत उनके पास पहुंचा तो था, परन्तु लौट कर नहीं आया।

Tab ek savaar us se milne ko gaya, aur us se kaha, raja poochhta hai, kya kushal hai? Yehu ne kaha, kushal se tera kya kaam? Hat kar mere peechhe chal. Tab pahrue ne kaha, vah doot unke paas pahuncha to tha, parantu laut kar nahi aaya.

19

तब उसने दूसरा सवार भेजा, और उसने उनके पास पहुंच कर कहा, राजा पूछता है, क्या कुशल है? येहू ने कहा, कुशल से तेरा क्या काम? हट कर मेरे पीछे चल।

Tab usne doosra savaar bheja, aur usne unke paas pahunch kar kaha, raja poochhta hai, kya kushal hai? Yehu ne kaha, kushal se tera kya kaam? Hat kar mere peechhe chal.

20

तब पहरुए ने कहा, वह भी उनके पास पहुंचा तो था, परन्तु लौट कर नहीं आया। हांकना निमशी के पोते येहू का सा है; वह तो बौड़हे की नाईं हांकता है।

Tab pahrue ne kaha, vah bhi unke paas pahuncha to tha, parantu laut kar nahi aaya. Hankna nimshi ke pote yehu ka sa hai; vah to baudhe ki nai hankta hai.

21

योराम ने कहा, मेरा रथ जुतवा। जब उसका रथ जुत गया, तब इस्राएल का राजा योराम और यहूदा का राजा अहज्याह, दोनों अपने अपने रथ पर चढ़ कर निकल गए, और येहू से मिलने को बाहर जा कर यिज्रैल नाबोत की भूमि में उस से भेंट की।

Yoraam ne kaha, mera rath jutva. Jab uska rath jut gaya, tab Israel ka raja yoraam aur Yahuda ka raja ahajyaah, donon apne apne rath par chadh kar nikal gaye, aur yehu se milne ko bahar ja kar yijrail nabot ki bhoomi mein us se bhent ki.

22

येहू को देखते ही योराम ने पूछा, हे येहू क्या कुशल है? येहू ने उत्तर दिया, जब तक तेरी माता ईज़ेबेल छिनालपन और टोना करती रहे, तब तक कुशल कहां?

Yehu ko dekhte hi yoraam ne poochha, he yehu kya kushal hai? Yehu ne uttar diya, jab tak teri mata izebel chhinalpan aur tona karti rahe, tab tak kushal kahan?

23

तब योराम रास फेर के, और अहज्याह से यह कहकर कि हे अहज्याह विश्वासघात है, भाग चल।

Tab yoraam raas pher ke, aur ahajyaah se yah kahkar ki he ahajyaah vishwasghaat hai, bhaag chal.

24

तब येहू ने धनुष को कान तक खींच कर योराम के पखौड़ों के बीच ऐसा तीर मारा, कि वह उसका हृदय फोड़ कर निकल गया, और वह अपने रथ में झुक कर गिर पड़ा।

Tab yehu ne dhanush ko kaan tak kheench kar yoraam ke pakhaudon ke beech aisa teer mara, ki vah uska hriday phod kar nikal gaya, aur vah apne rath mein jhuk kar gir pada.

25

तब येहू ने बिदकर नाम अपने एक सरदार से कहा, उसे उठा कर यिज्रैली नाबोत की भूमि में फेंक दे; स्मरण तो कर, कि जब मैं और तू, हम दोनों एक संग सवार हो कर उसके पिता अहाब के पीछे पीछे चल रहे थे तब यहोवा ने उस से यह भरी वचन कहवाया था, कि यहोवा की यह वाणी है,

Tab yehu ne bidkar naam apne ek sardaar se kaha, use utha kar yijraili nabot ki bhoomi mein phenk de; smaran to kar, ki jab main aur tu, ham donon ek sang savaar ho kar uske pita ahaab ke peechhe peechhe chal rahe the tab Yahowa ne us se yah bhari vachan kahvaya tha, ki Yahowa ki yah vani hai,

26

कि नाबोत और उसके पुत्रों का जो खून हुआ, उसे मैं ने देखा है, और यहोवा की यह वाणी है, कि मैं उसी भूमि में तुझे बदला दूंगा। तो अब यहोवा के उस वचन के अनुसार इसे उठा कर उसी भूमि में फेंक दे।

Ki nabot aur uske putron ka jo khoon huaa, use main ne dekha hai, aur Yahowa ki yah vani hai, ki main usi bhoomi mein tujhe badla doonga. To ab Yahowa ke us vachan ke anusaar ise utha kar usi bhoomi mein phenk de.

