जब हिजकिय्याह राजा ने यह सुना, तब वह अपने वस्त्र फाड़, टाट ओढ़कर यहोवा के भवन में गया।
Jab hijkiyyaah raja ne yah suna, tab vah apne vastra phaad, taat odhkar Yahowa ke bhavan mein gaya.
2 Kings 19 · 37 verses
जब हिजकिय्याह राजा ने यह सुना, तब वह अपने वस्त्र फाड़, टाट ओढ़कर यहोवा के भवन में गया।
Jab hijkiyyaah raja ne yah suna, tab vah apne vastra phaad, taat odhkar Yahowa ke bhavan mein gaya.
और उसने एल्याकीम को जो राजघराने के काम पर था, और शेब्ना मन्त्री को, और याजकों के पुरनियों को, जो सब टाट ओढ़े हुए थे, आमोस के पुत्र यशायाह भविष्यद्वक्ता के पास भेज दिया।
Aur usne elyakeem ko jo rajaghrane ke kaam par tha, aur shebna mantri ko, aur yajkon ke purniyon ko, jo sab taat odhe hue the, aamos ke putra yashayaah bhavishyadwakta ke paas bhej diya.
उन्होंने उस से कहा, हिजकिय्याह यों कहता है, आज का दिन संकट, और उलहने, और निन्दा का दिन है; बच्चे जन्मने पर हुए पर जच्चा को जन्म देने का बल न रहा।
Unhonne us se kaha, hijkiyyaah yon kahta hai, aaj ka din sankat, aur ulahne, aur ninda ka din hai; bachche janmane par hue par jachcha ko janm dene ka bal na raha.
कदाचित तेरा परमेश्वर यहोवा रबशाके की सब बातें सुने, जिसे उसके स्वामी अश्शूर के राजा ने जीवते परमेश्वर की निन्दा करने को भेजा है, और जो बातें तेरे परमेश्वर यहावा ने सुनी हैं उन्हें डपटे; इसलिये तू इन बचे हुओं के लिये जो रह गए हैं प्रार्थना कर।
Kadachit tera Parmeshwar Yahowa rabshake ki sab batein sune, jise uske swami ashshoor ke raja ne jeevte Parmeshwar ki ninda karne ko bheja hai, aur jo batein tere Parmeshwar yahava ne suni hain unhein dapte; isliye tu in bache huon ke liye jo rah gaye hain prarthana kar.
जब हिजकिय्याह राजा के कर्मचारी यशायाह के पास आए,
Jab hijkiyyaah raja ke karmachari yashayaah ke paas aaye,
तब यशायाह ने उन से कहा, अपने स्वामी से कहो, यहोवा यों कहता है, कि जो वचन तू ने सुने हैं, जिनके द्वारा अश्शूर के राजा के जनों ने मेरी निन्दा की है, उनके कारण मत डर।
Tab yashayaah ne un se kaha, apne swami se kaho, Yahowa yon kahta hai, ki jo vachan tu ne sune hain, jinke dwara ashshoor ke raja ke janon ne meri ninda ki hai, unke karan mat dar.
सुन, मैं उसके मन में प्रेरणा करूंगा, कि वह कुछ समाचार सुन कर अपने देश को लौट जाए, और मैं उसको उसी के देश में तलवार से मरवा डालूंगा।
Sun, main uske man mein prerna karoonga, ki vah kuchh samachaar sun kar apne desh ko laut jaye, aur main usko usi ke desh mein talvaar se marva daloonga.
तब रबशाके ने लौटकर अश्शूर के राजा को लिब्ना नगर से युद्ध करते पाया, क्योंकि उसने सुना था कि वह लाकीश के पास से उठ गया है।
Tab rabshake ne lautkar ashshoor ke raja ko libna nagar se yuddh karte paya, kyonki usne suna tha ki vah lakeesh ke paas se uth gaya hai.
