2 Kings 3 · 27 verses

2 राजाओं 3 2 Kings 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 3.

1

यहूदा के राजा यहोशापात के अठारहवें वर्ष में अहाब का पुत्र यहोराम शोमरोन में राज्य करने लगा, और बारह वर्ष तक राज्य करता रहा।

Yahuda ke raja yahoshapaat ke atharahvein varsh mein ahaab ka putra yahoraam shomron mein rajya karne laga, aur barah varsh tak rajya karta raha.

2

उसने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है तौभी उसने अपने माता-पिता के बराबर नहीं किया वरन अपने पिता की बनवाई हुई बाल की लाठ को दूर किया।

Usne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein bura hai taubhi usne apne mata-pita ke barabar nahi kiya varan apne pita ki banvai hui baal ki laath ko door kiya.

3

तौभी वह नबात के पुत्र यारोबाम के ऐसे पापों में जैसे उसने इस्राएल से भी कराए लिपटा रहा और उन से न फिरा।

Taubhi vah nabaat ke putra yarobaam ke aise papon mein jaise usne Israel se bhi karaye lipta raha aur un se na phira.

4

मोआब का राजा मेशा बहुत सी भेड़-बकरियां रखता था, और इस्राएल के राजा को एक लाख बच्चे और एक लाख मेढ़ों का ऊन कर की रीति से दिया करता था।

Moaab ka raja mesha bahut si bhed-bakriyan rakhta tha, aur Israel ke raja ko ek laakh bachche aur ek laakh medhon ka oon kar ki reeti se diya karta tha.

5

जब अहाब मर गया, तब मोआब के राजा ने इस्राएल के राजा से बलवा किया।

Jab ahaab mar gaya, tab moaab ke raja ne Israel ke raja se balva kiya.

6

उस समय राजा यहोराम ने शोमरोन से निकल कर सारे इस्राएल की गिनती ली।

Us samay raja yahoraam ne shomron se nikal kar sare Israel ki ginti li.

7

और उसने जा कर यहूदा के राजा यहोशापात के पास यों कहला भेजा, कि मोआब के राजा ने मुझ से बलवा किया है, क्या तू मेरे संग मोआब से लड़ने को चलेगा? उसने कहा, हां मैं चलूंगा, जैसा तू वैसा मैं, जैसी तेरी प्रजा वैसी मेरी प्रजा, और जैसे तेरे घोड़े वैसे मेरे भी घोड़े हैं।

Aur usne ja kar Yahuda ke raja yahoshapaat ke paas yon kahla bheja, ki moaab ke raja ne mujh se balva kiya hai, kya tu mere sang moaab se ladne ko chalega? Usne kaha, han main chaloonga, jaisa tu vaisa main, jaisi teri praja vaisi meri praja, aur jaise tere ghode vaise mere bhi ghode hain.

8

फिर उसने पूछा, हम किस मार्ग से जाएं? उसने उत्तर दिया, एदोम के जंगल से होकर।

Phir usne poochha, ham kis maarg se jayen? Usne uttar diya, edom ke jangal se hokar.

9

तब इस्राएल का राजा, और यहूदा का राजा, और एदोम का राजा चले और जब सात दिन तक घूमकर चल चुके, तब सेना और उसके पीछे पीछे चलने वाले पशुओं के लिये कुछ पानी न मिला।

Tab Israel ka raja, aur Yahuda ka raja, aur edom ka raja chale aur jab saat din tak ghoomkar chal chuke, tab sena aur uske peechhe peechhe chalne vale pashuon ke liye kuchh pani na mila.

10

और इस्राएल के राजा ने कहा, हाय! यहोवा ने इन तीन राजाओं को इसलिये इकट्ठा किया, कि उन को मोआब के हाथ में कर दे।

Aur Israel ke raja ne kaha, haay! Yahowa ne in teen rajaon ko isliye ikattha kiya, ki un ko moaab ke haath mein kar de.

