इस्राएल के राजा यहोआहाज के पुत्र योआश के दूसरे वर्ष में यहूदा के राजा योआश का पुत्र अमस्याह राजा हुआ।
Israel ke raja yahoaahaaj ke putra yoaash ke doosre varsh mein Yahuda ke raja yoaash ka putra amasyaah raja huaa.
2 Kings 14 · 29 verses
इस्राएल के राजा यहोआहाज के पुत्र योआश के दूसरे वर्ष में यहूदा के राजा योआश का पुत्र अमस्याह राजा हुआ।
Israel ke raja yahoaahaaj ke putra yoaash ke doosre varsh mein Yahuda ke raja yoaash ka putra amasyaah raja huaa.
जब वह राज्य करने लगा। तब वह पच्चीस वर्ष का था, और यरूशलेम में उनतीस वर्ष राज्य करता रहा। और उसकी माता का नाम यहोअद्दीन था, जो यरूशलेम की थी।
Jab vah rajya karne laga. Tab vah pachchees varsh ka tha, aur Yerushalem mein untees varsh rajya karta raha. Aur uski mata ka naam yahoaddeen tha, jo Yerushalem ki thi.
उसने वह किया जो यहोवा की दृष्टि में ठीक था तौभी अपने मूल पुरुष दाऊद की नाईं न किया; उसने ठीक अपने पिता योआश के से काम किए।
Usne vah kiya jo Yahowa ki drishti mein theek tha taubhi apne mool purush Daud ki nai na kiya; usne theek apne pita yoaash ke se kaam kiye.
उसके दिनों में ऊंचे स्थान गिराए न गए; लोग तब भी उन पर बलि चढ़ाते, और धूप जलाते रहे।
Uske dinon mein oonche sthaan giraye na gaye; log tab bhi un par bali chadhate, aur dhoop jalate rahe.
जब राज्य उसके हाथ में स्थिर हो गया, तब उसने अपने उन कर्मचारियों को मार डाला, जिन्होंने उसके पिता राजा को मार डाला था।
Jab rajya uske haath mein sthir ho gaya, tab usne apne un karmachariyon ko maar dala, jinhonne uske pita raja ko maar dala tha.
परन्तु उन खूनियों के लड़के-बालों को उसने न मार डाला, क्योंकि यहोवा की यह आज्ञा मूसा की व्यवस्था की पुस्तक में लिखी है, कि पुत्र के कारण पिता न मार डाला जाए, और पिता के कारण पुत्र न मार डाला जाए: जिसने पाप किया हो, वही उस पाप के कारण मार डाला जाए।
Parantu un khooniyon ke ladke-balon ko usne na maar dala, kyonki Yahowa ki yah aagya Musa ki vyavastha ki pustak mein likhi hai, ki putra ke karan pita na maar dala jaye, aur pita ke karan putra na maar dala jaye: jisne paap kiya ho, vahi us paap ke karan maar dala jaye.
उसी अमस्याह ने लोन की तराई में दस हजार एदोमी पुरुष मार डाले, और सेला नगर से युद्ध कर के उसे ले लिया, और उसका नाम योक्तेल रखा, और वह नाम आज तक चलता है।
Usi amasyaah ne lon ki tarai mein das hajaar edomi purush maar dale, aur sela nagar se yuddh kar ke use le liya, aur uska naam yoktel rakha, aur vah naam aaj tak chalta hai.
तब अमस्याह ने इस्राएल के राजा योआश के पास जो येहू का पोता और यहोआहाज का पुत्र था दूतों से कहला भेजा, कि आ हम एक दूसरे का साम्हना करें।
Tab amasyaah ne Israel ke raja yoaash ke paas jo yehu ka pota aur yahoaahaaj ka putra tha dooton se kahla bheja, ki aa ham ek doosre ka samhana karein.
इस्राएल के राजा योआश ने यहूदा के राजा अमस्याह के पास यों कहला भेजा, कि लबानोन पर की एक झड़बेरी ने लबानोन के एक देवदारु के पास कहला भेजा, कि अपनी बेटी मेरे बेटे को ब्याह दे; इतने में लबानोन में का एक बनपशु पास से चला गया और उस झड़बेरी को रौंद डाला।
Israel ke raja yoaash ne Yahuda ke raja amasyaah ke paas yon kahla bheja, ki labanon par ki ek jhadberi ne labanon ke ek devdaru ke paas kahla bheja, ki apni beti mere bete ko byaah de; itne mein labanon mein ka ek banapshu paas se chala gaya aur us jhadberi ko raund dala.
