2 Kings 12 · 21 verses

2 राजाओं 12 2 Kings 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 12.

1

येहू के सातवें वर्ष में योआश राज्य करने लगा, और यरूशलेम में चालीस वर्ष तक राज्य करता रहा। उसकी माता का नाम सिब्या था जो बेर्शेबा की थी।

Yehu ke satvein varsh mein yoaash rajya karne laga, aur Yerushalem mein chalees varsh tak rajya karta raha. Uski mata ka naam sibya tha jo bersheba ki thi.

2

और जब तक यहोयादा याजक योआश को शिक्षा देता रहा, तब तक वह वही काम करता रहा जो यहोवा की दृष्टि में ठीक है।

Aur jab tak yahoyada yajak yoaash ko shiksha deta raha, tab tak vah vahi kaam karta raha jo Yahowa ki drishti mein theek hai.

3

तौभी ऊंचे स्थान गिराए न गए; प्रजा के लोग तब भी ऊंचे स्थान पर बलि चढ़ाते और धूप जलाते रहे।

Taubhi oonche sthaan giraye na gaye; praja ke log tab bhi oonche sthaan par bali chadhate aur dhoop jalate rahe.

4

और योआश ने याजकों से कहा, पवित्र की हुई वस्तुओं का जितना रुपया यहोवा के भवन में पहुंचाया जाए, अर्थात गिने हुए लोगों का रुपया और जितने रुपये के जो कोई योग्य ठहराया जाए, और जितना रुपया जिसकी इच्छा यहोवा के भवन में ले आने की हो,

Aur yoaash ne yajkon se kaha, pavitra ki hui vastuon ka jitna rupya Yahowa ke bhavan mein pahunchaya jaye, arthaat gine hue logon ka rupya aur jitne rupye ke jo koi yogya thahraya jaye, aur jitna rupya jiski ichchha Yahowa ke bhavan mein le aane ki ho,

5

इन सब को याजक लोग अपनी जान पहचान के लोगों से लिया करें और भवन में जो कुछ टूटा फूटा हो उसको सुधार दें।

In sab ko yajak log apni jaan pahchaan ke logon se liya karein aur bhavan mein jo kuchh toota phoota ho usko sudhaar dein.

6

तौभी याजकों ने भवन में जो टूटा फूटा था, उसे योआश राजा के तेईसवें वर्ष तक नहीं सुधारा था।

Taubhi yajkon ne bhavan mein jo toota phoota tha, use yoaash raja ke teisvein varsh tak nahi sudhara tha.

7

इसलिये राजा योआश ने यहोयादा याजक, और और याजकों को बुलवा कर पूछा, भवन में जो कुछ टूटा फूटा है, उसे तुम क्यों नहीं सुधारते? अब से अपनी जान पहचान के लोगों से और रुपया न लेना, और जो तुम्हें मिले, उसे भवन के सुधारने के लिये दे देना।

Isliye raja yoaash ne yahoyada yajak, aur aur yajkon ko bulva kar poochha, bhavan mein jo kuchh toota phoota hai, use tum kyon nahi sudharte? Ab se apni jaan pahchaan ke logon se aur rupya na lena, aur jo tumhein mile, use bhavan ke sudharne ke liye de dena.

8

तब याजकों ने मानलिया कि न तो हम प्रजा से और रुपया लें और न भवन को सुधारें।

Tab yajkon ne manliya ki na to ham praja se aur rupya lein aur na bhavan ko sudharein.

9

तब यहोयादा याजक ने एक सन्दूक ले, उस के ढकने में छेद कर के उसको यहोवा के भवन में आने वालों के दाहिने हाथ पर वेदी के पास धर दिया; और द्वार की रखवाली करने वाले याजक उस में वह सब रुपया डालते लगे जो यहोवा के भवन में लाया जाता था।

Tab yahoyada yajak ne ek sandook le, us ke dhakne mein chhed kar ke usko Yahowa ke bhavan mein aane valon ke dahine haath par vedi ke paas dhar diya; aur dwaar ki rakhvali karne vale yajak us mein vah sab rupya dalte lage jo Yahowa ke bhavan mein laya jata tha.

10

जब उन्होंने देखा, कि सन्दूक में बहुत रुपया है, तब राजा के प्रधान और महायाजक ने आकर उसे थैलियों में बान्ध दिया, और यहोवा के भवन में पाए हुए रुपये को गिन लिया।

Jab unhonne dekha, ki sandook mein bahut rupya hai, tab raja ke pradhaan aur mahayajak ne aakar use thailiyon mein baandh diya, aur Yahowa ke bhavan mein paye hue rupye ko gin liya.

