2 Kings 16 · 20 verses

2 राजाओं 16 2 Kings 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 16.

1

रमल्याह के पुत्र पेकह के सत्रहवें वर्ष में यहूदा के राजा योताम का पुत्र आहाज राज्य करने लगा।

Ramalyaah ke putra pekah ke satrahvein varsh mein Yahuda ke raja yotaam ka putra aahaaj rajya karne laga.

2

जब आहाज राज्य करने लगा, तब वह बीस वर्ष का था, और सोलह वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और उसने अपने मूलपुरुष दाऊद का सा काम नहीं किया, जो उसके परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में ठीक था।

Jab aahaaj rajya karne laga, tab vah bees varsh ka tha, aur solah varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur usne apne moolpurush Daud ka sa kaam nahi kiya, jo uske Parmeshwar Yahowa ki drishti mein theek tha.

3

परन्तु वह इस्राएल के राजाओं की सी चाल चला, वरन उन जातियों के घिनौने कामों के अनुसार, जिन्हें यहोवा ने इस्राएलियों के साम्हने से देश से निकाल दिया था, उसने अपने बेटे को भी आग में होम कर दिया।

Parantu vah Israel ke rajaon ki si chaal chala, varan un jatiyon ke ghinaune kamon ke anusaar, jinhein Yahowa ne Israeliyon ke samhane se desh se nikaal diya tha, usne apne bete ko bhi aag mein hom kar diya.

4

और ऊंचे स्थानों पर, और पहाड़ियों पर, और सब हरे वृक्षों के तले, वह बलि चढ़ाया और धूप जलाया करता था।

Aur oonche sthanon par, aur pahadiyon par, aur sab hare vrikshon ke tale, vah bali chadhaya aur dhoop jalaya karta tha.

5

तब अराम के राजा रसीन, और रमल्याह के पुत्र इस्राएल के राजा पेकह ने लड़ने के लिये यरूशलेम पर चढ़ाई की, और उन्होंने आहाज को घेर लिया, परन्तु युद्ध कर के उन से कुछ बन न पड़ा।

Tab araam ke raja raseen, aur ramalyaah ke putra Israel ke raja pekah ne ladne ke liye Yerushalem par chadhai ki, aur unhonne aahaaj ko gher liya, parantu yuddh kar ke un se kuchh ban na pada.

6

उस समय अराम के राजा रसीन ने, एलत को अराम के वश में कर के, यहूदियों को वहां से निकाल दिया; तब अरामी लोग एलत को गए, और आज के दिन तक वहां रहते हैं।

Us samay araam ke raja raseen ne, elat ko araam ke vash mein kar ke, Yahudiyon ko vahan se nikaal diya; tab arami log elat ko gaye, aur aaj ke din tak vahan rahte hain.

7

और आहाज ने दूत भेज कर अश्शूर के राजा तिग्लत्पिलेसेर के पास कहला भेजा कि मुझे अपना दास, वरन बेटा जान कर चढ़ाई कर, और मुझे अराम के राजा और इस्राएल के राजा के हाथ से बचा जो मेरे विरुद्ध उठे हैं।

Aur aahaaj ne doot bhej kar ashshoor ke raja tiglatpileser ke paas kahla bheja ki mujhe apna daas, varan beta jaan kar chadhai kar, aur mujhe araam ke raja aur Israel ke raja ke haath se bacha jo mere viruddh uthe hain.

8

और आहाज ने यहोवा के भवन में और राजभवन के भणडारों में जितना सोना-चान्दी मिला उसे अश्शूर के राजा के पास भेंट कर के भेज दिया।

Aur aahaaj ne Yahowa ke bhavan mein aur rajabhvan ke bhandaron mein jitna sona-chandi mila use ashshoor ke raja ke paas bhent kar ke bhej diya.

9

उसकी मान कर अश्शूर के राजा ने दमिश्क पर चढ़ाई की, और उसे ले कर उसके लोगों को बन्धुआ कर के, कीर को ले गया, और रसीन को मार डाला।

Uski maan kar ashshoor ke raja ne damishk par chadhai ki, aur use le kar uske logon ko bandhuaa kar ke, keer ko le gaya, aur raseen ko maar dala.

