2 Kings 2 · 25 verses

2 राजाओं 2 2 Kings 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 2.

1

जब यहोवा एलिय्याह को बवंडर के द्वारा स्वर्ग में उठा लेने को था, तब एलिय्याह और एलीशा दोनों संग संग गिलगाल से चले।

Jab Yahowa eliyyaah ko bavandar ke dwara swarg mein utha lene ko tha, tab eliyyaah aur eleesha donon sang sang gilgaal se chale.

2

एलिय्याह ने एलीशा से कहा, यहोवा मुझे बेतेल तक भेजता है इसलिये तू यहीं ठहरा रह। एलीशा ने कहा, यहोवा के और तेरे जीवन की शपथ मैं तुझे नहीं छोड़ने का; इसलिये वे बेतेल को चले गए।

Eliyyaah ne eleesha se kaha, Yahowa mujhe betel tak bhejta hai isliye tu yahi thahra rah. Eleesha ne kaha, Yahowa ke aur tere jeevan ki shapath main tujhe nahi chhodne ka; isliye ve betel ko chale gaye.

3

और बेतेलवासी भविष्यद्वक्ताओं के चेले एलीशा के पास आकर कहने लगे, क्या तुझे मालूम है कि आज यहोवा तेरे स्वामी को तेरे ऊपर से उठा लेने पर है? उसने कहा, हां, मुझे भी यह मालूम है, तुम चुप रहो।

Aur betelvasi bhavishyadwaktaon ke chele eleesha ke paas aakar kahne lage, kya tujhe maloom hai ki aaj Yahowa tere swami ko tere oopar se utha lene par hai? Usne kaha, han, mujhe bhi yah maloom hai, tum chup raho.

4

और एलिय्याह ने उस से कहा, हे एलीशा, यहोवा मुझे यरीहो को भेजता है; इसलिये तू यहीं ठहरा रह: उसने कहा, यहोवा के और तेरे जीवन की शपथ मैं तुझे नहीं छोड़ने का; सो वे यरीहो को आए।

Aur eliyyaah ne us se kaha, he eleesha, Yahowa mujhe yareeho ko bhejta hai; isliye tu yahi thahra rah: usne kaha, Yahowa ke aur tere jeevan ki shapath main tujhe nahi chhodne ka; so ve yareeho ko aaye.

5

और यरीहोवासी भविष्यद्वक्ताओं के चेले एलीशा के पास आकर कहने लगे, क्या तुझे मालूम है कि आज यहोवा तेरे स्वामी को तेरे ऊपर से उठा लेने पर है? उसने उत्तर दिया, हां मुझे भी मालूम है, तुम चुप रहो।

Aur yareehovasi bhavishyadwaktaon ke chele eleesha ke paas aakar kahne lage, kya tujhe maloom hai ki aaj Yahowa tere swami ko tere oopar se utha lene par hai? Usne uttar diya, han mujhe bhi maloom hai, tum chup raho.

6

फिर एलिय्याह ने उस से कहा, यहोवा मुझे यरदन तक भेजता है, सो तू यहीं ठहरा रह; उसने कहा, यहोवा के और तेरे जीवन की शपथ मैं तुझे नहीं छोड़ने का; सो वे दोनों आगे चले।

Phir eliyyaah ne us se kaha, Yahowa mujhe yardan tak bhejta hai, so tu yahi thahra rah; usne kaha, Yahowa ke aur tere jeevan ki shapath main tujhe nahi chhodne ka; so ve donon aage chale.

7

और भविष्यद्वक्ताओं के चेलों में से पचास जन जा कर उनके साम्हने दूर खड़े हुए, और वे दोनों यरदन के तीर खड़े हुए।

Aur bhavishyadwaktaon ke chelon mein se pachaas jan ja kar unke samhane door khade hue, aur ve donon yardan ke teer khade hue.

