2 Kings 23 · 37 verses

2 राजाओं 23 2 Kings 23 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 23.

1

राजा ने यहूदा और यरूशलेम के सब पुरनियों को अपने पास इकट्ठा बुलवाया।

Raja ne Yahuda aur Yerushalem ke sab purniyon ko apne paas ikattha bulvaya.

2

और राजा, यहूदा के सब लोगों और यरूशलेम के सब निवासियों और याजकों और नबियों वरन छोटे बड़े सारी प्रजा के लोगों को संग ले कर यहोवा के भवन में गया। तब उसने जो वाचा की पुस्तक यहोवा के भवन में मिली थी, उसकी सब बातें उन को पढ़ कर सुनाईं।

Aur raja, Yahuda ke sab logon aur Yerushalem ke sab nivasiyon aur yajkon aur nabiyon varan chhote bade sari praja ke logon ko sang le kar Yahowa ke bhavan mein gaya. Tab usne jo vacha ki pustak Yahowa ke bhavan mein mili thi, uski sab batein un ko padh kar sunai.

3

तब राजा ने खम्भे के पास खड़ा हो कर यहोवा से इस आशय की वाचा बान्धी, कि मैं यहोवा के पीछे पीछे चलूंगा, और अपने सारे मन और सारे प्राण से उसकी आज्ञाएं, चितौनियां और विधियों का नित पालन किया करूंगा, और इस वाचा की बातों को जो इस पुस्तक में लिखी है पूरी करूंगा। और सब प्रजा वाचा में सम्भागी हुई।

Tab raja ne khambhe ke paas khada ho kar Yahowa se is aashay ki vacha bandhi, ki main Yahowa ke peechhe peechhe chaloonga, aur apne sare man aur sare praan se uski aagyayen, chitauniyan aur vidhiyon ka nit palan kiya karoonga, aur is vacha ki baton ko jo is pustak mein likhi hai poori karoonga. Aur sab praja vacha mein sambhagi hui.

4

तब राजा ने हिलकिय्याह महायाजक और उसके नीचे के याजकों और द्वारपालों को आज्ञा दी कि जितने पात्र बाल और अशेरा और आकाश के सब गण के लिये बने हैं, उन सभों को यहोवा के मन्दिर में से निकाल ले आओ। तब उसने उन को यरूशलेम के बाहर किद्रोन के खेतों में फूंक कर उनकी राख बेतेल को पहुंचा दी।

Tab raja ne hilkiyyaah mahayajak aur uske neeche ke yajkon aur dwarpalon ko aagya di ki jitne patra baal aur ashera aur aakaash ke sab gan ke liye bane hain, un sabhon ko Yahowa ke mandir mein se nikaal le aao. Tab usne un ko Yerushalem ke bahar kidron ke kheton mein phoonk kar unki raakh betel ko pahuncha di.

5

और जिन पुजारियों को यहूदा के राजाओं ने यहूदा के नगरों के ऊंचे स्थानों में और यरूशलेम के आस पास के स्थानों में धूप जलाने के लिये ठहराया था, उन को और जो बाल और सूर्य-चन्द्रमा, राशिचक्र और आकाश के कुल गण को धूप जलाते थे, उन को भी राजा ने दूर कर दिया।

Aur jin pujariyon ko Yahuda ke rajaon ne Yahuda ke nagron ke oonche sthanon mein aur Yerushalem ke aas paas ke sthanon mein dhoop jalane ke liye thahraya tha, un ko aur jo baal aur soorya-chandrama, rashichakra aur aakaash ke kul gan ko dhoop jalate the, un ko bhi raja ne door kar diya.

6

और वह अशेरा को यहोवा के भवन में से निकाल कर यरूशलेम के बाहर किद्रोन नाले में लिवा ले गया और वहीं उसको फूंक दिया, और पीस कर बुकनी कर दिया। तब वह बुकनी साधारण लोगों की कबरों पर फेंक दी।

Aur vah ashera ko Yahowa ke bhavan mein se nikaal kar Yerushalem ke bahar kidron nale mein liva le gaya aur vahi usko phoonk diya, aur pees kar bukni kar diya. Tab vah bukni sadharan logon ki kabron par phenk di.

