2 Kings 4 · 44 verses

2 राजाओं 4 2 Kings 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 4.

1

भविष्यद्वक्ताओं के चेलों की पत्नियों में से एक स्त्री ने एलीशा की दोहाई देकर कहा, तेरा दास मेरा पति मर गया, और तू जानता है कि वह यहोवा का भय माननेवाला था, और जिसका वह कर्जदार था वह आया है कि मेरे दोनों पुत्रों को अपने दास बनाने के लिये ले जाए।

Bhavishyadwaktaon ke chelon ki patniyon mein se ek stri ne eleesha ki dohai dekar kaha, tera daas mera pati mar gaya, aur tu janta hai ki vah Yahowa ka bhay mannevala tha, aur jiska vah karjadaar tha vah aaya hai ki mere donon putron ko apne daas banane ke liye le jaye.

2

एलीशा ने उस से पूछा, मैं तेरे लिये क्या करूं? मुझ से कह, कि तेरे घर में क्या है? उसने कहा, तेरी दासी के घर में एक हांड़ी तेल को छोड़ और कुछ तहीं है।

Eleesha ne us se poochha, main tere liye kya karun? Mujh se kah, ki tere ghar mein kya hai? Usne kaha, teri dasi ke ghar mein ek handi tel ko chhod aur kuchh tahi hai.

3

उसने कहा, तू बाहर जा कर अपनी सब पड़ोसियों खाली बरतन मांग ले आ, और थोड़े बरतन न लाना।

Usne kaha, tu bahar ja kar apni sab padosiyon khali bartan maang le aa, aur thode bartan na lana.

4

फिर तू अपने बेटों समेत अपने घर में जा, और द्वार बन्द कर के उन सब बरतनों में तेल उण्डेल देना, और जो भर जाए उन्हें अलग रखना।

Phir tu apne beton samet apne ghar mein ja, aur dwaar band kar ke un sab baratnon mein tel undel dena, aur jo bhar jaye unhein alag rakhna.

5

तब वह उसके पास से चली गई, और अपने बेटों समेत अपने घर जा कर द्वार बन्द किया; तब वे तो उसके पास बरतन लाते गए और वह उण्डेलती गई।

Tab vah uske paas se chali gai, aur apne beton samet apne ghar ja kar dwaar band kiya; tab ve to uske paas bartan late gaye aur vah undelti gai.

6

जब बरतन भर गए, तब उसने अपने बेटे से कहा, मेरे पास एक और भी ले आ, उसने उस से कहा, और बरतन तो नहीं रहा। तब तेल थम गया।

Jab bartan bhar gaye, tab usne apne bete se kaha, mere paas ek aur bhi le aa, usne us se kaha, aur bartan to nahi raha. Tab tel tham gaya.

7

तब उसने जा कर परमेश्वर के भक्त को यह बता दिया। ओर उसने कहा, जा तेल बेच कर ऋण भर दे; और जो रह जाए, उस से तू अपने पुत्रों सहित अपना निर्वाह करना।

Tab usne ja kar Parmeshwar ke bhakt ko yah bata diya. Or usne kaha, ja tel bech kar rin bhar de; aur jo rah jaye, us se tu apne putron sahit apna nirvaah karna.

8

फिर एक दिन की बात है कि एलीशा शूनेम को गया, जहां एक कुलीन स्त्री थी, और उसने उसे रोटी खाने के लिये बिनती कर के विवश किया। और जब जब वह उधर से जाता, तब तब वह वहां रोटी खाने को उतरता था।

Phir ek din ki baat hai ki eleesha shoonem ko gaya, jahan ek kuleen stri thi, aur usne use roti khane ke liye binti kar ke vivash kiya. Aur jab jab vah udhar se jata, tab tab vah vahan roti khane ko utarta tha.

9

और उस स्त्री ने अपने पति से कहा, सुन यह जो बार बार हमारे यहां से हो कर जाया करता है वह मुझे परमेश्वर का कोई पवित्र भक्त जान पड़ता है।

Aur us stri ne apne pati se kaha, sun yah jo baar baar hamare yahan se ho kar jaya karta hai vah mujhe Parmeshwar ka koi pavitra bhakt jaan padta hai.

10

तो हम भीत पर एक छोटी उपरौठी कोठरी बनाएं, और उस में उसके लिये एक खाट, एक मेज, एक कुसीं और एक दीवट रखें, कि जब जब वह हमारे यहां आए, तब तब उसी में टिका करे।

To ham bheet par ek chhoti uprauthi kothri banayen, aur us mein uske liye ek khaat, ek mej, ek kusi aur ek deevat rakhein, ki jab jab vah hamare yahan aaye, tab tab usi mein tika kare.

