2 Kings 21 · 26 verses

2 राजाओं 21 2 Kings 21 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 21.

1

जब मनश्शे राज्य करने लगा, तब वह बारह वर्ष का था, और यरूशलेम में पचपन वर्ष तक राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम हेप्सीबा था।

Jab manashshe rajya karne laga, tab vah barah varsh ka tha, aur Yerushalem mein pachpan varsh tak rajya karta raha; aur uski mata ka naam hepseeba tha.

2

उसने उन जातियों के घिनौने कामों के अनुसार, जिन को यहोवा ने इस्राएलियों के साम्हने देश से निकाल दिया था, वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था।

Usne un jatiyon ke ghinaune kamon ke anusaar, jin ko Yahowa ne Israeliyon ke samhane desh se nikaal diya tha, vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura tha.

3

उसने उन ऊंचे स्थानों को जिन को उसके पिता हिजकिय्याह ने नाश किया था, फिर बनाया, और इस्राएल के राजा अहाब की नाईं बाल के लिये वेदियां और एक अशेरा बनवाई, और आकाश के कुल गण को दण्डवत और उनकी उपासना करता रहा।

Usne un oonche sthanon ko jin ko uske pita hijkiyyaah ne naash kiya tha, phir banaya, aur Israel ke raja ahaab ki nai baal ke liye vediyan aur ek ashera banvai, aur aakaash ke kul gan ko dandavat aur unki upasna karta raha.

4

और उसने यहोवा के उस भवन में वेदियां बनाईं जिसके विषय यहोवा ने कहा था, कि यरूशलेम में मैं अपना नाम रखूंगा।

Aur usne Yahowa ke us bhavan mein vediyan banai jiske vishay Yahowa ne kaha tha, ki Yerushalem mein main apna naam rakhoonga.

5

वरन यहोवा के भवन के दोनों आंगनों में भी उसने आकाश के कुल गण के लिये वेदियां बनाईं।

Varan Yahowa ke bhavan ke donon aangnon mein bhi usne aakaash ke kul gan ke liye vediyan banai.

6

फिर उसने अपने बेटे को आग में होम कर के चढ़ाया; और शुभ-अशुभ मुहुर्तों को मानता, और टोना करता, और ओझों और भूत सिद्धि वालों से व्यवहार करता था; वरन उसने ऐसे बहुत से काम किए जो यहोवा की दृष्टि में बुरे हैं, और जिन से वह क्रोधित होता है।

Phir usne apne bete ko aag mein hom kar ke chadhaya; aur shubh-ashubh muhurton ko manta, aur tona karta, aur ojhon aur bhoot siddhi valon se vyavhaar karta tha; varan usne aise bahut se kaam kiye jo Yahowa ki drishti mein bure hain, aur jin se vah krodhit hota hai.

7

और अशेरा की जो मूरत उसने खुदवाई, उसको उसने उस भवन में स्थापित किया, जिसके विषय यहोवा ने दाऊद और उसके पुत्र सुलैमान से कहा था, कि इस भवन में और यरूशलेम में, जिस को मैं ने इस्राएल के सब गोत्रों में से चुन लिया है, मैं सदैव अपना नाम रखूंगा।

Aur ashera ki jo moorat usne khudvai, usko usne us bhavan mein sthapit kiya, jiske vishay Yahowa ne Daud aur uske putra sulaimaan se kaha tha, ki is bhavan mein aur Yerushalem mein, jis ko main ne Israel ke sab gotron mein se chun liya hai, main sadaiv apna naam rakhoonga.

8

और यदि वे मेरी सब आज्ञाओं के और मेरे दास मूसा की दी हुई पूरी व्यवस्था के अनुसार करने की चौकसी करें, तो मैं ऐसा न करूंगा कि जो देश मैं ने इस्राएल के पुरखाओं को दिया था, उस से वे फिर निकल कर मारे मारे फिरें।

Aur yadi ve meri sab aagyaon ke aur mere daas Musa ki di hui poori vyavastha ke anusaar karne ki chauksi karein, to main aisa na karoonga ki jo desh main ne Israel ke purkhaon ko diya tha, us se ve phir nikal kar mare mare phirein.

9

परन्तु उन्होंने न माना, वरन मनश्शे ने उन को यहां तक भटका दिया कि उन्होंने उन जातियों से भी बढ़ कर बुराई की जिन्हें यहोवा ने इस्राएलियों के साम्हने से विनाश किया था।

Parantu unhonne na mana, varan manashshe ne un ko yahan tak bhatka diya ki unhonne un jatiyon se bhi badh kar burai ki jinhein Yahowa ne Israeliyon ke samhane se vinaash kiya tha.

10

इसलिये यहोवा ने अपने दास भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा कहा,

Isliye Yahowa ne apne daas bhavishyadwaktaon ke dwara kaha,

11

कि यहूदा के राजा मनश्शे ने जो ये घृणित काम किए, और जितनी बुराइयां एमोरियों ने जो उस से पहिले थे की थीं, उन से भी अधिक बुराइयां कीं; और यहूदियों से अपनी बनाई हुई मूरतों की पूजा करवा के उन्हें पाप में फंसाया है।

Ki Yahuda ke raja manashshe ne jo ye ghrinit kaam kiye, aur jitni buraiyan emoriyon ne jo us se pahile the ki thi, un se bhi adhik buraiyan ki; aur Yahudiyon se apni banai hui moorton ki pooja karva ke unhein paap mein phansaya hai.

