2 Kings 22 · 20 verses

2 राजाओं 22 2 Kings 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 22.

1

जब योशिय्याह राज्य करने लगा, तब वह आठ वर्ष का था, और यरूशलेम में एकतीस वर्ष तक राज्य करता रहा। और उसकी माता का नाम यदीदा था जो बोस्कतवासी अदाया की बेटी थी।

Jab yoshiyyaah rajya karne laga, tab vah aath varsh ka tha, aur Yerushalem mein ektees varsh tak rajya karta raha. Aur uski mata ka naam yadeeda tha jo boskatvasi adaya ki beti thi.

2

उसने वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है और जिस मार्ग पर उसका मूलपुरुष दाऊद चला ठीक उसी पर वह भी चला, और उस से न तो दाहिनी ओर और न बाईं ओर मुड़ा।

Usne vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein theek hai aur jis maarg par uska moolpurush Daud chala theek usi par vah bhi chala, aur us se na to dahini or aur na bai or muda.

3

अपने राज्य के अठारहवें वर्ष में राजा योशिय्याह ने असल्याह के पुत्र शापान मंत्री को जो मशुल्लाम का पोता था, यहोवा के भवन में यह कह कर भेजा, कि हिलकिय्याह महायाजक के पास जा कर कह,

Apne rajya ke atharahvein varsh mein raja yoshiyyaah ne asalyaah ke putra shapaan mantri ko jo mashullaam ka pota tha, Yahowa ke bhavan mein yah kah kar bheja, ki hilkiyyaah mahayajak ke paas ja kar kah,

4

कि जो चान्दी यहोवा के भवन में लाई गई है, और द्वारपालों ने प्रजा से इकट्ठी की है,

Ki jo chandi Yahowa ke bhavan mein lai gai hai, aur dwarpalon ne praja se ikatthi ki hai,

5

उसको जोड़ कर, उन काम कराने वालों को सौंप दे, जो यहोवा के भवन के काम पर मुखिये हैं; फिर वे उसको यहोवा के भवन में काम करने वाले कारीगरों को दें, इसलिये कि उस में जो कुछ टूटा फूटा हो उसकी वे मरम्मत करें।

Usko jod kar, un kaam karane valon ko saump de, jo Yahowa ke bhavan ke kaam par mukhiye hain; phir ve usko Yahowa ke bhavan mein kaam karne vale kareegron ko dein, isliye ki us mein jo kuchh toota phoota ho uski ve marammat karein.

6

अर्थात बढ़इयों, राजों और संगतराशों को दें, और भवन की मरम्मत के लिये लकड़ी और गढ़े हुए पत्थर मोल लेने में लगाएं।

Arthaat badhaiyon, rajon aur sangatrashon ko dein, aur bhavan ki marammat ke liye lakdi aur gadhe hue patthar mol lene mein lagayen.

7

परन्तु जिनके हाथ में वह चान्दी सौंपी गई, उन से हिसाब न लिया गया, क्योंकि वे सच्चाई से काम करते थे।

Parantu jinke haath mein vah chandi saumpi gai, un se hisaab na liya gaya, kyonki ve sachchai se kaam karte the.

8

और हिलकिय्याह महायाजक ने शापान मंत्री से कहा, मुझे यहोवा के भवन में व्यवस्था की पुस्तक मिली है; तब हिलकिय्याह ने शापान को वह पुस्तक दी, और वह उसे पढ़ने लगा।

Aur hilkiyyaah mahayajak ne shapaan mantri se kaha, mujhe Yahowa ke bhavan mein vyavastha ki pustak mili hai; tab hilkiyyaah ne shapaan ko vah pustak di, aur vah use padhne laga.

9

तब शापान मंत्री ने राजा के पास लौट कर यह सन्देश दिया, कि जो चान्दी भवन में मिली, उसे तेरे कर्मचारियो ने थैलियों में डाल कर, उन को सौंप दिया जो यहोवा के भवन में काम कराने वाले हैं।

Tab shapaan mantri ne raja ke paas laut kar yah sandesh diya, ki jo chandi bhavan mein mili, use tere karmachariyo ne thailiyon mein daal kar, un ko saump diya jo Yahowa ke bhavan mein kaam karane vale hain.

10

फिर शपान मंत्री ने राजा को यह भी बता दिया, कि हिलकिय्याह याजक ने उसे एक पुस्तक दी है। तब शपान उसे राजा को पढ़कर सुनाने लगा।

Phir shapaan mantri ne raja ko yah bhi bata diya, ki hilkiyyaah yajak ne use ek pustak di hai. Tab shapaan use raja ko padhkar sunane laga.

11

व्यवस्था की उस पुस्तक की बातें सुन कर राजा ने अपने वस्त्र फाड़े।

Vyavastha ki us pustak ki batein sun kar raja ne apne vastra phade.

