2 Kings 18 · 37 verses

2 राजाओं 18 2 Kings 18 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 18.

1

एला के पुत्र इस्राएल के राजा होशे के तीसरे वर्ष में यहूदा के राजा आहाज का पुत्र हिजकिय्याह राजा हुआ।

Ela ke putra Israel ke raja hoshe ke teesre varsh mein Yahuda ke raja aahaaj ka putra hijkiyyaah raja huaa.

2

जब वह राज्य करने लगा तब पच्चीस वर्ष का था, और उनतीस वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और उसकी माता का नाम अबी था, जो जकर्याह की बेटी थी।

Jab vah rajya karne laga tab pachchees varsh ka tha, aur untees varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur uski mata ka naam abi tha, jo jakaryaah ki beti thi.

3

जैसे उसके मूलपुरुष दाऊद ने किया था जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है वैसा ही उसने भी किया।

Jaise uske moolpurush Daud ne kiya tha jo Yahowa ki drishti mein theek hai vaisa hi usne bhi kiya.

4

उसने ऊंचे स्थान गिरा दिए, लाठों को तोड़ दिया, अशेरा को काट डाला। और पीतल का जो सांप मूसा ने बनाया था, उसको उसने इस कारण चूर चूर कर दिया, कि उन दिनों तक इस्राएली उसके लिये धूप जलाते थे; और उसने उसका नाम नहुशतान रखा।

Usne oonche sthaan gira diye, lathon ko tod diya, ashera ko kaat dala. Aur peetal ka jo saamp Musa ne banaya tha, usko usne is karan choor choor kar diya, ki un dinon tak Israeli uske liye dhoop jalate the; aur usne uska naam nahushtaan rakha.

5

वह इस्राएल के परमेश्वर यहोवा पर भरोसा रखता था, और उसके बाद यहूदा के सब राजाओं में कोई उसके बराबर न हुआ, और न उस से पहिले भी ऐसा कोई हुआ था।

Vah Israel ke Parmeshwar Yahowa par bharosa rakhta tha, aur uske baad Yahuda ke sab rajaon mein koi uske barabar na huaa, aur na us se pahile bhi aisa koi huaa tha.

6

और वह यहोवा से लिपटा रहा और उसके पीछे चलना न छोड़ा; और जो आज्ञाएं यहोवा ने मूसा को दी थीं, उनका वह पालन करता रहा।

Aur vah Yahowa se lipta raha aur uske peechhe chalna na chhoda; aur jo aagyayen Yahowa ne Musa ko di thi, unka vah palan karta raha.

7

इसलिये यहोवा उसके संग रहा; और जहां कहीं वह जाता था, वहां उसका काम सफल होता था। और उसने अश्शूर के राजा से बलवा कर के, उसकी आधीनता छोड़ दी।

Isliye Yahowa uske sang raha; aur jahan kahi vah jata tha, vahan uska kaam saphal hota tha. Aur usne ashshoor ke raja se balva kar ke, uski aadheenta chhod di.

8

उसने पलिश्तियों को गाज़्ज़ा और उसके सिवानों तक, पहरुओं के गुम्मट और गढ़ वाले नगर तक मारा।

Usne palishtiyon ko gazza aur uske sivanon tak, pahruon ke gummat aur gadh vale nagar tak mara.

9

राजा हिजकिय्याह के चौथे वर्ष में जो एला के पुत्र इस्राएल के राजा होशे का सातवां वर्ष था, अश्शूर के राजा शल्मनेसेर ने शोमरोन पर चढ़ाई कर के उसे घेर लिया।

Raja hijkiyyaah ke chauthe varsh mein jo ela ke putra Israel ke raja hoshe ka satvan varsh tha, ashshoor ke raja shalmaneser ne shomron par chadhai kar ke use gher liya.

10

और तीन वर्ष के बीतने पर उन्होंने उसको ले लिया। इस प्रकार हिजकिय्याह के छठवें वर्ष में जो इस्राएल के राजा होशे का नौवां वर्ष था, शोमरोन ले लिया गया।

Aur teen varsh ke beetne par unhonne usko le liya. Is prakaar hijkiyyaah ke chhathvein varsh mein jo Israel ke raja hoshe ka nauvan varsh tha, shomron le liya gaya.

11

तब अश्शूर का राजा इस्राएल को बन्धुआ कर के अश्शूर में ले गया, और हलह में ओर गोजान की नदी हाबोर के पास और मादियों के नगरों में उसे बसा दिया।

Tab ashshoor ka raja Israel ko bandhuaa kar ke ashshoor mein le gaya, aur halah mein or gojaan ki nadi habor ke paas aur madiyon ke nagron mein use basa diya.