11

एक दिन की बात है, कि वह वहां जा कर उस उपरौठी कोठरी में टिका और उसी में लेट गया।

Ek din ki baat hai, ki vah vahan ja kar us uprauthi kothri mein tika aur usi mein let gaya.

12

और उसने अपने सेवक गेहजी से कहा, उस शुनेमिन को बुला ले। उसके बुलाने से वह उसके साम्हने खड़ी हुई।

Aur usne apne sevak gehji se kaha, us shunemin ko bula le. Uske bulane se vah uske samhane khadi hui.

13

तब उसने गेहजी से कहा, इस से कह, कि तू ने हमारे लिये ऐसी बड़ी चिन्ता की है, तो तेरे लिये क्या किया जाए? क्या तेरी चर्चा राजा, वा प्रधान सेनापति से की जाए? उसने उत्तर दिया मैं तो अपने ही लोगों में रहती हूँ।

Tab usne gehji se kaha, is se kah, ki tu ne hamare liye aisi badi chinta ki hai, to tere liye kya kiya jaye? Kya teri charcha raja, va pradhaan senapti se ki jaye? Usne uttar diya main to apne hi logon mein rahti hoon.

14

फिर उसने कहा, तो इसके लिये क्या किया जाए? गेहजी ने उत्तर दिया, निश्चय उसके कोई लड़का नहीं, और उसका पति बूढ़ा है।

Phir usne kaha, to iske liye kya kiya jaye? Gehji ne uttar diya, nishchay uske koi ladka nahi, aur uska pati boodha hai.

15

उसने कहा, उसको बुला ले। और जब उसने उसे बुलाया, तब वह द्वार में खड़ी हुई।

Usne kaha, usko bula le. Aur jab usne use bulaya, tab vah dwaar mein khadi hui.

16

तब उसने कहा, बसन्त ऋतु में दिन पूरे होने पर तू एक बेटा छाती से लगाएगी। स्त्री ने कहा, हे मेरे प्रभु! हे परमेश्वर के भक्त ऐसा नहीं, अपनी दासी को धोखा न दे।

Tab usne kaha, basant ritu mein din poore hone par tu ek beta chhati se lagayegi. Stri ne kaha, he mere Prabhu! He Parmeshwar ke bhakt aisa nahi, apni dasi ko dhokha na de.

17

और स्त्री को गर्भ रहा, और वसन्त ऋतु का जो समय एलीशा ने उस से कहा था, उसी समय जब दिन पूरे हुए, तब उसके पुत्र उत्पन्न हुआ।

Aur stri ko garbh raha, aur vasant ritu ka jo samay eleesha ne us se kaha tha, usi samay jab din poore hue, tab uske putra utpann huaa.

18

और जब लड़का बड़ा हो गया, तब एक दिन वह अपने पिता के पास लवने वालों के निकट निकल गया।

Aur jab ladka bada ho gaya, tab ek din vah apne pita ke paas lavne valon ke nikat nikal gaya.

19

और उसने अपने पिता से कहा, आह! मेरा सिर, आह! मेरा सिर। तब पिता ने अपने सेवक से कहा, इस को इसकी माता के पास ले जा।

Aur usne apne pita se kaha, aah! Mera sir, aah! Mera sir. Tab pita ne apne sevak se kaha, is ko iski mata ke paas le ja.

20

वह उसे उठा कर उसकी माता के पास ले गया, फिर वह दोपहर तक उसके घुटनों पर बैठा रहा, तब मर गया।

Vah use utha kar uski mata ke paas le gaya, phir vah dophar tak uske ghutnon par baitha raha, tab mar gaya.

21

तब उसने चढ़ कर उसको परमेश्वर के भक्त की खाट पर लिटा दिया, और निकल कर किवाड़ बन्द किया, तब उतर गई।

Tab usne chadh kar usko Parmeshwar ke bhakt ki khaat par lita diya, aur nikal kar kivaad band kiya, tab utar gai.

22

और उसने अपने पति से पुकार कर कहा, मेरे पास एक सेवक और एक गदही तुरन्त भेज दे कि मैं परमेश्वर के भक्त के यहां झट पट हो आऊं।

Aur usne apne pati se pukaar kar kaha, mere paas ek sevak aur ek gadhi turant bhej de ki main Parmeshwar ke bhakt ke yahan jhat pat ho aaun.

23

उसने कहा, आज तू उसके यहां क्यों जाएगी? आज न तो नये चांद का, और न विश्राम का दिन है; उसने कहा, कल्याण होगा।

Usne kaha, aaj tu uske yahan kyon jayegi? Aaj na to naye chaand ka, aur na vishraam ka din hai; usne kaha, kalyaan hoga.