तू ने एदोमियों को जीता तो है इसलिये तू फूल उठा है। उसी पर बड़ाई मारता हुआ घर रह जा; तू अपनी हानि के लिये यहां क्यों हाथ उठाता है, जिस से तू क्या वरन यहूदा भी नीचा खाएगा?
Tu ne edomiyon ko jeeta to hai isliye tu phool utha hai. Usi par badai marta huaa ghar rah ja; tu apni hani ke liye yahan kyon haath uthata hai, jis se tu kya varan Yahuda bhi neecha khayega?
परन्तु अमस्याह ने न माना। तब इस्राएल के राजा योआश ने चढाई की, और उसने और यहूदा के राजा अमस्याह ने यहूदा देश के बेतशेमेश में एक दूसरे का साम्हना किया।
Parantu amasyaah ne na mana. Tab Israel ke raja yoaash ne chadhai ki, aur usne aur Yahuda ke raja amasyaah ne Yahuda desh ke betshemesh mein ek doosre ka samhana kiya.
और यहूदा इस्राएल से हार गया, और एक एक अपने अपने डेरे को भागा।
Aur Yahuda Israel se haar gaya, aur ek ek apne apne dere ko bhaga.
तब इस्राएल के राजा योआश ने यहूदा के राजा अमस्याह को जो अहज्याह का पोता, और योआश का पुत्र था, बेतशेमेश में पकड़ लिया, और यरूशलेम को गया, और यरूशलेम की शहरपनाह में से एप्रैमी फाटक से कोने वाले फाटक तक चार सौ हाथ गिरा दिए।
Tab Israel ke raja yoaash ne Yahuda ke raja amasyaah ko jo ahajyaah ka pota, aur yoaash ka putra tha, betshemesh mein pakad liya, aur Yerushalem ko gaya, aur Yerushalem ki shahrapnaah mein se epraimi phatak se kone vale phatak tak chaar sau haath gira diye.
और जितना सोना, चान्दी और जितने पात्र यहोवा के भवन में और राजभवन के भणडारों में मिले, उन सब को और बन्धक लोगों को भी ले कर वह शोमरोन को लौट गया।
Aur jitna sona, chandi aur jitne patra Yahowa ke bhavan mein aur rajabhvan ke bhandaron mein mile, un sab ko aur bandhak logon ko bhi le kar vah shomron ko laut gaya.
योआश के और काम जो उसने किए, ओर उसकी वीरता और उसने किस रीति यहूदा के राजा अमस्याह से युद्ध किया, यह सब क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?
Yoaash ke aur kaam jo usne kiye, or uski veerta aur usne kis reeti Yahuda ke raja amasyaah se yuddh kiya, yah sab kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?
निदान योआश अपने पुरखाओं के संग सो गया और उसे इस्राएल के राजाओं के बीच शोमरोन में मिट्टी दी गई; और उसका पुत्र यारोबाम उसके स्थान पर राज्य करने लगा।
Nidaan yoaash apne purkhaon ke sang so gaya aur use Israel ke rajaon ke beech shomron mein mitti di gai; aur uska putra yarobaam uske sthaan par rajya karne laga.
यहोआहाज के पुत्र इस्राएल के राजा यहोआश के मरने के बाद योआश का पुत्र यहूदा का राजा अमस्याह पन्द्रह वर्ष जीवित रहा।
Yahoaahaaj ke putra Israel ke raja yahoaash ke marne ke baad yoaash ka putra Yahuda ka raja amasyaah pandrah varsh jeevit raha.
अमस्याह के और काम क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?
Amasyaah ke aur kaam kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?
जब यरूशलेम में उसके विरुद्ध राजद्रोह की गोष्ठी की गई, तब वह लाकीश को भाग गया। सो उन्होंने लाकीश तक उसका पीछा कर के उसको वहां मार डाला।
Jab Yerushalem mein uske viruddh rajadroh ki goshthi ki gai, tab vah lakeesh ko bhaag gaya. So unhonne lakeesh tak uska peechha kar ke usko vahan maar dala.