8

तब एलिय्याह ने अपनी चद्दर पकड़ कर ऐंठ ली, और जल पर मारा, तब वह इधर उधर दो भाग हो गया; और वे दोनों स्थल ही स्थल पार उतर गए।

Tab eliyyaah ne apni chaddar pakad kar ainth li, aur jal par mara, tab vah idhar udhar do bhaag ho gaya; aur ve donon sthal hi sthal paar utar gaye.

9

उनके पार पहुंचने पर एलिय्याह ने एलीशा से कहा, उस से पहिले कि मैं तेरे पास से उठा लिये जाऊं जो कुछ तू चाहे कि मैं तेरे लिये करूं वह मांग; एलीशा ने कहा, तुझ में जो आत्मा है, उसका दूना भाग मुझे मिल जाए।

Unke paar pahunchne par eliyyaah ne eleesha se kaha, us se pahile ki main tere paas se utha liye jaun jo kuchh tu chahe ki main tere liye karun vah maang; eleesha ne kaha, tujh mein jo aatma hai, uska doona bhaag mujhe mil jaye.

10

एलिय्याह ने कहा, तू ने कठिन बात मांगी है, तौभी यदि तू मुझे उठा लिये जाने के बाद देखने पाए तो तेरे लिये ऐसा ही होगा; नहीं तो न होगा।

Eliyyaah ne kaha, tu ne kathin baat mangi hai, taubhi yadi tu mujhe utha liye jane ke baad dekhne paye to tere liye aisa hi hoga; nahi to na hoga.

11

वे चलते चलते बातें कर रहे थे, कि अचानक एक अग्नि मय रथ और अग्निमय घोड़ों ने उन को अलग अलग किया, और एलिय्याह बवंडर में हो कर स्वर्ग पर चढ़ गया।

Ve chalte chalte batein kar rahe the, ki achanak ek agni may rath aur agnimay ghodon ne un ko alag alag kiya, aur eliyyaah bavandar mein ho kar swarg par chadh gaya.

12

और उसे एलीशा देखता और पुकारता रहा, हाय मेरे पिता! हाय मेरे पिता! हाय इस्राएल के रथ और सवारो! जब वह उसको फिर देख न पड़ा, तब उसने अपने वस्त्र पाड़े और फाड़कर दो भाग कर दिए।

Aur use eleesha dekhta aur pukarta raha, haay mere pita! Haay mere pita! Haay Israel ke rath aur savaro! Jab vah usko phir dekh na pada, tab usne apne vastra pade aur phadkar do bhaag kar diye.

13

फिर उसने एलिय्याह की चद्दर उठाई जो उस पर से गिरी थी, और वह लौट गया, और यरदन के तीर पर खड़ा हुआ।

Phir usne eliyyaah ki chaddar uthai jo us par se giri thi, aur vah laut gaya, aur yardan ke teer par khada huaa.

14

और उसने एलिय्याह की वह चद्दर जो उस पर से गिरी थी, पकड़ कर जल पर मारी और कहा, एलिय्याह का परमेश्वर यहोवा कहां है? जब उसने जल पर मारा, तब वह इधर उधर दो भाग हो गया और एलीशा पार हो गया।

Aur usne eliyyaah ki vah chaddar jo us par se giri thi, pakad kar jal par mari aur kaha, eliyyaah ka Parmeshwar Yahowa kahan hai? Jab usne jal par mara, tab vah idhar udhar do bhaag ho gaya aur eleesha paar ho gaya.

15

उसे देखकर भविष्यद्वक्ताओं के चेले जो यरीहो में उसके साम्हने थे, कहने लगे, एलिय्याह में जो आत्मा थी, वही एलीशा पर ठहर गई है; सो वे उस से मिलने को आए और उसके साम्हने भूमि तक झुक कर दण्डवत की।

Use dekhkar bhavishyadwaktaon ke chele jo yareeho mein uske samhane the, kahne lage, eliyyaah mein jo aatma thi, vahi eleesha par thahar gai hai; so ve us se milne ko aaye aur uske samhane bhoomi tak jhuk kar dandavat ki.