7

फिर पुरुषगामियों के घर जो यहोवा के भवन में थे, जहां स्त्रियां अशेरा के लिये पर्दे बुना करती थीं, उन को उसने ढा दिया।

Phir purushgamiyon ke ghar jo Yahowa ke bhavan mein the, jahan striyan ashera ke liye parde buna karti thi, un ko usne dha diya.

8

और उसने यहूदा के सब नगरों से याजकों को बुलवाकर गेबा से बेर्शेबा तक के उन ऊंचे स्थानों को, जहां उन याजकों ने धूप जलाया था, अशुद्ध कर दिया; और फाटकों के ऊंचे स्थान अर्थात जो स्थान नगर के यहोशू नाम हाकिम के फाटक पर थे, और नगर के फाटक के भीतर जाने वाले की बाई ओर थे, उन को उसने ढा दिया।

Aur usne Yahuda ke sab nagron se yajkon ko bulvakar geba se bersheba tak ke un oonche sthanon ko, jahan un yajkon ne dhoop jalaya tha, ashuddh kar diya; aur phatkon ke oonche sthaan arthaat jo sthaan nagar ke yahoshu naam hakim ke phatak par the, aur nagar ke phatak ke bheetar jane vale ki bai or the, un ko usne dha diya.

9

तौभी ऊंचे स्थानों के याजक यरूशलेम में यहोवा की वेदी के पास न आए, वे अखमीरी रोटी अपने भाइयों के साथ खाते थे।

Taubhi oonche sthanon ke yajak Yerushalem mein Yahowa ki vedi ke paas na aaye, ve akhmeeri roti apne bhaiyon ke saath khate the.

10

फिर उसने तोपेत को जो हिन्नोमवंशियों की तराई में था, अशुद्ध कर दिया, ताकि कोई अपने बेटे वा बेटी को मोलोक के लिये आग में होम कर के न चढ़ाए।

Phir usne topet ko jo hinnomvanshiyon ki tarai mein tha, ashuddh kar diya, taki koi apne bete va beti ko molok ke liye aag mein hom kar ke na chadhaye.

11

और जो घोड़े यहूदा के राजाओं ने सूर्य को अर्पण कर के, यहोवा के भवन के द्वार पर नतन्मेलेक नाम खोजे की बाहर की कोठरी में रखे थे, उन को उसने दूर किया, और सूर्य के रथों को आग में फूंक दिया।

Aur jo ghode Yahuda ke rajaon ne soorya ko arpan kar ke, Yahowa ke bhavan ke dwaar par natanmelek naam khoje ki bahar ki kothri mein rakhe the, un ko usne door kiya, aur soorya ke rathon ko aag mein phoonk diya.

12

और आहाज की अटारी की छत पर जो वेदियां यहूदा के राजाओं की बनाईं हुई थीं, और जो वेदियां मनश्शे ने यहोवा के भवन के दोनों आंगनों में बनाईं थीं, उन को राजा ने ढाकर पीस डाला और उनकी बुकनी किद्रोन नाले में फेंक दी।

Aur aahaaj ki atari ki chhat par jo vediyan Yahuda ke rajaon ki banai hui thi, aur jo vediyan manashshe ne Yahowa ke bhavan ke donon aangnon mein banai thi, un ko raja ne dhakar pees dala aur unki bukni kidron nale mein phenk di.

13

और जो ऊंचे स्थान इस्राएल के राजा सुलैमान ने यरूशलेम की पूर्व ओर और विकारी नाम पहाड़ी की दक्खिन अलंग, अश्तोरेत नाम सीदोनियों की घिनौनी देवी, और कमोश नाम मोआबियों के घिनौने देवता, और मिल्कोम नाम अम्मोनियों के घिनौने देवता के लिये बनवाए थे, उन को राजा ने अशुद्ध कर दिया।

Aur jo oonche sthaan Israel ke raja sulaimaan ne Yerushalem ki poorva or aur vikari naam pahadi ki dakkhin alang, ashtoret naam seedoniyon ki ghinauni devi, aur kamosh naam moaabiyon ke ghinaune devta, aur milkom naam ammoniyon ke ghinaune devta ke liye banvaye the, un ko raja ne ashuddh kar diya.