24

तब उस स्त्री ने गदही पर काठी बान्ध कर अपने सेवक से कहा, हांके चल; और मेरे कहे बिना हांकने में ढिलाई न करना।

Tab us stri ne gadhi par kathi baandh kar apne sevak se kaha, hanke chal; aur mere kahe bina hankne mein dhilai na karna.

25

तो वह चलते चलते कर्मेल पर्वत को परमेश्वर के भक्त के निकट पहुंची। उसे दूर से देखकर परमेश्वर के भक्त ने अपने सेवक गेहजी से कहा, देख, उधर तो वह शूनेमिन है।

To vah chalte chalte karmel parvat ko Parmeshwar ke bhakt ke nikat pahunchi. Use door se dekhkar Parmeshwar ke bhakt ne apne sevak gehji se kaha, dekh, udhar to vah shoonemin hai.

26

अब उस से मिलने को दौड़ जा, और उस से पूछ, कि तू कुशल से है? तेरा पति भी कुशल से है? और लड़का भी कुशल से है? पूछने पर स्त्री ने उत्तर दिया, हां, कुशल से हैं।

Ab us se milne ko daud ja, aur us se poochh, ki tu kushal se hai? Tera pati bhi kushal se hai? Aur ladka bhi kushal se hai? Poochhne par stri ne uttar diya, han, kushal se hain.

27

वह पहाड़ पर परमेश्वर के भक्त के पास पहुंची, और उसके पांव पकड़ने लगी, तब गेहजी उसके पास गया, कि उसे धक्का देकर हटाए, परन्तु परमेश्वर के भक्त ने कहा, उसे छोड़ दे, उसका मन व्याकुल है; परन्तु यहोवा ने मुझ को नहीं बताया, छिपा ही रखा है।

Vah pahaad par Parmeshwar ke bhakt ke paas pahunchi, aur uske paanv pakadne lagi, tab gehji uske paas gaya, ki use dhakka dekar hataye, parantu Parmeshwar ke bhakt ne kaha, use chhod de, uska man vyakul hai; parantu Yahowa ne mujh ko nahi bataya, chhipa hi rakha hai.

28

तब वह कहने लगी, क्या मैं ने अपने प्रभु से पुत्र का वर मांगा था? क्या मैं ने न कहा था मुझे धोखा न दे?

Tab vah kahne lagi, kya main ne apne Prabhu se putra ka var manga tha? Kya main ne na kaha tha mujhe dhokha na de?

29

तब एलीशा ने गेहजी से कहा, अपनी कमर बान्ध, और मेरी छड़ी हाथ में ले कर चला जा, मार्ग में यदि कोई तुझे मिले तो उसका कुशल न पूछना, और कोई तेरा कुशल पूछे, तो उसको उत्तर न देना, और मेरी यह छड़ी उस लड़के के मुंह पर धर देना।

Tab eleesha ne gehji se kaha, apni kamar baandh, aur meri chhadi haath mein le kar chala ja, maarg mein yadi koi tujhe mile to uska kushal na poochhna, aur koi tera kushal poochhe, to usko uttar na dena, aur meri yah chhadi us ladke ke munh par dhar dena.

30

तब लड़के की मां ने एलीशा से कहा, यहोवा के और तेरे जीवन की शपथ मैं तुझे न छोड़ूंगी। तो वह उठ कर उसके पीछे पीछे चला।

Tab ladke ki maa ne eleesha se kaha, Yahowa ke aur tere jeevan ki shapath main tujhe na chhodoongi. To vah uth kar uske peechhe peechhe chala.

31

उन से पहिले पहुंच कर गेहजी ने छड़ी को उस लड़के के मुंह पर रखा, परन्तु कोई शब्द न सुन पड़ा, और न उसने कान लगाया, तब वह एलीशा से मिलने को लौट आया, और उसको बतला दिया, कि लड़का नहीं जागा।

Un se pahile pahunch kar gehji ne chhadi ko us ladke ke munh par rakha, parantu koi shabd na sun pada, aur na usne kaan lagaya, tab vah eleesha se milne ko laut aaya, aur usko batla diya, ki ladka nahi jaga.

32

जब एलीशा घर में आया, तब क्या देखा, कि लड़का मरा हुआ उसकी खाट पर पड़ा है।

Jab eleesha ghar mein aaya, tab kya dekha, ki ladka mara huaa uski khaat par pada hai.

33

तब उसने अकेला भीतर जा कर किवाड़ बन्द किया, और यहोवा से प्रार्थना की।

Tab usne akela bheetar ja kar kivaad band kiya, aur Yahowa se prarthana ki.

34

तब वह चढ़कर लड़के पर इस रीति से लेट गया कि अपना मुंह उसके मुंह से और अपनी आंखें उसकी आंखों से और अपने हाथ उसके हाथों से मिला दिये और वह लड़के पर पसर गया, तब लड़के की देह गर्म होने लगी।

Tab vah chadhkar ladke par is reeti se let gaya ki apna munh uske munh se aur apni aankhein uski aankhon se aur apne haath uske hathon se mila diye aur vah ladke par pasar gaya, tab ladke ki deh garm hone lagi.

