2 Kings 17 · 41 verses

2 राजाओं 17 2 Kings 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 17.

1

यहूदा के राजा आहाज के बारहवें वर्ष में एला का पुत्र होशे शोमरोन में, इस्राएल पर राज्य करने लगा, और नौ वर्ष तक राज्य करता रहा।

Yahuda ke raja aahaaj ke barahvein varsh mein ela ka putra hoshe shomron mein, Israel par rajya karne laga, aur nau varsh tak rajya karta raha.

2

उसने वही किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था, परन्तु इस्राएल के उन राजाओं के बराबर नहीं जो उस से पहिले थे।

Usne vahi kiya jo Yahowa ki drishti mein bura tha, parantu Israel ke un rajaon ke barabar nahi jo us se pahile the.

3

उस पर अश्शूर के राजा शल्मनेसेर ने चढ़ाई की, और होशे उसके आधीन हो कर, उसको भेंट देने लगा।

Us par ashshoor ke raja shalmaneser ne chadhai ki, aur hoshe uske aadheen ho kar, usko bhent dene laga.

4

परन्तु अश्शूर के राजा ने होशे को राजद्रोह की गोष्ठी करने वाला जान लिया, क्योंकि उसने “सो” नाम मिस्र के राजा के पास दूत भेजे, और अश्शूर के राजा के पास सालियाना भेंट भेजनी छोड़ दी; इस कारण अश्शूर के राजा ने उसको बन्द किया, और बेड़ी डालकर बन्दीगृह में डाल दिया।

Parantu ashshoor ke raja ne hoshe ko rajadroh ki goshthi karne vala jaan liya, kyonki usne “so” naam Misr ke raja ke paas doot bheje, aur ashshoor ke raja ke paas saliyana bhent bhejni chhod di; is karan ashshoor ke raja ne usko band kiya, aur bedi dalkar bandeegrih mein daal diya.

5

तब अश्शूर के राजा ने पूरे देश पर चढ़ाई की, और शोमरोन को जा कर तीन वर्ष तक उसे घेरे रहा।

Tab ashshoor ke raja ne poore desh par chadhai ki, aur shomron ko ja kar teen varsh tak use ghere raha.

6

होशे के नौवें वर्ष में अश्शूर के राजा ने शोमरोन को ले लिया, और इस्राएल को अश्शूर में ले जा कर, हलह में और गोजान की नदी हाबोर के पास और मादियों के नगरों में बसाया।

Hoshe ke nauvein varsh mein ashshoor ke raja ne shomron ko le liya, aur Israel ko ashshoor mein le ja kar, halah mein aur gojaan ki nadi habor ke paas aur madiyon ke nagron mein basaya.

7

इसका यह कारण है, कि यद्यपि इस्राएलियों का परमेश्वर यहोवा उन को मिस्र के राजा फ़िरौन के हाथ से छुड़ा कर मिस्र देश से निकाल लाया था, तौभी उन्होंने उसके विरुद्ध पाप किया, और पराये देवताओं का भय माना।

Iska yah karan hai, ki yadyapi Israeliyon ka Parmeshwar Yahowa un ko Misr ke raja firaun ke haath se chhuda kar Misr desh se nikaal laya tha, taubhi unhonne uske viruddh paap kiya, aur paraye devtaon ka bhay mana.

8

और जिन जातियों को यहोवा ने इस्राएलियों के साम्हने से देश से निकाला था, उनकी रीति पर, और अपने राजाओं की चलाई हुई रीतियों पर चलते थे।

Aur jin jatiyon ko Yahowa ne Israeliyon ke samhane se desh se nikala tha, unki reeti par, aur apne rajaon ki chalai hui reetiyon par chalte the.

9

और इस्राएलियों ने कपट कर के अपने परमेश्वर यहोवा के विरुद्ध अनुचित काम किए, अर्थात पहरुओं के गुम्मट से ले कर गढ़ वाले नगर तक अपनी सारी बस्तियों में ऊंचे स्थान बना लिए;

Aur Israeliyon ne kapat kar ke apne Parmeshwar Yahowa ke viruddh anuchit kaam kiye, arthaat pahruon ke gummat se le kar gadh vale nagar tak apni sari bastiyon mein oonche sthaan bana liye;

10

और सब ऊंची पहाड़ियों पर, और सब हरे वृक्षों के तले लाठें और अशेरा खड़े कर लिए।

Aur sab oonchi pahadiyon par, aur sab hare vrikshon ke tale lathein aur ashera khade kar liye.

11

और ऐसे ऊंचे स्थानों में उन जातियों की नाईं जिन को यहोवा ने उनके साम्हने से निकाल दिया था, धूप जलाया, और यहोवा को क्रोध दिलाने के योग्य बुरे काम किए।

Aur aise oonche sthanon mein un jatiyon ki nai jin ko Yahowa ne unke samhane se nikaal diya tha, dhoop jalaya, aur Yahowa ko krodh dilane ke yogya bure kaam kiye.

