2 Kings 24 · 20 verses

2 राजाओं 24 2 Kings 24 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 24.

1

उसके दिनों में बाबेल के राजा नबूकदनेस्सर ने चढाई की और यहोयाकीम तीन वर्ष तक उसके आधीन रहा; तब उसने फिर कर उस से बलवा किया।

Uske dinon mein babel ke raja nabookadnessar ne chadhai ki aur yahoyakeem teen varsh tak uske aadheen raha; tab usne phir kar us se balva kiya.

2

तब यहावा ने उसके विरुद्ध और यहूदा को नाश करने के लिये कसदियों, अरामियों, मोआबियों और अम्मोनियों के दल भेजे, यह यहोवा के उस वचन के अनुसार हुआ, जो उसने अपने दास भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा कहा था।

Tab yahava ne uske viruddh aur Yahuda ko naash karne ke liye kasdiyon, aramiyon, moaabiyon aur ammoniyon ke dal bheje, yah Yahowa ke us vachan ke anusaar huaa, jo usne apne daas bhavishyadwaktaon ke dwara kaha tha.

3

नि:सन्देह यह यहूदा पर यहोवा की आज्ञा से हुआ, ताकि वह उन को अपने साम्हने से दूर करे। यह मनश्शे के सब पापों के कारण हुआ।

Nisandeh yah Yahuda par Yahowa ki aagya se huaa, taki vah un ko apne samhane se door kare. Yah manashshe ke sab papon ke karan huaa.

4

और निर्दोषों के उस खून के कारण जो उसने किया था; क्योंकि उसने यरूशलेम को निर्दोषों के खून से भर दिया था, जिस को यहोवा ने क्षमा करना न चाहा।

Aur nirdoshon ke us khoon ke karan jo usne kiya tha; kyonki usne Yerushalem ko nirdoshon ke khoon se bhar diya tha, jis ko Yahowa ne kshama karna na chaha.

5

यहोयाकीम के और सब काम जो उसने किए, वह क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Yahoyakeem ke aur sab kaam jo usne kiye, vah kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

6

निदान यहोयाकीम अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसका पुत्र यहोयाकीन उसके स्थान पर राजा हुआ।

Nidaan yahoyakeem apne purkhaon ke sang so gaya aur uska putra yahoyakeen uske sthaan par raja huaa.

7

और मिस्र का राजा अपने देश से बाहर फिर कभी न आया, क्योंकि बाबेल के राजा ने मिस्र के नाले से ले कर परात महानद तक जितना देश मिस्र के राजा का था, सब को अपने वश में कर लिया था।

Aur Misr ka raja apne desh se bahar phir kabhi na aaya, kyonki babel ke raja ne Misr ke nale se le kar paraat mahanad tak jitna desh Misr ke raja ka tha, sab ko apne vash mein kar liya tha.

8

जब यहोयाकीन राज्य करने लगा, तब वह अठारह वर्ष का था, और तीन महीने तक यरूशलेम में राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम नहुश्ता था, जो यरूशलेम के एलनातान की बेटी थी।

Jab yahoyakeen rajya karne laga, tab vah atharah varsh ka tha, aur teen maheene tak Yerushalem mein rajya karta raha; aur uski mata ka naam nahushta tha, jo Yerushalem ke elnataan ki beti thi.

9

उसने ठीक अपने पिता की नाईं वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Usne theek apne pita ki nai vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura hai.

10

उसके दिनों में बाबेल के राजा नबूकदनेस्सर के कर्मचारियों ने यरूशलेम पर चढ़ाई कर के नगर को घेर लिया।

Uske dinon mein babel ke raja nabookadnessar ke karmachariyon ne Yerushalem par chadhai kar ke nagar ko gher liya.

11

और जब बाबेल के राजा नबूकदनेस्सर के कर्मचारी नगर को घेरे हुए थे, तब वह आप वहां आ गया।

Aur jab babel ke raja nabookadnessar ke karmachari nagar ko ghere hue the, tab vah aap vahan aa gaya.