12

इसका कारण यह था, कि उन्होंने अपने परमेश्वर यहोवा की बात न मानी, वरन उसकी वाचा को तोड़ा, और जितनी आज्ञाएं यहोवा के दास मूसा ने दी थीं, उन को टाल दिया और न उन को सुना और न उनके अनुसार किया।

Iska karan yah tha, ki unhonne apne Parmeshwar Yahowa ki baat na mani, varan uski vacha ko toda, aur jitni aagyayen Yahowa ke daas Musa ne di thi, un ko taal diya aur na un ko suna aur na unke anusaar kiya.

13

हिजकिय्याह राजा के चौदहवें वर्ष में अश्शूर के राजा सन्हेरीब ने यहूदा के सब गढ़ वाले नगरों पर चढ़ाई कर के उन को ले लिया।

Hijkiyyaah raja ke chaudahvein varsh mein ashshoor ke raja sanhereeb ne Yahuda ke sab gadh vale nagron par chadhai kar ke un ko le liya.

14

तब यहूदा के राजा हिजकिय्याह ने अश्शूर के राजा के पास लाकीश को कहला भेजा, कि मुझ से अपराध हुआ, मेरे पास से लौट जा; और जो भार तू मुझ पर डालेगा उसको मैं उठाऊंगा। तो अश्शूर के राजा ने यहूदा के राजा हिजकिय्याह के लिये तीन सौ किक्कार चान्दी और तीस किक्कार सोना ठहरा दिया।

Tab Yahuda ke raja hijkiyyaah ne ashshoor ke raja ke paas lakeesh ko kahla bheja, ki mujh se apraadh huaa, mere paas se laut ja; aur jo bhaar tu mujh par dalega usko main uthaoonga. To ashshoor ke raja ne Yahuda ke raja hijkiyyaah ke liye teen sau kikkaar chandi aur tees kikkaar sona thahra diya.

15

तब जितनी चान्दी यहोवा के भवन और राजभवन के भणडारों में मिली, उस सब को हिजकिय्याह ने उसे दे दिया।

Tab jitni chandi Yahowa ke bhavan aur rajabhvan ke bhandaron mein mili, us sab ko hijkiyyaah ne use de diya.

16

उस समय हिजकिय्याह ने यहोवा के मन्दिर के किवाड़ों से और उन खम्भों से भी जिन पर यहूदा के राजा हिजकिय्याह ने सोना मढ़ा था, सोने को छीलकर अश्शूर के राजा को दे दिया।

Us samay hijkiyyaah ne Yahowa ke mandir ke kivadon se aur un khambhon se bhi jin par Yahuda ke raja hijkiyyaah ne sona madha tha, sone ko chheelkar ashshoor ke raja ko de diya.

17

तौभी अश्शूर के राजा ने तर्त्तान, रबसारीस और रबशाके को बड़ी सेना देकर, लाकीश से यरूशलेम के पास हिजकिय्याह राजा के विरुद्ध भेज दिया। सो वे यरूशलेम को गए और वहां पहुंच कर ऊपर के पोखरे की नाली के पास धोबियों के खेत की सड़क पर जा कर खड़े हुए।

Taubhi ashshoor ke raja ne tarttaan, rabsarees aur rabshake ko badi sena dekar, lakeesh se Yerushalem ke paas hijkiyyaah raja ke viruddh bhej diya. So ve Yerushalem ko gaye aur vahan pahunch kar oopar ke pokhre ki nali ke paas dhobiyon ke khet ki sadak par ja kar khade hue.

18

और जब उन्होंने राजा को पुकारा, तब हिलकिय्याह का पुत्र एल्याकीम जो राजघराने के काम पर था, और शेब्ना जो मन्त्री था और आसाप का पुत्र योआह जो इतिहास का लिखनेवाला था, ये तीनों उनके पास बाहर निकल गए।

Aur jab unhonne raja ko pukara, tab hilkiyyaah ka putra elyakeem jo rajaghrane ke kaam par tha, aur shebna jo mantri tha aur aasaap ka putra yoaah jo itihaas ka likhnevala tha, ye teenon unke paas bahar nikal gaye.

19

रबशाके ने उन से कहा, हिजकिय्याह से कहो, कि महाराजाधिराज अर्थात अश्शूर का राजा यों कहता है, कि तू किस पर भरोसा करता है?

Rabshake ne un se kaha, hijkiyyaah se kaho, ki maharajadhiraaj arthaat ashshoor ka raja yon kahta hai, ki tu kis par bharosa karta hai?