27

यह देखकर यहूदा का राजा अहज्याह बारी के भवन के मार्ग से भाग चला। और येहू ने उसका पीछा कर के कहा, उसे भी रथ ही पर मारो; तो वह भी यिबलाम के पास की गूर की चढ़ाई पर मारा गया, और मगिद्दो तक भाग कर मर गया।

Yah dekhkar Yahuda ka raja ahajyaah bari ke bhavan ke maarg se bhaag chala. Aur yehu ne uska peechha kar ke kaha, use bhi rath hi par maro; to vah bhi yiblaam ke paas ki goor ki chadhai par mara gaya, aur magiddo tak bhaag kar mar gaya.

28

तब उसके कर्मचारियों ने उसे रथ पर यरूशलेम को पहुंचा कर दाऊदपुर में उसके पुरखाओं के बीच मिट्टी दी।

Tab uske karmachariyon ne use rath par Yerushalem ko pahuncha kar daoodpur mein uske purkhaon ke beech mitti di.

29

अहज्याह तो अहाब के पुत्र योराम के ग्यारहवें वर्ष में यहूदा पर राज्य करने लगा था।

Ahajyaah to ahaab ke putra yoraam ke gyarahvein varsh mein Yahuda par rajya karne laga tha.

30

जब येहू यिज्रैल को आया, तब ईज़ेबेल यह सुन अपनी आंखों में सुर्मा लगा, अपना सिर संवार कर, खिड़की में से झांकने लगी।

Jab yehu yijrail ko aaya, tab izebel yah sun apni aankhon mein surma laga, apna sir sanvaar kar, khidki mein se jhankne lagi.

31

जब येहू फाटक में हो कर आ रहा था तब उसने कहा, हे अपने स्वामी के घात करने वाले जिम्री, क्या कुशल है?

Jab yehu phatak mein ho kar aa raha tha tab usne kaha, he apne swami ke ghaat karne vale jimri, kya kushal hai?

32

तब उसने खिड़की की ओर मुंह उठा कर पूछा, मेरी ओर कौन है? कौन? इस पर दो तीन खोजों ने उसकी ओर झांका।

Tab usne khidki ki or munh utha kar poochha, meri or kaun hai? Kaun? Is par do teen khojon ne uski or jhanka.

33

तब उसने कहा, उसे नीचे गिरा दो। सो उन्होंने उसको नीचे गिरा दिया, और उसके लोहू के कुछ छींटे भीत पर और कुछ घोड़ों पर पड़े, और उन्होंने उसको पांव से लताड़ दिया।

Tab usne kaha, use neeche gira do. So unhonne usko neeche gira diya, aur uske lohu ke kuchh chheente bheet par aur kuchh ghodon par pade, aur unhonne usko paanv se lataad diya.

34

तब वह भीतर जा कर खाने पीने लगा; और कहा, जाओ उस श्रापित स्त्री को देख लो, और उसे मिट्टी दो; वह तो राजा की बेटी है।

Tab vah bheetar ja kar khane peene laga; aur kaha, jao us shrapit stri ko dekh lo, aur use mitti do; vah to raja ki beti hai.

35

जब वे उसे मिट्टी देने गए, तब उसकी खोपड़ी पांवों और हथेलियों को छोड़ कर उसका और कुछ न पाया।

Jab ve use mitti dene gaye, tab uski khopdi panvon aur hatheliyon ko chhod kar uska aur kuchh na paya.

36

सो उन्होंने लौट कर उस से कह दिया; तब उसने कहा, यह यहोवा का वह वचन है, जो उसने अपने दास तिशबी एलिय्याह से कहलवाया था, कि ईज़ेबेल का मांस यिज्रैल की भूमि में कुत्तों से खाया जाएगा।

So unhonne laut kar us se kah diya; tab usne kaha, yah Yahowa ka vah vachan hai, jo usne apne daas tishbi eliyyaah se kahalvaya tha, ki izebel ka maans yijrail ki bhoomi mein kutton se khaya jayega.

37

और ईज़ेबेल की लोथ यिज्रैल की भूमि पर खाद की नाईं पड़ी रहेगी, यहां तक कि कोई न कहेगा, यह ईज़ेबेल है।

Aur izebel ki loth yijrail ki bhoomi par khaad ki nai padi rahegi, yahan tak ki koi na kahega, yah izebel hai.