2 Kings 10 · 36 verses

2 राजाओं 10 2 Kings 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 10.

1

अहाब के तो सत्तर बेटे, पोते, शोमरोन में रहते थे। सो येहू ने शोमरोन में उन पुरनियों के पास, और जो यिज्रैल के हाकिम थे, और जो अहाब के लड़के-बालों के पालने वाले थे, उनके पास पत्र लिख कर भेजे,

Ahaab ke to sattar bete, pote, shomron mein rahte the. So yehu ne shomron mein un purniyon ke paas, aur jo yijrail ke hakim the, aur jo ahaab ke ladke-balon ke palne vale the, unke paas patra likh kar bheje,

2

कि तुम्हारे स्वामी के बेटे, पोते तो तुम्हारे पास रहते हैं, और तुम्हारे रथ, और घोड़े भी हैं, और तुम्हारे एक गढ़वाला नगर, और हथियार भी हैं; तो इस पत्र के हाथ लगते ही,

Ki tumhare swami ke bete, pote to tumhare paas rahte hain, aur tumhare rath, aur ghode bhi hain, aur tumhare ek gadhvala nagar, aur hathiyaar bhi hain; to is patra ke haath lagte hi,

3

अपने स्वामी के बेटों में से जो सब से अच्छा और योग्य हो, उसको छांट कर, उसके पिता की गद्दी पर बैठाओ, और अपने स्वामी के घराने के लिये लड़ो।

Apne swami ke beton mein se jo sab se achchha aur yogya ho, usko chhaant kar, uske pita ki gaddi par baithao, aur apne swami ke gharane ke liye lado.

4

परंतु वे निपट डर गए, और कहने लगे, उसके साम्हने दो राजा भी ठहर न सके, फिर हम कहां ठहर सकेंगे?

Parantu ve nipat dar gaye, aur kahne lage, uske samhane do raja bhi thahar na sake, phir ham kahan thahar sakenge?

5

तब जो राज घराने के काम पर था, और जो नगर के ऊपर था, उन्होंने और पुरनियों और लड़के-बालों के पालने वालों ने येहू के पास यों कहला भेजा, कि हम तेरे दास हैं, जो कुछ तू हम से कहे, उसे हम करेंगे; हम किसी को राजा न बनाएंगे, जो तुझे भाए वहीं कर।

Tab jo raaj gharane ke kaam par tha, aur jo nagar ke oopar tha, unhonne aur purniyon aur ladke-balon ke palne valon ne yehu ke paas yon kahla bheja, ki ham tere daas hain, jo kuchh tu ham se kahe, use ham karenge; ham kisi ko raja na banayenge, jo tujhe bhaye vahi kar.

6

तब उसने दूसरा पत्र लिख कर उनके पास भेजा, कि यदि तुम मेरी ओर के हो और मेरी मानो, तो अपने स्वामी के बेटों-पोतों के सिर कटवाकर कल इसी समय तक मेरे पास यिज्रैल में हाजिर होना। राजपुत्र तो जो सत्तर मनुष्य थे, वे उस नगर के रईसों के पास पलते थे।

Tab usne doosra patra likh kar unke paas bheja, ki yadi tum meri or ke ho aur meri mano, to apne swami ke beton-poton ke sir katvakar kal isi samay tak mere paas yijrail mein hajir hona. Rajputra to jo sattar manushya the, ve us nagar ke raison ke paas palte the.

7

यह पत्र उनके हाथ लगते ही, उन्होंने उन सत्तरों राजपुत्रों को पकड़ कर मार डाला, और उनके सिर टोकरियों में रख कर यिज्रैल को उसके पास भेज दिए।

Yah patra unke haath lagte hi, unhonne un sattaron rajputron ko pakad kar maar dala, aur unke sir tokriyon mein rakh kar yijrail ko uske paas bhej diye.

8

और एक दूत ने उसके पास जा कर बता दिया, कि राजकुमारों के सिर आ गए हैं। तब उसने कहा, उन्हें फाटक में दो ढेर कर के बिहान तक रखो।

Aur ek doot ne uske paas ja kar bata diya, ki rajkumaron ke sir aa gaye hain. Tab usne kaha, unhein phatak mein do dher kar ke bihaan tak rakho.