14

और उसने लाठों को तोड़ दिया और अशेरों को काट डाला, और उनके स्थान मनुष्यों की हड्डियों से भर दिए।

Aur usne lathon ko tod diya aur asheron ko kaat dala, aur unke sthaan manushyon ki haddiyon se bhar diye.

15

फिर बेतेल में जो वेदी थी, और जो ऊंचा स्थान नबात के पुत्र यारोबाम ने बनाया था, जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उस वेदी और उस ऊंचे स्थान को उसने ढा दिया, और ऊंचे स्थान को फूंक कर बुकनी कर दिया और अशेरा को फूंक दिया।

Phir betel mein jo vedi thi, aur jo ooncha sthaan nabaat ke putra yarobaam ne banaya tha, jisne Israel se paap karaya tha, us vedi aur us oonche sthaan ko usne dha diya, aur oonche sthaan ko phoonk kar bukni kar diya aur ashera ko phoonk diya.

16

और योशिय्याह ने फिर कर वहां के पहाड़ की कबरों को देखा, और लोगों को भेज कर उन कबरों से हड्डियां निकलवा दीं और वेदी पर जलवाकर उसको अशुद्ध किया। यह यहोवा के उस वचन के अनुसार हुआ, जो परमेश्वर के उस भक्त ने पुकार कर कहा था जिसने इन्हीं बातों की चर्चा की थी।

Aur yoshiyyaah ne phir kar vahan ke pahaad ki kabron ko dekha, aur logon ko bhej kar un kabron se haddiyan nikalva di aur vedi par jalvakar usko ashuddh kiya. Yah Yahowa ke us vachan ke anusaar huaa, jo Parmeshwar ke us bhakt ne pukaar kar kaha tha jisne inhi baton ki charcha ki thi.

17

तब उसने पूछा, जो खम्भा मुझे दिखाई पड़ता है, वह क्या है? तब नगर के लोगों ने उस से कहा, वह परमेश्वर के उस भक्त जन की कबर है, जिसने यहूदा से आकर इसी काम की चर्चा पुकार कर की जो तू ने बेतेल की वेदी से किया है।

Tab usne poochha, jo khambha mujhe dikhai padta hai, vah kya hai? Tab nagar ke logon ne us se kaha, vah Parmeshwar ke us bhakt jan ki kabar hai, jisne Yahuda se aakar isi kaam ki charcha pukaar kar ki jo tu ne betel ki vedi se kiya hai.

18

तब उसने कहा, उसको छोड़ दो; उसकी हड्डियों को कोई न हटाए। तब उन्होंने उसकी हड्डियां उस नबी की हड्डियों के संग जो शोमरोन से आया था, रहने दी।

Tab usne kaha, usko chhod do; uski haddiyon ko koi na hataye. Tab unhonne uski haddiyan us nabi ki haddiyon ke sang jo shomron se aaya tha, rahne di.

19

फिर ऊंचे स्थान के जितने भवन शोमरोन के नगरों में थे, जिन को इस्राएल के राजाओं ने बना कर यहोवा को रिस दिलाई थी, उन सभों को योशिय्याह ने गिरा दिया; और जैसा जैसा उसने बेतेल में किया था, वैसा वैसा उन से भी किया।

Phir oonche sthaan ke jitne bhavan shomron ke nagron mein the, jin ko Israel ke rajaon ne bana kar Yahowa ko ris dilai thi, un sabhon ko yoshiyyaah ne gira diya; aur jaisa jaisa usne betel mein kiya tha, vaisa vaisa un se bhi kiya.

20

और उन ऊंचे स्थानों के जितने याजक वहां थे उन सभों को उसने उन्ही वेदियों पर बलि किया और उन पर मनुष्यों की हड्डियां जला कर यरूशलेम को लौट गया।

Aur un oonche sthanon ke jitne yajak vahan the un sabhon ko usne unhi vediyon par bali kiya aur un par manushyon ki haddiyan jala kar Yerushalem ko laut gaya.