तब वह घोड़ों पर रख कर यरूशलेम में पहुंचाया गया, और वहां उसके पुरखाओं के बीच उसको दाऊदपुर में मिट्टी दी गई।
Tab vah ghodon par rakh kar Yerushalem mein pahunchaya gaya, aur vahan uske purkhaon ke beech usko daoodpur mein mitti di gai.
तब सारी यहूदी प्रजा ने अजर्याह को ले कर, जो सोलह वर्ष का था, उसके पिता अमस्याह के स्थान पर राजा नियुक्त कर दिया।
Tab sari Yahudi praja ne ajaryaah ko le kar, jo solah varsh ka tha, uske pita amasyaah ke sthaan par raja niyukt kar diya.
जब राजा अमस्याह अपने पुरखाओं के संग सो गया, उसके बाद अजर्याह ने एलत को दृढ़ कर के यहूदा के वश में फिर कर लिया।
Jab raja amasyaah apne purkhaon ke sang so gaya, uske baad ajaryaah ne elat ko dridh kar ke Yahuda ke vash mein phir kar liya.
यहूदा के राजा योआश के पुत्र अमस्याह के राज्य के पन्द्रहवें वर्ष में इस्राएल के राजा योआश का पुत्र यारोबाम शोमरोन में राज्य करने लगा, और एकतालीस वर्ष राज्य करता रहा।
Yahuda ke raja yoaash ke putra amasyaah ke rajya ke pandrahvein varsh mein Israel ke raja yoaash ka putra yarobaam shomron mein rajya karne laga, aur ektalees varsh rajya karta raha.
उसने वह किया, जो यहोवा की दृष्टि में बुरा था; अर्थात नबात के पुत्र यारोबाम जिसने इस्राएल से पाप कराया था, उसके पापों के अनुसार वह करता रहा, और उन से वह अलग न हुआ।
Usne vah kiya, jo Yahowa ki drishti mein bura tha; arthaat nabaat ke putra yarobaam jisne Israel se paap karaya tha, uske papon ke anusaar vah karta raha, aur un se vah alag na huaa.
उसने इस्राएल का सिवाना हमात की घाटी से ले अराबा के ताल तक ज्यों का त्यों कर दिया, जैसा कि इस्राएल के परमेश्वर यहोवा ने अमित्तै के पुत्र अपने दास गथेपेरवासी योना भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा था।
Usne Israel ka sivana hamaat ki ghati se le araba ke taal tak jyon ka tyon kar diya, jaisa ki Israel ke Parmeshwar Yahowa ne amittai ke putra apne daas gathepervasi yona bhavishyadwakta ke dwara kaha tha.
क्योंकि यहोवा ने इस्राएल का दु:ख देखा कि बहुत ही कठिन है, वरन क्या बन्धुआ क्या स्वाधीन कोई भी बचा न रहा, और न इस्राएल के लिये कोई सहायक था।
Kyonki Yahowa ne Israel ka dukh dekha ki bahut hi kathin hai, varan kya bandhuaa kya swadheen koi bhi bacha na raha, aur na Israel ke liye koi sahayak tha.
यहोवा ने नहीं कहा था, कि मैं इस्राएल का नाम धरती पर से मिटा डालूंगा। सो उसने योआश के पुत्र यारोबाम के द्वारा उन को छुटकारा दिया।
Yahowa ne nahi kaha tha, ki main Israel ka naam dharti par se mita daloonga. So usne yoaash ke putra yarobaam ke dwara un ko chhutkara diya.
यारोबाम के और सब काम जो उसने किए, और कैसे पराक्रम के साथ उसने युद्ध किया, और दमिश्क और हमात को जो पहले यहूदा के राज्य में थे इस्राएल के वश में फिर मिला लिया, यह सब क्या इस्राएल के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखा है?
Yarobaam ke aur sab kaam jo usne kiye, aur kaise parakram ke saath usne yuddh kiya, aur damishk aur hamaat ko jo pahle Yahuda ke rajya mein the Israel ke vash mein phir mila liya, yah sab kya Israel ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likha hai?
निदान यारोबाम अपने पुरखाओं के संग जो इस्राएल के राजा थे सो गया, और उसका पुत्र जकर्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।
Nidaan yarobaam apne purkhaon ke sang jo Israel ke raja the so gaya, aur uska putra jakaryaah uske sthaan par rajya karne laga.