12

और मूरतों की उपासना की, जिसके विषय यहोवा ने उन से कहा था कि तुम यह काम न करना।

Aur moorton ki upasna ki, jiske vishay Yahowa ne un se kaha tha ki tum yah kaam na karna.

13

तौभी यहोवा ने सब भविष्यद्वक्ताओं और सब दर्शियों के द्वारा इस्राएल और यहूदा को यह कह कर चिताया था, कि अपनी बुरी चाल छोड़ कर उस सारी व्यवस्था के अनुसार जो मैं ने तुम्हारे पुरखाओं को दी थी, और अपने दास भविष्यद्वक्ताओं के हाथ तुम्हारे पास पहुंचाई है, मेरी आज्ञाओं और विधियों को माना करो।

Taubhi Yahowa ne sab bhavishyadwaktaon aur sab darshiyon ke dwara Israel aur Yahuda ko yah kah kar chitaya tha, ki apni buri chaal chhod kar us sari vyavastha ke anusaar jo main ne tumhare purkhaon ko di thi, aur apne daas bhavishyadwaktaon ke haath tumhare paas pahunchai hai, meri aagyaon aur vidhiyon ko mana karo.

14

परन्तु उन्होंने न माना, वरन अपने उन पुरखाओं की नाईं, जिन्होंने अपने परमेश्वर यहोवा का विश्वास न किया था, वे भी हठीले बन गए।

Parantu unhonne na mana, varan apne un purkhaon ki nai, jinhonne apne Parmeshwar Yahowa ka vishwaas na kiya tha, ve bhi hatheele ban gaye.

15

और वे उसकी विधियों और अपने पुरखाओं के साथ उसकी वाचा, और जो चितौनियां उसने उन्हें दी थीं, उन को तुच्छ जान कर, निकम्मी बातों के पीछे हो लिए; जिस से वे आप निकम्मे हो गए, और अपने चारों ओर की उन जातियों के पीछे भी हो लिए जिनके विषय यहोवा ने उन्हें आज्ञा दी थी कि उनके से काम न करना।

Aur ve uski vidhiyon aur apne purkhaon ke saath uski vacha, aur jo chitauniyan usne unhein di thi, un ko tuchchh jaan kar, nikammi baton ke peechhe ho liye; jis se ve aap nikamme ho gaye, aur apne charon or ki un jatiyon ke peechhe bhi ho liye jinke vishay Yahowa ne unhein aagya di thi ki unke se kaam na karna.

16

वरन उन्होंने अपने परमेश्वर यहोवा की सब आज्ञाओं को त्याग दिया, और दो बछड़ों की मूरतें ढाल कर बनाईं, और अशेरा भी बनाईं; और आकाश के सारे गणों को दण्डवत की, और बाल की उपासना की।

Varan unhonne apne Parmeshwar Yahowa ki sab aagyaon ko tyaag diya, aur do bachhdon ki moortein dhaal kar banai, aur ashera bhi banai; aur aakaash ke sare ganon ko dandavat ki, aur baal ki upasna ki.

17

और अपने बेटे-बेटियों को आग में होम कर के चढ़ाया; और भावी कहने वालों से पूछने, और टोना करने लगे; और जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था जिस से वह क्रोधित भी होता है, उसके करने को अपनी इच्छा से बिक गए।

Aur apne bete-betiyon ko aag mein hom kar ke chadhaya; aur bhavi kahne valon se poochhne, aur tona karne lage; aur jo Yahowa ki drishti mein bura tha jis se vah krodhit bhi hota hai, uske karne ko apni ichchha se bik gaye.

18

इस कारण यहोवा इस्राएल से अति क्रोधित हुआ, और उन्हें अपने साम्हने से दूर कर दिया; यहूदा का गोत्र छोड़ और कोई बचा न रहा।

Is karan Yahowa Israel se ati krodhit huaa, aur unhein apne samhane se door kar diya; Yahuda ka gotra chhod aur koi bacha na raha.

19

यहूदा ने भी अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञाएं न मानीं, वरन जो विधियां इस्राएल ने चलाई थीं, उन पर चलने लगे।

Yahuda ne bhi apne Parmeshwar Yahowa ki aagyayen na mani, varan jo vidhiyan Israel ne chalai thi, un par chalne lage.

20

तब यहोवा ने इस्राएल की सारी सन्तान को छोड़ कर, उन को दु:ख दिया, और लूटने वालों के हाथ कर दिया, और अन्त में उन्हें अपने साम्हने से निकाल दिया।

Tab Yahowa ne Israel ki sari santaan ko chhod kar, un ko dukh diya, aur lootne valon ke haath kar diya, aur ant mein unhein apne samhane se nikaal diya.