35

और वह उसे छोड़कर घर में इधर उधर टहलने लगा, और फिर चढ़ कर लड़के पर पसर गया; तब लड़के ने सात बार छींका, और अपनी आंखें खोलीं।

Aur vah use chhodkar ghar mein idhar udhar tahalne laga, aur phir chadh kar ladke par pasar gaya; tab ladke ne saat baar chheenka, aur apni aankhein kholi.

36

तब एलीशा ने गेहजी को बुला कर कहा, शूनेमिन को बुला ले। जब उसके बुलाने से वह उसके पास आई, तब उसने कहा, अपने बेटे को उठा ले।

Tab eleesha ne gehji ko bula kar kaha, shoonemin ko bula le. Jab uske bulane se vah uske paas aai, tab usne kaha, apne bete ko utha le.

37

वह भीतर गई, और उसके पावों पर गिर भूमि तक झुककर दण्डवत किया; फिर अपने बेटे को उठा कर निकल गई।

Vah bheetar gai, aur uske pavon par gir bhoomi tak jhukkar dandavat kiya; phir apne bete ko utha kar nikal gai.

38

तब एलीशा गिलगाल को लौट गया। उस समय देश में अकाल था, और भविष्यद्वक्ताओं के चेले उसके साम्हने बैठे हुए थे, और उसने अपने सेवक से कहा, हण्डा चढ़ा कर भविष्यद्वक्ताओं के चेलों के लिये कुछ पका।

Tab eleesha gilgaal ko laut gaya. Us samay desh mein akaal tha, aur bhavishyadwaktaon ke chele uske samhane baithe hue the, aur usne apne sevak se kaha, handa chadha kar bhavishyadwaktaon ke chelon ke liye kuchh paka.

39

तब कोई मैदान में साग तोड़ने गया, और कोई जंगली लता पाकर अपनी अंकवार भर इन्द्रायण तोड़ ले आया, और फांक फांक कर के पकने के लिये हण्डे में डाल दिया, और वे उसको न पहिचानते थे।

Tab koi maidaan mein saag todne gaya, aur koi jangli lata pakar apni ankvaar bhar indrayan tod le aaya, aur phaank phaank kar ke pakne ke liye hande mein daal diya, aur ve usko na pahichante the.

40

तब उन्होंने उन मनुष्यों के खाने के लिये हण्डे में से परोसा। खाते समय वे चिल्लाकर बोल उठे, हे परमेश्वर के भक्त हण्डे में माहुर है, और वे उस में से खा न सके।

Tab unhonne un manushyon ke khane ke liye hande mein se parosa. Khate samay ve chillakar bol uthe, he Parmeshwar ke bhakt hande mein mahur hai, aur ve us mein se kha na sake.

41

तब एलीशा ने कहा, अच्छा, कुछ मैदा ले आओ, तब उसने उसे हण्डे में डाल कर कहा, उन लोगों के खाने के लिये परोस दे, फिर हण्डे में कुछ हानि की वस्तु न रही।

Tab eleesha ne kaha, achchha, kuchh maida le aao, tab usne use hande mein daal kar kaha, un logon ke khane ke liye paros de, phir hande mein kuchh hani ki vastu na rahi.

42

और कोई मनुष्य बालशालीशा से, पहिले उपजे हुए जव की बीस रोटियां, और अपनी बोरी में हरी बालें परमेश्वर के भक्त के पास ले आया; तो एलीशा ने कहा, उन लोगों को खाने के लिये दे।

Aur koi manushya balshaleesha se, pahile upje hue jav ki bees rotiyan, aur apni bori mein hari balein Parmeshwar ke bhakt ke paas le aaya; to eleesha ne kaha, un logon ko khane ke liye de.

43

उसके टहलुए ने कहा, क्या मैं सौ मनुष्यों के साम्हने इतना ही रख दूं? उसने कहा, लोगों को दे दे कि खाएं, क्योंकि यहोवा यों कहता है, उनके खाने के बाद कुछ बच भी जाएगा।

Uske tahlue ne kaha, kya main sau manushyon ke samhane itna hi rakh dun? Usne kaha, logon ko de de ki khayen, kyonki Yahowa yon kahta hai, unke khane ke baad kuchh bach bhi jayega.

44

तब उसने उनके आगे धर दिया, और यहोवा के वचन के अनुसार उनके खाने के बाद कुछ बच भी गया।

Tab usne unke aage dhar diya, aur Yahowa ke vachan ke anusaar unke khane ke baad kuchh bach bhi gaya.