20

तू जो कहता है, कि मेरे यहां युद्ध के लिये युक्ति और पराक्रम है, सो तो केवल बात ही बात है। तू किस पर भरोसा रखता है कि तू ने मुझ से बलवा किया है?

Tu jo kahta hai, ki mere yahan yuddh ke liye yukti aur parakram hai, so to keval baat hi baat hai. Tu kis par bharosa rakhta hai ki tu ne mujh se balva kiya hai?

21

सुन, तू तो उस कुचले हुए नरकट अर्थात मिस्र पर भरोसा रखता है, उस पर यदि कोई टेक लगाए, तो वह उसके हाथ में चुभकर छेदेगा। मिस्र का राजा फ़िरौन अपने सब भरोसा रखने वालों के लिये ऐसा ही है।

Sun, tu to us kuchle hue narkat arthaat Misr par bharosa rakhta hai, us par yadi koi tek lagaye, to vah uske haath mein chubhkar chhedega. Misr ka raja firaun apne sab bharosa rakhne valon ke liye aisa hi hai.

22

फिर यदि तुम मुझ से कहो, कि हमारा भरोसा अपने परमेश्वर यहोवा पर है, तो क्या यह वही नहीं है जिसके ऊंचे स्थानों और वेदियों को हिजकिय्याह ने दूर कर के यहूदा और यरूशलेम से कहा, कि तुम इसी वेदी के साम्हने जो यरूशलेम में है दण्डवत करना?

Phir yadi tum mujh se kaho, ki hamara bharosa apne Parmeshwar Yahowa par hai, to kya yah vahi nahi hai jiske oonche sthanon aur vediyon ko hijkiyyaah ne door kar ke Yahuda aur Yerushalem se kaha, ki tum isi vedi ke samhane jo Yerushalem mein hai dandavat karna?

23

तो अब मेरे स्वामी अश्शूर के राजा के पास कुछ बन्धक रख, तब मैं तुझे दो हजार घोड़े दूंगा, क्या तू उन पर सवार चढ़ा सकेगा कि नहीं?

To ab mere swami ashshoor ke raja ke paas kuchh bandhak rakh, tab main tujhe do hajaar ghode doonga, kya tu un par savaar chadha sakega ki nahi?

24

फिर तू मेरे स्वामी के छोटे से छोटे कर्मचारी का भी कहा न मान कर क्यों रथों और सवारों के लिये मिस्र पर भरोसा रखता है?

Phir tu mere swami ke chhote se chhote karmachari ka bhi kaha na maan kar kyon rathon aur savaron ke liye Misr par bharosa rakhta hai?

25

क्या मैं ने यहोवा के बिना कहे, इस स्थान को उजाड़ने के लिये चढ़ाई की है? यहोवा ने मुझ से कहा है, कि उस देश पर चढ़ाई कर के उसे उजाड़ दे।

Kya main ne Yahowa ke bina kahe, is sthaan ko ujadne ke liye chadhai ki hai? Yahowa ne mujh se kaha hai, ki us desh par chadhai kar ke use ujaad de.

26

तब हिलकिय्याह के पुत्र एल्याकीम और शेब्ना योआह ने रबशाके से कहा, अपने दासों से अरामी भाषा में बातें कर, क्योंकि हम उसे समझते हैं; और हम से यहूदी भाषा में शहरपनाह पर बैठे हुए लोगों के सुनते बातें न कर।

Tab hilkiyyaah ke putra elyakeem aur shebna yoaah ne rabshake se kaha, apne dason se arami bhasha mein batein kar, kyonki ham use samajhte hain; aur ham se Yahudi bhasha mein shahrapnaah par baithe hue logon ke sunte batein na kar.

27

रबशाके ने उन से कहा, क्या मेरे स्वामी ने मुझे तुम्हारे स्वामी ही के, वा तुम्हारे ही पास ये बातें कहने को भेजा है? क्या उसने मुझे उन लोगों के पास नहीं भेजा, जो शहरपनाह पर बैठे हैं, ताकि तुम्हारे संग उन को भी अपनी बिष्ठा खाना और अपना मूत्र पीना पड़े?

Rabshake ne un se kaha, kya mere swami ne mujhe tumhare swami hi ke, va tumhare hi paas ye batein kahne ko bheja hai? Kya usne mujhe un logon ke paas nahi bheja, jo shahrapnaah par baithe hain, taki tumhare sang un ko bhi apni bishtha khana aur apna mootra peena pade?