12

इस कारण इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है कि सुनो, मैं यरूशलेम और यहूदा पर ऐसी विपत्ति डालना चाहता हूँ कि जो कोई उसका समाचार सुनेगा वह बड़े सन्नाटे में आ जाएगा।

Is karan Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai ki suno, main Yerushalem aur Yahuda par aisi vipatti dalna chahta hoon ki jo koi uska samachaar sunega vah bade sannate mein aa jayega.

13

और जो मापने की डोरी मैं ने शोमरोन पर डाली है और जो साहुल मैं ने अहाब के घराने पर लटकाया है वही यरूशलेम पर डालूंगा। और मैं यरूशलेम को ऐसा पोछूंगा जैसे कोई थाली को पोंछता है और उसे पोंछ कर उलट देता है।

Aur jo mapne ki dori main ne shomron par dali hai aur jo sahul main ne ahaab ke gharane par latkaya hai vahi Yerushalem par daloonga. Aur main Yerushalem ko aisa pochhoonga jaise koi thali ko ponchhta hai aur use ponchh kar ulat deta hai.

14

और मैं अपने निज भाग के बचे हुओं को त्याग कर शत्रुओं के हाथ कर दूंगा और वे अपने सब शत्रुओं के लिए लूट और धन बन जाएंगे।

Aur main apne nij bhaag ke bache huon ko tyaag kar shatruon ke haath kar doonga aur ve apne sab shatruon ke liye loot aur dhan ban jayenge.

15

इसका कारण यह है, कि जब से उनके पुरखा मिस्र से निकले तब से आज के दिन तक वे वह काम कर के जो मेरी दृष्टि में बुरा है, मुझे रिस दिलाते आ रहे हैं।

Iska karan yah hai, ki jab se unke purkha Misr se nikle tab se aaj ke din tak ve vah kaam kar ke jo meri drishti mein bura hai, mujhe ris dilate aa rahe hain.

16

मनश्शे ने तो न केवल वह काम करा के यहूदियों से पाप कराया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है, वरन निर्दोषों का खून बहुत बहाया, यहां तक कि उसने यरूशलेम को एक सिरे से दूसरे सिरे तक खून से भर दिया।

Manashshe ne to na keval vah kaam kara ke Yahudiyon se paap karaya, jo Yahowa ki drishti mein bura hai, varan nirdoshon ka khoon bahut bahaya, yahan tak ki usne Yerushalem ko ek sire se doosre sire tak khoon se bhar diya.

17

मनश्शे के और सब काम जो उसने किए, और जो पाप उसने किए, वह सब क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?

Manashshe ke aur sab kaam jo usne kiye, aur jo paap usne kiye, vah sab kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?

18

निदान मनश्शे अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसे उसके भवन की बारी में जो उज्जर की बारी कहलाती थी मिट्टी दी गई; और उसका पुत्र आमोन उसके स्थान पर राजा हुआ।

Nidaan manashshe apne purkhaon ke sang so gaya aur use uske bhavan ki bari mein jo ujjar ki bari kahlati thi mitti di gai; aur uska putra aamon uske sthaan par raja huaa.

19

जब आमोन राज्य करने लगा, तब वह बाईस वर्ष का था, और यरूशलेम में दो वर्ष तक राज्य करता रहा; और उसकी माता का नाम मशुल्लेमेत था जो योत्बावासी हारूम की बेटी थी।

Jab aamon rajya karne laga, tab vah bais varsh ka tha, aur Yerushalem mein do varsh tak rajya karta raha; aur uski mata ka naam mashullemet tha jo yotbavasi haroom ki beti thi.

20

और उसने अपने पिता मनश्शे की नाईं वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Aur usne apne pita manashshe ki nai vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura hai.

21

और वह अपने पिता के समान पूरी चाल चला, और जिन मूरतों की उपासना उसका पिता करता था, उनकी वह भी उपासना करता, और उन्हें दण्डवत करता था।

Aur vah apne pita ke samaan poori chaal chala, aur jin moorton ki upasna uska pita karta tha, unki vah bhi upasna karta, aur unhein dandavat karta tha.

22

और उसने अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा को त्याग दिया, और यहोवा के मार्ग पर न चला।

Aur usne apne pitron ke Parmeshwar Yahowa ko tyaag diya, aur Yahowa ke maarg par na chala.

23

और आमोन के कर्मचारियों ने द्रोह की गोष्ठी कर के राजा को उसी के भवन में मार डाला।

Aur aamon ke karmachariyon ne droh ki goshthi kar ke raja ko usi ke bhavan mein maar dala.

24

तब साधारण लोगों ने उन सभों को मार डाला, जिन्होंने राजा आमोन से द्रोह की गोष्ठी की थी, और लोगों ने उसके पुत्र योशिय्याह को उसके स्थान पर राजा किया।

Tab sadharan logon ne un sabhon ko maar dala, jinhonne raja aamon se droh ki goshthi ki thi, aur logon ne uske putra yoshiyyaah ko uske sthaan par raja kiya.

25

आमोन के और काम जो उसने किए, वह क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं।

Aamon ke aur kaam jo usne kiye, vah kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain.

26

उसे भी उज्जर की बारी में उसकी निज कबर में मिट्टी दी गई; और उसका पुत्र योशिय्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Use bhi ujjar ki bari mein uski nij kabar mein mitti di gai; aur uska putra yoshiyyaah uske sthaan par rajya karne laga.