11

परन्तु यहोशापात ने कहा, क्या यहां यहोवा का कोई नबी नहीं है, जिसके द्वारा हम यहोवा से पूछें? इस्राएल के राजा के किसी कर्मचारी ने उत्तर देकर कहा, हां, शापात का पुत्र एलीशा जो एलिय्याह के हाथों को धुलाया करता था वह तो यहां है।

Parantu yahoshapaat ne kaha, kya yahan Yahowa ka koi nabi nahi hai, jiske dwara ham Yahowa se poochhein? Israel ke raja ke kisi karmachari ne uttar dekar kaha, han, shapaat ka putra eleesha jo eliyyaah ke hathon ko dhulaya karta tha vah to yahan hai.

12

तब यहोशापात ने कहा, उसके पास यहोवा का वचन पहुंचा करता है। तब इस्राएल का राजा और यहोशापात और एदोम का राजा उसके पास गए।

Tab yahoshapaat ne kaha, uske paas Yahowa ka vachan pahuncha karta hai. Tab Israel ka raja aur yahoshapaat aur edom ka raja uske paas gaye.

13

तब एलीशा ने इस्राएल के राजा से कहा, मेरा तुझ से क्या काम है? अपने पिता के भविष्यद्वक्ताओं और अपनी माता के नबियों के पास जा। इस्राएल के राजा ने उस से कहा, ऐसा न कह, क्योंकि यहोवा ने इन तीनों राजाओं को इसलिये इकट्ठा किया, कि इन को मोआब के हाथ में कर दे।

Tab eleesha ne Israel ke raja se kaha, mera tujh se kya kaam hai? Apne pita ke bhavishyadwaktaon aur apni mata ke nabiyon ke paas ja. Israel ke raja ne us se kaha, aisa na kah, kyonki Yahowa ne in teenon rajaon ko isliye ikattha kiya, ki in ko moaab ke haath mein kar de.

14

एलीशा ने कहा, सेनाओं का यहोवा जिसके सम्मुख मैं उपस्थित रहा करता हूँ, उसके जीवन की शपथ यदि मैं यहूदा के राजा यहोशापात का आदर मान न करता, तो मैं न तो तेरी ओर मुंह करता और न तुझ पर दृष्टि करता।

Eleesha ne kaha, senaon ka Yahowa jiske sammukh main upasthit raha karta hoon, uske jeevan ki shapath yadi main Yahuda ke raja yahoshapaat ka aadar maan na karta, to main na to teri or munh karta aur na tujh par drishti karta.

15

अब कोई बजवैय्या मेरे पास ले आओ। जब बजवैय्या बजाने लगा, तब यहोवा की शक्ति एलीशा पर हुई।

Ab koi bajvaiyya mere paas le aao. Jab bajvaiyya bajane laga, tab Yahowa ki shakti eleesha par hui.

16

और उसने कहा, इस नाले में तुम लोग इतना खोदो, कि इस में गड़हे ही गड़हे हो जाएं।

Aur usne kaha, is nale mein tum log itna khodo, ki is mein gadhe hi gadhe ho jayen.

17

क्योंकि यहोवा यों कहता है, कि तुम्हारे साम्हने न तो वायु चलेगी, और न वर्षा होगी; तौभी यह नाला पानी से भर जाएगा; और अपने गाय बैलों और पशुओं समेत तुम पीने पाओगे।

Kyonki Yahowa yon kahta hai, ki tumhare samhane na to vayu chalegi, aur na varsha hogi; taubhi yah nala pani se bhar jayega; aur apne gaay bailon aur pashuon samet tum peene paoge.

18

और इस को हलकी सी बात जान कर यहोवा मोआब को भी तुम्हारे हाथ में कर देगा।

Aur is ko halki si baat jaan kar Yahowa moaab ko bhi tumhare haath mein kar dega.

19

तब तुम सब गढ़ वाले और उत्तम नगरों को नाश करना, और सब अच्छे वृक्षों को काट डालना, और जल के सब खेतों को भर देना, और सब अच्छे खेतों में पत्थर फेंक कर उन्हें बिगाड़ देना।

Tab tum sab gadh vale aur uttam nagron ko naash karna, aur sab achchhe vrikshon ko kaat dalna, aur jal ke sab kheton ko bhar dena, aur sab achchhe kheton mein patthar phenk kar unhein bigaad dena.