12

फिर उसने हिलकिय्याह याजक, शापान के पुत्र अहीकाम, मीकायाह के पुत्र अकबोर, शापान मंत्री और असाया नाम अपने एक कर्मचारी को आज्ञा दी,

Phir usne hilkiyyaah yajak, shapaan ke putra aheekaam, meekayaah ke putra akbor, shapaan mantri aur asaya naam apne ek karmachari ko aagya di,

13

कि यह पुस्तक जो मिली है, उसकी बातों के विष्य तुम जा कर मेरी और प्रजा की और सब यहूदियों की ओर से यहोवा से पूछो, क्योंकि यहोवा की बड़ी ही जलजलाहट हम पर इस कारण भड़की है, कि हमारे पुरखाओं ने इस पुस्तक की बातें न मानी कि कुछ हमारे लिये लिखा है, उसके अनुसार करते।

Ki yah pustak jo mili hai, uski baton ke vishya tum ja kar meri aur praja ki aur sab Yahudiyon ki or se Yahowa se poochho, kyonki Yahowa ki badi hi jalajlahat ham par is karan bhadki hai, ki hamare purkhaon ne is pustak ki batein na mani ki kuchh hamare liye likha hai, uske anusaar karte.

14

हिलकिय्याह याजक और अहीकाम, अकबोर, शापान और असाया ने हुल्दा नबिया के पास जा कर उस से बातें की, वह उस शल्लूम की पत्नी थी जो तिकवा का पुत्र और हर्हस का पोता और वस्त्रों का रखवाला था, (और वह स्त्री यरूशलेम के नये टोले में रहती थी )।

Hilkiyyaah yajak aur aheekaam, akbor, shapaan aur asaya ne hulda nabiya ke paas ja kar us se batein ki, vah us shalloom ki patni thi jo tikva ka putra aur harhas ka pota aur vastron ka rakhvala tha, (aur vah stri Yerushalem ke naye tole mein rahti thi ).

15

उसने उन से कहा, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि जिस पुरुष ने तुम को मेरे पास भेजा, उस से यह कहो,

Usne un se kaha, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki jis purush ne tum ko mere paas bheja, us se yah kaho,

16

यहोवा यों कहता है, कि सुन, जिस पुस्तक को यहूदा के राजा ने पढ़ा है, उसकी सब बातों के अनुसार मैं इस स्थान और इसके निवासियों पर विपत्ति डाला चाहता हूँ।

Yahowa yon kahta hai, ki sun, jis pustak ko Yahuda ke raja ne padha hai, uski sab baton ke anusaar main is sthaan aur iske nivasiyon par vipatti dala chahta hoon.

17

उन लोगों ने मुझे त्याग कर पराये देवताओं के लिये धूप जलाया और अपनी बनाई हुई सब वस्तुओं के द्वारा मुझे क्रोध दिलाया है, इस कारण मेरी जलजलाहट इस स्थान पर भड़केगी और फिर शांत न होगी।

Un logon ne mujhe tyaag kar paraye devtaon ke liye dhoop jalaya aur apni banai hui sab vastuon ke dwara mujhe krodh dilaya hai, is karan meri jalajlahat is sthaan par bhadkegi aur phir shaant na hogi.

18

परन्तु यहूदा का राजा जिसने तुम्हें यहोवा से पूछने को भेजा है उस से तुम यों कहो, कि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा कहता है।

Parantu Yahuda ka raja jisne tumhein Yahowa se poochhne ko bheja hai us se tum yon kaho, ki Israel ka Parmeshwar Yahowa kahta hai.

19

इसलिये कि तू वे बातें सुन कर दीन हुआ, और मेरी वे बातें सुन कर कि इस स्थान और इसके निवासियों देख कर लोग चकित होंगे, और शाप दिया करेंगे, तू ने यहोवा के साम्हने अपना सिर नवाया, और अपने वस्त्र फाड़ कर मेरे साम्हने रोया है, इस कारण मैं ने तेरी सुनी है, यहोवा की यही वाणी है।

Isliye ki tu ve batein sun kar deen huaa, aur meri ve batein sun kar ki is sthaan aur iske nivasiyon dekh kar log chakit honge, aur shaap diya karenge, tu ne Yahowa ke samhane apna sir navaya, aur apne vastra phaad kar mere samhane roya hai, is karan main ne teri suni hai, Yahowa ki yahi vani hai.

20

इसलिये देख, मैं ऐसा करूंगा, कि तू अपने पुरखाओं के संग मिल जाएगा, और तू शांति से अपनी कबर को पहुंचाया जाएगा, और जो विपत्ति मैं इस स्थान पर डाला चाहता हूँ, उस में से तुझे अपनी आंखों से कुछ भी देखना न पड़ेगा। तब उन्होंने लौट कर राजा को यही सन्देश दिया।

Isliye dekh, main aisa karoonga, ki tu apne purkhaon ke sang mil jayega, aur tu shanti se apni kabar ko pahunchaya jayega, aur jo vipatti main is sthaan par dala chahta hoon, us mein se tujhe apni aankhon se kuchh bhi dekhna na padega. Tab unhonne laut kar raja ko yahi sandesh diya.