10

तब राजा आहाज अश्शूर के राजा तिग्लत्पिलेसेर से भेंट करने के लिये दमिश्क को गया, और वहां की वेदी देख कर उसकी सब बनावट के अनुसार उसका नकशा ऊरिय्याह याजक के पास नमूना कर के भेज दिया।

Tab raja aahaaj ashshoor ke raja tiglatpileser se bhent karne ke liye damishk ko gaya, aur vahan ki vedi dekh kar uski sab banavat ke anusaar uska naksha ooriyyaah yajak ke paas namoona kar ke bhej diya.

11

और ठीक इसी नमूने के अनुसार जिसे राजा आहाज ने दमिश्क से भेजा था, ऊरिय्याह याजक ने राजा आहाज के दमिश्क से आने तक एक वेदी बना दी।

Aur theek isi namoone ke anusaar jise raja aahaaj ne damishk se bheja tha, ooriyyaah yajak ne raja aahaaj ke damishk se aane tak ek vedi bana di.

12

जब राजा दमिश्क से आया तब उसने उस वेदी को देखा, और उसके निकट जा कर उस पर बलि चढ़ाए।

Jab raja damishk se aaya tab usne us vedi ko dekha, aur uske nikat ja kar us par bali chadhaye.

13

उसी वेदी पर उसने अपना होमबलि और अन्नबलि जलाया, और अर्घ दिया और मेलबलियों का लोहू छिड़क दिया।

Usi vedi par usne apna homabli aur annabli jalaya, aur argh diya aur melabliyon ka lohu chhidak diya.

14

और पीतल की जो वेदी यहोवा के साम्हने रहती थी उसको उसने भवन के साम्हने से अर्थात अपनी वेदी और यहोवा के भवन के बीच से हटा कर, उस वेदी की उत्तर ओर रख दिया।

Aur peetal ki jo vedi Yahowa ke samhane rahti thi usko usne bhavan ke samhane se arthaat apni vedi aur Yahowa ke bhavan ke beech se hata kar, us vedi ki uttar or rakh diya.

15

तब राजा आहाज ने ऊरिय्याह याजक को यह आज्ञा दी, कि भोर के होमबलि और सांझ के अन्नबलि, राजा के होमबलि और उसके अन्नबलि, और सब साधारण लोगों के होमबलि और अर्घ बड़ी वेदी पर चढ़ाया कर, और होमबलियों और मेलबलियों का सब लोहू उस पर छिड़क; और पीतल की वेदी के विषय मैं विचार करूंगा।

Tab raja aahaaj ne ooriyyaah yajak ko yah aagya di, ki bhor ke homabli aur saanjh ke annabli, raja ke homabli aur uske annabli, aur sab sadharan logon ke homabli aur argh badi vedi par chadhaya kar, aur homabliyon aur melabliyon ka sab lohu us par chhidak; aur peetal ki vedi ke vishay main vichaar karoonga.

16

राजा आहाज की इस आज्ञा के अनुसार ऊरिय्याह याजक ने किया।

Raja aahaaj ki is aagya ke anusaar ooriyyaah yajak ne kiya.

17

फिर राजा आहाज ने कुर्सियों की पटरियों को काट डाला, और हौदियों को उन पर से उतार दिया, और बड़े हौद को उन पीतल के बैलों पर से जो उसके तले थे उतारकर, पत्थरों के फर्श पर धर दिया।

Phir raja aahaaj ne kursiyon ki patriyon ko kaat dala, aur haudiyon ko un par se utaar diya, aur bade haud ko un peetal ke bailon par se jo uske tale the utarkar, pattharon ke pharsh par dhar diya.

18

और विश्राम के दिन के लिये जो छाया हुआ स्थान भवन में बना था, और राजा के बाहर के प्रवेश करने का फाटक, उन को उसने अश्शूर के राजा के कारण यहोवा के भवन से अलग कर दिया।

Aur vishraam ke din ke liye jo chhaya huaa sthaan bhavan mein bana tha, aur raja ke bahar ke pravesh karne ka phatak, un ko usne ashshoor ke raja ke karan Yahowa ke bhavan se alag kar diya.

19

आहाज के और काम जो उसने किए, वे क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Aahaaj ke aur kaam jo usne kiye, ve kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

20

निदान आहाज अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसे उसके पुरखाओं के बीच दाऊदपुर में मिट्टी दी गई, और उसका पुत्र हिजकिय्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan aahaaj apne purkhaon ke sang so gaya aur use uske purkhaon ke beech daoodpur mein mitti di gai, aur uska putra hijkiyyaah uske sthaan par rajya karne laga.