16

तब उन्होंने उस से कहा, सुन, तेरे दासों के पास पचास बलवान पुरुष हैं, वे जा कर तेरे स्वामी को ढूढें, सम्भव है कि क्या जाने यहोवा के आत्मा ने उसको उठा कर किसी पहाड़ पर वा किसी तराई में डाल दिया हो; उसने कहा, मत भेजो।

Tab unhonne us se kaha, sun, tere dason ke paas pachaas balvaan purush hain, ve ja kar tere swami ko dhoodhein, sambhav hai ki kya jane Yahowa ke aatma ne usko utha kar kisi pahaad par va kisi tarai mein daal diya ho; usne kaha, mat bhejo.

17

जब उन्होंने उसको यहां तक दबाया कि वह लज्जित हो गया, तब उसने कहा, भेज दो; सो उन्होंने पचास पुरुष भेज दिए, और वे उसे तीन दिन तक ढूंढ़ते रहे परन्तु न पाया।

Jab unhonne usko yahan tak dabaya ki vah lajjit ho gaya, tab usne kaha, bhej do; so unhonne pachaas purush bhej diye, aur ve use teen din tak dhoondhte rahe parantu na paya.

18

उस समय तक वह यरीहो में ठहरा रहा, सो जब वे उसके पास लौट आए, तब उसने उन से कहा, क्या मैं ने तुम से न कहा था, कि मत जाओ?

Us samay tak vah yareeho mein thahra raha, so jab ve uske paas laut aaye, tab usne un se kaha, kya main ne tum se na kaha tha, ki mat jao?

19

उस नगर के निवासियों ने एलीशा से कहा, देख, यह नगर मनभावने स्थान पर बसा है, जैसा मेरा प्रभु देखता है परन्तु पानी बुरा है; और भूमि गर्भ गिरानेवाली है।

Us nagar ke nivasiyon ne eleesha se kaha, dekh, yah nagar manbhavne sthaan par basa hai, jaisa mera Prabhu dekhta hai parantu pani bura hai; aur bhoomi garbh giranevali hai.

20

उसने कहा, एक नये प्याले में नमक डालकर मेरे पास ले आओ; वे उसे उसके पास ले आए।

Usne kaha, ek naye pyale mein namak dalkar mere paas le aao; ve use uske paas le aaye.

21

तब वह जल के सोते के पास निकल गया, और उस में नमक डालकर कहा, यहोवा यों कहता है, कि मैं यह पानी ठीक कर देता हूँ, जिस से वह फिर कभी मृत्यु वा गर्भ गिरने का कारण न होगा।

Tab vah jal ke sote ke paas nikal gaya, aur us mein namak dalkar kaha, Yahowa yon kahta hai, ki main yah pani theek kar deta hoon, jis se vah phir kabhi mrityu va garbh girne ka karan na hoga.

22

एलीशा के इस वचन के अनुसार पानी ठीक हो गया, और आज तक ऐसा ही है।

Eleesha ke is vachan ke anusaar pani theek ho gaya, aur aaj tak aisa hi hai.

23

वहां से वह बेतेल को चला, और मार्ग की चढ़ाई में चल रहा था कि नगर से छोटे लड़के निकलकर उसका ठट्ठा कर के कहने लगे, हे चन्दुए चढ़ जा, हे चन्दुए चढ़ जा।

Vahan se vah betel ko chala, aur maarg ki chadhai mein chal raha tha ki nagar se chhote ladke nikalkar uska thattha kar ke kahne lage, he chandue chadh ja, he chandue chadh ja.

24

तब उसने पीछे की ओर फिर कर उन पर दृष्टि की और यहोवा के नाम से उन को शाप दिया, तब जंगल में से दो रीछिनियों ने निकल कर उन में से बयालीस लड़के फाड़ डाले।

Tab usne peechhe ki or phir kar un par drishti ki aur Yahowa ke naam se un ko shaap diya, tab jangal mein se do reechhiniyon ne nikal kar un mein se bayalees ladke phaad dale.

25

वहां से वह कर्म्मेल को गया, और फिर वहां से शोमरोन को लौट गया।

Vahan se vah karmmel ko gaya, aur phir vahan se shomron ko laut gaya.