2 Kings 8 · 29 verses

2 राजाओं 8 2 Kings 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 8.

1

जिस स्त्री के बेटे को एलीशा ने जिलाया था, उस से उसने कहा था कि अपने घराने समेत यहां से जा कर जहां कहीं तू रह सके वहां रह; क्योंकि यहोवा की इच्छा है कि अकाल पड़े, और वह इस देश में सात वर्ष तक बना रहेगा।

Jis stri ke bete ko eleesha ne jilaya tha, us se usne kaha tha ki apne gharane samet yahan se ja kar jahan kahi tu rah sake vahan rah; kyonki Yahowa ki ichchha hai ki akaal pade, aur vah is desh mein saat varsh tak bana rahega.

2

परमेश्वर के भक्त के इस वचन के अनुसार वह स्त्री अपने घराने समेत पलिश्तियों के देश में जा कर सात वर्ष रही।

Parmeshwar ke bhakt ke is vachan ke anusaar vah stri apne gharane samet palishtiyon ke desh mein ja kar saat varsh rahi.

3

सात वर्ष के बीतने पर वह पलिश्तियों के देश से लौट आई, और अपने घर और भूमि के लिये दोहाई देने को राजा के पास गई।

Saat varsh ke beetne par vah palishtiyon ke desh se laut aai, aur apne ghar aur bhoomi ke liye dohai dene ko raja ke paas gai.

4

राजा परमेश्वर के भक्त के सेवक गेहजी से बातें कर रहा था, और उसने कहा कि जो बड़े बड़े काम एलीशा ने किये हैं उन्हें मुझ से वर्णन कर।

Raja Parmeshwar ke bhakt ke sevak gehji se batein kar raha tha, aur usne kaha ki jo bade bade kaam eleesha ne kiye hain unhein mujh se varnan kar.

5

जब वह राजा से यह वर्णन कर ही रहा था कि एलीशा ने एक मुर्दे को जिलाया, तब जिस स्त्री के बेटे को उसने जिलाया था वही आकर अपने घर और भूमि के लिये दोहाई देने लगी। तब गेहजी ने कहा, हे मेरे प्रभु! हे राजा! यह वही स्त्री है और यही उसका बेटा है जिसे एलीशा ने जिलाया था।

Jab vah raja se yah varnan kar hi raha tha ki eleesha ne ek murde ko jilaya, tab jis stri ke bete ko usne jilaya tha vahi aakar apne ghar aur bhoomi ke liye dohai dene lagi. Tab gehji ne kaha, he mere Prabhu! He raja! Yah vahi stri hai aur yahi uska beta hai jise eleesha ne jilaya tha.

6

जब राजा ने स्त्री से पूछा, तब उसने उस से सब कह दिया। तब राजा ने एक हाकिम को यह कह कर उसके साथ कर दिया कि जो कुछ इसका था वरन जब से इस ने देश को छोड़ दिया तब से इसके खेत की जितनी आमदनी अब तक हुई हो सब इसे फेर दे।

Jab raja ne stri se poochha, tab usne us se sab kah diya. Tab raja ne ek hakim ko yah kah kar uske saath kar diya ki jo kuchh iska tha varan jab se is ne desh ko chhod diya tab se iske khet ki jitni aamadni ab tak hui ho sab ise pher de.

7

और एलीशा दमिश्क को गया। और जब अराम के राजा बेन्हदद को जो रोगी था यह समाचार मिला, कि परमेश्वर का भक्त यहां भी आया है,

Aur eleesha damishk ko gaya. Aur jab araam ke raja benhadad ko jo rogi tha yah samachaar mila, ki Parmeshwar ka bhakt yahan bhi aaya hai,

8

तब उसने हजाएल से कहा, भेंट ले कर परमेश्वर के भक्त से मिलने को जा, और उसके द्वारा यहोवा से यह पूछ, कि क्या बेन्हदद जो रोगी है वह बचेगा कि नहीं?

Tab usne hajayel se kaha, bhent le kar Parmeshwar ke bhakt se milne ko ja, aur uske dwara Yahowa se yah poochh, ki kya benhadad jo rogi hai vah bachega ki nahi?

9

तब हजाएल भेंट के लिये दमिश्क की सब उत्तम उत्तम वस्तुओं से चालीस ऊंट लदवा कर, उस से मिलने को चला, और उसके सम्मुख खड़ा हो कर कहने लगा, तेरे पुत्र अराम के राजा बेन्हदद ने मुझे तुझ से यह पूछने को भेजा है, कि क्या मैं जो रोगी हूँ तो बचूंगा कि नहीं?