12

और यहूदा का राजा यहोयाकीन अपनी माता और कर्मचारियों, हाकिमों और खोजों को संग ले कर बाबेल के राजा के पास गया, और बाबेल के राजा ने अपने राज्य के आठवें वर्ष मे उन को पकड़ लिया।

Aur Yahuda ka raja yahoyakeen apni mata aur karmachariyon, hakimon aur khojon ko sang le kar babel ke raja ke paas gaya, aur babel ke raja ne apne rajya ke aathvein varsh me un ko pakad liya.

13

तब उसने यहोवा के भवन में और राजभवन में रखा हुआ पूरा धन वहां से निकाल लिया और सोने के जो पात्र इस्राएल के राजा सुलैमान ने बना कर यहोवा के मन्दिर में रखे थे, उन सभों को उसने टुकड़े टुकड़े कर डाला, जैसा कि यहोवा ने कहा था।

Tab usne Yahowa ke bhavan mein aur rajabhvan mein rakha huaa poora dhan vahan se nikaal liya aur sone ke jo patra Israel ke raja sulaimaan ne bana kar Yahowa ke mandir mein rakhe the, un sabhon ko usne tukde tukde kar dala, jaisa ki Yahowa ne kaha tha.

14

फिर वह पूरे यरूशलेम को अर्थात सब हाकिमों और सब धनवानों को जो मिल कर दस हजार थे, और सब कारीगरों और लोहारों को बन्धुआ कर के ले गया, यहां तक कि साधारण लोगों में से कंगालों को छोड़ और कोई न रह गया।

Phir vah poore Yerushalem ko arthaat sab hakimon aur sab dhanvanon ko jo mil kar das hajaar the, aur sab kareegron aur loharon ko bandhuaa kar ke le gaya, yahan tak ki sadharan logon mein se kangalon ko chhod aur koi na rah gaya.

15

और वह यहोयाकीन को बाबेल में ले गया और उसकी माता और स्त्रियों और खोजों को और देश के बड़े लोगों को वह बन्धुआ कर के यरूशलेम से बाबेल को ले गया।

Aur vah yahoyakeen ko babel mein le gaya aur uski mata aur striyon aur khojon ko aur desh ke bade logon ko vah bandhuaa kar ke Yerushalem se babel ko le gaya.

16

और सब धनवान जो सात हजार थे, और कारीगर और लोहार जो मिल कर एक हजार थे, और वे सब वीर और युद्ध के योग्य थे, उन्हें बाबेल का राजा बन्धुआ कर के बाबेल को ले गया।

Aur sab dhanvaan jo saat hajaar the, aur kareegar aur lohaar jo mil kar ek hajaar the, aur ve sab veer aur yuddh ke yogya the, unhein babel ka raja bandhuaa kar ke babel ko le gaya.

17

और बाबेल के राजा ने उसके स्थान पर उसके चाचा मत्तन्याह को राजा नियुक्त किया और उसका नाम बदलकर सिदकिय्याह रखा।

Aur babel ke raja ne uske sthaan par uske chacha mattanyaah ko raja niyukt kiya aur uska naam badalkar sidkiyyaah rakha.

18

जब सिदकिय्याह राज्य करने लगा, तब वह इक्कीस वर्ष का था, और यरूशलेम में ग्यारह वर्ष तक राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम हमूतल था, जो लिब्नावासी यिर्मयाह की बेटी थी।

Jab sidkiyyaah rajya karne laga, tab vah ikkees varsh ka tha, aur Yerushalem mein gyarah varsh tak rajya karta raha; aur uski mata ka naam hamootal tha, jo libnavasi yirmayaah ki beti thi.

19

उसने ठीक यहोयाकीम की लीक पर चलकर वही किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Usne theek yahoyakeem ki leek par chalkar vahi kiya jo Yahowa ki drishti mein bura hai.

20

क्योंकि यहोवा के कोप के कारण यरूशलेम और यहूदा को ऐसी दशा हुई, कि अन्त में उसने उन को अपने साम्हने से दूर किया।

Kyonki Yahowa ke kop ke karan Yerushalem aur Yahuda ko aisi dasha hui, ki ant mein usne un ko apne samhane se door kiya.