2 Kings 20 · 21 verses

2 राजाओं 20 2 Kings 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 20.

1

उन दिनों में हिजकिय्याह ऐसा रोगी हुआ कि मरने पर था, और आमोस के पुत्र यशायाह भविष्यद्वक्ता ने उसके पास जा कर कहा, यहोवा यों कहता है, कि अपने घराने के विषय जो आज्ञा देनी हो वह दे; क्योंकि तू नहीं बचेगा, मर जाएगा।

Un dinon mein hijkiyyaah aisa rogi huaa ki marne par tha, aur aamos ke putra yashayaah bhavishyadwakta ne uske paas ja kar kaha, Yahowa yon kahta hai, ki apne gharane ke vishay jo aagya deni ho vah de; kyonki tu nahi bachega, mar jayega.

2

तब उसने भीत की ओर मुंह फेर, यहोवा से प्रार्थना कर के कहा, हे यहोवा!

Tab usne bheet ki or munh pher, Yahowa se prarthana kar ke kaha, he Yahowa!

3

मैं बिन्ती करता हूँ, स्मरण कर, कि मैं सच्चाई और खरे मन से अपने को तेरे सम्मुख जान कर चलता आया हूँ; और जो तुझे अच्छा लगता है वही मैं करता आया हूँ। तब हिजकिय्याह बिलक बिलक कर रोया।

Main binti karta hoon, smaran kar, ki main sachchai aur khare man se apne ko tere sammukh jaan kar chalta aaya hoon; aur jo tujhe achchha lagta hai vahi main karta aaya hoon. Tab hijkiyyaah bilak bilak kar roya.

4

और ऐसा हुआ कि यशायाह नगर के बीच तक जाने भी न पाया था कि यहोवा का यह वचन उसके पास पहुंचा,

Aur aisa huaa ki yashayaah nagar ke beech tak jane bhi na paya tha ki Yahowa ka yah vachan uske paas pahuncha,

5

कि लौटकर मेरी प्रजा के प्रधान हिजकिय्याह से कह, कि तेरे मूलपुरुष दाऊद का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि मैं ने तेरी प्रार्थना सुनी और तेरे आंसू देखे हैं; देख, मैं तुझे चंगा करता हूँ; परसों तू यहोवा के भवन में जा सकेगा।

Ki lautkar meri praja ke pradhaan hijkiyyaah se kah, ki tere moolpurush Daud ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki main ne teri prarthana suni aur tere aansu dekhe hain; dekh, main tujhe changa karta hoon; parson tu Yahowa ke bhavan mein ja sakega.

6

और मैं तेरी आयु पन्द्रह वर्ष और बढ़ा दूंगा। और अश्शूर के राजा के हाथ से तुझे और इस नगर को बचाऊंगा, और मैं अपने निमित्त और अपने दास दाऊद के निमित्त इस नगर की रक्षा करूंगा।

Aur main teri aayu pandrah varsh aur badha doonga. Aur ashshoor ke raja ke haath se tujhe aur is nagar ko bachaoonga, aur main apne nimitt aur apne daas Daud ke nimitt is nagar ki raksha karoonga.

7

तब यशायाह ने कहा, अंजीरों की एक टिकिया लो। जब उन्होंने उसे ले कर फोड़े पर बान्धा, तब वह चंगा हो गया।

Tab yashayaah ne kaha, anjeeron ki ek tikiya lo. Jab unhonne use le kar phode par bandha, tab vah changa ho gaya.

8

हिजकिय्याह ने यशायाह से पूछा, यहोवा जो मुझे चंगा करेगा और मैं परसों यहोवा के भवन को जा सकूंगा, इसका क्या चिन्ह होगा?

Hijkiyyaah ne yashayaah se poochha, Yahowa jo mujhe changa karega aur main parson Yahowa ke bhavan ko ja sakoonga, iska kya chinh hoga?

9

यशायाह ने कहा, यहोवा जो अपने कहे हुए वचन को पूरा करेगा, इस बात का यहोवा की ओर से तेरे लिये यह चिन्ह होगा, कि धूपघड़ी की छाया दस अंश आगे बढ़ जाएगी, व दस अंश घट जाएगी।

Yashayaah ne kaha, Yahowa jo apne kahe hue vachan ko poora karega, is baat ka Yahowa ki or se tere liye yah chinh hoga, ki dhoopaghdi ki chhaya das ansh aage badh jayegi, va das ansh ghat jayegi.

10

हिजकिय्याह ने कहा, छाया का दस अंश आगे बढ़ना तो हलकी बात है, इसलिए ऐसा हो कि छाया दस अंश पीछे लौट जाए।

Hijkiyyaah ne kaha, chhaya ka das ansh aage badhna to halki baat hai, isliye aisa ho ki chhaya das ansh peechhe laut jaye.