21

और राजा ने सारी प्रजा के लोगों को आज्ञा दी, कि इस वाचा की पुस्तक में जो कुछ लिखा है, उसके अनुसार अपने परमेश्वर यहोवा के लिये फसह का पर्व मानो।

Aur raja ne sari praja ke logon ko aagya di, ki is vacha ki pustak mein jo kuchh likha hai, uske anusaar apne Parmeshwar Yahowa ke liye phasah ka parva mano.

22

निश्चय ऐसा फसह न तो न्यायियों के दिनों में माना गया था जो इस्राएल का न्याय करते थे, और न इस्राएल वा यहूदा के राजाओं के दिनों में माना गया था।

Nishchay aisa phasah na to nyayiyon ke dinon mein mana gaya tha jo Israel ka nyaay karte the, aur na Israel va Yahuda ke rajaon ke dinon mein mana gaya tha.

23

राजा योशिय्याह के अठारहवें वर्ष में यहोवा के लिये यरूशलेम में यह फसह माना गया।

Raja yoshiyyaah ke atharahvein varsh mein Yahowa ke liye Yerushalem mein yah phasah mana gaya.

24

फिर ओझे, भूतसिद्धि वाले, गृहदेवता, मूरतें और जितनी घिनौनी वस्तुएं यहूदा देश और यरूशलेम में जहां कहीं दिखाई पड़ीं, उन सभों को योशिय्याह ने उस मनसा से नाश किया, कि व्यवस्था की जो बातें उस पुस्तक में लिखी थीं जो हिलकिय्याह याजक को यहोवा के भवन में मिली थी, उन को वह पूरी करे।

Phir ojhe, bhootsiddhi vale, grihdevta, moortein aur jitni ghinauni vastuein Yahuda desh aur Yerushalem mein jahan kahi dikhai padi, un sabhon ko yoshiyyaah ne us mansa se naash kiya, ki vyavastha ki jo batein us pustak mein likhi thi jo hilkiyyaah yajak ko Yahowa ke bhavan mein mili thi, un ko vah poori kare.

25

और उसके तुल्य न तो उस से पहिले कोई ऐसा राजा हुआ और न उसके बाद ऐसा कोई राजा उठा, जो मूसा की पूरी व्यवस्था के अनुसार अपने पूर्ण मन और पूर्ण प्राण और पूर्ण शक्ति से यहोवा की ओर फिरा हो।

Aur uske tulya na to us se pahile koi aisa raja huaa aur na uske baad aisa koi raja utha, jo Musa ki poori vyavastha ke anusaar apne poorn man aur poorn praan aur poorn shakti se Yahowa ki or phira ho.

26

तौभी यहोवा का भड़का हुआ बड़ा कोप शान्त न हुआ, जो इस कारण से यहूदा पर भड़का था, कि मनश्शे ने यहोवा को क्रोध पर क्रोध दिलाया था।

Taubhi Yahowa ka bhadka huaa bada kop shaant na huaa, jo is karan se Yahuda par bhadka tha, ki manashshe ne Yahowa ko krodh par krodh dilaya tha.

27

और यहोवा ने कहा था जेसे मैं ने इस्राएल को अपने साम्हने से दूर किया, वैसे ही यहूदा को भी दूर करूंगा; और इस यरूशलेम नगर से जिसे मैं ने चुना और इस भवन से जिसके विषय मैं ने कहा, कि यह मेरे नाम का निवास होगा, मैं हाथ उठाऊंगा।

Aur Yahowa ne kaha tha jese main ne Israel ko apne samhane se door kiya, vaise hi Yahuda ko bhi door karoonga; aur is Yerushalem nagar se jise main ne chuna aur is bhavan se jiske vishay main ne kaha, ki yah mere naam ka nivaas hoga, main haath uthaoonga.

