2 Kings 15 · 38 verses

2 राजाओं 15 2 Kings 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 15.

1

इस्राएल के राजा यारोबाम के सताईसवें वर्ष में यहूदा के राजा अमस्याह का पुत्र अजर्याह राजा हुआ।

Israel ke raja yarobaam ke sataisvein varsh mein Yahuda ke raja amasyaah ka putra ajaryaah raja huaa.

2

जब वह राज्य करने लगा, तब सोलह वर्ष का था, और यरूशलेम में बावन वर्ष राज्य करता रहा। उसकी माता का नाम यकोल्याह था, जो यरूशलेम की थी।

Jab vah rajya karne laga, tab solah varsh ka tha, aur Yerushalem mein bavan varsh rajya karta raha. Uski mata ka naam yakolyaah tha, jo Yerushalem ki thi.

3

जैसे उसका पिता अमस्याह किया करता था जो यहोवा की दृष्टि में ठीक था, वैसे ही वह भी करता था।

Jaise uska pita amasyaah kiya karta tha jo Yahowa ki drishti mein theek tha, vaise hi vah bhi karta tha.

4

तौभी ऊंचे स्थान गिराए न गए; प्रजा के लोग उस समय भी उन पर बलि चढ़ाते, और धूप जलाते रहे।

Taubhi oonche sthaan giraye na gaye; praja ke log us samay bhi un par bali chadhate, aur dhoop jalate rahe.

5

और यहोवा ने उस राजा को ऐसा मारा, कि वह मरने के दिन तक कोढ़ी रहा, और अलग एक घर में रहता था। और योताम नाम राजपुत्र उसके घराने के काम पर अधिकारी हो कर देश के लोगों का न्याय करता था।

Aur Yahowa ne us raja ko aisa mara, ki vah marne ke din tak kodhi raha, aur alag ek ghar mein rahta tha. Aur yotaam naam rajputra uske gharane ke kaam par adhikari ho kar desh ke logon ka nyaay karta tha.

6

अजर्याह के और सब काम जो उसने किए, वह क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में तहीं लिखे हैं?

Ajaryaah ke aur sab kaam jo usne kiye, vah kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein tahi likhe hain?

7

निदान अजर्याह अपने पुरखाओं के संग सो गया और उस को दाऊदपुर में उसके पुरखाओं के बीच मिट्टी दी गई, और उसका पुत्र योताम उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan ajaryaah apne purkhaon ke sang so gaya aur us ko daoodpur mein uske purkhaon ke beech mitti di gai, aur uska putra yotaam uske sthaan par rajya karne laga.

8

यहूदा के राजा अजर्याह के अड़तीसवें वर्ष में यारोबाम का पुत्र जकर्याह इस्राएल पर शोमरोन में राज्य करने लगा, और छ: महीने राज्य किया।

Yahuda ke raja ajaryaah ke adteesvein varsh mein yarobaam ka putra jakaryaah Israel par shomron mein rajya karne laga, aur chha: maheene rajya kiya.

9

उसने अपने पुरखाओं की नाईं वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है, अर्थात नबात के पुत्र यारोबाम जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उसके पापों के अनुसार वह करता रहा, और उन से वह अलग न हुआ।

Usne apne purkhaon ki nai vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura hai, arthaat nabaat ke putra yarobaam jisne Israel se paap karaya tha, uske papon ke anusaar vah karta raha, aur un se vah alag na huaa.

10

और याबेश के पुत्र शल्लूम ने उस से राजद्रोह की गोष्ठी कर के उसको प्रजा के साम्हने मारा, और उसका घात कर के उसके स्थान पर राजा हुआ।

Aur yabesh ke putra shalloom ne us se rajadroh ki goshthi kar ke usko praja ke samhane mara, aur uska ghaat kar ke uske sthaan par raja huaa.

11

जकर्याह के और काम इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखे हैं।

Jakaryaah ke aur kaam Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likhe hain.

12

यों यहोवा का वह वचन पूरा हुआ, जो उसने येहू से कहा था, कि तेरे परपोते के पुत्र तक तेरी सन्तान इस्राएल की गद्दी पर बैठती जाएगी। और वैसा ही हुआ।

Yon Yahowa ka vah vachan poora huaa, jo usne yehu se kaha tha, ki tere parpote ke putra tak teri santaan Israel ki gaddi par baithti jayegi. Aur vaisa hi huaa.

13

यहूदा के राजा उज्जिय्याह के उनतालीसवें वर्ष में याबेश का पुत्र शल्लूम राज्य करने लगा, और महीने भर शोमरोन में राज्य करता रहा।

Yahuda ke raja ujjiyyaah ke untaleesvein varsh mein yabesh ka putra shalloom rajya karne laga, aur maheene bhar shomron mein rajya karta raha.