21

उसने इस्राएल को तो दाऊद के घराने के हाथ से छीन लिया, और उन्होंने नबात के पुत्र यारोबाम को अपना राजा बनाया; और यारोबाम ने इस्राएल को यहोवा के पीछे चलने से दूर खींच कर उन से बड़ा पाप कराया।

Usne Israel ko to Daud ke gharane ke haath se chheen liya, aur unhonne nabaat ke putra yarobaam ko apna raja banaya; aur yarobaam ne Israel ko Yahowa ke peechhe chalne se door kheench kar un se bada paap karaya.

22

सो जैसे पाप यारोबाम ने किए थे, वैसे ही पाप इस्राएली भी करते रहे, और उन से अलग न हुए।

So jaise paap yarobaam ne kiye the, vaise hi paap Israeli bhi karte rahe, aur un se alag na hue.

23

अन्त में यहोवा ने इस्राएल को अपने साम्हने से दूर कर दिया, जैसे कि उसने अपने सब दास भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा कहा था। इस प्रकार इस्राएल अपने देश से निकाल कर अश्शूर को पहुंचाया गया, जहां वह आज के दिन तक रहता है।

Ant mein Yahowa ne Israel ko apne samhane se door kar diya, jaise ki usne apne sab daas bhavishyadwaktaon ke dwara kaha tha. Is prakaar Israel apne desh se nikaal kar ashshoor ko pahunchaya gaya, jahan vah aaj ke din tak rahta hai.

24

और अश्शूर के राजा ने बाबेल, कूता, अब्वा हमात और सपवैंम नगरों से लोगों को लाकर, इस्राएलियों के स्थान पर शोमरोन के नगरों में बसाया; सो वे शोमरोन के अधिकारी हो कर उसके नगरों में रहने लगे।

Aur ashshoor ke raja ne babel, koota, abva hamaat aur sapvaimm nagron se logon ko lakar, Israeliyon ke sthaan par shomron ke nagron mein basaya; so ve shomron ke adhikari ho kar uske nagron mein rahne lage.

25

जब वे वहां पहिले पहिले रहने लगे, तब यहोवा का भय न मानते थे, इस कारण यहोवा ने उनके बीच सिंह भेजे, जो उन को मार डालने लगे।

Jab ve vahan pahile pahile rahne lage, tab Yahowa ka bhay na mante the, is karan Yahowa ne unke beech sinh bheje, jo un ko maar dalne lage.

26

इस कारण उन्होंने अश्शूर के राजा के पास कहला भेजा कि जो जातियां तू ने उनके देशों से निकाल कर शोमरोन के नगरों में बसा दी हैं, वे उस देश के देवता की रीति नहीं जानतीं, उस से उसने उसके मध्य सिंह भेजे हैं जो उन को इसलिये मार डालते हैं कि वे उस देश के देवता की रीति नहीं जानते।

Is karan unhonne ashshoor ke raja ke paas kahla bheja ki jo jatiyan tu ne unke deshon se nikaal kar shomron ke nagron mein basa di hain, ve us desh ke devta ki reeti nahi janti, us se usne uske madhya sinh bheje hain jo un ko isliye maar dalte hain ki ve us desh ke devta ki reeti nahi jante.

27

तब अश्शूर के राजा ने आज्ञा दी, कि जिन याजकों को तुम उस देश से ले आए, उन में से एक को वहां पहुंचा दो; और वह वहां जा कर रहे, और वह उन को उस देश के देवता की रीति सिखाए।

Tab ashshoor ke raja ne aagya di, ki jin yajkon ko tum us desh se le aaye, un mein se ek ko vahan pahuncha do; aur vah vahan ja kar rahe, aur vah un ko us desh ke devta ki reeti sikhaye.

28

तब जो याजक शोमरोन से निकाले गए थे, उन में से एक जा कर बेतेल में रहने लगा, और उन को सिखाने लगा कि यहोवा का भय किस रीति से मानना चाहिये।

Tab jo yajak shomron se nikale gaye the, un mein se ek ja kar betel mein rahne laga, aur un ko sikhane laga ki Yahowa ka bhay kis reeti se manna chahiye.

29

तौभी एक एक जाति के लोगों ने अपने अपने निज देवता बना कर, अपने अपने बसाए हुए नगर में उन ऊंचे स्थानों के भवनों में रखा जो शोमरोनियों ने बसाए थे।

Taubhi ek ek jati ke logon ne apne apne nij devta bana kar, apne apne basaye hue nagar mein un oonche sthanon ke bhavnon mein rakha jo shomroniyon ne basaye the.