20

बिहान को अन्नबलि चढ़ाने के समय एदोम की ओर से जल बह आया, और देश जल से भर गया।

Bihaan ko annabli chadhane ke samay edom ki or se jal bah aaya, aur desh jal se bhar gaya.

21

यह सुन कर कि राजाओं ने हम से युद्ध करने के लिये चढ़ाई की है, जितने मोआबियों की अवस्था हथियार बान्धने योग्य थी, वे सब बुला कर इकट्ठे किए गए, और सिवाने पर खड़े हुए।

Yah sun kar ki rajaon ne ham se yuddh karne ke liye chadhai ki hai, jitne moaabiyon ki avastha hathiyaar bandhane yogya thi, ve sab bula kar ikatthe kiye gaye, aur sivane par khade hue.

22

बिहान को जब वे उठे उस समय सूर्य की किरणों उस जल पर ऐसी पड़ीं कि वह मोआबियों की परली ओर से लोहू सा लाल दिखाई पड़ा।

Bihaan ko jab ve uthe us samay soorya ki kirnon us jal par aisi padi ki vah moaabiyon ki parli or se lohu sa laal dikhai pada.

23

तो वे कहने लगे वह तो लोहू होगा, नि:सन्देह वे राजा एक दूसरे को मार कर नाश हो गए हैं, इसलिये अब हे मोआबियो लूट लेने को जाओ;

To ve kahne lage vah to lohu hoga, nisandeh ve raja ek doosre ko maar kar naash ho gaye hain, isliye ab he moaabiyo loot lene ko jao;

24

और जब वे इस्राएल की छावनी के पास आए ही थे, कि इस्राएली उठ कर मोआबियों को मारने लगे और वे उनके साम्हने से भाग गए; और वे मोआब को मारते मारते उनके देश में पहुंच गए।

Aur jab ve Israel ki chhavni ke paas aaye hi the, ki Israeli uth kar moaabiyon ko marne lage aur ve unke samhane se bhaag gaye; aur ve moaab ko marte marte unke desh mein pahunch gaye.

25

और उन्होंने नगरों को ढा दिया, और सब अच्छे खेतों में एक एक पुरुष ने अपना अपना पत्थर डाल कर उन्हें भर दिया; और जल के सब सोतों को भर दिया; और सब अच्छे अच्छे वृक्षों को काट डाला, यहां तक कि कीर्हरेशेत के पत्थर तो रह गए, परन्तु उसको भी चारों ओर गोफन चलाने वालों ने जा कर मारा।

Aur unhonne nagron ko dha diya, aur sab achchhe kheton mein ek ek purush ne apna apna patthar daal kar unhein bhar diya; aur jal ke sab soton ko bhar diya; aur sab achchhe achchhe vrikshon ko kaat dala, yahan tak ki keerhareshet ke patthar to rah gaye, parantu usko bhi charon or gophan chalane valon ne ja kar mara.

26

यह देखकर कि हम युद्ध में हार चले, मोआब के राजा ने सात सौ तलवार रखने वाले पुरुष संग ले कर एदोम के राजा तक पांति चीर कर पहुंचने का यत्न किया परन्तु पहुंच न सका।

Yah dekhkar ki ham yuddh mein haar chale, moaab ke raja ne saat sau talvaar rakhne vale purush sang le kar edom ke raja tak panti cheer kar pahunchne ka yatn kiya parantu pahunch na saka.

27

तब उसने अपने जेठे पुत्र को जो उसके स्थान में राज्य करनेवाला था पकड़ कर शहरपनाह पर होमबलि चढ़ाया। इस कारण इस्राएल पर बड़ा ही क्रोध हुआ, सो वे उसे छोड़ कर अपने देश को लौट गए।

Tab usne apne jethe putra ko jo uske sthaan mein rajya karnevala tha pakad kar shahrapnaah par homabli chadhaya. Is karan Israel par bada hi krodh huaa, so ve use chhod kar apne desh ko laut gaye.