14

क्योंकि गादी के पुत्र मनहेम ने, तिर्सा से शोमरोन को जा कर याबेश के पुत्र शल्लूम को वहीं मारा, और उसे घात कर के उसके स्थान पर राजा हुआ।

Kyonki gadi ke putra manhem ne, tirsa se shomron ko ja kar yabesh ke putra shalloom ko vahi mara, aur use ghaat kar ke uske sthaan par raja huaa.

15

शल्लूम के और काम और उसने राजद्रोह की जो गोष्ठी की, यह सब इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखा है।

Shalloom ke aur kaam aur usne rajadroh ki jo goshthi ki, yah sab Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likha hai.

16

तब मनहेम ने तिर्सा से जा कर, सब निवासियों और आस पास के देश समेत तिप्सह को इस कारण मार लिया, कि तिप्सहियों ने उसके लिये फाटक न खोले थे, इस कारण उसने उन्हें मार लिया, और उस में जितनी गर्भवती स्त्रियां थीं, उस सभों को चीर डाला।

Tab manhem ne tirsa se ja kar, sab nivasiyon aur aas paas ke desh samet tipsah ko is karan maar liya, ki tipsahiyon ne uske liye phatak na khole the, is karan usne unhein maar liya, aur us mein jitni garbhavti striyan thi, us sabhon ko cheer dala.

17

यहूदा के राजा अजर्याह के उनतालीसवें वर्ष में गादी का पुत्र मनहेम इस्राएल पर राज्य करने लगा, और दस वर्ष शोमरोन में राज्य करता रहा।

Yahuda ke raja ajaryaah ke untaleesvein varsh mein gadi ka putra manhem Israel par rajya karne laga, aur das varsh shomron mein rajya karta raha.

18

उसने वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था, अर्थात नबात के पुत्र यारोबाम जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उसके पापों के अनुसार वह करता रहा, और उन से वह जीवन भर अलग न हुआ।

Usne vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura tha, arthaat nabaat ke putra yarobaam jisne Israel se paap karaya tha, uske papon ke anusaar vah karta raha, aur un se vah jeevan bhar alag na huaa.

19

अश्शूर के राजा पूल ने देश पर चढ़ाई की, और मनहेम ने उसको हजार किक्कार चान्दी इस इच्छा से दी, कि वह उसका सहायक हो कर राज्य को उसके हाथ में स्थिर रखे।

Ashshoor ke raja pool ne desh par chadhai ki, aur manhem ne usko hajaar kikkaar chandi is ichchha se di, ki vah uska sahayak ho kar rajya ko uske haath mein sthir rakhe.

20

यह चान्दी अश्शूर के राजा को देने के लिये मनहेम ने बड़े बड़े धनवान इस्राएलियों से ले ली, एक एक पुरुष को पचास पचास शेकेल चान्दी देनी पड़ी; तब अश्शूर का राजा देश को छोड़ कर लौट गया।

Yah chandi ashshoor ke raja ko dene ke liye manhem ne bade bade dhanvaan Israeliyon se le li, ek ek purush ko pachaas pachaas shekel chandi deni padi; tab ashshoor ka raja desh ko chhod kar laut gaya.

21

मनहेम के और काम जो उसने किए, वे सब क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Manhem ke aur kaam jo usne kiye, ve sab kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

22

निदान मनहेम अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसका पुत्र पकहयाह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan manhem apne purkhaon ke sang so gaya aur uska putra pakahyaah uske sthaan par rajya karne laga.

23

यहूदा के राजा अजर्याह के पचासवें वर्ष में मनहेम का पुत्र पकह्याह शोमरोन में इस्राएल पर राज्य करने लगा, और दो वर्ष तक राज्य करता रहा।

Yahuda ke raja ajaryaah ke pachasvein varsh mein manhem ka putra pakahyaah shomron mein Israel par rajya karne laga, aur do varsh tak rajya karta raha.

24

उसने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था, अर्थात नबात के पुत्र यारोबाम जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उसके पापों के अनुसार वह करता रहा, और उन से वह अलग न हुआ।

Usne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein bura tha, arthaat nabaat ke putra yarobaam jisne Israel se paap karaya tha, uske papon ke anusaar vah karta raha, aur un se vah alag na huaa.

25

उसके सरदार रमल्याह के पुत्र पेकह ने उस से राजद्रोह की गोष्ठी कर के, शोमरोन के राजभवन के गुम्मट में उसको और उसके संग अर्गोब और अर्ये को मारा; और पेकह के संग पचास गिलादी पुरुष थे, और वह उसका घात कर के उसके स्थान पर राजा बन गया।

Uske sardaar ramalyaah ke putra pekah ne us se rajadroh ki goshthi kar ke, shomron ke rajabhvan ke gummat mein usko aur uske sang argob aur arye ko mara; aur pekah ke sang pachaas giladi purush the, aur vah uska ghaat kar ke uske sthaan par raja ban gaya.