11

तब यशायाह भविष्यद्वक्ता ने यहोवा को पुकारा, और आहाज की घूपघड़ी की छाया, जो दस अंश ढल चुकी थी, यहोवा ने उसको पीछे की ओर लौटा दिया।

Tab yashayaah bhavishyadwakta ne Yahowa ko pukara, aur aahaaj ki ghoopaghdi ki chhaya, jo das ansh dhal chuki thi, Yahowa ne usko peechhe ki or lauta diya.

12

उस समय बलदान का पुत्र बरोदकबलदान जो बाबेल का राजा था, उसने हिजकिय्याह के रोगी होने की चर्चा सुन कर, उसके पास पत्री और भेंट भेजी।

Us samay baldaan ka putra barodakbaldaan jo babel ka raja tha, usne hijkiyyaah ke rogi hone ki charcha sun kar, uske paas patri aur bhent bheji.

13

उनके लाने वालों की मान कर हिजकिय्याह ने उन को अपने अनमोल पदार्थों का सब भण्डार, और चान्दी और सोना और सुगन्ध द्रव्य और उत्तम तेल और अपने हथियारों का पूरा घर और अपने भण्डारों में जो जो वस्तुएं थीं, वे सब दिखाई; हिजकिय्याह के भवन और राज्य भर में कोई ऐसी वस्तु न रही, जो उसने उन्हें न दिखाई हो।

Unke lane valon ki maan kar hijkiyyaah ne un ko apne anmol padarthon ka sab bhandaar, aur chandi aur sona aur sugandh dravya aur uttam tel aur apne hathiyaron ka poora ghar aur apne bhandaron mein jo jo vastuein thi, ve sab dikhai; hijkiyyaah ke bhavan aur rajya bhar mein koi aisi vastu na rahi, jo usne unhein na dikhai ho.

14

तब यशायाह भविष्यद्वक्ता ने हिजकिय्याह राजा के पास जा कर पुछा, वे मनुष्य क्या कह गए? और कहां से तेरे पास आए थे? हिजकिय्याह ने कहा, वे तो दूर देश से अर्थात बाबेल से आए थे।

Tab yashayaah bhavishyadwakta ne hijkiyyaah raja ke paas ja kar puchha, ve manushya kya kah gaye? Aur kahan se tere paas aaye the? Hijkiyyaah ne kaha, ve to door desh se arthaat babel se aaye the.

15

फिर उसने पूछा, तेरे भवन में उन्होंने क्या क्या देखा है? हिजकिय्याह ने कहा, जो कुछ मेरे भवन में है, वह सब उन्होंने देखा। मेरे भण्डारों में कोई ऐसी वस्तु नहीं, जो मैं ने उन्हें न दिखाई हो।

Phir usne poochha, tere bhavan mein unhonne kya kya dekha hai? Hijkiyyaah ne kaha, jo kuchh mere bhavan mein hai, vah sab unhonne dekha. Mere bhandaron mein koi aisi vastu nahi, jo main ne unhein na dikhai ho.

16

यशायाह ने हिजकिय्याह से कहा, यहोवा का वचन सुन ले।

Yashayaah ne hijkiyyaah se kaha, Yahowa ka vachan sun le.

17

ऐसे दिन आने वाले है, जिन में जो कुछ तेरे भवन में हैं, और जो कुछ तेरे पुरखाओं का रखा हुआ आज के दिन तक भण्डारों में है वह सब बाबेल को उठ जाएगा; यहोवा यह कहता है, कि कोई वस्तु न बचेगी।

Aise din aane vale hai, jin mein jo kuchh tere bhavan mein hain, aur jo kuchh tere purkhaon ka rakha huaa aaj ke din tak bhandaron mein hai vah sab babel ko uth jayega; Yahowa yah kahta hai, ki koi vastu na bachegi.

18

और जो पुत्र तेरे वंश में उत्पन्न हों, उन में से भी कितनों को वे बन्धुआई में ले जाएंगे; और वे खोजे बन कर बाबेल के राजभवन में रहेंगे।

Aur jo putra tere vansh mein utpann hon, un mein se bhi kitnon ko ve bandhuaai mein le jayenge; aur ve khoje ban kar babel ke rajabhvan mein rahenge.

19

हिजकिय्याह ने यशायाह से कहा, यहोवा का वचन जो तू ने कहा है, वह भला ही है, फिर उसने कहा, क्या मेरे दिनों में शांति और सच्चाई बनी न रहेंगी?

Hijkiyyaah ne yashayaah se kaha, Yahowa ka vachan jo tu ne kaha hai, vah bhala hi hai, phir usne kaha, kya mere dinon mein shanti aur sachchai bani na rahengi?

20

हिजकिय्याह के और सब काम और उसकी सारी वीरता और किस रीति उसने एक पोखरा और नाली खुदवा कर नगर में पानी पहुंचा दिया, यह सब क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?

Hijkiyyaah ke aur sab kaam aur uski sari veerta aur kis reeti usne ek pokhra aur nali khudva kar nagar mein pani pahuncha diya, yah sab kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?

21

निदान हिजकिय्याह अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसका पुत्र मनश्शे उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan hijkiyyaah apne purkhaon ke sang so gaya aur uska putra manashshe uske sthaan par rajya karne laga.