Tab hajayel bhent ke liye damishk ki sab uttam uttam vastuon se chalees oont ladva kar, us se milne ko chala, aur uske sammukh khada ho kar kahne laga, tere putra araam ke raja benhadad ne mujhe tujh se yah poochhne ko bheja hai, ki kya main jo rogi hoon to bachoonga ki nahi?

10

एलीशा ने उस से कहा, जा कर कह, तू निश्चय बच सकता, तौभी यहोवा ने मुझ पर प्रगट किया है, कि तू नि:सन्देह मर जाएगा।

Eleesha ne us se kaha, ja kar kah, tu nishchay bach sakta, taubhi Yahowa ne mujh par pragat kiya hai, ki tu nisandeh mar jayega.

11

और वह उसकी ओर टकटकी बान्ध कर देखता रहा, यहां तक कि वह लज्जित हुआ। और परमेश्वर का भक्त रोने लगा।

Aur vah uski or takatki baandh kar dekhta raha, yahan tak ki vah lajjit huaa. Aur Parmeshwar ka bhakt rone laga.

12

तब हजाएल ने पूछा, मेरा प्रभु क्यों रोता है? उसने उत्तर दिया, इसलिये कि मुझे मालूम है कि तू इस्राएलियों पर क्या क्या उपद्रव करेगा; उनके गढ़ वाले नगरों को तू फूंक देगा; उनके जवानों को तू तलवार से घात करेगा, उनके बाल-बच्चों को तू पटक देगा, और उनकी गर्भवती स्त्रियों को तू चीर डालेगा।

Tab hajayel ne poochha, mera Prabhu kyon rota hai? Usne uttar diya, isliye ki mujhe maloom hai ki tu Israeliyon par kya kya upadrav karega; unke gadh vale nagron ko tu phoonk dega; unke javanon ko tu talvaar se ghaat karega, unke baal-bachchon ko tu patak dega, aur unki garbhavti striyon ko tu cheer dalega.

13

हजाएल ने कहा, तेरा दास जो कुत्ते सरीखा है, वह क्या है कि ऐसा बड़ा काम करे? एलीशा ने कहा, यहोवा ने मुझ पर यह प्रगट किया है कि तू अराम का राजा हो जाएगा।

Hajayel ne kaha, tera daas jo kutte sareekha hai, vah kya hai ki aisa bada kaam kare? Eleesha ne kaha, Yahowa ne mujh par yah pragat kiya hai ki tu araam ka raja ho jayega.

14

तब वह एलीशा से बिदा हो कर अपने स्वामी के पास गया, और उसने उस से पूछा, एलीशा ने तुझ से क्या कहा? उसने उत्तर दिया, उसने मुझ से कहा कि बेन्हदद नि:सन्देह बचेगा।

Tab vah eleesha se bida ho kar apne swami ke paas gaya, aur usne us se poochha, eleesha ne tujh se kya kaha? Usne uttar diya, usne mujh se kaha ki benhadad nisandeh bachega.

15

दूसरे दिन उसने राजाई को ले कर जल से भिगो दिया, और उसको उसके मुंह पर ऐसा ओढ़ा दिया कि वह मर गया। तब हजाएल उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Doosre din usne rajai ko le kar jal se bhigo diya, aur usko uske munh par aisa odha diya ki vah mar gaya. Tab hajayel uske sthaan par rajya karne laga.

16

इस्राएल के राजा अहाब के पुत्र योराम के पांचवें वर्ष में, जब यहूदा का राजा यहोशापात जीवित था, तब यहोशापात का पुत्र यहोराम यहूदा पर राज्य करने लगा।

Israel ke raja ahaab ke putra yoraam ke panchvein varsh mein, jab Yahuda ka raja yahoshapaat jeevit tha, tab yahoshapaat ka putra yahoraam Yahuda par rajya karne laga.

17

जब वह राजा हुआ, तब बत्तीस वर्ष का था, और आठ वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा।

Jab vah raja huaa, tab battees varsh ka tha, aur aath varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha.

18

वह इस्राएल के राजाओं की सी चाल चला, जैसे अहाब का घराना चलता था, क्योंकि उसकी स्त्री अहाब की बेटी थी; और वह उस काम को करता था जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Vah Israel ke rajaon ki si chaal chala, jaise ahaab ka gharana chalta tha, kyonki uski stri ahaab ki beti thi; aur vah us kaam ko karta tha jo Yahowa ki drishti mein bura hai.