9

बिहान को उसने बाहर जा खड़े हो कर सब लोगों से कहा, तुम तो निर्दोष हो, मैं ने अपने स्वामी से राजद्रोह की गोष्ठी कर के उसे घात किया, परन्तु इन सभों को किस ने मार डाला?

Bihaan ko usne bahar ja khade ho kar sab logon se kaha, tum to nirdosh ho, main ne apne swami se rajadroh ki goshthi kar ke use ghaat kiya, parantu in sabhon ko kis ne maar dala?

10

अब जान लो कि जो वचन यहोवा ने अपने दास एलिय्याह के द्वारा कहा था, उसे उसने पूरा किया है; जो वचन यहोवा ने अहाब के घराने के विषय कहा, उस में से एक भी बात बिना पूरी हुए न रहेगी।

Ab jaan lo ki jo vachan Yahowa ne apne daas eliyyaah ke dwara kaha tha, use usne poora kiya hai; jo vachan Yahowa ne ahaab ke gharane ke vishay kaha, us mein se ek bhi baat bina poori hue na rahegi.

11

तब अहाब के घराने के जितने लोग यिज्रैल में रह गए, उन सभों को और उसके जितने प्रधान पुरुष और मित्र और याजक थे, उन सभों को येहू ने मार डाला, यहां तक कि उसने किसी को जीवित न छोड़ा।

Tab ahaab ke gharane ke jitne log yijrail mein rah gaye, un sabhon ko aur uske jitne pradhaan purush aur mitra aur yajak the, un sabhon ko yehu ne maar dala, yahan tak ki usne kisi ko jeevit na chhoda.

12

तब वह वहां से चलकर शोमरोन को गया। और मार्ग में चरवाहों के ऊन कतरने के स्थान पर पहुंचा ही था,

Tab vah vahan se chalkar shomron ko gaya. Aur maarg mein charvahon ke oon katarne ke sthaan par pahuncha hi tha,

13

कि यहूदा के राजा अहज्याह के भाई येहू से मिले और जब उसने पूछा, तुम कौन हो? तब उन्होंने उत्तर दिया, हम अहज्याह के भाई हैं, और राजपुत्रों और राजमाता के बेटों का कुशलक्षेम पूछने को जाते हैं।

Ki Yahuda ke raja ahajyaah ke bhai yehu se mile aur jab usne poochha, tum kaun ho? Tab unhonne uttar diya, ham ahajyaah ke bhai hain, aur rajputron aur rajmata ke beton ka kushlakshem poochhne ko jate hain.

14

तब उसने कहा, इन्हें जीवित पकड़ो। सो उन्होंने उन को जो बयालीस पुरुष थे, जीवित पकड़ा, और ऊन कतरने के स्थान की बावली पर मार डाला, उसने उन में से किसी को न छोड़ा।

Tab usne kaha, inhein jeevit pakdo. So unhonne un ko jo bayalees purush the, jeevit pakda, aur oon katarne ke sthaan ki bavli par maar dala, usne un mein se kisi ko na chhoda.

15

जब वह वहां से चला, तब रेकाब का पुत्र यहोनादाब साम्हने से आता हुआ उसको मिला। उसका कुशल उस ने पूछ कर कहा, मेरा मन तो तेरी ओर निष्कपट है सो क्या तेरा मन भी वैसा ही है? यहोनादाब ने कहा, हां, ऐसा ही है। फिर उसने कहा, ऐसा हो, तो अपना हाथ मुझे दे। उसने अपना हाथ उसे दिया, और वह यह कह कर उसे अपने पास रथ पर चढ़ाने लगा, कि मेरे संग चल।

Jab vah vahan se chala, tab rekaab ka putra yahonadaab samhane se aata huaa usko mila. Uska kushal us ne poochh kar kaha, mera man to teri or nishkapat hai so kya tera man bhi vaisa hi hai? Yahonadaab ne kaha, han, aisa hi hai. Phir usne kaha, aisa ho, to apna haath mujhe de. Usne apna haath use diya, aur vah yah kah kar use apne paas rath par chadhane laga, ki mere sang chal.

16

और देख, कि मुझे यहोवा के निमित्त कैसी जलन रहती है। तब वह उसके रथ पर चढ़ा दिया गया।

Aur dekh, ki mujhe Yahowa ke nimitt kaisi jalan rahti hai. Tab vah uske rath par chadha diya gaya.