28

तब रबशाके ने खड़े हो, यहूदी भाषा में ऊंचे शब्द से कहा, महाराजाधिराज अर्थात अश्शूर के राजा की बात सुनो।

Tab rabshake ne khade ho, Yahudi bhasha mein oonche shabd se kaha, maharajadhiraaj arthaat ashshoor ke raja ki baat suno.

29

राजा यों कहता है, कि हिजकिय्याह तुम को भुलाने न पाए, क्योंकि वह तुम्हें मेरे हाथ से बचा न सकेगा।

Raja yon kahta hai, ki hijkiyyaah tum ko bhulane na paye, kyonki vah tumhein mere haath se bacha na sakega.

30

और वह तुम से यह कह कर यहोवा पर भरोसा कराने न पाए, कि यहोवा निश्चय हम को बचाएगा और यह नगर अश्शूर के राजा के वश में न पड़ेगा।

Aur vah tum se yah kah kar Yahowa par bharosa karane na paye, ki Yahowa nishchay ham ko bachayega aur yah nagar ashshoor ke raja ke vash mein na padega.

31

हिजकिय्याह की मत सुनो। अश्शूर का राजा कहता है कि भेंट भेज कर मुझे प्रसन्न करो और मेरे पास निकल आओ, और प्रत्येक अपनी अपनी दाखलता और अंजीर के वृक्ष के फल खाता और अपने अपने कुण्ड का पानी पीता रहे।

Hijkiyyaah ki mat suno. Ashshoor ka raja kahta hai ki bhent bhej kar mujhe prasann karo aur mere paas nikal aao, aur pratyek apni apni dakhalta aur anjeer ke vriksh ke phal khata aur apne apne kund ka pani peeta rahe.

32

तब मैं आकर तुम को ऐसे देश में ले जाऊंगा, जो तुम्हारे देश के समान अनाज और नये दाखमधु का देश, रोटी और दाख्बारियों का देश, जलपाइयों और मधु का देश है, वहां तुम मरोगे नहीं, जीवित रहोगे; तो जब हिजकिय्याह यह कह कर तुम को बहकाए, कि यहोवा हम को बचाएगा, तब उसकी न सुनना।

Tab main aakar tum ko aise desh mein le jaoonga, jo tumhare desh ke samaan anaaj aur naye dakhamdhu ka desh, roti aur dakhbariyon ka desh, jalpaiyon aur madhu ka desh hai, vahan tum maroge nahi, jeevit rahoge; to jab hijkiyyaah yah kah kar tum ko bahkaye, ki Yahowa ham ko bachayega, tab uski na sunna.

33

क्या और जातियों के देवताओं ने अपने अपने देश को अश्शूर के राजा के हाथ से कभी बचाया है?

Kya aur jatiyon ke devtaon ne apne apne desh ko ashshoor ke raja ke haath se kabhi bachaya hai?

34

हमात और अर्पाद के देवता कहां रहे? सपवैंम, हेना और इव्वा के देवता कहां रहे? क्या उन्होंने शोमरोन को मेरे हाथ से बचाया है,

Hamaat aur arpaad ke devta kahan rahe? Sapvaimm, hena aur ivva ke devta kahan rahe? Kya unhonne shomron ko mere haath se bachaya hai,

35

देश देश के सब देवताओं में से ऐसा कौन है, जिसने अपने देश को मेरे हाथ से बचाया हो? फिर क्या यहोवा यरूशलेम को मेरे हाथ से बचाएगा।

Desh desh ke sab devtaon mein se aisa kaun hai, jisne apne desh ko mere haath se bachaya ho? Phir kya Yahowa Yerushalem ko mere haath se bachayega.

36

परन्तु सब लोग चुप रहे और उसके उत्तर में एक बात भी न कही, क्योंकि राजा की ऐसी आज्ञा थी, कि उसको उत्तर न देना।

Parantu sab log chup rahe aur uske uttar mein ek baat bhi na kahi, kyonki raja ki aisi aagya thi, ki usko uttar na dena.

37

तब हिलकिय्याह का पुत्र एल्याकीम जो राजघराने के काम पर था, और शेब्ना जो मन्त्री था, और आसाप का पुत्र योआह जो इतिहास का लिखने वाला था, अपने वस्त्र फाड़े हुए, हिजकिय्याह के पास जा कर रबशाके की बातें कह सुनाईं।

Tab hilkiyyaah ka putra elyakeem jo rajaghrane ke kaam par tha, aur shebna jo mantri tha, aur aasaap ka putra yoaah jo itihaas ka likhne vala tha, apne vastra phade hue, hijkiyyaah ke paas ja kar rabshake ki batein kah sunai.