28

योशिय्याह के और सब काम जो उसने किए, वह क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Yoshiyyaah ke aur sab kaam jo usne kiye, vah kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

29

उसके दिनों में फ़िरौन-नको नाम मिस्र का राजा अश्शूर के राजा के विरुद्ध परात महानद तक गया तो योशिय्याह राजा भी उसका साम्हना करने को गया, और उसने उसको देखते ही मगिद्दो में मार डाला।

Uske dinon mein firaun-nako naam Misr ka raja ashshoor ke raja ke viruddh paraat mahanad tak gaya to yoshiyyaah raja bhi uska samhana karne ko gaya, aur usne usko dekhte hi magiddo mein maar dala.

30

तब उसके कर्मचारियों ने उसकी लोथ एक रथ पर रख मगिद्दो से ले जा कर यरूशलेम को पहुंचाई और उसकी निज कबर में रख दी। तब साधारण लोगों ने योशिय्याह के पुत्र यहोआहाज को ले कर उसका अभिषेक कर के, उसके पिता के स्थान पर राजा नियुक्त किया।

Tab uske karmachariyon ne uski loth ek rath par rakh magiddo se le ja kar Yerushalem ko pahunchai aur uski nij kabar mein rakh di. Tab sadharan logon ne yoshiyyaah ke putra yahoaahaaj ko le kar uska abhishek kar ke, uske pita ke sthaan par raja niyukt kiya.

31

जब यहोआहाज राज्य करने लगा, तब वह तेईस वर्ष का था, और तीन महीने तक यरूशलेम में राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम हमूतल था, जो लिब्नावासी यिर्मयाह की बेटी थी।

Jab yahoaahaaj rajya karne laga, tab vah teis varsh ka tha, aur teen maheene tak Yerushalem mein rajya karta raha; aur uski mata ka naam hamootal tha, jo libnavasi yirmayaah ki beti thi.

32

उसने ठीक अपने पुरखाओं की नाईं वही किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Usne theek apne purkhaon ki nai vahi kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura hai.

33

उसको फ़िरौन-नको ने हमात देश के रिबला नगर में बान्ध रखा, ताकि वह यरूशलेम में राज्य न करने पाए, फिर उसने देश पर सौ किक्कार चान्दी और किक्कार भर सोना जुरमाना किया।

Usko firaun-nako ne hamaat desh ke ribla nagar mein baandh rakha, taki vah Yerushalem mein rajya na karne paye, phir usne desh par sau kikkaar chandi aur kikkaar bhar sona jurmana kiya.

34

तब फिरौन-नको ने योशिय्याह के पुत्र एल्याकीम को उसके पिता योशिय्याह के स्थान पर राजा नियुक्त किया, और उसका नाम बदल कर यहोयाकीम रखा; और यहोआहाज को ले गया। सो यहोआहाज मिस्र में जा कर वहीं मर गया।

Tab Firaun-nako ne yoshiyyaah ke putra elyakeem ko uske pita yoshiyyaah ke sthaan par raja niyukt kiya, aur uska naam badal kar yahoyakeem rakha; aur yahoaahaaj ko le gaya. So yahoaahaaj Misr mein ja kar vahi mar gaya.

35

यहोयाकीम ने फ़िरौन को वह चान्दी और सोना तो दिया परन्तु देश पर इसलिये कर लगाया कि फ़िरौन की आज्ञा के अनुसार उसे दे सके, अर्थात देश के सब लोगों से जितना जिस पर लगान लगा, उतनी चान्दी और सोना उस से फ़िरौन-नको को देने के लिये ले लिया।

Yahoyakeem ne firaun ko vah chandi aur sona to diya parantu desh par isliye kar lagaya ki firaun ki aagya ke anusaar use de sake, arthaat desh ke sab logon se jitna jis par lagaan laga, utni chandi aur sona us se firaun-nako ko dene ke liye le liya.

36

जब यहोयाकीम राज्य करने लगा, तब वह पच्चीस वर्ष का था, और ग्यारह वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम जबीदा था जो रूमावासी अदायाह की बेटी थी।

Jab yahoyakeem rajya karne laga, tab vah pachchees varsh ka tha, aur gyarah varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha; aur uski mata ka naam jabeeda tha jo roomavasi adayaah ki beti thi.

37

उसने ठीक अपने पुरखाओं की नाईं वह किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Usne theek apne purkhaon ki nai vah kiya jo Yahowa ki drishti mein bura hai.