19

तौभी यहोवा ने यहूदा को नाश करना न चाहा, यह उसके दास दाऊद के कारण हुआ, क्योंकि उसने उसको वचन दिया था, कि तेरे वंश के निमित्त मैं सदा तेरे लिये एक दीपक जलता हुआ रखूंगा।

Taubhi Yahowa ne Yahuda ko naash karna na chaha, yah uske daas Daud ke karan huaa, kyonki usne usko vachan diya tha, ki tere vansh ke nimitt main sada tere liye ek deepak jalta huaa rakhoonga.

20

उसके दिनों में एदोम ने यहूदा की आधीनता छोड़कर अपना एक राजा बना लिया।

Uske dinon mein edom ne Yahuda ki aadheenta chhodkar apna ek raja bana liya.

21

तब योराम अपने सब रथ साथ लिये हुए साईर को गया, और रात को उठ कर उन एदोमियों को जो उसे घेरे हुए थे, और रथों के प्रधानों को भी मारा; और लोग अपने अपने डेरे को भाग गए।

Tab yoraam apne sab rath saath liye hue sair ko gaya, aur raat ko uth kar un edomiyon ko jo use ghere hue the, aur rathon ke pradhanon ko bhi mara; aur log apne apne dere ko bhaag gaye.

22

यों एदोम यहूदा के वश से छूट गया, और आज तक वैसा ही है। उस समय लिब्ना ने भी यहूदा की आधीनता छोड़ दी।

Yon edom Yahuda ke vash se chhoot gaya, aur aaj tak vaisa hi hai. Us samay libna ne bhi Yahuda ki aadheenta chhod di.

23

योराम के और सब काम और जो कुछ उसने किया, वह क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?

Yoraam ke aur sab kaam aur jo kuchh usne kiya, vah kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?

24

निदान योराम अपने पुरखाओं के संग सो गया और उनके बीच दाऊदपुर में उसे मिट्टी दी गई; और उसका पुत्र अहज्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan yoraam apne purkhaon ke sang so gaya aur unke beech daoodpur mein use mitti di gai; aur uska putra ahajyaah uske sthaan par rajya karne laga.

25

अहाब के पुत्र इस्राएल के राजा योराम के बारहवें वर्ष में यहूदा के राजा यहोराम का पुत्र अहज्याह राज्य करने लगा।

Ahaab ke putra Israel ke raja yoraam ke barahvein varsh mein Yahuda ke raja yahoraam ka putra ahajyaah rajya karne laga.

26

जब अहज्याह राजा बना, तब बाईस वर्ष का था, और यरूशलेम में एक ही वर्ष राज्य किया। और उसकी माता का नाम अतल्याह था, जो इस्राएल के राजा ओम्री की पोती थी।

Jab ahajyaah raja bana, tab bais varsh ka tha, aur Yerushalem mein ek hi varsh rajya kiya. Aur uski mata ka naam atalyaah tha, jo Israel ke raja omri ki poti thi.

27

वह अहाब के घराने की सी चाल चला, और अहाब के घराने की नाईं वह काम करता था, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है, क्योंकि वह अहाब के घराने का दामाद था।

Vah ahaab ke gharane ki si chaal chala, aur ahaab ke gharane ki nai vah kaam karta tha, jo Yahowa ki drishti mein bura hai, kyonki vah ahaab ke gharane ka damaad tha.

28

और वह अहाब के पुत्र योराम के संग गिलाद के रामोत में अराम के राजा हजाएल से लड़ने को गया, और अरामियों ने योराम को घायल किया।

Aur vah ahaab ke putra yoraam ke sang gilaad ke ramot mein araam ke raja hajayel se ladne ko gaya, aur aramiyon ne yoraam ko ghayal kiya.

29

सो राजा योराम इसलिये लौट गया, कि यिज्रैल में उन घावों का इलाज कराए, जो उसको अरामियों के हाथ से उस समय लगे, जब वह हजाएल के साथ लड़ रहा था। और अहाब का पुत्र योराम तो यिज्रैल में रोगी रहा, इस कारण यहूदा के राजा यहोराम का पुत्र अहज्याह उसको देखने गया।

So raja yoraam isliye laut gaya, ki yijrail mein un ghavon ka ilaaj karaye, jo usko aramiyon ke haath se us samay lage, jab vah hajayel ke saath lad raha tha. Aur ahaab ka putra yoraam to yijrail mein rogi raha, is karan Yahuda ke raja yahoraam ka putra ahajyaah usko dekhne gaya.