और जब उसने कूश के राजा तिर्हाका के विष्य यह सुना, कि वह मुझ से लड़ने को निकला है, तब उसने हिजकिय्याह के पास दूतों को यह कह कर भेजा,
Aur jab usne koosh ke raja tirhaka ke vishya yah suna, ki vah mujh se ladne ko nikla hai, tab usne hijkiyyaah ke paas dooton ko yah kah kar bheja,
तुम यहूदा के राजा हिजकिय्याह से यों कहना: तेरा परमेश्वर जिसका तू भरोसा करता है, यह कह कर तुझे धोखा न देने पाए, कि यरूशलेम अश्शूर के राजा के वश में न पड़ेगा।
Tum Yahuda ke raja hijkiyyaah se yon kahna: tera Parmeshwar jiska tu bharosa karta hai, yah kah kar tujhe dhokha na dene paye, ki Yerushalem ashshoor ke raja ke vash mein na padega.
देख, तू ने तो सुना है अश्शूर के राजाओं ने सब देशों से कैसा व्यवहार किया है उन्हें सत्यानाश कर दिया है। फिर क्या तू बचेगा?
Dekh, tu ne to suna hai ashshoor ke rajaon ne sab deshon se kaisa vyavhaar kiya hai unhein satyanaash kar diya hai. Phir kya tu bachega?
गोजान और हारान और रेसेप और तलस्सार में रहने वाले एदेनी, जिन जातियों को मेरे पुरखाओं ने नाश किया, क्या उन में से किसी जाति के देवताओं ने उसको बचा लिया?
Gojaan aur haraan aur resep aur talassaar mein rahne vale edeni, jin jatiyon ko mere purkhaon ne naash kiya, kya un mein se kisi jati ke devtaon ne usko bacha liya?
हमात का राजा, और अर्पाद का राजा, और समवैंम नगर का राजा, और हेना और इव्वा के राजा ये सब कहां रहे? इस पत्री को हिजकिय्याह ने दूतों के हाथ से ले कर पढ़ा।
Hamaat ka raja, aur arpaad ka raja, aur samvaimm nagar ka raja, aur hena aur ivva ke raja ye sab kahan rahe? Is patri ko hijkiyyaah ne dooton ke haath se le kar padha.
तब यहोवा के भवन में जा कर उसको यहोवा के साम्हने फैला दिया।
Tab Yahowa ke bhavan mein ja kar usko Yahowa ke samhane phaila diya.
और यहोवा से यह प्रार्थना की, कि हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा! हे करूबों पर विराजने वाले! पृथ्वी के सब राज्यों के ऊपर केवल तू ही परमेश्वर है। आकाश और पृथ्वी को तू ही ने बनाया है।
Aur Yahowa se yah prarthana ki, ki he Israel ke Parmeshwar Yahowa! He karoobon par virajne vale! Prithvi ke sab rajyon ke oopar keval tu hi Parmeshwar hai. Aakaash aur prithvi ko tu hi ne banaya hai.
हे यहोवा! कान लगाकर सुन, हे यहोवा आंख खोल कर देख, और सन्हेरीब के वचनों को सुन ले, जो उसने जीवते परमेश्वर की निन्दा करने को कहला भेजे हैं।
He Yahowa! Kaan lagakar sun, he Yahowa aankh khol kar dekh, aur sanhereeb ke vachnon ko sun le, jo usne jeevte Parmeshwar ki ninda karne ko kahla bheje hain.
हे यहोवा, सच तो है, कि अश्शूर के राजाओं ने जातियों को और उनके देशों को उजाड़ा है।
He Yahowa, sach to hai, ki ashshoor ke rajaon ne jatiyon ko aur unke deshon ko ujada hai.
और उनके देवताओं को आग में झोंका है, क्योंकि वे ईश्वर न थे; वे मनुष्यों के बनाए हुए काठ और पत्थर ही के थे; इस कारण वे उन को नाश कर सके।
Aur unke devtaon ko aag mein jhonka hai, kyonki ve ishwar na the; ve manushyon ke banaye hue kaath aur patthar hi ke the; is karan ve un ko naash kar sake.
इसलिये अब हे हमारे परमेश्वर यहोवा तू हमें उसके हाथ से बचा, कि पृथ्वी के राज्य राज्य के लोग जान लें कि केवल तू ही यहोवा है।
Isliye ab he hamare Parmeshwar Yahowa tu hamein uske haath se bacha, ki prithvi ke rajya rajya ke log jaan lein ki keval tu hi Yahowa hai.