26

पकह्याह के और सब काम जो उसने किए, वह इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखे हैं।

Pakahyaah ke aur sab kaam jo usne kiye, vah Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likhe hain.

27

यहूदा के राजा अजर्याह के बावनवें वर्ष में रमल्याह का पुत्र पेकह शोमरोन में इस्राएल पर राज्य करने लगा, और बीस वर्ष तक राज्य करता रहा।

Yahuda ke raja ajaryaah ke bavanvein varsh mein ramalyaah ka putra pekah shomron mein Israel par rajya karne laga, aur bees varsh tak rajya karta raha.

28

उसने वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था, अर्थात नबात के पुत्र यारोबाम, जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उसके पापों के अनुसार वह करता रहा, और उन से वह अलग न हुआ।

Usne vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura tha, arthaat nabaat ke putra yarobaam, jisne Israel se paap karaya tha, uske papon ke anusaar vah karta raha, aur un se vah alag na huaa.

29

इस्राएल के राजा पेकह के दिनों में अश्शूर के राजा तिग्लत्पिलेसेर ने आकर इय्योन, अबेल्बेत्माका, यानोह, केदेश और हासोर नाम नगरों को और गिलाद और गलील, वरन नप्ताली के पूरे देश को भी ले लिया, और उनके लोगों को बन्धुआ कर के अश्शूर को ले गया।

Israel ke raja pekah ke dinon mein ashshoor ke raja tiglatpileser ne aakar iyyon, abelbetmaka, yanoh, kedesh aur hasor naam nagron ko aur gilaad aur galeel, varan naptali ke poore desh ko bhi le liya, aur unke logon ko bandhuaa kar ke ashshoor ko le gaya.

30

उजिय्याह के पुत्र योताम के बीसवें वर्ष में एला के पुत्र होशे ने रमल्याह के पुत्र पेकह से राजद्रोह की गोष्ठी कर के उसे मारा, और उसे घात कर के उसके स्थान पर राजा बन गया।

Ujiyyaah ke putra yotaam ke beesvein varsh mein ela ke putra hoshe ne ramalyaah ke putra pekah se rajadroh ki goshthi kar ke use mara, aur use ghaat kar ke uske sthaan par raja ban gaya.

31

पेकह के और सब काम जो उसने किए वह इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखे हैं।

Pekah ke aur sab kaam jo usne kiye vah Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likhe hain.

32

रमल्याह के पुत्र इस्राएल के राजा पेकह के दूसरे वर्ष में यहूदा के राजा उजिय्याह का पुत्र योताम राजा हुआ।

Ramalyaah ke putra Israel ke raja pekah ke doosre varsh mein Yahuda ke raja ujiyyaah ka putra yotaam raja huaa.

33

जब वह राज्य करने लगा, तब पच्चीस वर्ष का था, और यरूशलेम में सोलह वर्ष तक राज्य करता रहा। और उसकी पाता का नाम यरूशा था जो सादोक की बेटी थी।

Jab vah rajya karne laga, tab pachchees varsh ka tha, aur Yerushalem mein solah varsh tak rajya karta raha. Aur uski pata ka naam yaroosha tha jo sadok ki beti thi.

34

उसने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में ठीक था, अर्थात जैसा उसके पिता उजिय्याह ने किया था, ठीक वैसा ही उसने भी किया।

Usne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein theek tha, arthaat jaisa uske pita ujiyyaah ne kiya tha, theek vaisa hi usne bhi kiya.

35

तौभी ऊंचे स्थान गिराए न गए, प्रजा के लोग उन पर उस समय भी बलि चढ़ाते और धूप जलाते रहे। यहोवा के भवन के ऊंचे फाटक को इसी ने बनाया था।

Taubhi oonche sthaan giraye na gaye, praja ke log un par us samay bhi bali chadhate aur dhoop jalate rahe. Yahowa ke bhavan ke oonche phatak ko isi ne banaya tha.

36

योताम के और सब काम जो उसने किए, वे क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Yotaam ke aur sab kaam jo usne kiye, ve kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

37

उन दिनों में यहोवा अराम के राजा रसीन को, और रमल्याह के पुत्र पेकह को, यहूदा के विरुद्ध भेजने लगा।

Un dinon mein Yahowa araam ke raja raseen ko, aur ramalyaah ke putra pekah ko, Yahuda ke viruddh bhejne laga.

38

निदान योताम अपने पुरखाओं के संग सो गया और अपने मूलपुरुष दाऊद के नगर में अपने पुरखाओं के बीच उसको मिट्टी दी गई, और उसका पुत्र आहाज उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Nidaan yotaam apne purkhaon ke sang so gaya aur apne moolpurush Daud ke nagar mein apne purkhaon ke beech usko mitti di gai, aur uska putra aahaaj uske sthaan par rajya karne laga.