17

शोमरोन को पहुंच कर उसने यहोवा के उस वचन के अनुसार जो उसने एलिय्याह से कहा था, अहाब के जितने शोमरोन में बचे रहे, उन सभों को मार के विनाश किया।

Shomron ko pahunch kar usne Yahowa ke us vachan ke anusaar jo usne eliyyaah se kaha tha, ahaab ke jitne shomron mein bache rahe, un sabhon ko maar ke vinaash kiya.

18

तब येहू ने सब लोगों को इकट्ठा कर के कहा, अहाब ने तो बाल की थोड़ी ही उपासना की थी, अब येहू उसकी उपासना बढ़के करेगा।

Tab yehu ne sab logon ko ikattha kar ke kaha, ahaab ne to baal ki thodi hi upasna ki thi, ab yehu uski upasna badhke karega.

19

इसलिये अब बाल के सब नबियों, सब उपासकों और सब याजकों को मेरे पास बुला लाओ, उन में से कोई भी न रह जाए; क्योंकि बाल के लिये मेरा एक बड़ा यज्ञ होने वाला है; जो कोई न आए वह जीवित न बचेगा। येहू ने यह काम कपट कर के बाल के सब उपासकों को नाश करने के लिये किया।

Isliye ab baal ke sab nabiyon, sab upaskon aur sab yajkon ko mere paas bula lao, un mein se koi bhi na rah jaye; kyonki baal ke liye mera ek bada yagy hone vala hai; jo koi na aaye vah jeevit na bachega. Yehu ne yah kaam kapat kar ke baal ke sab upaskon ko naash karne ke liye kiya.

20

तब येहू ने कहा, बाल की एक पवित्र महासभा का प्रचार करो। और लोगों ने प्रचार किया।

Tab yehu ne kaha, baal ki ek pavitra mahasbha ka prachaar karo. Aur logon ne prachaar kiya.

21

और येहू ने सारे इस्राएल में दूत भेजे; तब बाल के सब उपासक आए, यहां तक कि ऐसा कोई न रह गया जो न आया हो। और वे बाल के भवन में इतने आए, कि वह एक सिरे से दूसरे सिरे तक भर गया।

Aur yehu ne sare Israel mein doot bheje; tab baal ke sab upasak aaye, yahan tak ki aisa koi na rah gaya jo na aaya ho. Aur ve baal ke bhavan mein itne aaye, ki vah ek sire se doosre sire tak bhar gaya.

22

तब उसने उस मनुष्य से जो वस्त्र के घर का अधिकारी था, कहा, बाल के सब उपासकों के लिये वस्त्र निकाल ले आ; सो वह उनके लिये वस्त्र निकाल ले आया।

Tab usne us manushya se jo vastra ke ghar ka adhikari tha, kaha, baal ke sab upaskon ke liye vastra nikaal le aa; so vah unke liye vastra nikaal le aaya.

23

तब येहू रेकाब के पुत्र यहोनादाब को संग ले कर बाल के भवन में गया, और बाल के उपासकों से कहा, ढूंढ़ कर देखो, कि यहां तुम्हारे संग यहोवा का कोई उपासक तो नहीं है, केवल बाल ही के उपासक हैं। तब वे मेलबलि और होमबलि चढ़ाने को भीतर गए।

Tab yehu rekaab ke putra yahonadaab ko sang le kar baal ke bhavan mein gaya, aur baal ke upaskon se kaha, dhoondh kar dekho, ki yahan tumhare sang Yahowa ka koi upasak to nahi hai, keval baal hi ke upasak hain. Tab ve melabli aur homabli chadhane ko bheetar gaye.

24

येहू ने तो अस्सी पुरुष बाहर ठहरा कर उन से कहा था, यदि उन मनुष्यों में से जिन्हें मैं तुम्हारे हाथ कर दूं, कोई भी बचने पाए, तो जो उसे जाने देगा उसका प्राण, उसके प्राण की सन्ती जाएगा।

Yehu ne to assi purush bahar thahra kar un se kaha tha, yadi un manushyon mein se jinhein main tumhare haath kar dun, koi bhi bachne paye, to jo use jane dega uska praan, uske praan ki santi jayega.