तब आमोस के पुत्र यशायाह ने हिजकिय्याह के पास यह कहला भेजा, कि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि जो प्रार्थना तू ने अश्शूर के राजा सन्हेरीब के विषय मुझ से की, उसे मैं ने सुना है।
Tab aamos ke putra yashayaah ne hijkiyyaah ke paas yah kahla bheja, ki Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki jo prarthana tu ne ashshoor ke raja sanhereeb ke vishay mujh se ki, use main ne suna hai.
उसके विषय में यहोवा ने यह वचन कहा है, कि सिय्योन की कुमारी कन्या तुझे तुच्छ जानती और तुझे ठट्ठों में उड़ाती है, यरूशलेम की पुत्री, तुझ पर सिर हिलाती है।
Uske vishay mein Yahowa ne yah vachan kaha hai, ki siyyon ki kumari kanya tujhe tuchchh janti aur tujhe thatthon mein udati hai, Yerushalem ki putri, tujh par sir hilati hai.
तू ने जो नामधराई और निन्दा की है, वह किसकी की है? और तू ने जो बड़ा बोल बोला और घमण्ड किया है वह किसके विरुद्ध किया है? इस्राएल के पवित्र के विरुद्ध तू ने किया है!
Tu ne jo namadhrai aur ninda ki hai, vah kiski ki hai? Aur tu ne jo bada bol bola aur ghamand kiya hai vah kiske viruddh kiya hai? Israel ke pavitra ke viruddh tu ne kiya hai!
अपने दूतों के द्वारा तू ने प्रभु की निन्दा कर के कहा है, कि बहुत से रथ ले कर मैं पर्वतों की चोटियों पर, वरन लबानोन के बीच तक चढ़ आया हूँ, और मैं उसके ऊंचे ऊंचे देवदारुओं और अच्छे अच्छे सनोवरों को काट डालूंगा; और उस में जो सब से ऊंचा टिकने का स्थान होगा उस में और उसके वन की फलदाई बारियों में प्रवेश करूंगा।
Apne dooton ke dwara tu ne Prabhu ki ninda kar ke kaha hai, ki bahut se rath le kar main parvaton ki chotiyon par, varan labanon ke beech tak chadh aaya hoon, aur main uske oonche oonche devdaruon aur achchhe achchhe sanovron ko kaat daloonga; aur us mein jo sab se ooncha tikne ka sthaan hoga us mein aur uske van ki phaldai bariyon mein pravesh karoonga.
मैं ने तो खुदवा कर परदेश का पानी पिया; और मिस्र की नहरों में पांव धरते ही उन्हें सुखा डालूंगा।
Main ne to khudva kar pardesh ka pani piya; aur Misr ki nahron mein paanv dharte hi unhein sukha daloonga.
क्या तू ने नहीं सुना, कि प्राचीनकाल से मैं ने यही ठहराया? और अगले दिनों से इसकी तैयारी की थी, उन्हें अब मैं ने पूरा भी किया है, कि तू गढ़ वाले नगरों को खण्डहर ही खण्डहर कर दे,
Kya tu ne nahi suna, ki pracheenkaal se main ne yahi thahraya? Aur agle dinon se iski taiyari ki thi, unhein ab main ne poora bhi kiya hai, ki tu gadh vale nagron ko khandahar hi khandahar kar de,
इसी कारण उनके रहने वालों का बल घट गया; वे विस्मित और लज्जित हुए; वे मैदान के छोटे छोटे पेड़ों और हरी घास और छत पर की घास, और ऐसे अनाज के समान हो गए, जो बढ़ने से पहिले सूख जाता है।
Isi karan unke rahne valon ka bal ghat gaya; ve vismit aur lajjit hue; ve maidaan ke chhote chhote pedon aur hari ghaas aur chhat par ki ghaas, aur aise anaaj ke samaan ho gaye, jo badhne se pahile sookh jata hai.
मैं तो तेरा बैठा रहना, और कूच करना, और लौट आना जानता हूँ, और यह भी कि तू मुझ पर अपना क्रोध भड़काता है।
Main to tera baitha rahna, aur kooch karna, aur laut aana janta hoon, aur yah bhi ki tu mujh par apna krodh bhadkata hai.