11

तब उन्होंने उस तौले हुए रुपये को उन काम कराने वालों के हाथ में दिया, जो यहोवा के भवन में अधिकारी थे; और इन्होंने उसे यहोवा के भवन के बनाने वाले बढ़इयों, राजों, और संगतराशों को दिये।

Tab unhonne us taule hue rupye ko un kaam karane valon ke haath mein diya, jo Yahowa ke bhavan mein adhikari the; aur inhonne use Yahowa ke bhavan ke banane vale badhaiyon, rajon, aur sangatrashon ko diye.

12

और लकड़ी और गढ़े हुए पत्थर मोल लेने में, वरन जो कुछ भवन के टूटे फूटे की मरम्मत में खर्च होता था, उस में लगाया।

Aur lakdi aur gadhe hue patthar mol lene mein, varan jo kuchh bhavan ke toote phoote ki marammat mein kharch hota tha, us mein lagaya.

13

परन्तु जो रुपया यहोवा के भवन में आता था, उस से चान्दी के तसले, चिमटे, कटोरे, तुरहियां आदि सोने वा चान्दी के किसी प्रकार के पात्र न बने।

Parantu jo rupya Yahowa ke bhavan mein aata tha, us se chandi ke tasle, chimte, katore, turhiyan aadi sone va chandi ke kisi prakaar ke patra na bane.

14

परन्तु वह काम करने वाले को दिया गया, और उन्होंने उसे ले कर यहोवा के भवन की मरम्मत की।

Parantu vah kaam karne vale ko diya gaya, aur unhonne use le kar Yahowa ke bhavan ki marammat ki.

15

और जिनके हाथ में काम करने वालों को देने के लिये रुपया दिया जाता था, उन से कुछ हिसाब न लिया जाता था, क्योंकि वे सच्चाई से काम करते थे।

Aur jinke haath mein kaam karne valon ko dene ke liye rupya diya jata tha, un se kuchh hisaab na liya jata tha, kyonki ve sachchai se kaam karte the.

16

जो रुपया दोषबलियों और पापबलियों के लिये दिया जाता था, यह तो यहोवा के भवन में न लगाया गया, वह याजकों को मिलता था।

Jo rupya doshabliyon aur papabliyon ke liye diya jata tha, yah to Yahowa ke bhavan mein na lagaya gaya, vah yajkon ko milta tha.

17

तब अराम के राजा हजाएल ने गत नगर पर चढ़ाई की, और उस से लड़ाई कर के उसे ले लिया। तब उसने यरूशलेम पर भी चढ़ाई करने को अपना मुंह किया।

Tab araam ke raja hajayel ne gat nagar par chadhai ki, aur us se ladai kar ke use le liya. Tab usne Yerushalem par bhi chadhai karne ko apna munh kiya.

18

तब यहूदा के राजा योआश ने उन सब पवित्र वस्तुओं को जिन्हें उसके पुरखा यहोशापात यहोराम और अहज्याह नाम यहूदा के राजाओं ने पवित्र किया था, और अपनी पवित्र की हुई वस्तुओं को भी और जितना सोना यहोवा के भवन के भणडारों में और राजभवन में मिला, उस सब को ले कर अराम के राजा हजाएल के पास भेज दिया; और वह यरूशलेम के पास से चला गया।

Tab Yahuda ke raja yoaash ne un sab pavitra vastuon ko jinhein uske purkha yahoshapaat yahoraam aur ahajyaah naam Yahuda ke rajaon ne pavitra kiya tha, aur apni pavitra ki hui vastuon ko bhi aur jitna sona Yahowa ke bhavan ke bhandaron mein aur rajabhvan mein mila, us sab ko le kar araam ke raja hajayel ke paas bhej diya; aur vah Yerushalem ke paas se chala gaya.

19

योआश के और सब काम जो उसने किया, वह क्या यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में नहीं लिखे हैं?

Yoaash ke aur sab kaam jo usne kiya, vah kya Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein nahi likhe hain?

20

योआश के कर्मचारियों ने राजद्रोह की गोष्ठी कर के, उसको मिल्लो के भवन में जो सिल्ला की उतराई पर था, मार डाला।

Yoaash ke karmachariyon ne rajadroh ki goshthi kar ke, usko millo ke bhavan mein jo silla ki utrai par tha, maar dala.

21

अर्थात शिमात का पुत्र योजाकार और शोमेर का पुत्र यहोजाबाद, जो उसके कर्मचारी थे, उन्होंने उसे ऐसा मारा, कि वह मर गया। तब उसे उसके पुरखाओं के बीच दाऊदपुर में मिट्टी दी, और उसका पुत्र अमस्याह उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Arthaat shimaat ka putra yojakaar aur shomer ka putra yahojabaad, jo uske karmachari the, unhonne use aisa mara, ki vah mar gaya. Tab use uske purkhaon ke beech daoodpur mein mitti di, aur uska putra amasyaah uske sthaan par rajya karne laga.