25

फिर जब होमबलि चढ़ चुका, तब येहू ने पहरुओं और सरदारों से कहा, भीतर जा कर उन्हें मार डालो; कोई निकलने न पाए। तब उन्होंने उन्हें तलवार से मारा और पहरुए और सरदार उन को बाहर फेंक कर बाल के भवन के नगर को गए।

Phir jab homabli chadh chuka, tab yehu ne pahruon aur sardaron se kaha, bheetar ja kar unhein maar dalo; koi nikalne na paye. Tab unhonne unhein talvaar se mara aur pahrue aur sardaar un ko bahar phenk kar baal ke bhavan ke nagar ko gaye.

26

और उन्होंने बाल के भवन में की लाठें निकाल कर फूंक दीं।

Aur unhonne baal ke bhavan mein ki lathein nikaal kar phoonk di.

27

और बाल की लाठ को उन्होंने तोड़ डाला; और बाल के भवन को ढाकर पायखाना बना दिया; और वह आज तक ऐसा ही है।

Aur baal ki laath ko unhonne tod dala; aur baal ke bhavan ko dhakar paykhana bana diya; aur vah aaj tak aisa hi hai.

28

यों येहू ने बाल को इस्राएल में से नाश कर के दूर किया।

Yon yehu ne baal ko Israel mein se naash kar ke door kiya.

29

तौभी नबात के पुत्र यारोबाम, जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उसके पापों के अनुसार करने, अर्थात बेतेल और दान में के सोने के बछड़ों की पूजा, उस से येहू अलग न हुआ।

Taubhi nabaat ke putra yarobaam, jisne Israel se paap karaya tha, uske papon ke anusaar karne, arthaat betel aur daan mein ke sone ke bachhdon ki pooja, us se yehu alag na huaa.

30

और यहोवा ने येहू से कहा, इसलिये कि नू ने वह किया, जो मेरी दृष्टि में ठीक है, और अहाब के घराने से मेरी इच्छा के अनुसार बर्ताव किया है, तेरे पर पोते के पुत्र तक तेरी सन्तान इस्राएल की गद्दी पर विराजती रहेगी।

Aur Yahowa ne yehu se kaha, isliye ki nu ne vah kiya, jo meri drishti mein theek hai, aur ahaab ke gharane se meri ichchha ke anusaar bartaav kiya hai, tere par pote ke putra tak teri santaan Israel ki gaddi par virajti rahegi.

31

परन्तु येहू ने इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की व्यवस्था पर पूर्ण मन से चलने की चौकसी न की, वरन यारोबाम जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उसके पापों के अनुसार करने से वह अलग न हुआ।

Parantu yehu ne Israel ke Parmeshwar Yahowa ki vyavastha par poorn man se chalne ki chauksi na ki, varan yarobaam jisne Israel se paap karaya tha, uske papon ke anusaar karne se vah alag na huaa.

32

उन दिनों यहोवा इस्राएल को घटाने लगा, इसलिये हजाएल ने इस्राएल के उन सारे देशों में उन को मारा:

Un dinon Yahowa Israel ko ghatane laga, isliye hajayel ne Israel ke un sare deshon mein un ko mara:

33

यरदन से पूरब की ओर गिलाद का सारा देश, और गादी और रूबेनी और मनश्शेई का देश अर्थात अरोएर से ले कर जो अर्नोन की तराई के पास है, गिलाद और बाशान तक।

Yardan se poorab ki or gilaad ka sara desh, aur gadi aur roobeni aur manashshei ka desh arthaat aroyer se le kar jo arnon ki tarai ke paas hai, gilaad aur bashaan tak.

34

येहू के और सब काम और जो कुछ उसने किया, और उसकी पूर्ण वीरता, यह सब क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?

Yehu ke aur sab kaam aur jo kuchh usne kiya, aur uski poorn veerta, yah sab kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?

35

निदान येहू अपने पुरखाओं के संग सो गया, और शोमरोन में उसको मिट्टी दी गई, और उसका पुत्र यहोआहाज उसके स्थान पर राजा बन गया।

Nidaan yehu apne purkhaon ke sang so gaya, aur shomron mein usko mitti di gai, aur uska putra yahoaahaaj uske sthaan par raja ban gaya.

36

येहू के शोमरोन में इस्राएल पर राज्य करने का समय तो अट्ठाईस वर्ष का था।

Yehu ke shomron mein Israel par rajya karne ka samay to atthais varsh ka tha.