इस कारण कि तू मुझ पर अपना क्रोध भड़काता और तेरे अभिमान की बातें मेरे कानों में पड़ी हैं; मैं तेरी नाक में अपनी नकेल डाल कर और तेरे मुंह में अपना लगाम लगा कर, जिस मार्ग से तू आया है, उसी से तुझे लौटा दूंगा।
Is karan ki tu mujh par apna krodh bhadkata aur tere abhimaan ki batein mere kanon mein padi hain; main teri naak mein apni nakel daal kar aur tere munh mein apna lagaam laga kar, jis maarg se tu aaya hai, usi se tujhe lauta doonga.
और तेरे लिये यह चिन्ह होगा, कि इस वर्ष तो तुम उसे खाओगे जो आप से आप उगे, और दूसरे वर्ष उसे जो उत्पन्न हो वह खाओगे; और तीसरे वर्ष बीज बोने और उसे लवने पाओगे, और दाख की बारियां लगाने और उनका फल खाने पाओगे।
Aur tere liye yah chinh hoga, ki is varsh to tum use khaoge jo aap se aap uge, aur doosre varsh use jo utpann ho vah khaoge; aur teesre varsh beej bone aur use lavne paoge, aur daakh ki bariyan lagane aur unka phal khane paoge.
और यहूदा के घराने के बचे हुए लोग फिर जड़ पकड़ेंगे, और फलेंगे भी।
Aur Yahuda ke gharane ke bache hue log phir jad pakdenge, aur phalenge bhi.
क्योंकि यरूशलेम में से बचे हुए और सिय्योन पर्वत के भागे हुए लोग निकलेंगे। यहोवा यह काम अपनी जलन के कारण करेगा।
Kyonki Yerushalem mein se bache hue aur siyyon parvat ke bhage hue log niklenge. Yahowa yah kaam apni jalan ke karan karega.
इसलिये यहोवा अश्शूर के राजा के विषय में यों कहता है कि वह इस नगर में प्रवेश करने, वरन इस पर एक तीर भी मारने न पाएगा, और न वह ढाल ले कर इसके साम्हने आने, वा इसके विरुद्ध दमदमा बनाने पाएगा।
Isliye Yahowa ashshoor ke raja ke vishay mein yon kahta hai ki vah is nagar mein pravesh karne, varan is par ek teer bhi marne na payega, aur na vah dhaal le kar iske samhane aane, va iske viruddh damadma banane payega.
जिस मार्ग से वह आया, उसी से वह लौट भी जाएगा, और इस नगर में प्रवेश न करने पाएगा, यहोवा की यही वाणी है।
Jis maarg se vah aaya, usi se vah laut bhi jayega, aur is nagar mein pravesh na karne payega, Yahowa ki yahi vani hai.
और मैं अपने निमित्त और अपने दास दाऊद के निमित्त इस नगर की रक्षा कर के इसे बचाऊंगा।
Aur main apne nimitt aur apne daas Daud ke nimitt is nagar ki raksha kar ke ise bachaoonga.
उसी रात में क्या हुआ, कि यहोवा के दूत ने निकल कर अश्शूरियों की छावनी में एक लाख पचासी हजार पुरुषों को मारा, और भोर को जब लोग सबेरे उठे, तब देखा, कि लोथ ही लोथ पड़ी है।
Usi raat mein kya huaa, ki Yahowa ke doot ne nikal kar ashshooriyon ki chhavni mein ek laakh pachasi hajaar purushon ko mara, aur bhor ko jab log sabere uthe, tab dekha, ki loth hi loth padi hai.
तब अश्शूर का राजा सन्हेरीब चल दिया, और लौट कर नीनवे में रहने लगा।
Tab ashshoor ka raja sanhereeb chal diya, aur laut kar neenve mein rahne laga.
वहां वह अपने देवता निस्रोक के मन्दिर में दण्डवत कर रहा था, कि अदेम्मेलेक और सरेसेर ने उसको तलवार से मारा, और अरारात देश में भाग गए। और उसी का पुत्र एसर्हद्दोन उसके स्थान पर राज्य करने लगा।
Vahan vah apne devta nisrok ke mandir mein dandavat kar raha tha, ki ademmelek aur sareser ne usko talvaar se mara, aur araraat desh mein bhaag gaye. Aur usi ka putra esarhaddon uske sthaan par rajya karne laga.