30

बाबेल के मनुष्यों ने तो सुक्कोतबनोत को, कूत के मनुष्यों ने नेर्गल को, हमात के मनुष्यों ने अशीमा को,

Babel ke manushyon ne to sukkotabnot ko, koot ke manushyon ne nergal ko, hamaat ke manushyon ne asheema ko,

31

और अव्वियों ने निभज, और तर्त्ताक को स्थापित किया; और सपवैंमी लोग अपने बेटों को अद्रम्मेलेक और अनम्मेलेक नाम सपवैंम के देवताओं के लिये होम कर के चढ़ाने लगे।

Aur avviyon ne nibhaj, aur tarttaak ko sthapit kiya; aur sapvaimmi log apne beton ko adrammelek aur anammelek naam sapvaimm ke devtaon ke liye hom kar ke chadhane lage.

32

यों वे यहावा का भय मानते तो थे, परन्तु सब प्रकार के लोगों में से ऊंचे स्थानों के याजक भी ठहरा देते थे, जो ऊंचे स्थानों के भवनों में उनके लिये बलि करते थे।

Yon ve yahava ka bhay mante to the, parantu sab prakaar ke logon mein se oonche sthanon ke yajak bhi thahra dete the, jo oonche sthanon ke bhavnon mein unke liye bali karte the.

33

वे यहोवा का भय मानते तो थे, परन्तु उन जातियों की रीति पर, जिनके बीच से वे निकाले गए थे, अपने अपने देवताओं की भी उपासना करते रहे।

Ve Yahowa ka bhay mante to the, parantu un jatiyon ki reeti par, jinke beech se ve nikale gaye the, apne apne devtaon ki bhi upasna karte rahe.

34

आज के दिन तक वे अपनी पहिली रीतियों पर चलते हैं, वे यहोवा का भय नहीं मानते।

Aaj ke din tak ve apni pahili reetiyon par chalte hain, ve Yahowa ka bhay nahi mante.

35

न तो अपनी विधियों और नियमों पर और न उस व्यवस्था और आज्ञा के अनुसार चलते हैं, जो यहोवा ने याकूब की सन्तान को दी थी, जिसका नाम उसने इस्राएल रखा था। उन से यहोवा ने वाचा बान्धकर उन्हें यह आज्ञा दी थी, कि तुम पराये देवताओं का भय न मानना और न उन्हें दण्डवत करना और न उनकी उपासना करना और न उन को बलि चढ़ाना।

Na to apni vidhiyon aur niymon par aur na us vyavastha aur aagya ke anusaar chalte hain, jo Yahowa ne Yakub ki santaan ko di thi, jiska naam usne Israel rakha tha. Un se Yahowa ne vacha bandhakar unhein yah aagya di thi, ki tum paraye devtaon ka bhay na manna aur na unhein dandavat karna aur na unki upasna karna aur na un ko bali chadhana.

36

परन्तु यहोवा जो तुम को बड़े बल और बढ़ाई हुई भुजा के द्वारा मिस्त्र देश से निकाल ले आया, तुम उसी का भय मानना, उसी को दण्डवत करना और उसी को बलि चढ़ाना।

Parantu Yahowa jo tum ko bade bal aur badhai hui bhuja ke dwara mistra desh se nikaal le aaya, tum usi ka bhay manna, usi ko dandavat karna aur usi ko bali chadhana.

37

और उसने जो जो विधियां और नियम और जो व्यवस्था और आज्ञाएं तुम्हारे लिये लिखीं, उन्हें तुम सदा चौकसी से मानते रहो; और पराये देवताओं का भय न मानना।

Aur usne jo jo vidhiyan aur niyam aur jo vyavastha aur aagyayen tumhare liye likhi, unhein tum sada chauksi se mante raho; aur paraye devtaon ka bhay na manna.

38

और जो वाचा मैं ने तुम्हारे साथ बान्धी है, उसे न भूलना और पराये देवताओं का भय न मानना।

Aur jo vacha main ne tumhare saath bandhi hai, use na bhoolna aur paraye devtaon ka bhay na manna.

39

केवल अपने परमेश्वर यहोवा का भय मानना, वही तुम को तुम्हारे सब शत्रुओं के हाथ से बचाएगा।

Keval apne Parmeshwar Yahowa ka bhay manna, vahi tum ko tumhare sab shatruon ke haath se bachayega.

40

तौभी उन्होंने न माना, परन्तु वे अपनी पहिली रीति के अनुसार करते रहे।

Taubhi unhonne na mana, parantu ve apni pahili reeti ke anusaar karte rahe.

41

अतएव वे जातियां यहोवा का भय मानती तो थीं, परन्तु अपनी खुदी हुई मूरतों की उपासना भी करती रहीं, और जैसे वे करते थे वैसे ही उनके बेटे पोते भी आज के दिन तक करते हैं।

Atayev ve jatiyan Yahowa ka bhay manti to thi, parantu apni khudi hui moorton ki upasna bhi karti rahi, aur jaise ve karte the vaise hi unke bete pote bhi aaj ke din tak karte hain.